Kya aap SC/ST category ko belong karte hai? Kya aap ek woman hain? To yeh article aapke liye hai.
Government ki financial inclusion schemes me ek aisi scheme aati hai to SC/ST aur women ko target karti hai. Vo scheme hai Stand Up India Scheme.
Iss article me hum baat karenge:
Stand Up India Scheme kya hai aur iske benefits kya kya hai?
Jaisa ki hum jaante hain, government ki sari schemes mainly loans/finances provide karti hain, Stand Up India Scheme bhi loans deti hai magar Rs. 10 lakhs – Rs. 1 crore ki range me.
Is scheme ke under, per bank branch, at least ek SC/ST borrower aur at least ek Woman borrower ko banks loans provide karte hain.
Iss scheme ke liye kaun kaun eligible hai?
- As stated above, agar aap SC/ST ya women category me belong karte hain,
- Agar aap ek greenfield enterprise set up kar rahe hain,
- Agar aapki age 18 years se upar hai,
- Agar aap apna business kisi ke sath co-own karte hain jisme 51% stake SC/ST ya Women entrepreneur ke paas hai, aur
- Agar aapka kisi bhi bank ke sath status “in default” nahi hai toh aap Stand Up India Scheme ke liye eligible hain.
Iss loan ke features kya hain?
- Rate of Interest: Category ka lowest applicable rate. Rate of Interest Base rate + 3% + Tenor premium se zyada nahi ho sakta
- Repayment period: 7 years (maximum moratorium period: 18 months)
- Agar loan Rs. 10 lakhs se kam hai, to vo Overdraft facility ke through sanction hoga. Agar Rs. 10 lakh se kam hai, to Cash Credit limit ke through