Aisa kai baar hua hoga jab aapse kisi ne aapka daily routine pucha hoga, aur aapko samajh nahi aaya hoga ki kaise isse English mein describe karo. Hum aapko bas ussi samasya ka solution aaj iss article ke through denge. Aaiye jante hai Daily Routine in Hindi to English.
Jab bhi hum baat daily routine ki karte hai, tab hum hamesha ye notice karna bhul jate hai ki humara mood aur engery level sab humare routine par depend karta hai. Hum sabka routine alag alag hota hai. Koi subha uth kar walk par jata hai, toh koi ghar ke kaam mein busy ho jata hai. Ye bahut zaruri hai ki kis vocabulary words ka use karke aap apne daily routine ko describe karte hai. Ho sakta hai ki aap bahut kaam aur mehnat karte hai. But aapke paas words hi nahi hai unhe describe karne ke liye.
Aapko wo words aur phrases batane se pehle, hum aapko ye bata dete hai ki mostly har insaan apna daily routine Simple Present tense mein describe karta hai. Iss article end mein hum aapse ek sample daily routine share karenge. Jo aapki niche bataye phrases ko samajhne mein aur help karega.
30 sentences jo aapko English mein Daily Routine describe karne mein help karenge : Some phrases for Daily routine in Hindi to English
Jaisa ki humne aapko pehle bataya, ki har insaan ka daily routine alag hota hai. Ho sakta hai aap subah 5 baje utho, toh koi 8 baje. Isliye niche bataye gaye words ya phrases ko apne routine ke according use kijiye.
1. I wake up at _____ o’ clock
Main subah 6 baje uthta hun. Aap 6 baje ki jagah wo time bol sakte hai jab aap subah uthete ho. Jab bhi aapko koi bole ki apna routine batao, tab hamesha aapko subah uthne ke time se start karna chahiye.
2. I make my bed after getting up
Main subah uth kar apna bed theek karta ya karti ho. Zaruri nahi aap ye karte ho. Iski jagah aap uthne ke baad jo karte hai wo bataenge.
3. After that I brush my teeth and wash my face
Iske baad main apne teeth brush karke face wash karta ya karti hun. Ho sakta hai aap uth kar pehle brush karte ho fir bed theek karte ho. Toh aap inn dono sentences ko upar niche apne routine ke according bhi kar sakte hai.
4. I make a cup of tea and decide my clothes for the day
Brush karne ke baad main chai peeti hun aur saath mein jo kapade mujhe pehne ho wo decide kar leti hun. Yaha chai ki jagah aap ye bhi bol sakte hai , ‘I have a cup of milk’ iska matlab hai main ek cup doodh peeti hun. Ho sakta hai aap coffee lete ho. Toh aap doodh ya chai ki jagah coffee bol sakte hai.
5. I take a bath/ take a shower
Uske baad mein nahane chala jata/jati hun. Upar iss sentence ko kaise 2 dhang se bol sakte hai ye bataya gaya hai. Ya toh aap bol sakte hai ‘I take a bath’ ya fir ‘ I take a shower’. Dono ka matlab ek hi hai.
6. After Taking bath/shower, I get dressed for the day
Nahane ya snaan karne ke baad, main din ke liye taiyaar ho hota/hoti hun. Ho sakta hai aap nahane se pehle apne kapade stree yani press karte ho. Toh aap bol sakte hai ‘Before taking shower I iron my clothes’.
7. Once I am ready, I have my breakfast around _____ a.m.
Ek baar taiyaar hone ke baad, main 9 baje ke aas paas apna naashta karti hun. Yaha fir ho sakta hai aap 9 baje se pehle naashta karte ho. Toh aap wo time bolenge jis time aap breakfast karte ho. Bas yaad ye rakhna hai ki time ke saath a.m. zarur lagae. A.M subah 12 baje se pehle time ke saath lagta hai. Aur 12 baje ke baad P.M. ka use hota hai.
8. I leave home for work at____ a.m.
Main ghar se kaam ke liye 9:30 baje nikal jati hun. Blank space ki jagah aap wo time bolenge jis waqt aap ghar se nikalte hai.
9. I catch a bus to work / I take a bus to work
Main bus se kaam par jati hun. Ab yeh sentence 2 tarah se bola ja sakta hai. But dono ka matlab ek hi hai. Agar aap bus ki jagah koi aur public transport ka use karte hai office jane ke liye. Toh aap uss means of transport ka naam likh sakte hai, ya fir simply public transport mention kar sakte hai. Jaise ‘I use public transport to reach my office’ ya fir‘ I take the metro to reach at work’.
10. It takes 20 minutes by bus to reach my destination
Mujhe ghar se apni destination yani office pahunchne mein 20 minat lagte hai.
11. I reach the office by my own vehicle
Agar aap apni car ya bike se office jate hai, tab aap upar bataye gaye sentence ka use karenge. Yaha vehicle ki jagah aap car ya bike bhi likh sakte hai. ‘I reach the office by my own car/bike’.
12. Once I reach the office, I start checking my emails
Ek baar office pahunchne ke baad main apni emails check karti hun. Agar aap office pahunchne ke baad newspaper padte hai toh aap bolenge, ‘I read the newspaper, after reaching the office’.
13. Office hours are mostly spent in front of my computer
Office mein zyaada tar samay computer ke samne kaam karne mein hi beeth jata hai.
14. In between work, I have a cup of coffee at the cafeteria
Kaam ke beech mein main kai baar coffee peene canteen mein chali jati ho. Ab aap sooch rahe honge ki peene ko toh English mein drink bolte hai toh humne yaha have kyu use kiya. Yaha drink bolne par sahi nahi lagega, isliye drink ki jagah hum have use kr sakte hai.
15. Then usually I make some phone calls
Main coffee peene ke baad, main kaam se related phone call karti hun. Jaise humne drink ke jagah have use kiya tha, theek waise hi hum yaha ‘do’ ki jagah ‘make’ phone calls ka use karnege.
16. Around 1 p.m. I have my lunch
1 baje ke aas paas main apna lunch karti ho. Ab yaha aap iss sentence ke saath ye bhi bata sakte hai ki aap lunch mein usually kya khate ho ya fir kaha se khate ho. Jaise ‘I have lunch at 1 p.m. Usually, I order it from a nearby cafe or take it from the office canteen’. Iss puri line ka matlab hai ki main 1 baje apna lunch khati ho. Kai baar main paas ke cafe se manga leti hun ya fir office ki canteen se.
17. I have my afternoon tea at around 4 p.m, along with some snacks
Fir 4 baje ke karib main din ki chai kuch snacks (nashte) ke sath khati hun.
18. I wrap up my work by 6 p.m. and leave for home
Main 6 baje tak apna saara kaam khatam karke ghar ke liye nikal jati hun. Agar aap office se seedha gym jate hai toh aap bol sakte hai ‘ I wrap up my work and leave for the gym’. Ya iss line ko 2 sentences mein divide kar sakte hai. ‘I wrap up my work by 6 p.m. Before going home, I go to the gym’.
19. Once I am home, I spend some time relaxing
Ghar pahunchne ke baad, thoda samay main realx karti hun.
20. Sometimes, I iron my clothes at this time
Kai baar main iss samay apne kapade stree kar leti hun.
21. After some time, I have my evening tea along with checking my messages and emails
Thoda time relax karne ke baad, main apne messages aur emails check karne ke saath-saath shaam ki chai peeti hun.
22. Around 9 p.m. I have my dinner
9 baje ke aas paas, main raat ka khana kha leti hun. Ab aap notice kijiye humne yaha eat ki jagah have my dinner likha hai. Kyuki I eat my dinner sahi sound nahi karta. Wahi I have my dinner sahi lagta hai.
23. After dinner I brush my teeth and change into my night wear
Dinner karne ke baad my apne teeth fir brush karti hun aur apne kapade badal leti hun.
24. For an hour, I watch TV or read a book
Sab kaam karne ke baad main ek ghanta TV dekhti hun ya koi book padh leti hun.
25. Then finally at around 11 -11:30 p.m., I turn off the lights and go to bed/ get in bed
Fir 11 ya 11:30 baje main lights off karke, sone chale jati hun.
Upar diye gaye kuch phrases ek aise insaan ka routine describe karte hai jo office jata hai. Zaruri nahi aapka routine aisa same ho. Aap inn phrases mein se apne routine se milte phrases ka use kar sakte hai.
College Daily Routine ke liye kuch Hindi to English phrases: Daily routine in Hindi to English
Agar aap college jate hai toh niche bataye kuch daily routine phrases in Hindi to English bataye hai, jinka ka use aap kar sakte hai. (school going student ke daily routine ke liye, aap humari website check kar sakte hai)
26. I leave for college at 7 a.m.
Main ghar se college ke liye 7 baje nikalti hun.
27. Around 3 p.m. I come back home
3 baje tak main ghar wapis aa jati hun.
28. I go to the badminton court/ gym before I go home
Fir ghar jane se pehle mein badminton khelne jati hun. Agar aap gym jate hai toh aap bolenge, ‘I go to the gym before I go home’.
29. Usually after dinner, I complete my college work
Khana khane se pehle main apna homework kar leti hun.
30. Finally at 10:30 p.m., I get in the bed to sleep
10:30 baje tak main soone ke liye bistaar mein ghus jati hun.
Toh ye the kuch aise common daily routine in Hindi to English sentences, jo aap apna daily routine describe karte hua use kar sakte hai. Ab hum aapko apna daily routine bataenge, taki aap aur behtar tarike se samajh paye.
Example: My Daily Routine
I wake up at 7 a.m on weekdays and at 9:30 a.m. on weekends. After waking up, I make my bed and brush my teeth. Then I make a cup of tea. After sometime I take a shower and get ready to leave for college. I have my class from 9:30 a.m to 12:30 p.m. After attending classes, I chill out with my friends for sometime in the college canteen.
Around 1:30 p.m, I return back home and have my lunch. After having my lunch, I take a quick afternoon nap. Once I am up, I have my evening tea, along with preparing for dinner. Once I am free with kitchen work, I complete my college assignments. Around 8:30 p.m, I have my dinner. I like to eat some rice or pasta with sauce for dinner. After dinner, I freshen up and change into night wear. Then I watch TV and surf social media for around an hour. At 11 p.m I get into the bed to sleep tight.
Toh yeh tha ek Daily routine ka example. Mujhe umeed hai iss example aur phrases se aapko samajh aagaya hoga ki kaise aap Hindi to English apna Daily routine describe kar sakte hai. Aapko ismein apni grammar ka dhyan zarur rakhna hai. Aur jab bhi apne daily routine ke baare mein kisi se baat kare toh ek confidence ke saath kariye.
Join Josh Skills Spoken English Course
Judiye 20,000+ logo ko jo Josh ke saath English bolna aur padhna seekh rahe hai. Iss Spoken English Course ko aise design kiya gaya hai, ki koi bhi basic learner iss course se apne theoretical and practical grammar ko improve kar sakta hai. Everyday situations mei english ko kaise most effectively use kiya jaa sakta hai – iss par bhi extra dhyaan diya jaata hai. Ye course Josh Skills mobile App par available hai.
Toh aaj hi shuru kare apni learning journey Josh Skill ke courses ke sath.