West Bengal Police Recruitment: Har saal West bengal mein bahut saari Constable aur Sub inspector (SI) post ke liye police bharti nikalti hai. Recruitment mein bahut saare log bhag lete hai aur aaj hum yahan aapko Pashchim Bangal Police bharti ki poori detail batayenge ki aap kaise join kar sakte hai aur kya process hota hai.
Iss article mein aap inn topic ke baare mein jaanenge…
West Bengal Police Vacancy 2020 Ki Details
West Bengal Police Bharti 2020 Ki Important Dates
West Bengal Police Recruitment Qualification
West Bengal Police Eligibility
West Bengal Police Selection Process
West Bengal Police Vacancy 2020 Ki Details
Current Time mein West Bengal Police ki koi bharti nahin aayi hui hai. Abhi kuch samay pahle Sub inspector post par recruitment aayi thi jiski apply karne ki date chali gayi hai.
West Bengal Police Bharti 2020 Ki Important Dates
Jaisa ki humne aapko upar bataya hai ki West bengal police mein koi latest bharti nahin nikli hui hai, toh jab koi post ki vacancy aayegi toh uski date yahan update kar di jaayegi.
Event | Dates |
Online starting apply date | TBD |
Last date for apply | TBD |
Admit card | TBD |
Exam date | TBD |
West Bengal Police Recruitment Qualification
Pashchim bangal police recruitment mein constable aur sub inspector post ke liye alag-alag educational qualification hoti hai jiske baare mein humne niche bataya hai.
Post | Qualification |
Sub Inspector | Graduate (Bachelor’s degree) |
Constable | 10th (Madhyamik) |
Dhyaan de, West bengal police recruitment mein candidates ko Bnegali language bolni aur likhni aani chahiye.
West Bengal Police Vacancy Eligibility
Ab hum yahan baat karenge West bengal police bharti ki eligibility ke baare mein aur jaanenge age, height, weight etc. ki.
West Bengal Police Constable Eligibility
Age limit: 18 to 27 years
Category | Height | Weight | Chest |
Candidates of all categories (except Gorkhas, Garhwalis, Rajbanshis and Scheduled Tribes) | 167 | 57 | 78 cms. |
Gorkhas, Garhwalies, Rajbanshis and Scheduled Tribes | 160 | 53 | 76 cms. |
Note: West bengal police constable bharti mein female eligible nahin hai, sirf male candidates ki apply kar sakte hai.
West Bengal Police SI Eligibility
Age limit: 20 to 27 years
Category | Class | Weight | Height | Chest |
Sub-Inspector of Police (UnArmed Branch) | Gorkhas, Rajbanshis, Garwalis and Scheduled Tribes | 52 kg | 160 cm | 76 cm |
Candidates of all categories, other than above | 56 kg | 167 cm | 79 cm | |
Sub-Inspector of Police (Armed Branch) | Gorkhas, Rajbanshis, Garwalis and Scheduled Tribes | 54 kg | 163 cm | 81 cm |
Candidates of all categories, other than above | 60 kg | 173 cm | 86 cm |
Application Fees
Niche aap west bengal police constable aur sub inspector ki application fees dekh sakte hai jo category wise hai.
Category | Fee |
General/EWS/OBC | Rs. 270 |
SC | Rs. 20 |
ST | Rs. 20 |
West Bengal Police Selection Process
Bata de ki west bengal police bharti mein constable aur sub inspector dono ka selection process alag-alag hota hai, iss karan humne niche dono ka alag-alag bataya hai.
West bengal police constable selection process
Preliminary Written Test | – Preliminary Test is Objective (MCQ) in nature- Pen & paper mode (OMR Answer Sheet)- Bilingual (Bengali & Nepali)- Duration of test if 1 hour |
Physical Measurement Test (PMT) | Ismein height and weight maapa jata hai. |
Physical Efficiency Test (PET) | 1600 meters run 6 minutes 30 seconds mein. |
Final Written Examination | Jo Candidates PET pass kar dete hai unhe Final Written Examination mein bulaya jaayega. |
Interview | Jo Candidates written examination mein pass hote hai unhen Interview mein bulaya jata hai aur yeh 15 Marks ka hota hai. |
Verification of Character Antecedents | Selected candidates ka Verification hota hai. |
Medical Examination | Iske baad end mein Medical Examination hoga. |
West bengal police sub inspector selection process
Preliminary Examination | Yeh ek CBT (Computer based test) MSQ exam hota hai jismein total 100 question aur 200 marks hote hai. Exam english aur bengali language mein hi de sakte hai. |
Physical Measurement Test (PMT) | Ismein height and weight maapa jata hai. |
Physical Efficiency Test (PET) | 800 meters run 3 minutes mein complete karni hoti hai. |
Final Combined Competitive Examination | Ismein 3 alag-alag papers hote hai, jisko clear karne waale last test mein jaate hai. |
Personality Test | Final competitive exam ko pass karne waalo ko personality test mein bulaya jata hai. |
West Bengal Police Salary
Yahan niche aap west bengal police constable salary aur wb si salary ke baare mein dekh sakte hai.
Post | Salary | Grade Pay |
Constable | Rs. 5,400 – 25,200/- | Rs. 2,600/- |
Sub Inspector | Rs. 7,100 – 37,600/- | Rs. 3,900/- |
West Bengal Police Results
West bengal police recruitment ka result online portal par declare kiya jata hai jise aasani se check kiya jaa saka hai.
Result dekhne ke liye niche humne step bataye hai.
1) Sabse pahle aapko yahan click karna hai.
2) Iske baad aapke saamne ek page khul jaayega jaisa niche photo mein dikhaya hai.
3) Phir aapko apna region select karna hai aur iske agle box mein Application SL. No. daalna hai aur niche date of birth daalni hai aur niche SUBMIT par click kar dena hai.
Iss tarah aapke saamne aapka result show ho jaayega.
Humein umeed hai iss article se aapko West Bengal Police Constable & Sub Inspector Recruitment se jude puri jaankari mil gaye hogi. Agar aapke mann mein iske alawa aur bhi koi sawal hai toh comment karke humse jarur pucchein.