UP Police Bharti jismein shamil hona bahut logo ka ek sapna hota hai. Ji haan, Uttar Pardesh Police Bharti mein badi sankhya mein har saal Constable aur Sub Inspactor ke liye bharti nikalti hai jismein kaafi saare yuva bhaag lete hai. Isi kaaran aaj hum Josh Kosh par aapke liye lekar aaye hai is bharti se judi puri jaankari, toh padhte rahiye article.
Iss Article mein aap jaanenge….
UP Police Vacancy 2020 Ki Detail
UP Police Bharti 2020 Ki Important Dates
UP Police Bharti Educational Qualification
UP Police Physical Standard aur Eligibility
UP Police Salary Constable aur SI ki
UP Police Vacancy 2020
UP Police Recruitment 2020 ki date abhi tak nahin nikali hai, lekin jald hi recruitment nikalne ki sambhavna hai.
UP Police Bharti 2020 Ki Important Dates
Jaisa ki hum upar bata chuke hai ki UP Police Bharti 2020 ki date nahin nikli hai toh yahan abhi koi important dates nahin hai. Agar pichli bharti ki baat karein toh January 2020 mein constable ke liye bharti nikli thi.
UP Police Bharti Educational Qualification
Ab hum baat karenge UP Police Bharti ki education qualification ke baare mein toh constable aur sub inspector ke liye yogyata alag-alag hoti hai. Toh constable ke liye 12th pass hona jaruri hai kisi recognized board se.
Jabki UP police sub inspector ki education ki baat karein toh iss post ke liye apply karne ke liye aapko graduation complete karna hoga kisi bhi recognized university se. Jabki fireman ki post ke liye Bachelor ki degree honi chahiye science jismein 50% hone chahiye.
UP Police Physical Standard aur Eligibility
UP Police recruitment mein aapka physical standard bhi achha hona chahiye kyonki iska bhi ek test hota hai bharti ke samay. Toh pahle se hi aapko apna shahir fit rakhna hai.
UP Police Height aur baaki jaankari
Category | Age | Height | Chest | Weight |
Male | 18 se 22 saal | 168 cm | 79 cm aur 84 cm phulakar | Height ke anusar |
Female General/SC/OBC | 18 se 25 saal | 152 cm | Kuch nahin | 40 kg |
Male/ST | 18 se 22 saal | 160 cm | 77 cm aur 82 cm phulakar | Height ke anusar |
Female/ST | 18 se 25 saal | 147 cm | Kuch nahin | 40 kg |
UP Police Height and other physical standard for Sub Inspector
Category | Age | Height | Chest | Weight |
Male | 21 se 28 saal | 168 cm | 79 cm aur 84 cm phulakar | Height ke anusar |
Female | 21 se 28 saal | 152 cm | Kuch nahin | 40 kg |
Male ST | 21 se 33 saal | 160 cm | 77 | Height ke anusar |
Male OBC/SC | 21 se 33 saal | 168 cm | 79 cm aur 84 cm phulakar | 40 kg |
Female ST | 21 se 28 saal | 147 cm | Kuch nahin | 40 kg |
UP Police Salary
Sabse jyada log yahi poochte hai ki UP Police mein salary kitni hoti hai, toh aapko bata dein ki ismein aapki salary post ke hisab se hoti hai aur grade pay bhi hota hai. Matlab constable aur sub inspector ki salary alag-alag hoti hai jiski jaankari humne niche batayi hai.
Constable ki salary
Constable salary | 5200/- se 20200/- |
Grade Pay | 7200/- |
Sub Inspector (SI) ki salary
Sub Inspector salary | 9300/- se 34800/- |
Grade Pay | 12,600/- |
Toh aap dekh sakte hai ki UP police mein salary toh achhi milti hai aur aage bhi scope rahta hai.
Note: Salary mein update ho sakta hai.
UP Police Online Form 2020
Aaj aadhe se jyada kaam internet par hone lage hai toh yeh jayaj hai ki UP Police vacancy ke form bhi online hi bhare jaayenge. Ji haan, ismein apako online hi form daalna hoga jab bharti aati hai tab.
UP Police mein form bharne ke liye aapko step follow karne honge
1⃣) Sabse pahle aapko iss website par jana hoga – (https://cdn.digialm.com//per/g01/pub/1339/ASM/WebPortal/2/index.html?1339@@2@@1#!)
2⃣) Jab yeh site khul jaati hai toh aapke saamne 2 option dikhenge (1) Click here for Application Registration aur (2) Click here for login. Toh aap pahli baar form bhar rahe hai toh pahle wale button par click karna hoga.
3⃣) Application Registration ke button par click karne ke baad ek naya page khul jaayega jismein aapko apni jaankari bharni hogi. Ismein aapse yeh poocha jaayega – Applicant First name, Applicant middle name, Applicant last name, Fathers name, date of birth, mobile no., email address aur sabse niche captcha daalna hoga phir Register par click karna hoga.
4⃣) Applicants ki fee online credit/debit card ya internet banking dwara karni hogi yaa offline e-chalan se kar sakte hai.
Iss prakar aapka registration ho jaayega aur phir baaki janakari jo maangi jaayegi wo daalni hogi.
UP Police Admit Card
Ab hum baat karenge UP Police admit card ke baare mein ki aapko kaise mil sakta hai. Matlab aap kaise download kar sakte hai. Toh niche humne link di hai waha se aap apna admit card download kar sakte hai.
UP Police Bharti ka selection process
Uttar Pradesh Police bharti ka selection 4 stage mein hota hai. Ji haan ismein aapko sabse pahle written examination dena hoga aur uske baad document Verification and PMT, Physical Efficiency Test aur Final Selection hota hai.
Toh iske baare mein aap niche point by point vistar se padh sakte hai.
1⃣ Written examination
Sabse pahle aapka written exam jo offline aur objective type ka hota hai. Isko clear karne waale hi agle test mein jaate hai.
2⃣ Document Verification and PMT
Written exam ko clear karne ke baad candidates ko document verification aur PMT (physical measurement test) se gujrana padta hai. Ismein aapke documents check kiye jaate hai aur height, weight, chect maapa jata hai.
3⃣ Physical Efficiency Test
Jo candidates doosra stage clear kar dete hai unhein teesre stage physical efficiency test ko clear karna hota hai.
Ismein constable aur sub inspector ki dono post mein males ko 25 minute mein 4.8 km running karni hoti hai aur females ko 2.4 km 14 minutes mein. Toh yeh test bhi clear karna bahut jaruri hota hai.
4⃣ Final Selection
Iss tarah last stage hota hai final selection ka jismein merit list ke base par result nikala jata hai.
UP Police Syllabus
Jaisa ki aapko pata hi hai ki kisi bhi government job mein aapko exam toh dena hi hoga. Toh saaf hai ki ismein bhi aapka exam hoga aur uska syllabus jaanna jaruri hai.
UP Police Sub Inspector Ke liye Syllabus
Subjects | Subjects |
General Hindi
Comprehension, Antonyms, Word Knowledge, Letter Writing, One Word Substitutions, Synonyms, Idioms Phrases, Sentence Correction, Use of Words etc. | Law & Constitution
Indian Constitution, Aim of the Constitution, Social Law related to Women & Children, Directive principles, Fundamental Rights, Rules & Regulations of Constitutional Amendments, All India Service, Wildlife Conservation, Reservation of SC/ ST. Environment, National Security Issues, Human Rights, Traffic Rules, The right of Self Defence, The principle of Crime Punishment, General Knowledge of Law etc. |
General Knowledge
India and its Adjacent Countries, Current Affairs – National & International, National/International Awards, Indian History, Capital, Scientific Progress/Development, Indian Languages, Indian Geography, Script, Books, Currency, Sports-Athlete etc. | Numerical Aptitude
Number System, Simplification, Profit & Loss,HCF LCM, Ratio & Proportion, Decimal & Fraction, Percentage, Compound Interest, Discount, Simple Interest, Distance, Mensuration, Time & Work, Partnership, Use of Table & Graph, Miscellaneous. |
Mental Ability
Logical Diagrams, Letter and number series, Codification, Perception Test, Symbol-Relationship Interpretation, Word formation Test, Letter and number coding, Word and alphabet Analogy, Common Sense Test, The logical interpretation of data, Direction Sense Test, The forcefulness of argument etc. | Mental Aptitude Test
Professional Information, Law & Order, Interest in Profession, Crime Control, Public Interest, Rule of Law, The ability of Adaptability. Sensitivity towards minorities and underprivileged. Police System. Contemporary Police Issues & Law and order. Basic Law. Communal Harmony. Mental Toughness. Gender sensitivity etc. |
General Intelligence
Relationship and Analogy Test, Direction Sense Test, Series Completion, Coding-Decoding, Spotting out the dissimilar, Time sequence test, Blood Relations, Problems based on Alphabet, Mathematical Ability Test, Venn Diagram & chart type test, Arranging in Order etc. | General Reasoning
Analogies. Similarities. Differences. Visual memory. Problem Solving. Space visualization. Analysis and Judgment. Decision-making. Concepts. Discrimination. Observation. Relationship. Verbal & Figure Classification. Arithmetical Reasoning. Arithmetical Number Series etc. |
UP Police Constable Ke liye Syllabus
Sections | Topics |
General Knowledge aur Current Affairs | History, Culture, Geography, Economics, Indian Constitution, Sports, Literature, Science, Literature, Awards and Honours, Books and Authors, Personalities, Places of Importance, Days and Dates, Appointments, Current Events, News |
Numerical Ability | Number Systems, Ratio and Proportion, Number System, Fundamental Arithmetic Operations, Averages, Simple and Compound Interest, Profit and Loss, Discount, Mensuration, Time , Work and Distance, Percentages, Pipes and Cistern, Boat and Stream, Time Speed & Distance, HCF and LCM, Partnership, Problems on Ages |
Reasoning Ability | Arithmetic Reasoning, Analogy, Coding-decoding, classification, Missing Number, Venn Diagram, Matrix, Cube & Dice, Series, Mirror Image, Water Image, Counting of Figures, Pattern completion, Number Series, Blood Relation. |
Hindi | Bhasha hindi vyakaran ki mool baate, Hindi aur anya bhartiya bhashayein, Hindi Vyakaran ka maulik gyan, Hindi varnmala tadbhav-tatsam, Paryayvachi vilom, Anekarthak vakyansho ke sthan par ek shabd, samrupi bhinnarthak shabd, Ashudh vakyo ko shudh karna, ling vachan, karak, sarvnam visheshan, kriya, kaal, vaachya, avyay, upsarg, pratyay, sandhi, samas, viram-chihn, muhavare aur lokokti, ras, chhand, alankar etc, apthit bodh, prasidh kavi, lekhak aur unki prasidh rachnaye, Hindi bhasha mein puraskar. |
Result
UP Police Constable ka result dekhne ke liye link par click karein.
Police ki other bharti
Saari Latest Police Bharti 2020 Updates ke liye click karein
Iss prakar UP Police Bharti ke baare mein aapko poori jaankari mil gayi hongi aur agar kuch poochna hai toh aap humein comment mein pooch sakte hai.
Kya minmum to maximum height kitne honi chahiye
Humne upar article mein puri jaankari de hui hai. Please dhyan se padhe.
Meri age 17 sal hai Kya me form dal sakta hu
18 se pehle nhi bhar sakte form.
Posting ghar ke pass lagti hai ya bahar
Aisa kuch nahin hota hai ki aap jahan se hai wahi post lage. Posting kahin bhi ho sakti hai.
Sir meri waif ki height 149 h kya ho form Dal Sakti h plz mujhe btaye
Nahin, minimum height 152 cms hai.
Sir general constable k age bhi 25 year kro
Hum isme kuch nahi kar sakte.