Last Update: 22 January 2020

India mein Rajasthan sabse bade state mein se ek hai aur jab yahan police ki bharti nikalti hai toh laakhon log apply karte hai. Rajasthan police mein GD constable ke alava constable driver, constable band, constable ghudsawar, constable Dog squad aur constable operator and RAC ke liye post nikalti hai.

Rajasthan Police Constable Ki Notification aa Gayi Hai

🔖 Rajasthan Police SI Recruitment

Rajasthan Army Rally Bharti Ke Liye Yahan Click Karien


Aap Yahan Niche Diye Gaye Topic Par Click Karke Seedhe Padh Sakte Hai.

Rajasthan Police Vacancy 2020

Rajasthan Police Recruitment 2020 Ki Important Dates

Yeh honi chahiye Qualification

Rajasthan Police Physical Standard aur Eligibility

Rajasthan Police Ke Constable Ki Salary

Rajasthan Ki Police Bharti Ka Online Form

Constable Post ka Pattern

Form Bharne Ke Liye Jaruri Documents

Rajasthan Police Selection Process


Rajasthan Police Bharti 2020

Rajasthan Police Constable Recruitment 2020 ki notification aa gayi hai. Iss baar bharti mein Constable GD aur driver post ke liye 5000 posts ke liye online form nikaale hai.

  • Constable GD mein general ke liye 3050 vacancy hai aur TSP area ke liye 1591.
  • Constable driver ki post ke liye general ke liye 347 aur TSP ke liye 12 vacancy hai.

2020 Ki Official Notification

Reservation

Rajasthan Police Recruitment mein constable ke liye reservation bhi milta hai jo kuch iss tarah se hai.

General category ke candidates chahe vo Rajasthan se ho ya other state se ho unke liye seats reserved nahi hai. Lekin SC/EWS/ BCA/BCB category ke candidates jo Rajasthan state ke resident hai unke liye seats reserved hai. 

Mahilaon ke liye reservation

Mahilaon ko ismein 30% reservation horizontal roop se category wise milta hai. Female ko reservation unki category ke anusar diya jaayega.

State government ke anusar sidhi bharti mein mahilaon ke liye 305 aarakshan mein se 85 vidhvao ko aur 2% divorced female ke liye hoga.

Married mahilaon ko apne pita ke naam aur sthan ke basis par jaari caste certificate (SC/ST/OBC/MBC/Sahariya/TSP) dena hoga.

Ex-servicemen

Toh Rajasthan Police constable mein ex-serviceman ko 12.5% reservation diya jaayega. Candidates (SC/ST/OBC/MBC/Sahariya/TSP) ka hona chahiye.

TSP kshetra ke SC/ST aur Sahariya caste ke liye

State government ke anusar TSP kshetra mein ST keliye 45% reservation rahega aur aur SC ke liye 5% aur shesh 50% unreserved posts keval sthaniya applicants ke liye reserved rahenge. Inn kshetro mein pichda category aur MBC category ke liye reservation zero rahega.

Khiladiyo ke liye reservation

Iss prakar Rajasthan Police Constable mein khiladiyo ke liye alag se 2% seats reserved hoti hai lekin wo mool roop se Rajasthan ke hone chahiye.


Rajasthan Police Vacancy 2020 Ki Important Dates

Important Dates

  • Online application start hogi: 19 December 2019
  • Online application ki last date: 10 February 2020 (Extended)
  • Exam ki date: February/March 2020

Official Notification

Apply Now


Rajasthan Police Qualification

Wahi agar Rajasthan Police Qualification ki baat karein toh kuch iss tarah ki ho sakti hai jo humne niche batayi hai.

GD constable / driver / band / ghudsawar / Dog squad operator ki educational qualification

Dist./Unit/BattalionMinimum Education
Dist. Police/Intelligence Recognized school/board se 10th pass
RAC/MBC BattalionRecognized school/board se 8th pass
Police Doorsanchar operator Recognized school/board se 10+2 Science, physics maths subject se kisi samkakshak se pass ki hui honi chahiye.

Note: (i) Constable driver ke post ke liye candidates dhyaan de ki unke paas 1 saal pahle bana driving licence hona chahiye.

(ii) Jo candidates abhi padh rahe hai aur unka result nahin aaya hai toh wo bhi apply kar sakte hai lekin PST ke time mark sheet aur related certificate submit karne honge.

Rajasthan Police Physical Standard aur Eligibility

Ab hum baat karte hai Rajasthan Police Vacancy ki physical standard aur eligibility ki. Ji haan, jaisa ki upar humne dekha ki constable aur sub inspector ke liye education qualification alag hoti hai toh eligibility criteria mein bhi jarur alag-alag hoga, chaliye dekhte hai.

Constable ke liye category wise Age limit

Rajasthan Police Constable Physical Standard

Physical StandardsGeneral Sahariya Tribe
 MaleFemaleMaleFemale
Minimum Height168 cm152 cm160 cm145 cm
Chest (Sirf male candidates ke liye)Bina phulaye – 81 cm

 

Phulakar – 86 cm

NABina phulaye – 74 cm

 

Phulakar – 79 cm

NA
Weight (Sirf female candidates ke liye)NA47.5 kgNA 43 Kg

Note: agar general category ke liye batayi gayi physical standard ke anusar SC/ST ke candidates available nahin hote hai toh unhe height aur chest mein 5 cm ka relaxation diya jaayega.

Medical criteria

Candidate ki dono aankho ka vision 6X6 bina chashme ke hona anivarya hai. 

Candidate maansik roop se jagruk, healthy hona chahiye jisse koi rog nahin hua hona nahin chahiye.

Candidates ke ghutne aapas mein takraane (Knock-knee), nase phooli hui hona (varicose veins), bhaingapan (squint), rataundhi (night blindness), color blindness, haklakar bolna (stammering), flat foot ya anya koi aisi sthiti ahin honi chahiye.


Rajasthan Police Constable Salary

Salary har naukri ke liye sabse badi baat hoti hai iss karan aap yahan Rajasthan Police Vacancy ke Constable ki salary dekh sakte hai.

Constable ki salary

Constable salary5200-20200/-
Grade Pay2400/-

Note: Ismein rajya sarkar ki taraf se bhatta (allowance) bhi diya jayega.


Rajasthan Police Online Form

Ab hum baat karenge ki Rajasthan Police Recruitment ka online form kaise bhara jayega aur uske liye kya-kya jaruri hota hai. Toh niche diye steps ko follow karein.

1) Sabse pahle candidates ko official website par jana hai jo yeh link hai https://rpsc.rajasthan.gov.in/

2) Iske Candidates ke saamne website khul jayegi aur upar left side mein ‘Apply Online’ ka option dikhai dekha jahan click karna hoga. Dhyan rahe jinhone pahle se register kar diya hai wo login karein apne E-mitra ID aur password se. Agar aapne pahle se registration nahin kiya hai toh ‘Registration’ par click karna hai.

3) Sahi se form bharne ke baad login karke form bhar sakte hai.

4) Form bharne ke baad candidates apne application form ko ‘Application Preview Page’ par click karke check kar sakte hai.

5) Achhe se bharne se aur check karne ke baad aapko ‘Submit’ button par click kar dena hai.

6) Application bharne ke baad aapko application fee pay karni hoti hai.

Note: Rajasthan Police constable ke liye apply karne ke liye SSO ID hona jaruri hai. Agar aapke paas id nahin hai to aap Yahan Click karke bana sakte hai.

Application Fee

Rajasthan Police constable ke liye jab aap online apply karenge toh aap fees bhi bharni padegi jo niche category anusar batai gayi hai.

(A) General aur OBC / MBC category ke applicants ko Rs.400/-

(B) SC/ST/Sahariya ke candidates ko Rs. 350/-

(C) General aur OBC / MBC category ke aise candidates jinke pariwar ki yearly income 2.50 lakh se kam hai – Rs. 350/-

Note: (i) Candidates ko apni income ka praman PST ke samay dena hoga.

(ii) Other state ke SC/ST waale candidates ki fee Rs. 400/- hogi.


Rajasthan Police Constable Pattern

Rajasthan Police Constable ke pattern ke baare mein baat karein toh 120 numbers ki objective type mein hogi aur uske liye 2 ghante ka samay milega. Pattern kuch aisa rahega jo niche table mein bataya gaya hai.

SubjectQues.Mark
Interpretation and logical abilities.3030
General knowledge, General science, Social science aur current affairs.3015
Rajasthan ki history, culture, arts, geography, politics aur economics.6030
Total12075
For Latest Update Follow on Instagram Right Now

Rajasthan Police Constable Vacancy Ke Liye Jaruri Documents

Rajasthan Police bharti mein jab aap online form bharte hai toh uske liye aapko kuch jaruri documents bhi chahiye honge.

  1. Educational certificates
  2. Age certificate
  3. Caste certificate
  4. Applicant agar Rajkiya karmchari hai toh iska certificate hona jaruri hai.
  5. Yadi candidate kisi aise police man ki santan hai jiske father iss duniya mein nahin rahe toh iske liye unki santan hone ka certificate dena hoga.
  6. Character certificate jo 6 mahine se jyada purana nahin hona chahiye.
  7. Ex serviceman certificate/pensionar hone ka praman patra.
  8. TSP/ Sahariya Kshetra ke logo ko praman patra.
  9. 2 color photo (4.5×3.5 cm
  10. Vidhva hone par praman patra.
  11. Constable driver ke liye Permanent Driving License (LMV/HMV) ki original copy.
  12. Agar home guard ke roop mein kaam kiya hai toh uska certificate.
  13. Jo khiladi hai unhe Rajasthan state ka domicile certificate dena jaruri hai.

For Latest Update Follow on Instagram Right Now

Rajasthan Police Constable Recruitment ka Selection Process

Inn sab point ko jaanne ke baad ab baari aati hai selection process ki matlab ab hum Rajasthan Police Selection Process ke baare mein jaanenge jo aapko clear karne honge.

Selection Procedure mein candidates ko kuch steps ko clear karna hota hai jo yeh hai.

StagesGD Constable/operatorDriver/Ghudsawar/band/Dog squad
Written exam7575
Physical standard aur Efficiency test1510
Efficiency Test Nil15
Vishesh Yogyata10Nil
Total marks100100

 1. Written Test

Sabse pahle Rajasthan Police Bharti mein written test hota hai. Yeh 3 parts mein hoti hai. Ise knowledge test bhi kahte hai jisse clear karne waale agle stage mein jaate hai. Written test mein 120 question hote hai jiske liye 75 marks milte hai sabhi ka javab dene par. Aur haan, Question ke answer OMR sheet mein dene honge.

Note: Constable band aur khiladiyon ka written exam nahin hoga.

Syllabus ke liye click karein

Note: Galat javab dene par ¼ marks kat kar diye jaayenge.

2. Physical Standard Test

Iss prakar jo candidates written test ko clear kar dete hai unko agle step physical standard test se gujarna padta hai. Isse sharirik mauptaul bhi kah sakte hai. Ismein height, chest/ weight measurements hoti hai. Agar koi ummidwar iss test mein fulfill nahin hota hai toh unhe reject kar diya jata hai.

Note: Agar koi candidate physical standard test mein fail ho jaate hai aur unhe lagta hai ki sahi se nahin hua hai toh board ko 500/- ki fee dekar usi din appeal kar sakta hai. Iske baad agar wo clear kar deta hai toh fee wapas kar di jaayegi aur selection process mein shaamil kar diya jaayega. Ismein Board ka faisla antim hoga.

3. Physical Efficiency Test (PET)

Recruitment mein written aur physical mein pass hone waale candidates ko PET mein mauka diya jaayega. Candidates ko iss test mein jaane se pahle State Medical se PET ki running mein bhaag lene hetu physically fit hone ka certificate related center par dena hoga. Iske baad hi unhe iss test mein shamil kiya jaayega.

Jo mahilayen pregnant hai unhen iss test mein bhaag na lene ki salah di jaati hai aur agar bhaag lete hai toh iski jimmedari unhi ke upar rahti hai.

Rajasthan Police Constable PET
GenderDistanceTime Marks
Male 5 Km20 minutes15
  20 – 22 minutes10
  22 – 25 minutes5
Female5 Km26 minutes15
  26 – 28 minutes10
  28 – 30 minutes5
Ex-serviceman/soldier5 Km25 – 25 minutes15
  25 – 26.30 minutes 10
  26.30 – 30 minutes5
Sahariya Tribe/SC/ST5 Km26 – 26 minutes15
  26 – 28 minutes10
  28 – 30 minutes 5
Note: Iss test mein sirf ek hi avsar diya jaayega matlab aap ek baar fail ho jaate hai toh doosra mauka nahin milega.

Jo candidates 5 marks bhi nahin laate hai unhe bharti ke process se bahar kar diya jaayega.

4. Efficiency Test

Efficiency Test GD constable aur operator ke liye nahin balki sirf Driver/band/Ghudsawar/Dog squad ke liye hota hai.

Constable driver- Pad ke candidates ki vahanon se related takniki jaankari, uska rakh-rahav aur gaadi chalane se judi pariksha li jaati hai.

Constable Band – Pad ke candidates ki band se judi takniki jankari, uska rakh-rahav aur tunes se judi pariksha li jaati hai.

Constable ghudsawar – Pad ke candidates ki ghudsawari mein dakshta, ghodo ke rakh-rakhav, khaan-paan aur unke health se judi pariksha lenge.

Constable dog squad – Pad ke liye dogs ke rakh-rakhav, khaan-paan aur unke health se judi pariksha lenge.

5. Vishesh Yogyata

Rajasthan Police Constable mein selection process mein 10 marks vishesh yogyta ke hote hai. Matlab certificate aur home gourd mein agar service ki hai toh uske marks diye jaayenge.

NCC Certificates

S. no.CertificateMarks
1.C – Certificate5
2.B – Certificate3
3.A – Certificate2

Home guard

S. no.Service ki durationMarks
1.5 saal seva karne waale5
2.2 saal seva karne waale3
3.1 saal seva karne waale2

5. Merit list

Iske baad written, PST, PET, Vishesh yogyata stages ko clear karne waale candidates ki merit list banai jaayegi aur phir usi ke aadhar par Medical test ke liye bulaya jaayega.

6. Medical test

Ismein aapka medical test hota hai. Aur usmein unhi ko shamil kiya jaayega jinko merit list ke aadhar par selection hua hai.


Haryana Police Bharti 2020 Apply Now


Saari Latest Police Bharti 2020 Updates ke liye click karein


Toh humein yahi ummid hai ki aapko Rajasthan Police Bharti/Rajasthan Police Vacancy ke baare mein achhe se pata chal gaya hoga aur phir bhi koi sawal poochna hai toh aap niche comment box mein jaakar pooch sakte hai.

जन्म से ही क्रिकेट का दीवाना हूँ लेकिन क्रिकेटर बन नहीं सका और अब विकिपीडियन बनकर खिलाड़ियों पर लिखना शौक बना दिया है।

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here