Aksar hum me se kaafi log budget banane se ghabrate hain. Isiliye, aaj hum jaanenge ki:
Budget do tareeke ke hote hain?
Short-Term (kam samay ke liye)Short-Term budgets generally ek saal ke time period ke liye bante hain.
Long-Term (lambe samay ke liye)
Long-Term ussey zyada jaise ki 5, 10, 20 saal ke.
Budget ke kya benefits hote hain?
- Humare financial goals ko manage karta hai
- Humare kharcho ka dhyan rakhta hai taaki hum apni limit se zyada spend na karein
- Savings improve karta hai
- Debt me jaane se bachata hai
- Hamare money ko better tareeke se control karta hai
- Stress me aane se bachata hai
Budget kaise bana sakte hain?
Pen
aur paper
Spreadsheet ya excel jaise tool
Online budgeting softwares
-
Step 1
Apni income ki sari information collect kijiye: kahaan kahaan se kitna kitna amount aap earn karte hain.
-
Step 2
Jitne expenses aapke hote hai ek particular time period me, unki ek list banaiye. Yahaan aapke 2 tarah ke expenses aate hain: Fixed (jo ki kuch samay tak change nahi hota, jaise rent ya salary) aur Variable (jo har thode dino me badalta rehta hai, jaise groceries ya movie tickets).
-
Step 3
Fir apne expenses ko analyse karein ki kahaan kitna amount aap spend karte hai ya karna chahte hain.
-
Step 4
Expenses ka total karein.
-
Step 5
Income aur expenses ko compare karein yaani tulna karein. Vaise to aapki income aapke expenses se zyada honi chahiye. Kyonki, uska matlab hota hai ki aapke paas extra money hai jo aap save kar sakte hain ya alag alag jagaho par use kar sakte hain. Lekin agar aisa nahi hai yaani aapke expenses aapki income se zyada hain, to iska matlab hai ki aap limit se zyada amount spend kar rahe hain. Aisi situations me zaroori hai aap apne budget me hi nahi balki aadaton me bhi changes karein aur kam spend karein.
-
Step 6
Apne budget ko time to time review karte rahein. Aisa isliye karna zaroori hai kyonki jaise hum apne budget ke according apne aap ko change karte hain, budget bhi hamare according khud ko badalta rehta hai. Samay ke sath hamari income jaise jaise change hoti hai, vaise vaise hamare expenses bhi change hote hain. Also, lagataar review karne se hume hamare kharcho ka andaaza lagta rehta hai. Issey hum hamari spending habits me zaroori badlaav laa sakte hain.
Josh Talks aapke lie lekar aya hai ek simple Budget Planner jo aapke maasik aur saalana budget ko plan karne me madad kar sakta hai. Aap iss sheet ko download karke isme zaroori changes kar sakte hain.