Top 10 Time Management Tips for Students

Time Management Tips for Students

Student life ek insaan ke life ka bahut hi important time hota hai. Iss phase mein life kaafi change hoti hai or kaafi hectic bhi hoti hai. Studies, hobbies or passion sabke liye, student life hi sabse important phase hai. Isliye har student sochta hai ki Time management Kaise kare, Time Management Kya hai, What are the Time Management Tips for Students?

Isme Humari productivity sabse zyada honi chahiye or stress sabse kum. Iss phase me hard working or dedication se humari life change ho sakti hai. Isliye Inn 10 Time Management Tips for Students ko follow karke aap successful ban sakte hai.

Isliye bina time waste kare padhe kya hai Time Management or Time Management techniques kya hoti, jisse hum successful life ke liye humare resource invest kar sakte hai.

Time Management kya hai ?

Time Management ek bahut important process hai jisme hum apna poore din ka schedule decide karte hai. 

Hume poore din me kaun-kaun se task complete karne hai ? Kaise karne hai ? Kab karne hai ? Yeh sab chize decide karne ko hi Time Management karna kehte hai. 

Hum sab jante hai ki student life bahut busy hoti hai or usme bahut se important kaam bhi hote hai jo ek student miss nahi kar sakta. Isliye har student ka question hota hai Time Management Kaise Kare.

Time Management kyun zaroori hai ?

Time Manage karne ke kaafi saare benefits hai but most important of them are stated below:

1. Stress Kam Kare

Often jab aap busy hote hai, apke mind me kafi saari chize chalti hai, toh naturally aap worry or overthinking karne lagte ho. Iss overthinking ke karan apki nind nahi hoti ache se. Aur yeh ek stress ka sign hai. 

Jab aapko lagta hai ki apka time par control nahi hai or and aap sirf kaam kar rahe hai ki kaam khatam hojaye, toh yeh apki health ko kharab kar sakta hai. 

Time Management skills seekhne se aap yeh sab stress and overthinking kam kar paege or aap easily or freely work kar paege kaam khatam karne ke liye. Isliye yeh sabse zyada zaroori Time Management Tips for Students hai.

2. Apni Productivity badhaye – Time Management Tips for Students ka sabse bada fayda

Time Management techniques se aap self-disciplined ban jayenge or aap ko time par kaam karne ki aadat ho jayegi. Aap kaam ko delay nahi karege. 

Yeh apko complete control dega time ke upar jisse aap apna time personal or professional life dono ke liye nikal payenge.

Apko accurately pata hoga ki apke yeh kaam due hai or yeh baaki hai toh aapke mind me koi kaam bhulne ka bhi darr nahi hoga or aap zyada productive ho jaege.

3. Naye Avasaron ko kholen 

Proper time management techniques se aap apna kaafi time save kar sakte hai jisse aap apna time kuch naya, kuch different karne me bhi nikal sakte hai.

Apke pass apki life ka control hoga toh already accomplished feel karege or isse aap zyada kaam bahut jaldi kar lege jisse apka time save hoga or aap apna passion pursue kar sakte hai ya family ke sath time spend kar sakte hai.

4. Apne Nirnay Lene Ki Shamta yani Decision Making Ability ko Badhaye

Time Management Techniques apko stress reduce karne me help karenge aur uske saath ki apko achi or behtar nind bhi degi.

Isse aap ki nirnay leni ki ability bhi improve hojaegi . Isse aap already fresh or motivated feel karenge toh aapki decision making ability bhi enhance hogi.

Effective time Management techniques se aap aapke personal relationships me bhi satisfied rahenge and isse aap galat decisions lene se bhi bach sakte hai.

5. Naye Chances Miss na kare 

Poor time management skills se aap kafi pareshan or pressurized rahenge or it will result in missing out on opportunities. But effective time management techniques apko isse bacha legi.

Apko clearly pata hoga ki apke particular goals kya hai, uske liye apko kya kya karna hai, apki kya requirements hai. Toh aap kabhi koi chance miss nahi karenge.

Time Management Kaise Kare ?

1. Analyse kare apka time kaha jata hai 

Student phase of life me, time bahut jaldi nikalta hai. Toh firstly try to analyse ki apka din bhar ka time kaunsi kaunsi activites me jaa raha hai. Yeh sabse pehli time management technique hai.

Ek baar aap yeh karlete hai, toh apke pass saare works hoge jinme aap time invest kar rahe ho. Unme se unn works ko eliminate karna hai jisse aap apne goal tak nahi jaa payenge.

Hum aksar sochte hai, ki 15 minutes I’ll watch TV and then padhai/kaam karege. But eventually, vo 15 minutes kab 1 hour me convert ho jata hai, aapko kabhi nahi samajh aayega. Isliye unn saari activities ko hataye jo apko apke goal se distract kare.

Iske liye aap use kar skate hai several apps jiske through aap track rakh sakte ho and analyse bhi kar sakte hai. RescueTime, Toggl, etc. Inse aap analyse kar sakte hai or apne according adjustments bhi kar sakte hai.

Ek baar aap observe karenge ki yeh chize sahi nahi hai toh, aap automatically unko karte time sochenge or eventually usko band kar dege and by this aap apna kaafi time save karlege. 

2. Make a plan – One of The Most Important Time Management Tips for Students

Once you have eliminated the toxic things, jo apko benefit nahi kar rahi thi, the next step is to make a plan.

Write down your goals. Apne saare goals, jitne bhi chote ho yaa jitne bhi bade ho, just write it down. Saare goals ko dhyan se likhe. 

Ek baar aap unhe likh lege, analyse karo ki ek particular task ke liye kitna time invest karna chaiye. 

Say, aap ko ek chapter complete karna hai. Toh uss chapter ko complete karne ke liye aap ko din me kitna time dena hoga, decide that. Decide kare vo time kyuki uss time apko pura focus ke sath uss task ko complete karna hoga. (Ek hi baar beth kar poora khatam karne ka na soche,i isse apki productivity kum hojaegi or stress kaafi badh jaega)

Toh ache soch samajh kar decide kare, ki ek particular task ke liye roz kitna time dena hai aapko. Har task k liye time limit set kare. Utne time ke liye uss task ke liye focused rahe compulsorily.

3. Prioritize kare apne kaam – Sabse zaroori Time Management Technique

Ek baar apko pata chal jaye ki ek particular task ko karne me kitna time lagega, start prioritizing them. Matlab Chize ko unn order me list karo jisme aap unhe khatam karna chahte ho.

List me top par highest priority wala kaam hoga or last me lowest. But lowest ka matlab yeh nahi hai ki usko karna hi nahi hai. Ek or rule banaye, ki to-do list me mentioned har kaam aap ki priority hai.

Ek habit bana lijiye ki jo kaam 5 minutes se kum ke hai, unhe immediately finish karke to-do list me mark karde. Par strictly 5 minutes, usse zyada time kisi low priority wale kaam ko na de, agar already koi high priority wala kaam baaki hoto.

High priority wale task k liye pehle kaam kare. Har task ko utna time zaroor de jitni limit decide kari hai. Even agar vo kaam difficult hai to bhi usko utne time kare. Aur aisa nahi kare ki ye kaam acha lag raha hai or ho raha hai to continuously wahi kar rahe hai. Time limit follow kare.

4. Subah ke Time sabse Important Kaam khatam kare

Mornings are bliss. Yeh to study me bhi prove hua hai ki subah kaam karna best time hai kaam karne ka. Fresh mind or positive environment se ap motivated rehte hai or ache se kaam karte hai.

Students k liye kaafi kaha bhi jata hai, ki subah ke time aapko chize yaad karni chahiye. Subah ke time yaad kiya hua kaafi effectively yaad hota hai and zyada time tak yaad bhi rehta hai.

So subah ka time sabse zyada productive hota hai, apne Most Important Task (MIT) ko issi time complete karne ka target rakhna chahiye. Matlab high priority wale kaam morning me hi khatam karlene chahiye.

Isliye, plan everything a day prior. Every day, raat ko list bana kar sona chahiye ki next morning se yeh kaam start karna hai. Apne complete schedule ko sone se pehle decide kare. Yeh sabse effective time management technique hai.

Iske 2 benefits hai:

  1. Apke fresh mind or positivity ke karan, high priority wala kaam jaldi or asani se hoga.
  2. Agar morning me hi aap apna koi high priority wala task complete karlete ho toh aap din bhar accomplished or motivated feel karege, jisse aapke baaki ke kaam bhi easily hojaege.

5. Breaks lete rahe

Din ka ekdum tight schedule na banaye. Jab aap apna schedule decide kare toh make sure ki har task ke beech me proper 10-15 minutes ka break ho.

Ekdum packed schedule rahega to apko isse anxiety hone lagegi jab aap thoda bhi late hoge toh. Isliye har task ke baad take a break. 

Apni study table par keep a watch. Mobile wali watch se distraction hoga isliye continuous visible watch rakhe.

Watch ko 15 minutes aage karke rakhe. Watch agar time par rehti hai toh ya toh aap time par hoge ya late. But agar aage rehti hai toh yeh apke liye beneficial hai.

Time pressure se aap focused rahenge or effectively work kar paege. Isse apko deadline par kaam karne ka bhi experience milega jo in future apke liye kaafi important prove hoga. 

See why you need to unplug every 90 minutes

Also breaks lete rahe, kyuki continuous zyada der kaam karne se focus or efficiency kum hojati hai or frustration, thakan badh jaati hai. Isliye take breaks and try to stay calm throughout.

6. Learn to say NO – Important Time Management Technique

Koi insaan kabhi kisi ko hurt nahi karna chahta but in this phase of life, apko logo ko mana karte aana chahiye. 

Agar apke pass free time nahi hai toh kisi dost ki help mat karo apna kaam chodh kar. Agar aapke saare task complete ho gaye hai toh fir bache hue time me aap unki help kar sakte hai but apna kaam chod kar unki help karna at this time is not recommended.

Also, agar apke pass already full plate food hai toh dinner invitation mat accept karo. Start to say “NO”.

Unn saari chizo ke liye mana karo jinse aap apne immediate goal tak nahi pahooch payege. Jo chize apki preparation me help nahi karegi, unko karna, iss time, is not helpful. 

Student life bahut important part hota hai. Apko itna preparation ka time kabhi nahi milega future me isliye iss time ko bahut wisely or soch samajh kar use karna chahiye.

Try these 13 Effective Tips to Improve Public Speaking in Hindi

And also, agar aap kisi ko mana karte hai or vo insaan aap ko ache se samjhte hai, toh vo yeh bhi samjhege ki apka crucial time chal raha hai. Apse ghussa hone ke bajaye wo apko or support hi karenge. Aur agar koi bura manta bhi hai, toh vo insaan sahi nahi hai aapke liye. Isliye isko sabse easy time management technique mante hai.

7. Block all Notifications from Social Media – Sabse asardar Time Management Tips for Students

Jitna time task ko complete karne me assign kiya hai, utne time poore focus ke sath kaam karne ke liye, saare notifications block kardena chahiye.

Chizo ko ek baar check karne ki aadat dale. Matlab agar apke pass koi mail aata hai, toh usko tabhi open karo jab aap me usko process karne ki capacity ho. Usko ek baar padhne me bhi time waste mat karo. Usko tab padho jab aap usko implement karne ke liye ready raho.

Blocking notification se aap focus kar payenge. Agar aapko lagta hai kuch important miss hojaega, toh essa kuch nahi hota. Har insaan wait kar sakta hai.

Agar apke notifications aate rahenge, to apko koi mail aaya toh aap task ke beech me vo bhi padhege. Kisi ka message aaya toh unhe bhi reply karenge. Isse aap apna kaafi zyada time waste kardege.

Notification aayenge to apko lagega bas yeh dekh kar kaam continue karte hai, zyada time waste nahi hoga. But essa karne se aap aage ke 20 minutes waste kardege. Aap notification check karenge, fir aapka mind distract hoga. Phone rakhne ke bhi 10 minutes baad tak apko vo pace or vhi concentration attain nahi kar paege to aapka pehle tha.

Isliye schedule follow kare or block notification. Sabke liye itna available na rahe, sab wait kar sakte hai.

8. Follow 80-20 Rule

Yeh sabse common rule hai jo batata hai ki 80% jo apke results hote hai, vo aate hai 20% of the efforts jo aap daalte hai.

Example: 80% sales typically 20% customers ke karan hoti hai. Similarly, 80% aapka result aayega 20% of hard work se.

Renzo suggests karte hai, ki din ko start karne par you should watch the schedule or your to-do list. Or simplicity ke liye usme se 5 chize shortlist karo jo apko priority par accomplish karni hai.

Iss principle se list banaye, aap apni list ki majority of items of complete karlege. Starting me yeh thoda tough lagega but eventually habit ban jayegi toh kafi effective hoga.

9. Ek Saath Bahut saare Kaam na kare – Multitasking na kare

Log sochte hai ek saath multiple kaam karke hum apna time save karlenge but yeh prove ho gaya hai ki human mind multitasking ke liye nahi bana hai.

Aap agar koi bhi multiple chize saath me karte hai toh aapka concentration kum ho jaega, confusion badh jaegi, productivity kum hojaegi or eventually frustration badh jaega or aap koi bhi kaam perfectly nahi kar paege.

Ek chize karna chahiye ek baar me. Aap ko bas yeh sochna hai ki mujhe itne time me sirf aram se yeh particular task ke baare me sochna hai. Iske alawa mera koi kaam nahi hai. Isse aapka mind free hoga or aap poore concentration ke sath kaam kar paege.

This is Why multitasking is bad.

Also, ek jaise kaam ko karne ke liye sath me time nikalna chahiye. Din bhar emails or notifications mat check karo. Ek specific time decide kariye or usi time par yeh sab kaam kare.

Har kaam ko karne ke liye ek alag type ki thinking capacity chahiye hoti hai, isliye koi bhi different kaam sath me nahi karne chahiye or similar type ke kaam ek sath karlena chahiye.

10. Khudko Reward de – Favorite Time Management Tips for Students

Start appreciating yourself. Kuch log sirf kaam karte jaate hai or khudko criticize ki karte rehte hai bad performance ke liye but kabhi appreciate nahi karte good performance ke liye.

Isliye har task ke liye reward decide karna chahiye. Reward ek walk yaa music sunne jitna chota bhi hoskta hai yaa dinner party organise karne jitna bada bhi hoskta hai.

But appreciate karna shuru kare, kyunki something is better than nothing. Agar aap kuch karte hai or success nahi milti tab bhi just appreciate ki apne mehnat kari. Isse aap unn small fraction of logo me aayenge jo mehnat karte hai na ki unme jo try hi nahi karte hai.

Isse apko ek motivation bhi milega or maza bhi aayega kaam karne me. Khudko points de har ek uss task ke liye jo apne khatam or minus kare uske liye to apne incomplete rakha. Set karlo ki itne points hogye toh I’ll reward this to myself. 

Isse competitiveness badhegi or kaam ke liye dedication bhi increase hoga and eventually aap zyada khush rahege and apke pass apki life ka control bhi hoga jisse aap kafi confident bhi feel karenge.

Try these tips to improve your self-confidence.

Conclusion

Iss article me batayi hui techniques theoretical nahi hai rather they are effective to implement. Students isko easy results k liye easily use kar sakte hai.

Yeh sab kuch proven or most common or best time management techniques hai to ace your race. Even not all, but kuch selected bhi koi student regularly follow kare toh unko results dikhne lagege.

Try to use most of these Time Management Tips for Students and aapko vo sab mil jaega jo aap chahte ho. All the best for your future!

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here