Super Successful banane ka formula – Habit Building and Goal Setting!

Goal Setting and Habit Building

Habit Building and Goal Setting ek insaan ki success mai bahut important role play karta hai. Aajkal ki bhagti daudti life me hum kab Self-improvement or personality development ko back seat pe chor aaye hai hume khud bhi nahi pata. Iske sath hi hum habit building and goal setting ki importance ko bhi samajh nahi pa rahe hai.

Kisi bhi insaan ki personality uske sochne, samajhne, baat or kaam karne ke dhang, kisi situation me react karne ya koi important decision lene ki chamta ko darshati hai. Ab aap khud hi samajh sakte hai ki Personality development or self-improvement ek kitna zaruri vishay hai.

Isi personality development ki importance ko dhyan me rakhte hue, hum aaj iske kuch important aspects ke bare me baat karenge, jaise ki

  •  Logo ki sabse common time waste karne vali habits kya hai?
  • Procrastination kya hai or log kyu procrastinate karte hai?
  • Habit building and goal setting kya hai?
  • Habit building and goal setting kaise kare?

Personality development ki best or easy tips ke liye yaha click kare!

To chaliye shuru karte hai-

Konsi common activities aapka sabse jyada time waste karti hai?

Ye janane se pehle ki hume kya karna hai, humko ye pata hona chahiye ki humko kya nahi karna hai. Hamare kuch aese daily activities hoti hai jinki vajahse hamara bahut sara samay waste ho jata hai. Ayiye aese kuch common activities ke bare me jane jo hamara sabse jada time waste karti hai.

1. Hamesha social media ko use karte rehna

Social media hume apne friends or family se connect rehne me beshak kafi madad krta hai lekin iske sath hi sath iski vajh se hamara bahut time waste hota hai. Jaise ki hum na jane kitne ghante sirf social media ki feed ko scroll karne me, videos dekhne me guzaar dete hai.

2. Bina planning ke kaam karna

Bina proper plan ya step by step strategy ke kaam karne se hume hamesha confusion bani rehti hai ki ab kya karna hai, uske baad kya karna hai vagrh-vagrh. Or humko pata bhi nahi chalta ki kab hum ghanto yahi sochte reh jate hai or kaam koi bhi pura nahi ho pata hai.

Jaise ki- Agar aapko koi project banana hai or aap sabse pehle ye plan na kare ki research kaha se karni hai, main headings kya hongi etc. to aapko kafi confusion hogi jiski vajahse project bhi der se complete hoga

3. Bahut sare kam ek bar me karna

Jab hum bahut sare kaam ek hi samay pe krne lag jate hai jise multi-tasking bhi kaha jata hai, to hum koi bhi kaam puri or achi tareeke se nahi kar pate hai. Isliye hume ek samy pe ek hi kaam par man lagana chahiye or jab vo pura ho jaye tab hi dusre kam ki taraf badhna chahiye.

Isme habit building and goal setting ka concept hamari kafi madad karta hai jiske bare me humne aage baat kari hai.

Jaise ki man lijiye aapko apni study table saaf karni hai or aap sath hi sath TV bhi dekh rahe hai ya fir apne friends se chat karre hai to aapka kafi zada time waste hoga or aap koi bhi kaam samay pe pura nahi kar payenge.

4. Har kam bahut detail me karna 

Ab jab baat aati hai koi kaam ache se karne ki, to iska ye matlab nahi hai ki hum utni details pe dhyan dene lage jiski zarurat bhi nahi hai. Isse sirf hamara samay kharab hota hai.

Jaise agar hum upar diye gaye example ki hi baat kare, agar aap apne project ke un hisso par bhi itna dhyan denge jo important nahi hai to usse koi value bhi add nahi hogi or aapka kaam or bhi badh jayega.

5. Koi kaam ke liye “No” nahi keh pana

Ye cheez kafi jada logo ke andar hoti hai ki jabki unko kisi kam se koi fayeda nahi hai, ya fir kafi busy hone ke baad bhi vo har kaam ke liye ha bol dete hai. Jiski vajhse unka kafi samay faltu ka kaam karne me nikal jata hai.

Aese time wasting activities hame hamare important kaam se bhatka deti hai or hum apne jaruri kaam talne lag jate hai. Jise ‘PROCRASTINATION’ bhi kehte hai. Ayiye iske bare me thoda or jane –

PROCRASTINATION Kya hai?

PROCRASTINATION Kya hai? - Habit Building and Goal Setting

Procrastination ka matlab hai cheezo ko ya apne kaam ko talna, ye sochke ki aap usko baad me kar lenge.

Aap apne aap se ye bolte rehte hai ki abhi samay hai or ye kaam bad me bhi kiya ja sakta hai, jiski vajahse aapke pas bahut sara kaam jama hota chala jata hai or last me aap panic hone lagte hai itna sara kaam dekh ke.

Hum procrastinate kyu karte hai?

Ab baat aati hai ki hum cheezo ko aakhir procrastinate karte kyu hai, jabki humko pata hota hai ki last me kitna sara kaam jama ho jayega lekin fir bhi hum cheezo ko talte rehte hai.

Halaki Alag alag experts or researches ka procrastination ko leke different views hai, lekin sabse jada common reason procrastination ka ye hai-

Log stress release karne ke liye Procrastinate karte hai

Kafi studies ke baad experts ka ye manana hai ki jab log kafi stressed out ya pareshan hote hai kisi cheez ko leke to vo cheeze talne lagte hai, yani ki vo procrastinate karne lagte hai. 

Jaise ki – Agar aap or aapke friend ke beech me koi arguement hogya ho or agar usi samay aapko apna school ka essay complete karna ho to iske kafi chances hai ki aap apna essay baad me complete karne ka sochenge.

Habit building and goal setting se procrastination ko kaise sudhare?

Agar aap apna samay or dimag sahi jagah me, sahi tareeke se lagana chahte hai to aage di gaye 2 steps ko ache se samjhe or use follow kare-

Step 1.Apne goals ko ache se pehchane.

Step 2. Us goal ko achieve karne ke liye systematic habit build kare.

Aap dekh sakte hai ki humne habit building and goal setting ke concept ko hi do bhago me baat diya hai, aayiye inke bare me or ache se jane-

Apne goals ko ache se pehchane – Goal Setting for Self-improvement!

goals ko ache se pehchane: Habit Building and Goal Setting

Procrastinate na karne or apna time soch samajh ke invest karne ka pehla step hai “Clear Goals set karna”. Hame sabse pehle ye pata hona chahiye ki hum karna kya chahte hai. Hamara end result kya hona chahiye. Ye pehchan lene se hame ye samajhne me madad milegi ki hum “kare kya” us goal ko achieve karne ke liye.

(Yahi concept hai habit building and goal setting ka!)

Jaise ki Agar Ram doctor banana chahta hai to use pehle ye samjhna jaruri hoga ki vo “doctor” banana chahta hai. Tabhi to vo ye soch payega ki use konsi books padhni hai, konsa college join karna hai etc.

Self-improvement ke liye goals kaise set kare?

Self-improvement: Habit Building and Goal Setting

Goals set karna jitna aasan dikhta hai utna hai nahi. Agar aapne aese goals set kare jo aap achieve hi ni karna chahte the to uska kya fayeda? Isliye goals set karne ke liye in S.M.A.R.T guidelines ko follow kare-

Specific: Aap jo bhi karna chahte hai vo kuch aesa hona chahiye jise ki aap naam de sake. Aap apne thoughts ke bare me ache se soche or use ek naam de.

Jaise- Ram ka goal “Weight Loss” karna hai.

Measurable: Goal hamesha aesa set karna chahiye jisko units me measure kiya ja sake. Jitna detail me aap apne goals ke bare me likh sake utna acha hai.

Jaise- Ram ka goal “5kg” Weight Loss karna hai.

Achievable: Aap apne goal ko lekar tabhi serious ho sakte hai jab aapko vishwas ho ki diye gaye samay me ise achieve kiya ja sakta hai.

Jaise: Ram ka goal “1 din me 10kg weight loss” karne ka hai. (Ye goal achievable NAHI hai.)

Realistic: Ye point upar diye gaye point se milta julta hai. Jis tarah se goal setting ke samay hame ye dhyan dena chahiye ki ye achievable hai ki nahi vase hi hame ye bhi dhyan dena chahiye ki ye karna real me possible hai ki nahi.

Jaise: Ram ka goal hai “10 ft. tall hona”. (Ye goal sunne me hi betuka lagta hai kyuki ye realistic NAHI hai.)

Timely: Ye point self-improvement ke liye directly bhi bahut zaruri hai. Aap jb bhi goal set kare uske sath hi sath ek deadline bhi set kare jaise ki hame itne samay me ye goal pura karna hai. Aesa karne se aapko apne goal achieve karne me help milegi or aap motivated reh payenge.

Jaise: Ram ka goal hai “1 month” me 5kg weight loss karna.

Self-improvement ke liye Goal Setting ke kya fayade hai?

Chahe aap life ki kisi bhi stage par kyu na ho, aapke liye habit building and goal setting bahut hi zaruri hai, chahe aap student ho, chahe working professional ya koi bhi, goals set karne se aap apne sare kaam bina time waste kare kar sakte hai. Goal set karne ke 3 sabse bade fayede ye hai-

1.   Clear goal set karne se aap kabhi apne dreams se bhatakte nahi hai.

2.   Goal set karke use baar-baar vapas ja kar dekhne se aapko motivation bhi milti hai ki itne samay me itna kaam karna hai.

3.   Goal set karne se hume habit building ke liye ek destination mil jati hai.

Habit building, goals setting se bhi jada zaruri hai, Jaise ki agar aapne “Weight loss” karne ka goal set karliya lekin apni habits me koi badlav nahi kiya to aese goals setting ka koi fayeda nahi hai to ayiye habit building and goal setting ke bare me thodi or bat kre-

Habit Building – Goal setting se bhi zada important?

Habit Building and Goal setting

Ji ha, aapne bilkul sahi padha! Habit building, goal setting se bhi jada important hoti hai. Kyuki agar humne sirf goal set kar diye or roj ki habits ko change nhi kiya to ham sayad kabhi apne goals ko achieve na kar paye.

Habit building ka mayena ye hai ki hum apni daily harkate kuch is tarah se bana le ki hum apne saare kaam badi aasani se kar sake. Aesa karna hamare self growth ke liye bhi kafi important hai.

Achi habits kaise build kare?

Chaliye humko ab ye to pata hai ki habit building hoti kya hai, ab baat ye ati hai ki hum ye kare kaise, aayiye kuch Habit building tips ki taraf chale-

Clear strategy banaiye

Clear strategy banaiye

Aapna goal set karne ke baad aapko ye clear ho jayega ki ab KYA karna hai. Ab aapko ye sochne ki zarurat hai ko vo karna KAISE hai. Iske liye aap ek step by step strategy banaye or ye sare cheeze likhe jo aapko roj karni padegi us goal ko achieve karne ke liye.

Habit Loop ko samajhiye

Habit Loop ko samajhiye: Habit Building and Goal Setting

Agar aap achi habits build karna chahte hai or buri habits ko chorna chahte hai to aapko ye habit loop ko ache se samajhna padega.

Iske 3 main parts hai-

In 3 parts ki bat karne se pehle ek situation ko dekhte hai-

Maniye ki aap koi kaam kar rahe hai or ekdum se aapne apne phone ki ‘notification ki aawaz suni’, or fir ‘aapne apna phone uthaya’ or un notifications ko check karke ‘aapko sare information mil gyi’ ki un notification me kya tha.

  •  Ab yha CUE kya hai? Notification ki aawaz sunana, jisne aapki attention grab ki or agla action trigger kiya
  • Agla action hai aapka Apna phone uthana, jise humlog ROUTINE kehte hai.
  •  Is routine se humko kya mila? REWARD. Apko sari information milna hogya aapka reward.

Ab achi habits build karne ke liye aapko apna ROUTINE change karna hoga. Aap yha turant phone utha ke notification check karne ke jagah, jo kaam aap kar rahe the use finish karne ke bad phone check kare. Isse aapka REWARD same rahega lekin ROUTINE me change ayega.

  21 din ka rule follow kare

21 din ka rule follow kare: Habit building and Goal Setting

Experts ka kehna hai ki agar hum koi bhi kaam 21 din tak roz karte hai to vo hamari habit ban jati hai or hum use apne aap karna shuru kar dete hai bina kisi pareshani ke.

Habit tracking applications ko use kare

Habit tracking applications: Habit building and Goal Setting

Habit tracking apps vo apps hai jo aapko apki habits kya hai ye samajhne me madad karte hai, agar aapko ye pata hoga ki aapki abhi ki habits kya hai tbhi to aap nayi habits bana payenge or purani habits ko chor paynge.

Ye applications aapko alag-alag warnings, notifications deke aapki help karte hai.

Motivated rahiye

Motivate rahiye

Habit building and goal setting, in dono me kafi log ye pareshani ka samna karte hai ki vo kuch hi din me apna interest loose karne lagte hai. Is parehani ko dur karne ka ek tarika ye hai ki aap roj motivation videos dekhe ya agar aapko padhne ka shok hai to aap motivating blogs bhi padh sakte hai. Apne goals ko dekhne se bhi aap motivate ho sakte hai.

Punctual rahiye

Punctual rahiye

Aaap jo bhi strategy ya steps banaye apne liye follow karne ko use samay rehte follow bhi kare. Apne kaam ko timely complete kare, tabhi aap achi habits build kar payenge.

Apne aapko Reward de!

Apne aapko Reward de!

Hum jadatar apni achievements ke liye khud ko reward dena bhul jate hai, aesa hume bilkul bhi nhi karna chahiye. Har achievements ke baad apne aap ko rewards dene se ham apne aap motivate hone lag jayenge or hamare habits bhi build hone lagegi.

Jaise ki aap pane aapko reward dene ke liye apna favourite khana kha sakte hai, apni pasand ki movie dekh sakte hai etc.

Habits build karne se kafi cheeze aasan ho jati hai or hum apna goal tabhi achieve kar sakte hai jab hamari habits uske hisaab se build ho. 

Ab aapne apni personality ko develop karne ka or self-improvement ka pehla step le liya hai iske bare me jan ke. Ab aapko ye sari cheezo ko dhyan me rakhte hue kaam karna shuru karna hai, jisse ki aap apne sare dreams ko pura kar sake!

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here