Stock Market ke Basics

Stocks, Shares, Market ka girna… in terms ke baare me hum sabne suna hai. Hum me se kaafi log aise bhi hai jinhe ye concepts bahut complicated lagte hain aur Stock Market jaise shabd sunkar dar bhi lagta hai. Aaj in concepts ko hum aapke liye thoda simple banaenge.

Stock Market kya hai?

Kisi bhi company ko shuru karne ke liye paise ki zaroorat padti hai jisey hum funding ya investment kehte hain. Maan lijiye kisi ne ek company shuru kari jiska naam X hai. Yeh investment yaa to X ke founders apni savings se karte hain ya fir kisi se lete hain. Jo bhi X me uss time invest karte hain, vo iss hope ke sath karte hain ki unhe future me X se profit hoga. 

Magar, har koi shuru mai X pe invest nahi kar sakta. At least tab tak jab tak X general public ke liye investment ka option open nahi karti. Yeh kaam stock market ke zariye hota hai. 

Stock market ek aisa marketplace hai jahaan hum sab public companies me invest kar sakte hain. Jab hum kisi company me invest karte hain tab hum uska ek hissa khareedte hain. Fir jab hume lagta hai ki hamare invest kare gaye amount se hume profit ho raha hai, hum vo hissa bech sakte hain. Publicly listed companies ke alawa bhi kuch options hote hain stock market me invest karne ke liye magar iss article me hum sirf basics par hi focus karenge.

Stock Market ke timings kya hote hain?

Market ke timings kuch iss tarah hote hain:
  1. Pre-open session: 09:00 a.m. – 09:15 a.m.
  2. Trading session: 09:15 a.m. – 03:30 p.m.
  3. Closing session: 03:40 p.m. – 04:00 p.m.
Saturday, Sunday, aur kuch holidays jo advance me declare kar di jaati hain unko chhod kar baaki sab dino par market open rehti hai.

Stock market me kaun kaun invest kar sakta hai?

Anybody. Koi bhi stock market me invest kar sakta hai. Aap 18 ki umar se bade hain ya chhote, aap stock market me bilkul invest kar sakte hain. Farak sirf itna hota hai ki 18 se oopar ki age vale investors apne khud ke documents se account open kar sakte hain aur 18 se kam vale logo ko apne guardians ke documents chahiye hote hain. 

Reason being, stocks me invest karne ke liye aapko ek bank account aur ek DEMAT account ki zaroorat padti hai.

Fir, jab aapke account ban jaate hain, all you need is money and select ki kaun kaun se shares me aap invest karna chahte hain.

Stocks me invest kyo karein? Iske faayde aur nuksaan kya kya hain?

Dekho, Stock Market me invest karna risky to hota hai. Yeh shares me invest karne ke sabse bada disadvantage hota hai. Iske alawa aapko kaafi research karni padti hai siko samajhne ke liye, broker ko pay bhi karna padta hai, aur kabhi kabhi uncertainty bhi hoti hai.

Magar in disadvantages ke sath aate hai bahut sare advantages. 

  • Because shares me invest karne me risk zyada hota hai, interest bhi baaki investment options se zyada milta hai. Isi vajah se yeh aapko Inflation se bhi protect karke rakhta hai.
  • Aap jaldi jaldi stocks buy aur sell kar sakte ho.
  • Invest karne se aap us company ke part owner bhi bante ho.
  • Yaha aapko Compounding ka benefit bhi milta hai.
  • Aur to aur aapko high amount ki bhi zaroorat nahi padti. Aap chhote se chhota amount bhi yaha invest kar sakte ho.

Shares me invest karte time kin baaton ka dhyan rakhein?

  • Chhote amount aur basics se shuruaat kare
  • Stock Market ke baare me padhte rahe, khud ko educate karte rahe
  • Aap kitna risk le sakte hain, isko analyze karein
  • Apne financial goals ko jaane
  • Zyada greedy na bane. Soch samajh kar invest karein aur apna decision khud lein. Doosron ki dekha dekhi invest na karein. Haan, agar aapki research aur education bhi aap ko vahi invest karne ke liye kehti hai jahaan duniya invest kar rahi hai, to beshak invest kare
  • Apne kharcho ko dekh kar hi invest karein
  • Risk hoga hi hoga, iss baat ko hamesha dhyan me rakhe
  • Alag alag companies aur industries me invest kare. Agar ek jagah se aapko industry se loss hota hai to ye diversification kuch na kuch profit aapko karwa sakta hai. Apna portfolio diversify karne se aapko risk bhi kam hoga

Stocks ki duniya bahut badi hai magar nayi nahi hai. Saalon se log isme invest karte aa rahe hain. To agar aapko lagta hai stock market is the place for you, to iske baare me padhein aur research karein aur fir kaunsa stock aapke liye benefits lekar aega, iss basis par apna decision lein.

Recent Posts

Kahaan kahaan Invest karein?
Stock Market ke Basics
Stock Market ke Basics
Inflation ke baare me jaane

Categories