250+ Basic English to Hindi Verbs List Examples ke Sath
November 4, 2020
24 Minutes
Agar aap English bolna ache se sikhna chahte hai toh ye yaad rakhiye ki bina verbs ko jane aap fluent English nahi bol paenge. Iss article mein aapko verbs se sambandhit sari jankari milegi. Verbs kise bolte hai, wo kaha use kiye ja sakte hai. Issi ke saath kuch 250 zaruri English to Hindi verbs list bhi batayi gayi hai.
Aiye sabse pehle jante hai ki akhir Verbs hote kya hai aur unhe kaha use kiya jata hai. Fir janenge English to Hindi Verbs list.
Verbs kya hai aur kahan use kiye jate hai? | Meaning and use of Verbs
Verb yani Kriya, aisa shabd jo vaaky rachana mein kisi kaary, ghatana ya sthiti ke hone ke baare mein batata hai. Simple language mein bole toh ye aise shabd hote hai jo batate hai ki vaaky mein maujood sangya yani noun kya kar raha hai. Iss better tarike se samajhne ke liye niche humne English to Hindi verbs list bhi di hai.
Kehte hai ki verb sentence ki jaan hoti hai. Bina iske sentence thoda adhura sa hota hai. Ek verb khud mein hi bahut si baato ka matlab samajha deta hai. Jab hum English sikh rahe hote hai toh verbs ko easily samajhane ke liye hume bola jata hai: verbs are the ‘doing’ words. Yani ye wo shabd hai jo sentence mein ho rahe action ke baare mein batate hai. Jaise khana, peena, bhagna. Example: ‘ Ram is running towards his house’ is sentence mein verb hoga ‘running’ yani bhagna. Ye word hume bata raha hai ki Ram kya kar raha hai. Aise hi English to Hindi verbs list aage iss article mein di gai hai.
Verbs alag-alag tarah ke hote hai jaise: Regular verb, Irregular verb, linking Verbs, helping verbs etc. Apke sentence par depend karta hai ki aap konsa verb use karenge. Sirf itna hi nahi, verb ke 3 tense form bhi hote hai. Konse tense of verb ko aap use karenge ye bhi aapke sentence par hi depend karta hai. Abhi ke liye aap verb kya hota hai ye samjhiye. Ab kuch English to Hindi verbs list ki madad se verb ke baare mein thoda aur jante hai.
Josh Skills App par Sikhe Fluent English Bolna
Zaruri verbs ki Suchi | Important English to Hindi Verb list
Jab baat aati hai verbs ki toh basic sixteen verbs hote hai, jo basic english bolte waqt use kiye jate hai. But agar hum overall number of verbs ki baat kare toh uski ginatee nahi ki ja sakti. Hum jitne verbs sikhenge utna kam hai. Unhi mein aaj iss article ke through hum aapko kuch basic English to Hindi verbs list de rahe hai. Aaiye shuruwat karte hai kuch Action verbs jane se.
English to Hindi Verbs list – Action Verbs
Action verbs aise words hote hai jo noun ya sentence ke mukhy subject ke action ke baare mein batata hai. Aise kuch shabd unke Hindi matlab ke saath niche table mein diye gaye hai. | English to Hindi verbs List|
Sr.No. | Verb | Hindi word | Example |
---|---|---|---|
1. | Act | Kaary (कार्य) | The government was slow to act.(Sarakaar kee kaarravaee dheemee thee) |
2. | Agree | Sahamat hona (सहमत होना) | I agree with all your terms and conditions.(Main aapke sabhi sharto aur niyamon se sahamat hoon) |
3. | Arrive | Aana (आना) | We expect the guest to arrive soon.(Hume umeed hai ki atithi jald hi aa jaenge) |
4. | Ask | Poochna (पूछना) | Let’s ask the teacher about this question.(Chalo Teacher se iss sawal ka jawab puchte hai) |
5. | Bake | Senkana (सेंकना) | It was too late to bake a cake.(Cake sekane ke liye abhi bahut dher ho chuki thi) |
6. | Bring | Lao (लाओ) | Can we bring our pets along with us?(Kya hum apne paaltu janwar ko apne saath la sakte hai? |
7. | Buy | Khareed (खरीद) | I bought this dress for 1000 Rs.(Maine ye dress 1000 rupaye mein khareedi) |
8. | Call | Bulana (बुलाना) | I will call you at 1 p.m. (Main tumhe 1 baje bulaunga) |
9. | Climb | Chadhana (चढना) | He will climb Mt. Everest this year.(Wo iss saal Mt. Everest chadhega) |
10. | Cry | Rona (रोना) | The baby was crying a lot.(Bacha bahut roo raha tha) |
11. | Dance | Naachna (नाच) | Let’s dance together.(Chalo saath mein nachte hai) |
12. | Dream | Khvaab (ख्वाब) | I had a dream about you.(Mujhe tumhara khvaab aaya) |
13. | Drink | Peena (पीना) | She drinks a lot of water in a day.(Wo din mein bahut saara paani peeti hai) |
14. | Eat | Khana (खा) | Will you eat something?(Kya tum kuch khaoge?) |
15. | Fall | Girana (गिरना) | The vase could have fallen from the table.(Phooldaan mej se gir sakta tha) |
16. | Grab | Pakad lena (पकड़ लेना) | She grabbed her mask before leaving from her home.(Usne ghar se niklte waqt apna mask pakad liya.) |
17. | Help | Madad (मदद) | She wanted me to help her.(Wo chahti thi main uski madad karu) |
18. | Jump | Kood/ chhalaang (कूद/छलांग) | The children were jumping up and down in excitement.(Bache khushi ke karan upar niche kood rahe the.) |
19. | Laugh | Hasana (हसना) | We laughed while looking at our old pictures.(Hum apni purani tasveere dekh kar hass rahe the) |
20. | Leave | Chhodana (छोड़ना) | Please leave her alone.(Kripriya usse akela chhod de) |
21. | Listen | Sunana (सुनना) | Listen to the teacher carefully.(Teacher ko dhyaan se suno.) |
22. | Make | Baanana (बनाना) | Can you make tea for me?(Kya tum mere liye chai bana doge?) |
23. | Read | Padhna (पढ़ना) | Read the chapter loudly.(Adhyay ko jor se padho) |
24. | Study | Padhna (पढ़ना) | I will study after my swimming class.(Main apni swimming class ke baad padhunga ) |
25. | Play | Khelna (खेलना) | Let’s play ludo.(Chalo ludo khelte hai) |
26. | Run | Daudana (दौड़ना) | I had to run to catch the bus.(Mujhe bus daud kar pakadani padhi.) |
27. | Send | Bhejana (भेजना) | Send the letters to me(Mujhe khat bej do) |
28. | Sing | Gana (गाना) | Rashmi is singing in her room.(Rashmi apne kamre mein gana gaa rahi hai) |
29. | Talk | Bolana (बोलना) | Students were talking in the absence of the teacher.(Chatra teacher ki anupasthiti mein bol rahe the) |
30. | Throw | Phenkana (फेंकना) | Throw your waste in the dustbin.(Apna Karchra Dustbin mein phenke) |
31. | Touch | Chhoona (छूना) | Do not touch these vessels.(Iss pateele mat chhoona) |
32. | Vote | Vot dena (वोट देना) | Vote for the deserving candidate.(Yogya umeedwar ke liye vote karein) |
33. | Write | Likhana (लिखना) | He was writing throughout the exam.(Wo puri pareeksha ke dauraan likh raha tha) |
34. | Balance | Santulan (संतुलन) | She was trying to balance the book on her head.(Wo apne sirr par kitab ko santulit karne ki koshish kar rahi thi) |
35. | Check | Jaanchana (जाँचना) | We better check whether all the doors are locked.(Hum behtaar jaanchle ki saare khidki dawaze band hai) |
36. | Choose | Chuna (चुना) | You should choose between the two subjects.(Tumhe dono subjects ke beech mein se ek chun lena chahiye) |
37. | Collected | Jutaaya hua (जुटाया हुआ) | He collected all these shells the previous year. (usne pichle saal hi ye saare gole jutaye the.) |
38. | Decided | Nirnay liya (निर्णय लिया) | I have decided to go to the market.(Maine bazaar jane ka nirnay liya hai.) |
39. | Developed | Vikast (विकसित) | The area has been well developed now.(Shetr ab ache tarike se vikasit kiya gaya hai.) |
40. | Evaluated | Moolyakan (मूल्यांकन) | The teacher evaluated our marks quickly.(Teacher ne hamare ankhon ka jaldi se moolyakan kiya) |
41. | Examine | Jaanch (जांच) | The doctor examined the patient.(Doctor ne marij ki jaanch ki.) |
42. | Gain | Labh (लाभ) | She gained a lot through these ways.(Usse inn tariko se bahut laabh hua) |
43. | Implement | Laagoo (लागू) | These rules will be implemented from tomorrow.(Ye niyam kal se lagoo honge.) |
44. | Inform | Soochit Karna (सूचित करना) | We have informed others about the incident.(Humne dusro ko iss ghatna ke baare mein suchit kar diya hai) |
45. | Presented | Prastut kiya (प्रस्तुत किया) | Aman presented the presentation in front of others.(Aman ne dusro ke samne prastuti di) |
46. | Handled | Sambhaala (संभाला) | Meera handled the matter on time.(Meera ne sab samay par sambhal liya.) |
47. | Managed | Kaamyaab (कामयाब) | We managed to reach the station on time.(Hum station samay par pahunchne mein kamayaab hua.) |
48. | Organized | Vyavastha karna (व्यवस्था करना) | Everything was well organized in the party.(Party mein sab kuch Vyavasthit tha) |
49. | Executed | Nishpaadit/ anjaam (निष्पादित/ अंजाम ) | Akash executed the plan accordingly.(Akash ne uss anusar yojana ko anjaam diya) |
50. | Created | Banaya tha (बनाया था) | We have created the website.(Humne website bana di hai.) |
51. | Watch | Dekhna (देखना) | I am gonna watch movies now.(Main ab movies dekhongi) |
52. | Borrow | Udhar lena (उधार लेना) | He had borrowed some money from me.(Usne mujse kuch paise udhar liye hai.) |
53. | Carry | Le jaana (ले जाना) | Carry your water bottle along with you.(Aapne saath paani ki bottle le jana) |
54. | Catch | Pakadna (पकड़ना) | Will you be able to catch the train on time?(Kya tum train pakad paoge) |
55. | Cook | Paakana (पकाना) | My mother is cooking in the kitchen.(Meri maa rasoi mein khana paaka rahi hai) |
56. | Creep | Rengana (रेंगना) | The snake was creeping in the backyard.(Saanp ghar ke pichvade mein reng raha tha) |
57. | Draw | Kheenchna (खींचना) | Draw something related to the festival.(Tyohar se sambandhit kuch banae.) |
58. | Fight | Ladana (लड़ना) | The siblings were fighting for the remote.(Bahi-behn remote ke liye lad rahe the.) |
59. | Fly | Udana (उड़ना) | The kite was flying in the sky.(Aasaman mein patang udd rahi thi) |
60. | Kick | Laat marna (लात मारना) | At last, Mihir kicked the ball.(Akhir mein, Mihir ne ball ko laat mardi) |
61. | Swing | Jhulna (झूलना) | The angry child wanted to swing the slides.(Wo guess mein baitha bacha, jhula jhulna chahta tha) |
English to Hindi Verbs list – Helping verbs
Helping verbs wo words hote hai jo sentence ke main verb ki help karte hai. Inhe English mein ‘Auxiliary verbs’ bhi kaha jata hai. Mainly 3 types ke helping verbs hote hai, jinke aage aur multiple forms hote hai. Helping verbs jane se pehle aiye 3 main helping verbs aur unke multiple forms jaan le. Ab hum aise hi kuch helping verbs ki English to Hindi verbs list dekhenge.
Sr. No. | Helping verb | Multiple forms |
---|---|---|
1. | To be | Am, are, is, was, were, be, been |
2. | To have | Have, has, had |
3. | To do | Do, does, did |
Sr.No. | Verb | Hindi word | Example |
---|---|---|---|
1. | Am | Hoon (हूँ) | I am coming tonight.(Main aaj raat aa rahi hon) |
2. | Are | Kar rahe hai (कर रहे हैं) | They are doing well in exams.(Wo pariksha mein aacha kar rahe hai.) |
3. | Is | Hai (है) | He is working on his new project.(Wo apne naye project par kaam kar raha hai.) |
4. | Was | Tha (था) | He was going to come.(Wo aane wala tha) |
5. | Were | The (थे) | They were going together.(Wo dono saath ja rahe the.) |
6. | Be | Hona (होना) | We should be more kind to poor people.(Hume garib logo ke saath zyada daayalu hona chahiye. |
7. | Been | Gaya (गया) | It should have been done beforehand.(Isse pehle karna chahiye tha) |
8. | Have | Paas hona (पास होना) | Let’s have a cup of coffee.(Chalo coffee peete hai) |
9. | Has | Hai (है) | It has been raining since morning.(Subah se baarish ho rahi hai) |
10. | Had | Tha (था) | I had to reach the office on time.(Mujhe office time par pahunchna tha) |
11. | Do | Karna (करना) | She needs to do this before 4 p.m.(Usse ye 4 baje se pehle karna hai) |
12. | Does | Kar deta hai (कर देता है) | Does he live near your place? (Kya wo tumhare ghar ke pass rehta hai?) |
13. | Did | Kiya (किया) | He did all the work before time. (Usne saara kaam waqt se pehle kar diya tha) |
14. | Can | Kar sakte hai (कर सकते हैं) | I can make these paintings for you.(Main tumhare liye ye |
15. | Could | Sakta hai (सकता है) | You could have done that before.(Tum ye pehle bhi kar sakte the) |
16. | May | Permission (अनुमति) | She may come tomorrow morning.(Ho sakta hai wo kal subah aae) |
17. | Might | Ho sakata hai (हो सकता है) | We might have done something to help you.(Hum tumhari madad ke liye kuch kar sakte the) |
18. | Will be | Hoga (होगा) | I will be there for you.(Main tumhare saath rahunga) |
19. | Would | Chahenge (चाहेंगे) | Would you like to have a piece of cake?(Kya tum cake ka ek tukda lena chaoge?) |
20. | Shall | Karega (करेगा) | I shall leave now.(Mujhe ab chalana chahiye) |
21. | Should | Chahiye (चाहिए) | You should complete your homework. (Tumhe apna homeowrk pura karna chahiye) |
22. | Must | Zaroor (जरूर) | She must have found the file.(Usse zaroor wo file mil gayi hogi) |
23. | Ought to | Karna chahiye (करना चाहिए) | She must have found the file.(Usse zaroor wo file mil gayi hogi) |
English to Hindi Verbs list – Infinitives Verbs
Infinitives verbs ek basic form of verb hai, jiske saath humesha ‘to’ shabd ka prayog kiya jata hai. Jaise ‘ To dance’, ‘ To Think’, ‘To learn’ etc. Niche table mein kuch aise basic form of verbs hai jinke ke saath ‘To’ shabd ka prayog hota hai. Jisse wo ban jate hai Infinitives Verbs.| English to Hindi verbs list.
Sr.No. | Verb | Hindi word | Example |
---|---|---|---|
1. | Agree | Sahamat hona (सहमत होना) | We need to agree on this point.(Hume iss point par sahamat hona hoga) |
2. | Manage | Chalana (चलाना) | I will manage to complete this before the delivery date.(Main delivery ki tarik se pehle iss pura karne ka prabandh karonga) |
3. | Appear | Dikhai (दिखाई) | She has to appear for her exams by anyhow.(Usse Kisi bhi kimat par prishka deni padegi) |
4. | Need | Jarurat (जरुरत) | I need to change my clothes quickly.(Mujhe jaldi se kapde badalne ki jarurat hai) |
5. | Arrange | Vyavstha (व्यवस्था) | You need to arrange the items for the event.(Tum event ke inn cheezo ki vyavstha karni hai) |
6. | Prefer | Chunana (चुनना) | I will prefer to choose tea over coffee.(Main coffee ke badle chai ko chunongi.) |
7. | Forgot | Bhul gaya (भूल गया) | I just forgot to tell you about these flowers.(Main tumhe inn phoolo ke bare mein batana bhul gaya) |
8. | Try | Koshish karna (कोशिश करना) | Try to reach on time.(Ghar samay par pahunchne ki koshish karna) |
9. | Happen | Hona (होना) | Whatever is written in your destiny, will happen.(Jo tumhari kismat mein likha hai, wo hona hi hai) |
10. | Wait | Prateeksha karna (प्रतीक्षा करना) | I have to wait for the train to arrive.(Mujhe train ke aane ki prateeksha karni padegi.) |
11. | Hesitate | Hichakichana (हिचकिचाना) | She hesitated to come along with us.(Wo humare saath aane mein hichakicha rahi thi) |
12. | Wish | Tamanna (तमन्ना) | I wish to have a car on my own.(Mujhe apni gadi khareedne ki tamanna hai) |
13. | Hope | Aasha karna (आशा करना) | I hope to see you soon.(Aasha hai tumse jald hi milenge) |
14. | Would like | Chahenge (चाहेंगे) | Would you like to have something?(Kya tum kuch lena chahoge?) |
15. | Intend | Irada karna (इरादा करना) | What does she intend to do?(Uska kya karne ka irada hai?) |
16. | Promise | Wada (वादा) | She promised to fulfill the wish of her mother.(Usne apni maa ki iccha puri karne ka wada kiya hai) |
17. | Remember | Yaad rakhna (याद रखना) | I should have remembered to congratulate him.(Mujhe usse badhai dena yaad rakhna chahiye tha) |
18. | Demand | Maang (मांग) | I demand to know what’s going on here.(Main ye jane ki maang kar raha hoon, ki yaha kya ho raha hai) |
19. | Deserve | Laayak (लायक) | You deserve to go abroad for this project.(Tum iss project ke liye videsh jane ke layak ho) |
20. | Expect | Ummed (उम्मीद) | I expect the flight to arrive on time.(Mujhe umeed hai ki flight samay par aaegi.) |
21. | Tend | Dete hai (देते हैं) | She tends to give this to you.(Wo tumhe ye dena chahti hai) |
22. | Swear | Qasam khilana (क़सम खिलाना) | I swear to god, I haven’t done anything.(Mujhe bhagwan ki qasam hai, maine kuch nahi kiya) |
23. | Start | Shuru (शुरू) | Start to study for the boards.(Tumhe pariksha ke liye padana shuru karna chahiye) |
24. | Plan | Yojaana (योजना) | I have planned to shift to another city.(Maine dusre sheher jaane ki yojaana banai hai) |
25. | Offer | Prastav / Phaisala (प्रस्ताव) | They have decided to offer the job to you.(Unhone tumhe naukri dene ka phaisala kiya hai) |
26. | Forget | Bhulana (भूलना) | I didn’t forget to bring anything(Main kuch bhi lana nahi bhula) |
English to Hindi Verbs list – Linking verbs
Linking verbs wo words hote hai jo subject ko baki sentence se link karne mein help karte hai. Inhe kai baar helping se saath confuse kar liya jata hai kyuki kuch aise shabd bhi hote hai jo linking aur helping dono tarah ke verbs hote hai. Filhal niche diye gaye table mein kuch linking verbs English to Hindi verbs list mein diye gaye hai.
Sr.No. | Verb | Hindi word | Example |
---|---|---|---|
1. | Become | Banana (बनना) | He wanted to become an actor.(Wo abhineta banna chahta tha) |
2. | Appear | Dikhai (दिखाई) | He suddenly appeared in front of us.(Wo ek dum se hamare samne aa gaya) |
3. | Grow | Badhana (बढ़ना) | The plants grew quickly.(Paudhe bahut tezi se badh gaye.) |
4. | Remain | Rahana (रहना) | Production levels have remained constant in the last few years.(Pichle kuch varsho se utpadan sthir raha hai.) |
5. | Smell | Mahakana (महकना) | The food smelled very good.(Khane se bahut achi mahak aa rahi hai) |
6. | Feel | Mehsoos (महसूस) | I felt that something is wrong.(Mujhe mehsoos hua ki kuch galat hai.) |
7. | Look | Dekhna (देखना) | Please look where I have kept the keys.(Kripya dekha maine chabi kaha rakh di hai) |
8. | Lie | Jhooth bolna (झूठ बोलना) | She has lied to him about her well being .(Usne apne baare mein usse jhooth bola.) |
9. | Stay | Rahana (रहना) | After seeing Reema’s situation, you should have stayed over there.(Reema ki halat dekhne ke baad, tumhe wahi rahana chahiye tha) |
10. | Taste | Chakhana / swaad (चखना) | The cheesecake tastes heavenly.(Ye cheesecake bahut swadesh hai) |
11. | Sound | Dhvani/ Sunai (ध्वनि) | Your plans for the party sounds nice.(Party ke liye tumhari yojana sune mein achi lag rahi hai) |
12. | Stand | Khada (खड़ा) | The family stood together in these difficult times.(Mushkil halat mein pura parivaar ek saath khada tha) |
13. | Proves | Sabit karna (साबित करना) | He proved that he was right about her.(Usne ye sabit kar diya ki wo usse ladki ke baare mein sahi tha) |
14. | Acts | Kaary (कार्य) | He acts smartly.(Wo chalakee se kaary karta hai) |
15. | Seems | Lagta hai (लगता है) | It seems that it will rain today.(Aisa lag raha hai ki aaj baarish hogi) |
16. | turn | Badal jata hai (बदल जाता है) | The weather turned cold.(Mausam thanda ho gaya hai) |
English to Hindi Verbs list – Regular verbs
Ye wo verbs hote hai jinke tense badalne par inn words ke aage ‘ed’ lag jata hai. Jaise present tense mein agar hum word use kar rahe hai ‘Accept’ toh sentence ko past tense mein change karte waqt ye ho jaega ‘ accepted’. Iss tarah kuch aur verbs hote hai jinka tense badalne par wo ek similar way mein change hote hai. Issi regularity ki wajah se hum inn words ko Regular verbs bolte hai. Aiye dekhe hai English to Hindi verbs list kuch regular verbs ke liye.
Sr.No. | Verb | Hindi word | Example |
---|---|---|---|
1. | Remove | Hataana (हटाना) | She removed her profile picture from facebook.(Usne facebook se apni photo hata di) |
2. | Add | Jodna (जोड़ना) | We added some more items in the list.(Humne kuch aur cheez list mein joddi hai) |
3. | Admire | Prashnasa karna (प्रशंसा करना) | The restaurant is widely admired for their excellent quality food.(Iss restaurant ko ache khane ke karn prashnasa milti hai) |
4. | Admit | Sveekar karna (स्वीकार करना) | He admitted that it was his fault.(Usne apni galti sveekar karli) |
5. | Advise | Salaah dena (सलाह देना) | We are advised to stay away from strangers.(Hum ajaan logo se dhur rehne ki salah di gayi) |
6. | Afford | Kar sakna (कर सकना) | He can afford to buy this house.(Wo iss ghar ko khareedne ka kharcha kar sakta hai) |
7. | Allow | Anumati (अनुमति) | My parents allowed me for the trip.(Mere mata-pita ne muje yatra karne ki anumati dedi) |
8. | Announce | Ghoshna (घोषणा) | It was announced that tomorrow will be a holiday.(Ye ghoshit kiya gaya hai ki kal chutti hogi.) |
9. | Answer | Uttar (उत्तर) | He answered all the questions correctly.(Usne saare sawalo ke uttar sahi diye) |
10. | Apologize | Shama mangana (क्षमा माँगना) | Jai apologized to everyone for his mistakes.(Jai ne apni galti ke liye sabse shama mangi.) |
11. | Applause | Vaahavahee (वाहवाही) | The audience applauded for her performance.(Darshakon ne unke pradarshan ki vaahavahee ki) |
12. | Approve | Manjoor (मंजूर) | Boss approved this presentation for tomorrow’s meeting.(Boss ne kal ki meeting ke liye iss prastuti ki manjoori de di) |
13. | Attract | Aakarshit (आकर्षित) | He was attracted to her.(Wo uss ladki ki taraf aakarshit tha.) |
14. | Bac | Wapas (वापस) | She backed out of the room carrying a tray.(Wo kamre mein se tray le kar wapas aa gayi) |
15. | Behave | Vyavahaar karna (व्यवहार करना) | The children behaved properly in front of the Principal.(Bacho ne Principal ke samne acha vyavahaar kiya) |
16. | Bless | Ashirvaad dena (आशीर्वाद देना) | Parents blessed the couple after the wedding.(Mata- pita ne shaadi ke baad jode ko ashirvaad diya) |
17. | Boil | Ubaalana (उबालना) | Eggs were not boiled properly.(Ande sahi se ubaale nahi the) |
18. | Borrow | Udhar lena (उधार लेना) | She borrowed clothes from her friend.(Usne apni dost se kapde udhar liye) |
19. | Chop | Kaatana (काटना) | I have chopped the vegetables.(Maine sabziya kaat di hai) |
20. | Clap | Taali (ताली) | Everyone clapped as the winners entered the room.(Sabne vijetaon ka taaliyo ke saath swagat kiya) |
21. | Collect | Ikhatha karna (इकट्ठा करना) | We collected these flowers from the park next to our home.(Humne ye phool ghar ke saath wale bagiche se ikhatha kiye hai) |
22. | Confuse | Bhramit / uljhan (भ्रमित) | He was confused about the road to choose.(Wo konsi sadak chunen, iss baat ki uljhan mein tha) |
23. | Cycle | Saikil (साइकिल) | We cycled back home.(Hum ghar saikil karke aaye) |
24. | Crawl | Ghisitana/ rengana (घिसटना) | The baby crawled for the first time. (Bacha pehli baar rengana shuru hua) |
25. | Damage | Kshati (क्षति) | The car was damaged in the accident.(Hadse mein gaddi kshati ho gayi) |
26. | Delivered | Pahuncha diya (पहुंचा दिया) | The parcel was delivered before time.(Parcel samay se pehle pahunch gaya) |
27. | Dress | Pehenna (पहिनाना) | We dressed formally for the event.(Humne aayojan ke liye aupacharik roop ke kapde pehne) |
28. | Detect | Pata lagana (पता लगाना) | Some diseases can be cured, if detected early.(Kuch bimariyo ko theek kiya ja sakta hai, agar jaldi pata lag jaye.) |
29. | Educate | Shikshit (शिक्षित) | He was educated atSt. Xavier’s.(Wo St. Xaviers se shikshit tha) |
30. | Encourage | Prootsahit karna (प्रोत्साहित करना) | I encouraged him to go for this diploma course.(Maine usse prootsahit kiya iss cousre ko karne ke liye) |
31. | Entertain | Manoranjan (मनोरंजन) | We should do something to keep everyone entertained.(Hume sabke manoranjan ke liye kuch karna chahiye) |
32. | Follow | Paalana karna (पालन करना) | He followed the path shown by his guide.(Usne apne guide dwara batae gaye marg ka paalan kiya) |
33. | Grab | Pakad lena (पकड़ लेना) | He grabbed her from the back.(Usne usse piche se pakad liya) |
34. | Guess | Anumaan (अनुमान) | She guessed about his arrival.(Usne uske aane ka anumaan lagaya) |
35. | Harass | Pareshan karna (परेशान करना) | She was harassed by the police officers.(Police walo ne usse bahut pareshan kiya) |
36. | Inform | Soochit karna (सूचित करना) | I have informed the authorities about this matter.(Maine pradhikari ko iss baare mein soochit kar diya hai) |
37. | Judge | Nyaay karna / Aanka jana (न्याय करना/ आंका जाना ) | Each painting should be judged on its own merits.(Har chitr ko uske gunon ke anusaar aanka jana chahiye) |
38. | Knock | Dastak dena / Khatakhaya (दस्तक देना/ खटखटाया) | I knocked on the door twice.(Maine darwaze ko do baar khatakhaya) |
39. | Laugh | Hasna (हसना) | We laughed till our stomach started paining.(Hum tab tak haste rahe, jab tak humara pet dukhne nahi laga) |
40. | Lie | Jhooth (झूठ) | She lied about her result to everyone.(Usne apne parinaam ke baare mein sabse jhooth bola) |
41. | Melt | Pighalana (पिघलाना) | The butter melted in the frying pan.(Makhan frying pan mein pighal gaya) |
42. | Move | Hilana (हिलना) | We moved to another city last month. (Hum pichle mahine hi dusre sheher chale gaye) |
43. | Notice | Suchna / Dekhna (सूचना / देखा ) | I have noticed her weird behaviour.(Maine uske ajeeb vyavhar ko dekha) |
44. | Planted | Lagaye (लगाए) | All the trees were planted by me. (Sare ped maine lagaye the) |
45. | Pretend | Naatak (नाटक) | We pretend to know everything.(Humne sab jane ka natak kiya) |
46. | Question | Sawaal (सवाल) | The student questioned the teacher about this character.(Chatr ne iss charitra ke baare mein adhyapak se sawaal kiya. |
47. | Risk | Jokhim (जोखिम) | He risked all his savings on starting this business.(Usne iss vyapar ko shuru karne ke liye, apni saari sampati jokhin mein daal di)) |
48. | Rain | Baraaana (बरसाना) | It has rained the whole night.(Puri raat baarish hoi hai) |
49. | Vanish | Gaayab (गायब) | When we reached there, the deers had already vanished. (Humare waha pahunchne se pehle hiren waha se gayab ho gaye the) |
50. | washed | Dhoya (धोया) | I have washed all the clothes.(Maine saare kapde dho diye hai) |
Verbs for emotions: Apne Emotions Express Kare
Iss category mein jo shabd aate hai jo sirf humare bhavanean batane ke liye use kiye jata hai. Niche table mein English to Hindi verbs list di gayi hai jo emotions batane ke liye use ki jata sakti hai.
Sr.No. | Verb | Hindi word | Example |
---|---|---|---|
1. | Love | Prem (प्रेम) | Everyone loves small children.(Sab chote bacho se prem karte hai) |
2. | Hate | Nafrat (नफरत) | I hate peas.(Mujhe matar se nafrat hai) |
3. | Like | Pasand (पसंद) | He likes her.(Wo usse pasand karta hai) |
4. | Dislike | Napasand (नापसन्द) | The movie waHe likes her.(Wo usse pasand karta hai)s disliked by most of them.(Un mein se zyada tar logo ko film napasand thi) |
5. | Adore | Pyaar karte hai (प्यार करते हैं) | I adore nature alot.(Main prakriti se pyaar karta hoon) |
6. | Admire | Prashnasa karna (प्रशंसा करना) | I admire the effort you put in each project.(Main sabhi yojan mein aapke dwara daale gaye praayas ki prashnasa karta hoon) |
7. | Appreciate | Saraahana (सराहना) | They appreciated my efforts for this event.(Unhone iss aayojan ke liye mere praayason ki saraahana ki) |
8. | Desire | Ichchha (इच्छा) | I have a strong desire to travel around the world.(Meri duniya ghumne ke bahut ichchha hai) |
9. | Upset | Pareshan (परेशान) | A lot of people were upset by his decision.(Bahut saare log iss faisle se pareshan the) |
10. | Embarrassed | Sharminda (शर्मिंदा) | His bad table manners embarrassed her.(Unke kharab table manners ne usse sharminda kar diya) |
11. | Hesitant | Hichakichana (हिचकिचाना) | At first, she was hesitant to go with them.(Shuruwat mein, wo unke saath jane mein hichakicha rahi thi) |
12. | Shy | Sankoch/ Sharmana (संकोच / शर्म) | She was feeling shy, meeting him for the first time.(Wo pehli baar usse milne par sharma rahi thi) |
13. | Depressed | Udaas (उदास) | Everyone is depressed due to this pandemic.(Sab iss mahamari ke karn udaas hai) |
14. | Desperate | Bekaraar (बेकरार) | He made a desperate bid to save his job.(Usne apni naukari bachane ke liye bekarar boli lagayi) |
15. | Frustrated | Niraash (निराश) | We’ve been frustrated by situations around us.(Hum apne aas paas ke mahol se nirassh hai) |
16. | Charmed | Maan prashan kar dena (मन प्रसन्न कर दिया) | He was charmed by her beauty.(Uss ladki ki sundarta ne uska maan prashan kar diya tha) |
17. | Pleased | Prasan (प्रसन्न) | I am pleased to help you.(Main aapki madad karne mein prasan hoon) |
18. | Annoyed | Naraz ho (नाराज हो) | I am annoyed by him.(Main usse naraz hoon) |
19. | Irritated | Kheeja hua / Chid jana (खीजा हुआ) | The other passengers were irritated by the conductor’s behaviour.(Conductor ke vyavahar se anny yatri chidd gaye the ) |
20. | Fed up | Tang aa (तंग आ) | He was fed up with his job.(Wo apni naukri se tang aa gaya tha) |
21. | Cheer up | Dilasa dena/ Khush karna (दिलासा देना) | Bright curtains can cheer up a dull room.(Ujwal parde ek kamre ko khush kar dete hai) |
22. | Ambitious | Mansha (मंशा) | I ambition to rule!(Meri shaasan karne ki mansha hai) |
23. | Calm down | Tasli karna/ shant hona (तसल्ली करना) | We waited inside until things calmed down.(Jab tak cheze shaant nahi ho gai, tab tak hum andar intezar karte rahe) |
24. | Motivated | Prerit (प्रेरित) | She’s very good at motivating her students.(Wah apne chhatro ko prerit karne mein bahut achi hai) |
Other verbs
Jaisa ki maine aapko pehle bataya, duniya mein kam se kam 60,000 verbs toh zaroor honge. Aur unn sabko ek saath yaad karna thoda mushkil hai. But jaise jaise aap inhe daily conversation mein use karna shuru karenge aap bahut kuch sikh jaenge. Aaiye kuch aur basic verbs ke baare mein jante hai | English to Hindi verbs List.
Sr.No. | Verb | Hindi word | Example |
---|---|---|---|
1. | Get | Praapt/ lao (प्राप्त) | Get me some milk please.(Mujhe dudh la do) |
2. | Say | Kehte hai / kaha (कहते हैं) | I said something to you.(Maine tumhe kuch kaha hai.) |
3. | Tell | Kehna/ Batao (कहना) | Please tell me the truth.(Kripya mujhe sach batao.) |
4. | Know | Jaanan (जानना) | He knows alot about these facts.(wo inn tathyon ke baare mein sab janta hai) |
5. | Want | Chahte hai (चाहते हैं) | I want a cup of tea.(Mujhe ek cup chai chahiye) |
6. | Go | Jao (जाओ) | We are going to the church.(Hum church ja rahe hai.) |
7. | Come | Aana (आना) | He came late for the class.(Wo class ke liye dher se pahuncha) |
8. | Walk | Chalna (चलना) | Let’s walk together till home. (Chalo ghar tak saath chalte hai) |
9. | Learn | Sikhna (सीखना) | I have learnt English. (Maine angrezee bhasha sikhi hai) |
10. | Admire | Prashnasa karna (प्रशंसा करना) | I admire you alot.(Main tumhari prashnasa karta hoon) |
11. | Allow | Anumati (अनुमति) | I was not allowed to enter the room.(Mujhe kamre mein aane ki anumati nahi thi) |
12. | Apply | Laago (लागू) | I have just applied my makeup.(Maine abhi hi makeup lagaya hai) |
13. | Arise | Uthana (उठना) | A new crisis has arisen.(Ek naya sankat khada ho gaya hai.) |
14. | Attack | Aakraman (आक्रमण) | The thief attacked him with a knife.(Chor ne uss par chaku se aakraman kiya) |
15. | Awake | Avgat / Uthana (अवगत) | I awoke early today.(Main subah jaldi uth gaya. ) |
16. | Bear | Sahna (सहना) | I could not bear the pain.(Main dard seh nahi pa raha) |
17. | Beat | Haraana (हराना) | I often beat my friends at chess.(Main apne dosto ko chess mein hara deta hoon) |
18. | Begin | Shuroo (शुरू) | I will begin to work.(Main kaam karna shuru karne laga hoon) |
19. | Borrow | Udhar lena (उधार लेना) | I have borrowed some money for a project.(Maine apne kaam ke liye kuch paise udhar liye hai) |
20. | Broadcast | Praasarit karna (प्रसारित करना) | They will broadcast the serial today.(Woh serial aaj praasarit karenge |
21. | Break | Todna (तोड़ना) | Do not break the glass.(Sheesha mat todna) |
22. | Build | Banaana (बनाना) | They will build a shed for dogs.(Woh janwaro ke liye ek jagah banaenge) |
23. | Burn | Jalana (जलना) | The forest was completely burnt.(Jangal puri tarah se jaal gaya tha.) |
24. | Care | Care Chinta karna (चिंता करना) | Chinta karna (चिंता करना) Parents care for their children a lot.(Mata-pita apne bacho ki bahut chinta karte hai. |
25. | Cheat | Dhokha dena (धोखा देना) | People feel cheated by the politicians.(Log raajneetaon se thaga hua mehsoos karte hai) |
26. | Clean | Saaf karna (साफ़ करना) | I have told him to clean his room.(Maine usse kamra saaf karne ke liye bol diya hai.) |
27. | Close | Baand karna (बंद करना) | We better close all doors and windows.(Hume saare khidki, darwaze band kar lene chahiye) |
28. | Complete | Pura karna (पूरा करना) | The work was completed in august only.(Ye kaam August mein hi pura ho gaya tha.) |
29. | Copy | Naqal karna (नक़ल करना) | The children copied the play.(Bachon ne natak naqal karke kiya.) |
30. | Cost | Keemat (कीमत) | It cost less than I expected.(Iski keemat meri umeed se kam thi.) |
31. | Count | Ginana (गिनना) | I need to count the number of plates.(Mujhe plato ki ginti karni padegi.) |
32. | Cut | Katana (काटना) | I have to cut the vegetables.(Mujhe sabzi katni padegi.) |
33. | Deal | Vyapar karna (व्यापार करना) | They have been dealing in this business for so long.(Wo iss vyaapar mein kaafi lambe samay se hai.) |
34. | Decorate | Sajaana (सजाना) | I have decorated the house for diwali.(Maine deepavali ke liye ghar ko saja diya hai.) |
35. | Die | Marna (मरना) | Don’t let the plants die.(Paudho ko marne mat dena.) |
36. | Divide | Bantana (बांटना) | I have divided the chocolates among everyone.(Maine chocolates sab mein baant di hai) |
37. | Dig | Khodana (खोदना) | Some animal has been digging in the garden.(Kuch janwar bagicha khod rahe hai) |
38. | Earn | Kamaana (कमाना) | He has earned respect in the society.(Usne samaj mein samman kamaya hai.) |
39. | Enjoy | Aanand lena (आनंद लेना) | The children had enjoyed the picnic.(Bacho ne picnic ka anand liya tha.) |
40. | Excite | Uttejit karna (उत्तेजित करना) | I am very excited to see my friends after so long.(Main apne dosto ko lambe samay ke baa |
41. | Excuse | Kshama karna / bahana (क्षमा करना/ बहाना) | He gave a stupid excuse for not doing his homework.(Usne apna homework na karne ke liye a bewakoof bahana diya.) |
42. | Fail | Asafal hona (असफल होना) | She failed in her first attempt.(Woh apne pehle prayas mein asafal ho gayi.) |
43. | Fear | Darana (डरना) | I fear what will happen next.(Mujhe darr hai ki aage kya hoga) |
44. | Finish | Samapt hona (समाप्त होना) | I had just finished my food.(Maine abhi hi apna khana samapt kiya hai.) |
45. | Find | Dhoondhana (ढूंढना) | I am finding my car keys.(Main apni gaddi ki chabi dhundh rahi hoon) |
46. | Flow | Bahana (बहना) | Rivers are flowing into the sea.(Nadiyo ka paani samundar mein beh raha hai.) |
47. | Forgive | Kshama karna (क्षमा करना) | We should forgive the one who feels sorry for their deeds.(Humne unhe kshama kar dena chahiye, jo apni galtiya maan lete hai.) |
48. | Freeze | Jam jana (जम जाना) | The cold weather froze everything. (Thande mausam ke karan sab kuch jam gaya.) |
49. | Fry | Talana (तलना) | I have fried all the leftover nuggets.(Maine saare bache hoa nuggets tal diye hai.) |
50. | Greet | Abhivadan karna (अभिवादन करना) | He greeted all the guests warmly as they arrived.(Usne sabhi atithiyo ka abhivadan kara)) |
Abhi ke liye aap itne English to hindi verbs ki list padhiye. Aasha hai ye list aapki kisi na kisi tarah madad zaroor karegi. Aapko aur better tarah se English improve karne mein toh pakka help karegi.
Join Josh Skills Spoken English Course
Judiye 20,000+ logo ko jo Josh ke saath English bolna aur padhna seekh rahe hai. Iss Spoken English Course ko aise design kiya gaya hai, ki koi bhi basic learner iss course se apne theoretical and practical grammar ko improve kar sakta hai. Everyday situations mei english ko kaise most effectively use kiya jaa sakta hai – iss par bhi extra dhyaan diya jaata hai. Ye course Josh Skills mobile App par available hai.
Toh aaj hi shuru kare apni learning journey Josh Skill ke courses ke sath.
Table of Content
Verbs kya hai aur kahan use kiye jate hai? | Meaning and use of Verbs
Josh Skills App par Sikhe Fluent English Bolna
Zaruri verbs ki Suchi | Important English to Hindi Verb list
Join Josh Skills Spoken English Course
Recommended for you