Daily use hone wali English Vocabulary with Hindi Meaning
October 26, 2020
11 Minutes
Vocabulary jisko hum shahbd bhandar ya shabdkosh bolte hai, ye batane mein bahut important role play karti hai ki aap kitni fluently English bol pate hai. Iss article mein humne kuch aise English Vocabulary with Hindi meaning ka table diya hai. Jo aapki vocabulary ko improve karne mein help karega. Article end tak zaroor padhna. End mein humne aapke liye kuch aaj ki sthiti yani Coronavirus se jude words bhi bataye hai.
Aapne har jagah suna hoga ki english vocabulary improve karo taki dhang se english bol pao. Aisa log isliye bolte hai kyuki jaise hindi mein ya kisi aur language mein ek cheez ko explain karne ke liye ek se zayada words ka use kiya jata hai, waise hi english mein bhi alag alag words hote hai jo vocabulary ke under aate hai.
Vocabulary improve karne ka best way hai jitna zyaada padh sakte ho utna padho. Yeh aapki overall english language development mein bhi bahut help karega. Aaiye aaj hum apni apni vocabulary mein kuch naye words jode.
Josh Skills App par Sikhe Fluent English Bolna
English Vocabulary with Hindi meaning used in Daily Life | 50 Daily life mein use hone wale English words Hindi meaning ke saath
India ek aisi country hai jaha ek nahi, do nahi balki 22 tarah ki languages ka prayog kiya jata hai. Magar yaha hindi ek standard bhasha mani jati hai yani ek aise bhasha jo almost pure desh mein use ki jati hai. But kuch aise indian states hai jaha hindi se zyaada log ya toh regional language samjhate hai ya fir English. Ye baat hairani ki zaroor hai, magar saach bhi hai. Aise mein aapko hindi aur english dono ki vocabulary aana zaroori hai. Issi mein aapki help karne ke liye humne niche table mein 50 aise words aur unke hindi meaning bataye hai jo hum daily life mein kahi na kahi use kar sakte hai.
Kuch basic English Vocabulary with Hindi meanings aur examples
Niche table kuch basic English vocabulary with Hindi meanings batayi gayi hai.
Sr. No. | Hindi word | English Word | Example | Hindi meaning of Example |
---|---|---|---|---|
1. | Sveekar Karna ( स्वीकार करना) | Acknowledge | Please acknowledge my email. | Kripya mera email sveekar karein. |
2. | Aatma ( आत्मा) | Soul | She has a pure soul. | Uski aatma shudh hai. |
3. | Utsuk / Utavla(उत्सुक) | Eager | Akash was eager to meet his parents after so long. | Akash itni der baad apne mata-pita se milne ke liye utsuk tha. |
4. | Sahayata Karna(सहायता करना) | Assistance | I need your assistance in my college project. | Mujhe apne college project mein tumhari sahayata chahiye. |
5. | Bhakt(भक्त ) | Devotee | Meera is a devotee of Lord Krishna. | Meera bhagwan Krishna ke bhakt hai. |
6. | Bechani(बेचैनी ) | Anxiety | I feel anxiety while travelling in aeroplane. | Mujhe vimaan mein yatra karte samay bechani hoti hai. |
7. | Sharminda hona(शर्मिंदा ) | Embarrassment / Embarrassed | Never feel embarrassed to do something which is right. | Kabhi bhi sahi kaam karte samay sharminda nahi hona chahiye. |
8. | Saans(सांस ) | Breathe | He was heavily breathing after jogging. | Jogging karne ke baad wo lambhi saanse le raha tha. |
9. | Le aao(ले आओ ) | Bring | Can you please bring some cookies for me? | Kya tum mere liye biscuits le aaoge? |
10. | Bachpan(बचपन) | Childhood | Aman has been like this since his childhood. | Aman bachpan se hi aisa hai. |
11. | Thanda(ठंडा ) | Cold | A cold breeze was blowing hard outside. | Bahar bahut thandi hawaein chal rahi hai. |
12. | Garam(गरम ) | Hot | The vessel was too hot to hold. | Bartan bahut garam tha. |
13. | Aaram Dayak(आरामदायक) | Comfortable | I felt comfortable by wearing these clothes. | Yeh kapde pehne mein bahut aaram dayak hai. |
14. | Nirbhar(निर्भर ) | Dependent | After a certain age, we should not be dependent on our parents. | Ek umar ke baad, hume apne mata-pita par nirbhar nahi rehna chahiye. |
15. | Khvaab(ख्वाब) | Dream | It was my dream to become a pilot. | Pilot bana mera khvaab tha. |
16. | Aashcharay(आश्चर्य) | Wonder | I wonder how he cleared all his exams. | Mujhe aashcharay hai ki usne kaise saare exams pass kar liye. |
17. | Ajeeb (अजीब ) | Weird | Isn’t she a bit weird? | Wo ladki thodi ajeeb nahi hai? |
18. | Jigyasu(जिज्ञासु ) | Curious | I am curious to know what they are talking about. | Mujhe ye jaane ki jigyasa hai ki wo kis baare mein baat kar rahe hai. |
19. | Samjhana(समझाना) | Explain | Can you please explain this question again? | Kya tum ye dubara samjha sakte ho? |
20. | Baen(बाएं ) | Left | My house is towards the left. | Mera ghar baen orr hai. |
21. | Sahi / Daye(सही / दये ) | Right | Take a right turn to reach the mall.He was right(sahi) about the weather. | Mall pahuchne ke liye daye murden. Wo mausam ke baare mein sahi tha. |
22. | Lifafa(लिफाफा) | Envelope | He pulled letters from the envelope. | Usne saare patr lifafe mein se nikal liye. |
23. | Pratiyogita(प्रतियोगिता) | Competition | She always takes part in art competitions. | Wo ladki har ek art pratiyogita mein bhaag leti hai. |
24. | Dheeraj / Sabar(धीरज / सबर ) | Patience | Have patience to achieve your dreams. | Apna khvaab pura karne ke liye dheeraj rakhna chahiye. |
25. | Tatolana(टटोलना) | Fumble | He was fumbling while speaking English. | Wo English bolte samay tatol raha tha. |
Nahi-nahi, sirf itne hi words nahi sikhne aaj aapne. Niche kuch aur words hai jo aapko apni vocabulary mein add on karne hai. Aapko kam se kam rooz ke 3 naye daily life mein use hone wale words toh zaroor sikhne chahiye. Fir dheere-dheere aap 4 se 5 words sikhye. Usske baad aap word count bada bhi sakte hai. Aur tips dene se aaiye pehle thode aur words padh lete hai.
Sr. No. | Hindi Word | English Word | Example | Example in Hindi |
---|---|---|---|---|
26. | Zaroorat(ज़रुरत) | Necessity | Food and shelter are the necessities to survive. | Zinda rehne ke liye khana aur ghar zaroori hai. |
27. | Aisho Aaram(ऐशो आराम ) | Luxury | Taking a taxi to the office is a luxury for me. | Taxi mein office jana mere liye aisho aaram wali zindagi jaisa hai. |
28. | Thopana(थोपना ) | Impose | I do not want to impose things on you. | Main tum par cheeze thopana nahi chahta/chahti. |
29. | Phusphusaana (फुसफुसाना ) | Whisper | They were whispering during the class. | Wo dono class mein phusphusaa rahe the. |
30. | Lagatar (लगातार ) | Continuously | He was working continuously for 8 hours. | Wo lagatar 8 ghanto se kaam kar raha tha. |
31. | Nishchit roop se(निश्चित रूप से ) | Apparently | Apparently, he can’t speak french. | Nishchit roop se, wo french bhasha nahi bol sakta. |
32. | Bhoot (भूत ) | Ghost | I love to read ghost stories. | Mujhe bhooto wali kahaniya padhna bahut acha lagta hai. |
33. | Zaroori (ज़रूरी ) | Essential | A balanced diet and some exercises are essential to stay healthy. | Swasth rehne ke liye poshita khana aur excerise karna zaroori hai. |
34. | Komal (कोमल ) | Delicate | These delicate plants need proper care. | Inn komal paudho ko uchit dekhbhaal chahiye. |
35. | Cheenk(छींक ) | Sneeze | Use a handkerchief when you sneeze. | Cheenkte samay rumal ka prayog kare. |
36. | Avasar(अवसर ) | Opportunity | It is a perfect opportunity to grow in your life. | Yeh aage jeevan mein badhne ka ek sahi avasar hai. |
37. | Sthaan dena(स्थान देना) | Accommodate | We can surely accommodate one more girl in our room. | Hum apne kamre mein ek aur ladki ko sthaan de sakte hai. |
38. | Uchit (उचित ) | Adequate | The garden hasn’t been getting adequate water. | Bageeche ko uchit paani nahi mil pa raha. |
39. | Vikalp(विकल्प ) | Alternative | There is no alternative to this problem. | Iss samasya ka koi vikalp nahi hai. |
40. | Aapada(आपदा ) | Calamity | Uttarakhand suffered severe calamity from floods in 2013. | 2013 mein aaee badh se Uttarakhand ko bhaaree aapada ka samana karna padha. |
41. | Gadabadee(गड़बड़ी ) | Chaos | When the police arrived, the street was in total chaos. | Jab police waha pachunchi, toh waha sab kuch gadabad tha. |
42. | Gaayab(गायब ) | Vanish | By the time we reached there, deers vanished. | Jab tak hum waha pachunche, hiran waha se gaayab ho gaye the. |
43. | Khatta(खट्टा ) | Sour | This soup has a sour taste. | Ye soup bahut khatta hai. |
44. | Kadava(कड़वा ) | Bitter | This medicine is very bitter tasting. | Ye dawa ka swaad bahut kadava hai. |
45. | Sharaab (शराब ) | Liquor | Liquor is not sold at this store. | Iss dukan par sharaab nahi bechi jati. |
46. | Vishveey (विश्वीय ) | Global | Covid-19 has led the world into a global crisis. | Covid-19 ne pure vishveey ko sankat mein daal diya hai. |
47. | Sofa (सोफा ) | Couch | She sat on the couch to watch TV. | Wo TV dekhne ke liye sofa par baith gayi. |
48. | Bekaar(बेकार ) | Worthless | This dress is worthless. | Ye dress bilkul bekar hai. |
49. | Shunay sahansheelta(शून्य सहनशीलता ) | Zero-Tolerance | India has Zero tolerance for terrorism. | Bharat mein aatankwad ke prati shunay sahansheelta hai. |
50. | Kaaraya Shala( कार्य शाला ) | Workshops | He is making a table in the workshop. | Wo kaaraya shala mein table bana raha hai. |
Toh ye the kuch basic daily use hone wali English vocabulary with Hindi meaning. Ab hum kuch preposition, verbs aur adjectives wali vocabulary ke baare mein janenge.
Kuch Preposition aur Adjectives wale English Vocabulary Words with Hindi Meanings
Humne ye 50 basic English Vocabulary words with Hindi meaning to jaan liye. Aiye ab jante hai kuch aise prepositions aur adjectives jo hum daily use hone wali Hindi bhasha mein use karte hai.
Prepositions
Ye wo shabd hote hai jo sangya ya sarvanaam yani Noun aur Pronoun ko vaaky ke dusre bhaag se jodte hai.
Sr. No. | Hindi Word | English Word | Example | Example in Hindi |
---|---|---|---|---|
1. | Se ( से ) | From | I have taken this book from Nisha. | Maine ye kitaab Nisha se li hai. |
2. | Par ( पर) | On | The train will leave on time. | Train samay par nikalegi. |
3. | Saath mein( साथ में) | With | Reeta is going with Aisha. | Reeta Aisha ke saath mein jaa rahi hai. |
4. | Ke liye (के लिये) | For | I have cooked food for you. | Maine tumhare liye khana banaya hai. |
5. | Mein (में) | In | I live in Delhi. | Main Delhi mein rehti hun. |
6. | Pehle (पहले ) | Before | Please do this work before doing anything else. | Kripiya kuch aur karne se pehle ye kaam kar do. |
7. | Baad (बाद) | After | After watching the movie, I will drop you home. | Movie dekhne ke baad, main tumhe ghar chodd aaonga. |
8. | Dvaara (द्वारा) | By | He was called by his father. | Usse apne pita dvaara phone aaya tha. |
9. | Par (पर) | At | He was standing at the bus stop. | Wo bus stop par khada tha. |
10. | Ki orr (की ओर) | Towards | She was going towards the mall. | Wo mall ki orr ja rahi thi. |
Note / Dhyaan de: Hindi mein kai saare aise poorvasarg hote hai jinhe English Vocabulary mein alag alag words se bola jata hai. Jaise hum ‘Par (पर)’ ko English mein ‘On’ aur ‘At’ deno shabdo se bolte hai. Aapko bas situation ke hisab se inn words ka use karna hai.
Adjectives
Adjectives jinhe hum hindi mein Visheshan kehte hai, wo aise shabd hote hai jo kisi sangya ki visheshta batate hai. Niche table mein kuch basic adjectives aur unhe hindi mein kya bolenge bataya gaya hai.
Sr. No. | Hindi Word | English Word | Example | Example in Hindi |
---|---|---|---|---|
1. | Sundar / Khoobsurat( सुंदर/ ख़ूबसूरत) | Beautiful | It is a beautiful place to visit. | Ye ek khoobsurat jagah hai. |
2. | Imandar (ईमानदार) | Honest | She was honest while giving her interview. | Interview ke waqt, usne imandari se jawab diye. |
3. | Gussa (गुस्सा) | Angry | My father looked angry, when he returned back from the office. | Mere pita gusse mein the, jab wo office se laute. |
4. | Bhookha(भूखा) | Hungry | I am hungry. Please get me something to eat. | Main bhookha hun. Kripya mere khane ke liye kuch le aao. |
5. | Sahaayak( सहायक) | Helpful | Vansh is really a helpful boy. | Vansh ek sahaayak ladka hai. |
6. | Naraj (नाराज ) | Annoyed | He was very annoyed by Miha. | Wo Miha se bahut naraz tha. |
7. | Thaka Hua (थका हुआ) | Tired | I am feeling tired. | Mujhe thaka hua mehsoos ho raha hai. |
8. | Chintit (चिंतित) | Worried | Aunt Bella was worried about her son. | Bella aunty apne bete ke liye chintit thi. |
9. | Aagyakari (आज्ञाकारी) | Obedient | Ram is an obedient student. | Ram ek aagyakari chhaatr hai. |
10. | Swachh ya Saaf(स्वच्छ / साफ़) | Clean | We should keep our surroundings clean. | Hume apne aas pass ki jagah saaf rakhni chahiye. |
Kuch Coronavirus (Covid-19) se judi English Vocabulary
Coronavirus ne duniya bhar mai dar ka maahol bana rakha hai. Aise mai humne aapke liye kuch Covid-19 se judi English vocabulary with Hindi meaning ki list banai hai. Umeed hai ki aaj ki stithi mein ye list aapke kuch kaam aaegi.
Sr. No. | Hindi word | English Word | Example | Example in Hindi |
---|---|---|---|---|
1. | Mahamaari(महामारी) | Pandemic | 2020 has been declared as a global pandemic year. | 2020 ko vishveey mahamaari ghoshit kiya gaya hai. |
2. | Alag Karna / Eekant(अलग करना/ एकांत) | Quarantine / Isolation | The building next to mine, has been made a quarantine center. | Mere ghar ke saath wali imaarat ko eekant rehne ke liye banaya gaya hai. |
3. | Saamundaayik Phailaav ( सामुदायिक फैलाव) | Community | Spread Opening of shops have led to community spread in that area. | Dukaano ke khulne se uss sheher mein samudayik phailav ho gaya. |
4. | Sankramit(संक्रमित) | Infected | A friend of mine has been infected by the disease. | Mera ek dost bimari se sankramit ho gaya hai. |
5. | Samaajik Doori(सामाजिक दूरी) | Social distancing | Social distancing is one of the ways to end this virus. | Samajik doori ek tarika hai virus ko khatam karne ka. |
6. | Sankraamak( संक्रामक) | Contagious | This disease is more contagious than the normal flu. | Ye bimari dusre samanay flu se zyaada sankraamak hai. |
7. | Saafae( सफ़ाई ) | Sanitization | Sanitization should be done before using any item. | Kisi bhi cheez ko use karne se pehle uski saafae karna zaroori hai. |
Toh ye the kuch daily use hone wali English vocabulary with Hindi meaning. Aise aur kai saare words hote hai jo aapko apni vocabulary mein add on karne chahiye. Inn words ko apni daily baat chit mein use karke aap sirf confidence ke saath English nahi bolenge, balki bahut English fluently bhi bolenge.
Table of Content
Josh Skills App par Sikhe Fluent English Bolna
English Vocabulary with Hindi meaning used in Daily Life | 50 Daily life mein use hone wale English words Hindi meaning ke saath
Recommended for you