Agar hum aapse kahein ki investment ki yeh jo duniya hai isme ek jaadui mantra hai jo investment mein hum sabki madad karta hai to aap kya kahenge?
Invest toh hum sab karte hain (hopefully), magar hum me se kaafi log jaldi invest karna shuru nahi karte. Haan, yeh sach hai ki agar aapne abhi tak invest karna shuru nahi kara hai to abhi bhi der nahi hui hai. Magar, is baat ko samajhna zaroori hai, aur yahi jeevan ka satya hai, ki agar aapne pehle shuru kara hota to aapko zyada faayda hota. Kyon aur kaise, in sawalon ka jawaab compounding me rakha hai.
Compounding aakhir hai kya?
Aapke interest par jab interest milta hai, usey Compounding kehte hain. Jab aap ek certain base amount (jisey hum Principle ke naam se jaante hain) invest karte hain, aapko uspar ek interest (byaaz) milta hai. Compounding me, vo interest aapke Principle me add ho jata hai. Fir yeh total aapki next investment cycle ke liye aap ka principle amount ban jaata hai.
Aap sirf apne Principle par hi interest earn nahi kar rahe balki apne interest par hi interest earn kr rahe hain.
Compounding ke fayde kya hain?
Compounding ka sabse bada aur iklauta fayda hai ki yeh aap ke money ko jaldi grow karta hai kyonki ab aap apne interest par bhi earn kar rahe hain.
Agar aap Mutual Funds me invest kar rahe hain ya Stock Market me, Compounding ka jaadu aapko starting me bhale hi na dikhe magar time ke sath iske benefits dikhne shuru ho jaate hain.
Compounding ka fayda kaise utha sakte hain?
Compounding ke benefits ko avail karne ke liye in teen cheezo ka dhyan rakhe:
-
Jaldi invest karein
-
Patience ke sath invest karein
-
Regularly invest karein