SSC CPO jiska full form ‘Staff Selection Commission Central Police Organisation hai’. Central police mein Sub Inspector (SI) aur Assistant Sub Inspector (ASI) ki post hoti hai aur ye posts alag alag police/defence forces jaise Delhi Police, BSF, CISF, CRPF, RPF, SSB, aur RAF mein hoti hai. Iss article mein SSC CPO Exam ki puri jaankari di gayi hai.
SSC ne Sub Inspector (SI) Delhi Police, CAPFs, Assistant Sub Inspector (ASI) CISF ki notification nikal di hai.
SSC Stenographer Recruitment ki application nikal gayi hai, click karke abhi apply kare.
Aap iss article mein inn topics ke baare mein jaanenge:
SSC CPO 2019 Exam
SSC CPO Exam Date (SSC SI & ASI) ki post ke liye notification aa gayi hai.
SSC CPO Exam ki detail
Events | Dates |
---|---|
Online application submission | 17-09-2019 to 16-10-2019 |
Last date for making online fee payment | 18-10-2019 (17:00) |
Last date for payment through Challann (during working hours of Bank) | 19-10-2019 |
Download Admit card | December |
Date of Computer Based Examination (Paper-I) | 11-12-2019 to 13-12-2019 |
Date of Paper-II | to be notified later |
SSC CPO Eligibility
Ab hum baat karenge SSC CPO ki eligibility ke baare mein ki kaun ismein apply kar sakte hai, kya age honi chahiye etc jaante hai.
Nationality
Ek candidate jo:-
(1). Bhartiya nagrik ho ya
(2). Nepal ka ya
(3). Bhutan ka ya
(4). Ek Tibbati sharnarthi jo 1 January 1962 se pahle Bharat mein sthayi roopse rahne ke irade se aaye the ya
(5). Bhartiya mool ka vyakti jo Pakistan, Barma, Srilanka, Kenya, Yuganada, Tanzaniya Sanyukt Ganrajya (Pahle Tanganyika aur Zanzibar), Zambiya, Ethiopia, Zaire, East African aur Kenya, Uganda, Malawi, and Myanmar se visthapit hokar India mein basane ke uddeshya se aaya ho, us pratibhagi ko upar likhi shreniyo mein (ii), (iii), (iv) & (v) mein aane ke liye Bharat Sarkar dwara jaari kiya gaya certificate hona chahiye.
Age limit
Candidates ki age 20 saal se 25 saal ki honi chahiye as on 01.01.2020. Reserved category candidates ko upper age limit mein government ke rules ke hisab se relaxation di gayi hai.
Age Relaxation
Category | Minimum age limit | Maximum age limit |
OBC Candidates | 20 saal | 28 saal |
SC/ST Candidates | 20 saal | 30 saal |
SI & ASI CAPF’s post ke liye: Candidates (jo Jammu & Kashmir mein 1 January 1980 se 31 December 1989 ke dauran domiciled (rahne aaya) hua.) | 20 saal | 30 saal |
ASI in CISF post ke liye sirf: (i) Central Govt. Civilian Employees | 20 saal | 40 saal |
(ii) Central Govt. Civilian Employees (SC/ ST) | 20 saal | 45 saal |
Group ‘B’ aur ‘C’ posts ke liye:Ex-Servicemen candidates | 20 saal | 28 saal |
Sirf Group ‘C’ posts ke liye:(i) Candidates (Vidhwa/Talakshuda mahila/mahilao ko nyayik roop se alag kar diya aur phir unhone phir se shaadi nahin ki. | 20 saal | 35 saal |
(ii) SC/ST Candidates (Vidhwa/Talakshuda mahila/mahilao ko nyayik roop se alag kar diya aur phir unhone phir se shaadi nahin ki. | 20 saal | 40 saal |
Delhi Police post ke liye: (i) Departmental candidates of Delhi Police (unreserved) | 20 saal | 30 saal |
(ii) Departmental candidates of Delhi Police (OBC) | 20 saal | 33 saal |
(iii) Departmental candidates of Delhi Police (SC?ST) | 20 saal | 35 saal |
SSC CPO ke liye Physical Standard
Category | Height
(in Cm) | Chest (in Cm) | |
Unexpanded | Expanded | ||
(i) General ke sirf male candidates ke liye. | 170 | 80 | 85 |
Woh candidates jo pahadi areas jaise Garhwal, Kumaon, Himachal Pradesh, Gorkhas, Dogras, Marathas, Kashmir Valley, Leh & Ladakh regions of J&K, North-Eastern States aur Sikkim se hai. | 165 | 80 | 85 |
Scheduled Tribes ke sabhi candidates. | 162.5 | 77 | 82 |
(ii) General ke sirf female candidates ke liye. | 157 | – | – |
For candidates belonging to Hill areas of Garhwal, Kumaon, Himachal Pradesh, Gorkhas, Dogras, Marathas, Kashmir Valley, Leh & Ladakh regions of J&K, North-Eastern States and Sikkim | 155 | – | – |
Scheduled Tribes ke sabhi candidates. | 154 | – | – |
SSC CPO Qualification
- Bachelor degree zaruri hai apply karne ke liye. Graduation kisi bhi field mein ho sakti hai par recognized Institute/University se honi chahiye.
- Apply karne waale candidates ka result declared ho jaana chahiye uske baad hi apply karein, jinka final year ka result nahin hai wo eligible nahin honge.
- Agar kisi candidate ki graduation 01.01.2020 tak complete nahi hui hai to vo apply nahi kar sakte.
- Open University/Distance Learning School ke graduates bhi apply kar sakte hai.
SSC CPO Salary
- Sub-Inspector (GD) in CAPFs: Pay scale Level-6 (Rs.35,400-1,12,400/-) Group “B” (Non-Gazetted), Non-Ministerial.
- Sub Inspector (Executive) – (Male/ Female) in Delhi Police: Pay scale Leve-6 (Rs.35,400-1,12,400/-), Group “C” (Non-Gazetted) by Delhi Police.
- Assistant Sub-Inspector (Executive) in CISF: Pay scale Level-5 (Rs.29,200-92,300), Group “C” (Non-Gazetted).
SSC CPO Apply Online
Aapko bata dein ki SSC CPO SI & ASI ki jab notification nikalti hai toh uske liye registration online hi hota hai aur uska process aap niche dekh sakte hai.
Step 1: Sabse pahle SSC ki official website par jaaye: ssc.in
Step 2: Homepage par right side par Register Now par click kare agar new registration hai.
Step 3: Iske baad khali box dikhenge jismein candidates ko apni jaankari bharni hoti hai. Ismein basic details bharni hoti hai jaise name, parents’ name, date of birth, email id, mobile number etc.
Step 4: Phir jab sab bhar diya jaata hai toh Submit button par click karna hai. Submit karne se pahle aapko apni details ek baar dekh leni hai ki kahin kuch galat toh nahin bhar diya. Sabhi candidates ko Registration ID di jaayegi jinhone SSC CPO 2019 exam ke liye form bhara hai.
Candidates di gayi registration ID, date of birth aur password se SSC CPO 2019 ke liye site par login kar paayenge.
Step 5: Agle step mein, candidates ko apna photograph aur signature upload karna hoga jo official notification mein bataya hoga.
Photograph – Photograph ki white colour or light colour ki background honi aur uski size 4 kb se 12 kb honi chahiye. Jabki resolution 100×120 pixels in width and height mein honi chahiye.
Signature – Signature black yaa blue ink mein white sheet par hona chahiye. Aur signature ki scanned copy jpg format mein aur 1 kb se 12 kb ke andar honi chahiye. Resolution 40×60 pixels honi chahiye.
Step 6: Registered ID aur password ke saath login karne ke baad SSC CPO 20019 ka Part-II bharna hota hai.
Step 7: Application form bharne ke baad, candidates ko ek baar dekh leni chahiye.
Step 10: Iss tarah SSC CPO application form ko sahi se dekhne ke baad Final Submit button par click karna hai. Yahan application form ko print karne ka bhi option hota hai.
Aakhir mein candidates ko application fee bharni hoti hai SSC CPO 2019 ke liye. Fee online mode yaa offline mode mein bhar sakte hai aur iski fee Rs. 100/- hai.
SSC CPO official notification ke liye click kare
SSC CPO Selection Process
SSC CPO selection process 4 phases mein karta hai.
Phase 1: CBT Paper I
Phase 2: Physical Standard Test (PST)/ Physical Endurance Test (PET)
Phase 3: Paper II
Phase 4: Detailed Medical Examination (DME)
SSC CPO Exam Pattern 2019
SSC CPO Exam ek Computer Based Examination (CBT) hota hai.
Exam type: Objective (Multiple Choice Questions)
Exam language: Questions English aur Hindi dono mein honge sirf English Comprehension ke section ke alava.
SSC CPO Paper I Exam Pattern 2019 (Preliminary Exam)
Exam Date: 11-12-2019 to 13-12-2019
Subject | No. of Questions | Marks | Time Limit |
General Intelligence and Reasoning | 50 | 50 | 2 ghante |
General Knowledge and General Awareness | 50 | 50 | |
Quantitative Aptitude | 50 | 50 | |
English Comprehension | 50 | 50 | |
Total | 200 | 200 |
Note: Negative marking hogi jismein 0.25 marks cut kiye jaayenge har galat jawab ke.
SSC CPO Paper II Exam Pattern 2019 (Mains Exam)
Exam Date: abhi aayi nahi hai. Jab aayegi yaha update kardi jayegi.
Subject | No. of Questions | Marks | Time Limit |
English Language and Comprehension | 200 | 200 | 2 ghante |
Note: Negative marking hogi jismein 0.25 marks cut kiye jaayenge har galat jawab ke.
Minimum qualifying marks: Paper I & II
- UR: 30%
- OBC/ EWS: 25%
- All other categories: 20%
SSC CPO Syllabus
Ab baat aati hai ek aur sabse bade topic ki aur wah hai ki SSC CPO ka syllabus kaisa rahega, kis type ke question pooche jaayenge etc. Toh niche humne subjects wise syllabus bataya hai jo aapke liye helpful rahega.
Syllabus mein honge yeh subjects
- General Intelligence and Reasoning
- General Knowledge and General Awareness
- Quantitative Aptitude
- English Comprehension
SSC CPO General Intelligence and Reasoning Syllabus
CPO SI & ASI mein Candidates se verbal aur non-verbal reasoning dono se question pooche jaayenge. Ismein yeh-yeh topics honge:
1. Analogies | 2. Similarities and differences | 3. Space visualization |
4. Spatial orientation | 5. Problem-solving | 6. Analysis |
7. Judgment | 8. Decision making | 9. Visual memory |
10. Discrimination | 11. Observation | 12. Relationship concepts |
13. Arithmetical reasoning and figural classification | 14. Arithmetic number series | 15. Non-verbal series |
16. Coding and decoding | 17. Statement conclusion | 18. Syllogistic reasoning |
SSC CPO General Knowledge and General Awareness Syllabus
General knowledge aur general awareness topic SSC CPO ke liye bahut bada topic hai. Ismein GK aur GA ka gyaan rakhne waalo ke liye bahut achha hai.
Ismein subject mein yeh topics aayenge:
1. General awareness of the environment around and its application to society | 2. Current Affairs |
3. History (Ancient, Medieval, Modern) | 4. Geography (Physical, World) |
5. Economic Scene (Indian Economy) | 6. General Polity (Indian Polity) |
7. Indian Constitution | 8. Scientific Research (Chemistry, Biology, Physics) |
9. Static GK (Important Books, Days, Awards and Arts & Culture) |
SSC CPO Quantitative Aptitude Syllabus
SSC CPO mein Quantitative Aptitude Syllabus subjects mein inn topics mein se sawal pooche jaayenge:
1. Whole numbers | 2. Decimals | 3. Fractions and relationships between numbers |
4. Percentage | 5. Ratio and Proportion | 6. Square roots |
7. Averages | 8. Interest | 9. Profit & Loss |
10. Discount | 11. Partnership Business | 12. Mixture and Alligation |
13. Time and distance | 14. Time & work | 15. Basic algebraic identities of School Algebra and Elementary surds |
16. Graphs of Linear Equations | 17. Triangle and its various kinds of centers | 18. Congruence and similarity of triangles |
19. Bar diagram & Pie chart | 20. Triangle | 21. Quadrilaterals |
22. Regular Polygons | 23. Circle | 24. Right Prism |
25. Right Circular Cone | 26. Right Circular Cylinder | 27. Sphere |
28. Hemispheres | 29. Rectangular Parallelepiped | 30. Regular Right Pyramid with triangular or square base |
31. Trigonometric ratio | 32. Degree and Radian Measures | 33. Standard Identities |
34. Complementary angles | 35. Heights and Distances | 36. Histogram |
37. Frequency polygon | 38. Circle and its chords, tangents, angles subtended by chords of a circle, common tangents to two or more circles |
SSC CPO English Comprehension Syllabus
Inn sab ke alava ek aur subject hai english ka. Ji haan, english comprehension jismein kuch iss type ke question pooche jaayenge.
1. Spot the Error | 2. Fill in the Blanks |
3. Synonyms/Homonyms, Antonyms, Spellings/Detecting Mis-spelt words | 4. Idioms & Phrases |
5. One word substitution | 6. Improvement of Sentences |
7. Active/Passive Voice of Verbs | 8. Conversion into Direct/Indirect narration |
9. Shuffling of Sentence parts | 10. Shuffling of Sentences in a passage |
11. Cloze Passage | 12. Comprehension Passage |
Physical Standard Test and Physical Efficiency Test
Written test clear karne waalo ka baad mein Physical Standard Test aur Physical Efficiency Test hota hai. Ismein paper I clear karne waalo ko hi mauka diya jata hai.
Iss test mein aapki aapka physical standard dekha jata hai aur iske baare mein humne upar bataya hai. Aap yahan click karke phir se padh sakte hai.
Jabki Efficiency test mein kuch yeh test clear karne hote hai:
Male candidates ke liye:
- 100 meters race 16 seconds mein.
- 1.6 Kms race 6.5 minutes mein.
- Long Jump: 3.65 meters 3 chances mein.
- High Jump: 1.2 meters 3 chances mein.
- Shot put (16 Lbs): 4.5 meters 3 chance mein.
Female candidates ke liye:
- 100 meters race 18 seconds mein.
- 800 meters race 4 minutes mein.
- Long Jump: 2.7 meters 3 chances mein.
- High Jump: 0.9 meters 3 chances mein.
Note: Ex-serviceman candidates ko PET exam nahi dena hota.
Detailed Medical Examination (DME)
Jab physical standard aur efficiency test ko clear kar dete hai toh iske baad sabse last mein medical examination conduct kiya jata hai. Iss test mein aapka medical hota hai matlab aap fit ho yaa nahin yeh dekha jata hai. Ismein jo fit hote hai unka personal interview hota hai 100 marks ka.
Medical test mein candidates ko inn stages se gujarna padta hai.
i) Jumping over the Vertical Board;
ii) Holding the rope on jumping from the Board.
iii) Tarzan Swing;
iv) Jumping on the Horizontal Board;
v) Parallel Rope;
vi) Monkey Crawl;
vii) Vertical Rope.
SSC CPO Admit Card
SSC CPO Admit Card ke baare mein jaanne ke liye niche diye gaye button par click karein.
SSC CPO Result
Staff selection commission mein CPO ki post mein SI & ASI ka results online hi declare kiya jata hai. Results jab ghoshit honge tab aap yahan dekh paayenge.
Check SSC CPO Result Now
Saari Latest SSC Bharti Updates 2019 ke liye click kare
Iss prakar aapko SSC CPO 2019 ki puri jaankari mil gayi hogi, agar koi doubt ho ya kuch poochna hai toh humein comment box mein pooch sakte hai jiska jawab hum jald se jald dene ka prayas karenge.
Helpful information
Mai chhattisgarh se hun Kya mai apply kr sakti hun mai girl hun
Hanji aap kar sakti hai apply.
R/Madam,
I am from North – East Arunachal Pradesh,
my name is Hirubjuti Gogoi i have Completed Degree/Graduation & with other Qualification – Computer Course “PGDCA”
But, my Category is – General.
Mam, actually i am saying about SI – (Sub Inspector) Job, can i know Mam, i am Eligible Yaa Not in
this Job.
Yes you are eligible.
Mai up jhansi se hu Mai Kya Mai apply kr skti hu
Hanji kar sakte hai.Ye All India vacancy hai
I’m ex servicemen from Indian army. Can I apply for the post of SI and ASI.If yes than age and please tell how many vacancies are reserved for ex-servicemen in this year
Hi Krishan, Yes you can apply. We have provided all the info in the article. Kindly read it.
[email protected] Sr my name sujit my colifikesan 10th pass keya me Iss job ke liye apply kar sakta hoon
Nahi iske liye Graduation zaruri chahiye.
12th pas Vale kar sakte h ??
Nahi iske liye grduation honi zaruri hai.
Aap sabhi Bhout he aachee tarikyy se jankareya uplabdhh kraa rhy ho
Eskee leye sukreya 🤙🏻
Hlw sir
M final year m hu and mene apply kr di h cpo m Bt graduation aug 2020 tk hogi to mera selection hua to muje lenge kya ?
Nahi, aap nahi kar sakte apply kyunki graduation degree zaruri hai.
10th & diploma baise Mai apply kr skte hai kya..
si