Hindi se English mai Sentence formation ke Tips

Hindi-to-English-Sentence-Formation

Is article mai hum aapko bataayenge ki aap sentence formation Hindi se English mai kaise kar sakte hai. Hum English sentence formation aur sentence structure ke baare mai kuch important baathe jaanenge jisse aapko English speaking aur writing mai asaani hogi.  

Hindi to English sentence formation ke tips jaaniye

India ek aisa desh hai jaha bohot saare languages aur dialects hai. In sub languages mai se Hindi subse zyada bole jaane wali bhasha hai. Bohot saare English shabd Hindi aur Sanskrit se aate hai. 

Aap toh jaante hi hai ki English seekhna kitna important hogaya hai. Achi English bol paana aur communicate kar paana aaj kal ek bohot zaroori requirement ban gaya hai jiski wajah se zyada se zyada log English seekhne ke tareeke apna rahe hai. 

Agar aap bhi English seekhna chahte hai aur fluently English bolna chahte hai toh is article ke through aapko poori jaankari mil jaayegi. English bolne ka subse pehla step hai correct sentences form karna. Isiliye aaj mai aapko bataungi ki

  • Basic English sentence structure kya hai?
  • Hindi se English sentence formation kaise kare?
  • Hindi se English sentence formation ke examples.
  • Correct sentence formation ke tips kya hai?

Josh Skills App par Sikhe Fluent English Bolna

Basic English sentence structure kya hai?

Hindi to English sentence formation ko seekhne ke liye aapko subse pehle Hindi aur English ka sentence structure samajhna hoga. Sentence structure ka matlab hai grammatically sentence ko arrange karna. 

English sentence structure

Aap toh jaante hi hai ki basic grammar janna aapki English speaking skills ko improve karne ke liye kitna zaroori hai. Correct sentence formation ke liye aapko apne sentence ko grammatically sahi roop se arrange karna hoga.

Hindi se English sentence formation ka tareeka bataane se pehle mai aapko English sentence ke parts aur 5 basic sentence patterns bataungi

1. English sentence structure

Parts of a Sentence

English sentence mai 3 parts hote hai

  • English sentence ke first part mai Subject (Karta) hota hai– Koi vyakti ya cheez jo kuch kaam kar raha ho use Subject kehte hai jo ki ek noun hota hai. Jaise He, She, I, Me, Priya etc.

Eg. He likes dogs.

  • English sentence ke middle part mai Verb (Kriya) hota hai– Jo shabd koi action ya movement ko bataate hai unhe verb kehte hai. Verbs ka roop tenses pe depend hota hai. Jaise Playing, sleeping, likes, do, does, did, is, are, was, were, have, has, had.

Eg. He likes dogs.

  • English sentence ke last part mai Object (Karm) hota hai– Koi vyakti ya cheez jo verb ke action ko receive karta hai use object kehte hai. 

Eg. He likes dogs.

Basic sentence patterns

  1. First basic English sentence structure hai- Subject + Verb.
    Subject +              Verb
Riyaswims
Sheis dancing
Soniyawill write
  1. Second basic English sentence structure hai- Subject Verbs Object.
Subject+              Verbs                      +               Object
RahulLikestomatoes
HeWatersthe plants
Weare playingtennis
  1. Third basic English sentence structure hai- Subject + Verbs Adjective.

Jo shabd nouns aur pronouns ki visheshta bataate hai unhe adjectives kehte hai. Jaise young, clever, black etc.

Subject+              Verbs                      +               Adjectives
TarunIsfunny
SheIscareful
The mangoesare sweet
  1. Fourth basic English sentence structure hai- Subject Verbs Adverb.

Woh shabd jo kisi verb, adjective ya doosre adverb ki visheshta bataate hai unhe adverb kehte hai. Jaise slowly, fast, twice, once etc.

Subject+              Verbs                      +               Adverb
NeetaCriesloudly
MadhuriDancedgracefully
Applesare everywhere
  1. Fifth basic English sentence structure hai- Subject Verbs Noun.

Kisi vyakti, jagah, jaanvar, ya cheez ke naam ko noun ya sangya kehte hai. 

Subject+              Verbs                      +               Noun
SheIsmy teacher
TheyAremy coworkers
TomIs afarmer

2. Hindi sentence structure

Hindi ka sentence structure hota hai Subject (Karta) Object (Karm) Verbs (Kriya). 

Eg. Mera naam Priya hai. 

      Rahul pustak padh raha hai. 

Ab aap Hindi aur English ke sentence structures ko samajh chuke honge. Hindi sentences aur English sentences ke structure mai difference samjhke hi aap correct sentence formation kar paayenge. Ab mai aapko Hindi-English sentence formation ki technique bataati hu.

Hindi se English sentence formation kaise kare?

English sentence formation

Hindi-English sentence formation ka matlab hai Hindi sentences ko English sentence mai translate karna. Aap jo bhi Hindi mai bolte hai use English mai bol paana English speaking seekhne ke liye bohot zaroori hai. 

Correct sentences form karke aap apni English fluent bana sakte hai. Aap apne mann ki baath sirf Hindi mai hi nahi balki English mai bhi kar paayenge. Hindi ka ultha roop hota hai English. Hum jo bhi sentence Hindi mai bolte hai uska ultha karne se hume English sentence milta hai.

Mai aapko Hindi-English sentence formation ke 2 methods bataati hu.

Method 1– Yeh method aap basic aur chote sentences ke liye use kar sakte hai.

1. Subse pehle subject dhoondiye

Hindi se English sentence formation mai pehle aapko hindi sentence mai aaye hue sabhi subjects ko pehchanna hoga aur use English mai translate karna hoga. Aapke hindi sentence mai jitne bhi subjects hai unhe dhoondiye fir un subjects ko English mai likh le.

Eg. Mai Rakesh ke saath football khel raha hu.

Is sentence mai subject hai “Mai”.

Ab aap is subject ko English mai convert kar sakte hai jo hai “I”.

2. Next step mai Main verb ko pehchanna

Hindi sentence mai subject ko find karke use English mai convert karne ke baad aapko usi sentence mai Main verb ko pehchanna hoga aur use bhi English mai translate karna hoga. Main verb hamesha Hindi sentence ke end pe hota hai. Is verb ko uske sahi tense mai likhna zaroori hai. Hindi se English mai translate karte samay aapko hamesha reverse order mai sentence likhna hoga.

Eg. Mai Rakesh ke saath football khel raha hu.

Is sentence mai verb hai “khel raha hu”.

Ab is verb ko English mai convert kar sakte hai jo hai “am playing”

3. Next step hai baaki Hindi sentence ko English mai convert karna

Subject aur Verb ke baad aapko baaki ke Hindi sentence ko English mai convert karna hoga. Yeh conversion aapko reverse order mai karna hoga. 

Eg. Mai Rakesh ke saath football khel raha hu.

Is sentence mai “Rakesh ke saath football” baaki ka sentence hai.

Is sentence ko English mai reverse order mai convert kar sakte hai jo hai “football with Rakesh”.

In 3 steps ko follow karke humne jo Hindi-English sentence form kiya hai woh hai- 

Mai Rakesh ke saath football khel raha hu.

am playing football with Rakesh.

Method 2– Yeh method aap complex aur bade sentences ke liye use kar sakte hai.

Hindi to English sentence formation ka formula hai- 

Kaun (Who) + (Tense + Verb) + Kya (What) + Kise/Kiske (Whom) + Kaise (How) + Kyu (Why) + Kahan (where) + Kab (When) + Kab se (Since when / for how long/ from when).

Is formula ko use karke aap bade se bade Hindi sentences ko asaani se English mai translate kar sakte hai. Mai aapko iska ek example samajhaati hu.

Hindi sentence-

Ek boodha aadmi pichle 20 saalo se Dehradun ke Capre Trade Center mai ek choti si dukaan ke andar apni jeevika chalaane ke liye bina kisi publicity ke aas paas ke logo ko English sikha raha hai.

Is sentence ko aap English mai is tarah translate kar sakte hai-

FormulaHindi sentenceEnglish sentence
Kaun (who)Ek boodha aadmiAn old man
Tense + verbSikha raha haiHas been teaching
Kya (What)EnglishEnglish
Kise (Whom)Aas paas ke logo koTo the people of nearby places
Kaise (How)Bina kisi publicity keWithout any publicity
Kyu (why)Apni jeevika chalaane ke liyeFor running his livelihood
Kaha (where)Dehsradun ke Capre Trade center mai ek choti si dukaan ke andarInside a small shop at Capre Trade Center in Dehradun.
Kab (When)
Kab se (Since when)Pichle 20 saalo seFor last 20 years.

Toh jo English sentence form hue hai woh hai- 

An old man has been teaching English to the people of nearby places without any publicity for running his livelihood inside a small shop at Capre Trade Center in Dehradun for last 20 years.

Hindi se English sentence formation ke examples

Hindi se English sentence form karne ke methods toh aap jaan hi chuke hai. Par in methods ko ache se samajhne ke liye mai aapko bataungi kuch basic sentences jo aap roz apni daily life mai use karte hai. Har sentence mai Subject, Verb aur Object hote hai.

Subjects ko bold kiya hai, Verbs ko underline aur Objects ko italicized kiya hai.

  1. Hum park gaye the.

We went to the park.

  1. Mark aur Maine park mai Basketball khela.

Mark and I played Basketball at the park.

  1. Tum pizza khaoge ya pasta?

Do you want to eat pasta or pizza?

  1. Raath mai driving karna dangerous hai.

Driving is dangerous at night.

  1. Maine gaana gaaya.

sang a song.

  1. Maine ek book padhi aur ek chocolate ka dabba khaya.

read a book and ate a box of chocolate.

  1. Usne hamburger aur fries order kiye.

She ordered a hamburger and fries.

  1. Padhne se nayi duniya ke darvaaze khul jaate hai.

Reading opens doors to new worlds.

  1. Sooraj ko dekhne se ankho ko nuksaan ho sakta hai.

Staring at the sun may hurt your eyes.

  1. Mai desk pe sounga.

will be sleeping on the desk.

  1. Grades assignments aur tests ke adhar par hai.

Grades are based on tests and assignments.

  1. Is kachre ko uthao!

Pick up the mess!

  1. Tumhara zindagi ka goal kya hai?

What is your goal in life?

  1. Mujhe dance karna passand hai.

I like dancing.

  1. Tumhe kitne marks aaye?

How many marks did you get?

Toh yeh the kuch basic Hindi to English sentence formation ke examples. Umeed hai aapko in examples se English sentence frame karne mai madad hogi. Hindi se English sentences formation ki practice karne ke liye aap yaha click kare.

Agar aapko apni English speaking skills improve karna hai aur aapni vocabulary improve karna chahte hai toh aap Josh Talks ka Spoken English course abhi join kare.

Correct sentence formation ke tips kya hai?

1. English sentence mai verbs ko correct order mai use karna

Hindi to English sentence formation ke liye subse important tip hai verbs ko sahi order mai place karna taaki us sentence ka meaning change na ho. Hindi sentences mai verb ko sentence ke end mai place kiya jaata hai balki English sentences mai verb sentence ke starting ya middle mai place kiya jaata hai. Is baath ka khayal rakhna bohot zaroori hai ki aap verbs ko unke correct order aur tense mai hi use kare.

2. English sentence mai nouns ka koi gender nahi hota

English sentences mai nouns ka koi gender use nahi hota, jabki Hindi sentences mai nouns ko masculine ya feminine form mai use kiya jaata hai. Jaise “woh achi ladki hai”, “woh acha ladka hai”. English sentence mai “she is a good girl”, “he is a good boy” bola jaayega.

3. English sentence mai formal ya informal address use nahi hota

Hum Hindi sentences mai 3 addresses use karte hai jaise tu, tum aur aap. Jab ki English sentences mai aisa koi roop nahi hota. Hindi se English sentence formation ke liye aapko dhyan rakhna hoga ke aap apne sentences mai sahi form use kare. 

4. Sahi words ka use karna

Hindi se English mai translate karne ke liye aapki English vocabulary bohot achi honi chahiye tabhi aap har Hindi word ke liye uska sahi English word dhoond paayenge. Har Hindi word English mai translate nahi ho sakta hai. Isliye aapko aise words dhoondne honge jo in Hindi words ke meaning ko sahi tarah samjhaa sake. Iske liye aap The Oxford Hindi English Dictionary use kar sakte hai aur naye words seekh sakte hai

The Oxford Hindi English Dictionary

5. Sahi punctuation marks use karna

Jab bhi aap Hindi se English mai koi sentence translate karte hai toh aapko punctuation marks ka khaas khayal rakhna hoga. Agar yeh punctuation marks sahi nahi honge toh poore sentence ka meaning change hojayega. Aapko commas, colons, semi colons, question marks ki poori knowledge honi chahiye.

 Eg. Woh chaatrao ki pustak hai. 

That is a students book. (Wrong)

 That is a student’s book. (Correct)

6. Grammar ki poori knowledge hona

Importance of Grammar in English sentence formation

Hindi se English sentences form karne ke liye aapko basic grammar aani chahiye, jaise parts of speech. Aap English sentences sirf grammar ko sahi tarah se arrange karke hi form kar sakte hai. Agar aapki English grammar weak ho toh aapko Hindi-English translation mai mushkil hogi aur aapke sentences correct nahi honge.

7. Google translate ka use kare

Google translate ka use kare.

Agar aapki English bohot weak hai aur aap Hindi sentences ko English translate karna chahte ya vice versa toh aap Google translate ki madad se asaani se mushkil se mushkil sentences ko kuch hi samay mai translate kar paayenge. Google translate se aap har Hindi shabd ka matlab bhi English mai jaan paayenge jisse aapki vocabulary bhi improve hojayegi.

8. Online courses ki madad le 

Agar aap apni English speaking aur writing skills ko improve karna chahte hai toh aap online courses ki bhi madad le sakte hai. Aaj kal aise bohot se courses available hai jinse aap koi bhi skill improve kar sakte hai. Aisa hi ek course hai Josh Talks ka Spoken English course jiske through aap apni English improve kar paayenge aur Hindi se English mai sentences form karne mai bhi expert ban jaayenge. Toh abhi Josh skills app download kare aur is course mai enroll hojaye.

Toh yeh the kuch important tips and tricks jisse aap English sentences form kar sakte hai. In methods aur tips ko hamesha yaad rakhe aur ise apne English speaking aur writing mai hamesha use kare. Isse aapki fluency, vocabulary aur grammar improve hojayegi aur aap hamesha confident aur successful feel karenge.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here