SSC Stenographer Recruitment 2020 Ki Puri Jaankari

ssc stenographer admit card

Staff Selection Commission mein bahut saari post nikalti hai jismein aap apply karke sarkari naukri kar sakte hai. SSC MTS, SSC CHSL ke alava SSC Stenographer bhi ek post hai jismein recruitment nikalti hai aur lakho log apply karte hai. Toh aaj hum Josh Kosh par SSC Stenographer ke baare mein vistar se janenge.

SSC Stenographer Ki Date Aa Gayi Hai, Click Karke Abhi Apply Kare

Aap Niche Link Par Click Karke Topic Padh Sakte Hain

SSC Stenographer Kya Hai

SSC Stenographer Important Dates 2020

SSC Stenographer Ke Liye Qualification

SSC Stenographer Ke Liye Eligibility Criteria

SSC Stenographer Ki Application Fees

SSC Stenographer Pattern

SSC Stenographer Exam Syllabus

SSC Stenographer Ka Selection Process


SSC jiska matlab Staff Selection Commision hota hai aur stenographer ek post hoti hai jismein exam dekar clear karna hota hai. Stenographer ke kaam ke baare mein batayein toh computer par shorthand mein typing karni hoti hai.

SSC Stenographer Recruitment 2020

Isi beech agar hum SSC Stenographer Recruitment 2020 ki baat karein toh iski notification nikli chuki hai. Aapko bata de ismein Grade wise post nikalti hai jismein Grade C aur D hote hai.

Start Apply Dates: 20 September 2019

Apply ki last date: 18-10-2019

Online fee payment ki last date: 20-10-2019

Offline Challan se fee payment ki last date: 22-10-2019

Computer Based Examination: 05 to 07-05-2020

Official Notification

Abhi Apply Kare


SSC Stenographer Ke Liye Qualification

Staff Selection Commision ki stenographer ki post mein agar hum educational qualification ki baat karein toh ismein 10+2 ya equivalent education waale candidates apply kar sakte hai jinhone recognized Board yaa University se padhai kari hai. Iska matlab aap 10th pass karne ke baad sidhe iss post ke liye apply nahin kar sakte hai.


SSC Stenographer Ke Liye Eligibility Criteria

Citizenship

Ek candidate jo:-

(1). Bhartiya nagrik ho ya

(2). Nepal ka ya

(3). Bhutan ka ya

(4). Ek Tibbati sharnarthi jo 1 January 1962 se pahle Bharat mein sthayi roopse rahne ke irade se aaye the ya

(5). Bhartiya mool ka vyakti jo Pakistan, Barma, Srilanka, Kenya, Yuganada, Tanzaniya Sanyukt Ganrajya (Pahle Tanganyika aur Zanzibar), Zambiya, Ethiopia, Zaire, East African aur Kenya, Uganda, Malawi, and Myanmar se visthapit hokar India mein basane ke uddeshya se aaya ho, us pratibhagi ko upar likhi shreniyo mein (ii), (iii), (iv) & (v) mein aane ke liye Bharat Sarkar dwara jaari kiya gaya certificate hona chahiye.

Yahan niche dekhein Age Limit

Stenographer Grade C ke liye: 18 se 30 years.

Stenographer Grade D ke liye: 18 to 27 years.

Inn dono hi grades ko candidates ko rules ke anusar relaxation di jaati hai jiski table mein poori jaankari di gayi hai.

S. No. CategoryAge-Relaxation
01SC/ ST05 saal
02OBC03 saal
03PwD (Unreserved)10 saal
04PwD (OBC)13 saal
05PwD (SC/ ST)15 saal
06Ex-Servicemen (ESM)03 saal
071 January 1980 se 31 December 1989 ke dauran jo candidates Jammu & Kashmir mein rahne aaye.05 saal
08Raksha Karmik (Defence Personnel) jo videsh mein (foreign country) mein operation ke dauran disabled ho gaye hai unhein.03 saal
09Raksha Karmik (Defence Personnel) jo videsh mein (foreign country) mein operation ke dauran disabled ho gaye hai unhein (SC/ ST)08 saal
Sirf Grade C mein upper age limit ke liye relaxation
10Central govt. civilian employees: jinhone online aavedan prapt karne ki last date tak kam se kam 3 saal ki regular aur lagatar service ki hai.40 saal ki age tak
11Central govt. civilian employees: jinhone online aavedan prapt karne ki last date tak kam se kam 3 saal ki regular aur lagatar service ki hai. (SC/ ST)45 saal ki age tak
12Widows/ Divorced Women/ Women judicially separated aur unka phir se vivah nahin hua ho.35 saal ki age tak
13Widows/ Divorced Women/ Women judicially separated aur unka phir se vivah nahin hua ho. (SC/ ST )40 saal ki age tak
14Service Clerks in the last year of their colour service in the Armed Forces

 

Armed Forces mein apne antim saal ki color service mein sevarat clerk

45 saal ki age tak
15Service Clerks in the last year of their colour service in the Armed Forces

 

Armed Forces mein apne antim saal ki color service mein sevarat clerk (SC/ST)

50 saal ki age tak
16Retrenched census employees of the office of the Registrar General of India (They will be considered only for offices under RGI in their order of merit and subject to availability of vacancies )

 

Bharat ke General registrar ke office ke chantni kiye gaye (Retrenched) janganna karmchari (census employees) (wo apni variyata aur khaali jagaho ki availability ke basis par sirf bharat ke General registrar ke office ke liye dekhe jaayenge.)

3 years plus length of service rendered by them in connection with census, before retrenchment and weightage of past service

 

Chantani (retrenchment) se pahle janganna se related unke dwara di gayi 3 saal se adhik ki service aur past service (weightage)


SSC Stenographer Ki Application Fees

Ab agar hum Stenographer ki fees ki baat karein toh iski application fee Rs. 100/- (General aur OBC). Jo candidates SC/ST/PWD/Ex-servicemen ki category se belong karte hai aur saath hi female candidates ki fees mein poora relaxation diya jata hai.


SSC Stenographer Pattern

Staff Selection Commission ki Stenographer ke exam mein jo pattern hota hai wo aap yahan niche dekh sakte hai aur uske baad iski taiyyari kar sakte hai.

PartSubjectQuestionsMaximum

 

Marks

TimeVisually

 

Handicapped

candidates ke liye time

IGeneral Intelligence &

 

Reasoning ( 50 questions)

50502 ghante2 ghante 40

 

minute

IIGeneral Awareness

 

(50 questions)

5050
IIIEnglish Language aur

 

Comprehension

( 100 questions )

100100

SSC Stenographer Exam Syllabus

Pattern ke alava aapko iss exam ke liye syllabus bhi jaanna chahiye ki kis-kis subject ke questions pooche jaate hai aur kya marks rahenge. Toh chaliye Stenographer Grade C aur D ka syllabus jaante hai.

SSC Stenographer mein General Intelligence And Reasoning ka syllabus

1. Analogies
2. Similarities and differences
3. Space Visualization
4. Problem Solving
5. Analysis
6. Judgment
7. Decision making
8. Visual memory
9. Discriminating observation
10. Relationship concepts
11. Arithmetic reasoning
12. Verbal & Figure Classification
13. Arithmetical number series
14. Non-verbal series etc
15. Abstract ideas & symbols
16. Relationship, arithmetic computation, analytical functions of abstract ideas & symbols.

General AwarenessSSC Stenographer Syllabus

1. Indian History – Indian Independence Movement, Mughal Empire, etc.
2. Indian Polity
3. Indian Geography – Soil in India, Indian Crops, Farming and Irrigation in India, Indian Rivers, etc.
4. Indian Constitution & Scientific Research
5. Art and Culture
6. India and World Economics Scenes
7. Awards and Honours
8. Countries, Currencies, and Capitals
9. Indian Economy
10. Government Policies and Schemes
11. Events and affairs of National and International Importance
12. Days and Events
13. Indian Neighboring countries Sports
14. Books and Authors
15. Science and Technology

English Language and Comprehension SSC Stenographer Syllabus

1. Basic English Grammar & sentence structure
2. Parts of Speech – Noun, Pronoun, Verb, Preposition, Conjunction, etc.
3. Articles
4. Active and Passive Voice
5. Direct and Indirect Speech
6. Fill in the Blanks
7. Cloze Test
8. Sentence Correction
9. Spellings
10. Phrases and Idioms
11. Antonyms and Synonyms
12. Spotting Errors
13. Parajumbles
14. Phrase Replacement
15. Comprehension Reading

Iss prakar SSC Stenographer ki recruitment mein inn sabhi subjects se aapse MCQ pooche jaayenge jinke marks 200 honge aur yeh 2 ghante mein complete karna hoga. Agar aapko kisi sawal ka javab pata nahin hai aur galat bata dete hai toh uske har galat answer ka 0.25 marks kaat lete hai.


SSC Stenographer Ka Selection Process

SSC ki stenographer recruitment mein agar selection process ki baat karein toh ismein chayan 2 stages mein hota hai jismein (1) Written Examination aur (2) Skill Test. Inn dono test ko clear karna jaruri hai iss post par naukri karne ke liye.

(1) Written test mein 200 Multiple Choice ke question hote hai jinhein 2 ghanto mein answer karna hota hai. Har question ka 1 marks hota hota hai. Agar aap galat javab dete hai toh 0.25 marks cut ho jaayenge.

(2) Doosra test skill test hai ismein aapki speed test dekhi jaati hai ki aap kitni speed se computer par type kar sakte hai.

Stenographer Grade-D: 50 minutes ( English ); 65 minutes ( Hindi )

Stenographer Grade -C: 40 minutes ( English ); 55 Minutes ( Hindi )

Dhyaan rahe aapko yeh dono test pass karne hote hai nahin toh reject kar diya jaayega. Toh achhe se taiyyari ke saath yeh dono test dene chahiye.


Saari Latest SSC Bharti Updates 2020 ke liye click karein


Toh hum ummid karte hai ki aapko SSC Stenographer ke baare mein achhe se jaankari mil gayi hogi aur agar kuch poochna chaahte hai toh aap comment kar sakte hai.

जन्म से ही क्रिकेट का दीवाना हूँ लेकिन क्रिकेटर बन नहीं सका और अब विकिपीडियन बनकर खिलाड़ियों पर लिखना शौक बना दिया है।

2 COMMENTS

  1. Sir stanograp ki vancy kb aa rhi h or delhi highcourt me ..or aap bta rhe h ki stanograp ki vancy ssc m bhi hoti h …sir m bhut confuse hu ki kis m from film krna chahiye bt m stanograp ki tayari kr rhi hu …plz help me …sir sikll test .. writing test s kinte months baadh hota h plz reply me..

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here