ips_officer_kaise_bane

UPSC Civil Services (IAS/IPS/IRS/IFS) 2020 ki notification ki aa chuki hai.

Indian police service (IPS) humare desh ke police department mein sabse badi position hoti hain. IPS Officer banana laakhon logo ka sapna hota hain aur har saal kaafi aspiring students iss sarkari naukri ke liye apply karte hain. IPS Officer ki post ko bahut prestigious professions mein se ek mana jata hain. Agar aapke andar chah hain desh ki sewa karne ki aur IPS Officer banane, toh iss article ko padhe. Iss article ke madhyam se hum aapko batayenge ki IPS kaise bane se judi saari jaankari.

Jaane IPS kaise bane:

IPS Officer kon hota hain

IPS Officer Duties

IPS Salary

IPS Officer Eligibility

IPS Application Procedure

IPS Kaise Bane

IPS Prelims

IPS Mains

IPS Preparation

IPS Personality Test

IPS Cut Off

IPS se jude sawal javab

UPSC ki jaankari

IPS Officer banane ke liye aapko UPSC dwara organise karvaye CSE exam dena hota hain jiska exam saal mein 1 baari hota hain. Iss exam ke liye 10 lakh se zyada students har saal apply karte hain par ye post kuch hi students ka selection hota hai. Ye exam pass karne ke baad rank ke hisaab se IPS, IAS, IRS, IFS ki positions milti hain.

UPSC ki puri jaankari ke liye click kare

IPS in Hindi 2020 ke liye padhe

IPS Officer kon hota hain

IPS ka full from hota hain Indian Police Service. IPS Officer senior level leadership provide karte hain Police forces ko- State aur Central mein. Indian Police Service ek ahem post hain All India Services ki aur 1950 mein ye constitute hua tha. Dusri do services, All India Services (AIS) ki hain Indian Administrative Service (IAS) aur Indian Forest Service (IFS).

IPS banana ka procedure baaki UPSC ki posts IAS,IRS aur IFS jaisa hi hota hain. Exam same hota hain CSE( Civil Services Examination) jo UPSC organise karvati hain bas farak rank ka aata hain. Sabse top rank vaale candidates IAS Officer bante hain aur uske baad rank wale IPS Officer bante hai. Toh ye posts rank ke according hote hain jo selection process ke final merit list mein clear hota hain. Isliye har saal humare desh mein sirf 150 ke aas paas IPS Officers bante hain.

IPS officers kaam karte hain as senior police officers. IPS officers maintain karte hain public peace aur order, crimes ko rokate hai, investigation aur intelligence karte hai aur terrorism yani aantanvaad ko khatam karne ka kaam karte hai.

IPS Officer Duties

IPS ek job nahi hain balki ek zimmedar duty hain. Duty apne desh ko serve karne ki aur society mein ek change laane ki. Niche humne list ke hisaab se ek IPS Officer ke job roles bataye hain-

1. IPS Officers desh ka law and order maintain karte hain aur police forces mein koi regulation lana hota hain toh vo unke through hi hota hain. SP/SSP ke roop mein ye district police ko control karte hain aur apne under ki police forces ki saari powers hoti hai.

2. Indian Police Service officers appoint ho sakte hain autonomous organizations/ sub-ordinate organizations/PSUs/UN Organizations/ International Organizations mein. Vo Personal Secretaries ke roop mein bhi serve kar sakte hain Ministers ko (Central Government).

3. IPS officers Central Armed Police Forces (CAPF) ko lead aur command karte hain jisme alag alag security forces aati hai jaise ki Central Police Organisations (CPO) aur Central Paramilitary Forces (CPF), Border Security Force (BSF), Central Reserve Police Force (CRPF), Indo-Tibetan Border Police (ITBP), National Security Guard (NSG), Central Industrial Security Force (CISF), Vigilance Organisations, Indian Federal Law Enforcement Agencies.

4. IPS Officers Indian Intelligence Agencies jaise Research and Analysis Wing (R&AW), Intelligence Bureau (IB), Central Bureau of Investigations (CBI), Criminal Investigation Department (CID) etc. ko bhi lead aur command karte hain.

IPS Salary

IPS Officer ki salary India mein starting mein Rs.56,100 approx. hoti hain. (DA, HRA, etc extra hota hain). Ye 7th Pay Commission recommendation ke baad hoti hain. IPS Officers ki salary unke ranks ke hisaab se humne niche diya va hain.

Designation or IPS rank  State Police/Central Police Force meinSalary as per 7th Pay Commission
Director General of Police ₹ 2,25,000
Additional Director General of Police ₹ 2,05,400
Inspector General of Police ₹ 1,44,200
Deputy Inspector General of Police ₹ 1,31,100
Senior Superintendent of Police ₹ 78,800
Additional Superintendent of Police ₹ 67,700
Deputy Superintendent of Police ₹ 56,100.00

IPS Officer Eligibility

1.Nationality

  • IPS Officer banane ke liye nationality Indian honi chahiye. Jiska matlab Indian citizen hi iss post ke liye apply kar sakta hain.

2.Educational Qualification-

  • IPS Officer banane ke liye aur CSE dene ke liye ek candidate ko graduate hona bahut zaruri hain. Iss se farak nahi padta kis stream se ya konse course mein graduation ki hai, bas graduate ki degree honi chahiye ek recognised Indian University se.
    Recognised University ka matlab ek university jo incorporated ho ‘Act of Parliament’ mein ya phir ek University jo ek Deemed University ho, University Grants Commision (UGC) ke duwara.
  • Iske alawa graduation ke final year ke students bhi appear kar sakte hain Preliminary Examinations ke liye.
  • Candidates jinke paas Recognised University se Professional aur Technical degrees hain vo bhi eligible hote hai iss post ke liye.
  • IPS officer ke liye UPSC provisional basis pe bhi kuch candidates ko admit karega jinke paas MBBS ki degree ho ya candidates jinhone koi aur Medical exam paas kara ho apni internship khatam kare bina. Isskeliye candidates ko apne University ke certificate ki copy submit karni hogi apne IPS ke online application ke saath.

                      Age limit

       Number of Attempts

  1. General :  21-32 years

                  6

2. OBC Category: 21- 35 years

                  9

3. Reserved Category: 21- 37 years

              No limit

No limit ka matlab hai attempts ki upper limit nahi hain aur kitni bhi baari exam mein appear ho sakte hain.

Physically challenged candidates ki age limit hain 42,45 aur 47 saal, General, OBC aur SC/ST category ke liye kramash.

Number of attempts hote hain 9 General aur OBC category ke liye aur unilimited SC/ST ke liye.

4.Physical requirements

IPS post ke liye physical requirements ka major role hota hain aur selection nahi hota agar ye requirements puri nahi ho toh. Isliye ye sab requirements aap pehle dheke aur fhirr hi apply kare.


IPS physical eligibility Males ke liyeIPS physical eligibility Females ke liye
Height165 cm[For ST (except SC/ OBC) – 160 cm]150 cm [For  ST (except SC/ OBC)- 145 cm]
ChestMinimum 84 cm. Expansion 5 cmMin 79 cm expansion 5 cm
Eyesight6/6 or 6/9 distant vision for good eye6/12 or 6/9 for worst eye. Near vision J 1 for good eye. J2 for worst eye

IPS Officer banane ke liye aur medical reuirements hoti hain Physical fitness ke alava

  • Blood Pressure (High): Age 23 – 123; Age 24 – 124; Age 25 – 122; Age 28 – 124; Age 30 – 125; Age 32 – 126; Age 34 – 127
  • Ears ki achi sunane ki shamta honi chahiye aur normal ear cavity; 1000-4000 frequency tak honi chahiye. Hearing impairment 30 decibels se zyada nahi honi chahiye.
  • Nasal test mein candidate haklana nahi chahiye.
  • Ladies pregnant nahi honi chahiye test ke dauraan.
  • Colorblind test ke liye High Standard hona chahiye. Inherent night blindness nahi honi chahiye. Vision stereoscopic honi chahiye.
  • Kuch physical standard bhi bahut zaroori hain IPS Officer banane ke liye , jo hain hafte mein 10km bhaag pana 60 mins mein , rope climibing aur horse riding kar pana ,etc.

IPS Application Procedure

Sabse pehla aur important step hota hai application ka, candidates ko IPS ke paper mein appear karenge ke liye IPS ka application form bhadna padta hai. Yeh form upsc.gov.in pe available hota hai, form ke liye Click karein.

Exam ki Important Dates

EventDate
Starting Date for Apply Online12-02-2020
Last Date to Apply Online: 03-03-2020
Last Date for Fee Payment (by cash) 02-03-2020
Last Date for Fee Payment (Online)03-03-2020
Date for online application Withdrawn12 to 18-03-2020 till 6:00 pm
Date of Preliminary Exam31-05-2020
  • Candidates ko advise kiya jata hai ki woh pehle apni eligibility check karle application form bharne se pehle, kyunki ineligible candidates ko UPSC cancel kar deti hai.
  • Kissi bhi mushkil ko avoid karne ke liye candidates ko advise kiya jata hai IPS application form due date se pehle hi bharden.
  • Har saal ek baari UPSC CSE ka exam organise karvati hain jisse bhar ke aap IAS,IPS,IFS ban sakte hain rank ke according final merit list mein.
  • Application forms IPS prelims ke aur IPS mains ke alag alag hote hain aur unhe alag se hi fill karn padta hai.

IPS Officer Kaise Bane

IPS Exam mein 3 rounds hote hai:

IPS Prelims

  1. IPS Prelims (Round 1)
  2. IPS Mains (Round 2)
  3. Personality Test (Round 3)

IPS ke main examination ke pehle ek preliminary examination hota hai jisko kehte hain IPS Prelims. IPS Prelims do parts ka hota hai- pehla General Ability Test (GAT) aur dusra Civil Service Aptitude Test (CSAT). 

Registration IPS Prelims ki

 IPS ka form official website (Click karein) pe February ke mahine tak aajata hai, candidates ko advise kiya jata ha ki woh apne required documents ke saath online application ka process jald se jald shuru karden. 

Required Documents

  • Class X Mark sheet
  • Class XII Mark sheet
  • Graduation Mark sheet
  • Medical certificate
  • Category certificate
  • Scanned Photograph
  • Scanned Signature
  • IPS Prelims 2019 Admit card: IPS 2019 Prelims ka Admit Card candidates ko available hoga IPS exam ke do hafte pehle, yeh Admit Card candidates official UPSC ki website se download kar sakte hain. Admit card mein important details hoti hain jaise ki candidate ka naam, roll no., photo, date aur venue.

Online registration ki prakriya:

1)Registration:

  • Official website pe jaa ke apply for UPSC Civil Services ke link pe click karein
  • Wahan pe apna Naam, Gender, Category, Nationality, aur baki details bharein
  • Iske baad submit button par click karein        

2) Fee ki Payment:

  • Offline aur online payment methods mein se choose kijiye
  • Offline mode- cash payment to SBI ke sabse nearest branch mein aur Pay-in-slip jo ki page pe diya gaya hota hai
  • Online mode- debit card/credit card ya phir net banking
  • Click karein pay now par 

(yeh step unn candidates ke liye nahi hai jo fee payment se exempted hain)   

CategoryIPS Prelims Exam Fees
General aur OBC candidates sirf MaleRs.100
Sari Female candidatesExempted
SC/ ST/ PH wale candidatesExempted

3)Continue Registration

  • Fee pay karne ke baad baki details bharein application form ki
  • Chose karein apna IPS Exam Centre
  • Qualification aur communication details ko dhyan se bharein
  • Verify karne ke baad click karein submit pe 

 4) Photo upload karein

  • Click karein link pe ya phir blank space pe jahan photo upload karni hai
  • Select karein image
  • Uske baad click karein upload pe
  • Verify karein ki photo sahi se khul rahi hai ki nahi
  • Doobara inn steps ko repeat  karein apne signature ki image upload karne ke liye
  • Antim mein “I Agree” par click karein poora IPS online form submit karein     

IPS Prelims Exam Pattern

IPS Prelims Exam Pattern
Exam ModeOffline
Number of Papers2 –  General Ability test (GAT) aur Civil Service Aptitude Test (CSAT)
Number of QuestionsPaper 1- 80; Paper 2-100 
Question Paper TypeMultiple Choice Questions 
IPS Prelims Total Marks400
Nature of ExamQualifying
Exam Duration2 hours each( matlab ki dono appears ke liye do ghante), aur extra 20 minutes blind students ke liye.
Exam LanguageEnglish aur Hindi

IPS Prelims ki Marking Scheme

  • GAT ke paper ka harr question 2 marks ka hota hai.
  • CSAT ke paper ka harr question 2.5 marks ka hota hai.
  • Harr wrong jawab ke liye ⅓ marks,  jo ki (0.33) marks hain, kaate jaayenge.
  • Agar candidate ne ek question ke liye ek se zyada jawab diye toh usse galat jawab mana jaayega.
  • Agar question ka blank chora yani ki koi bhi jawab nahi mark kiya tab uss pe koi bhi penalty nahi lagegi.
  • 33% minimum marks hote hain Prelims mein usse quality karne ke liye.

IPS Prelims Syllabus janane ke liye click kare.

Books

SyllabusBooks to be covered
Current events of national and international importanceNewspaper – Hindu/Indian ExpressIndia Yearbook – Publication DivisionYojana Magazine
History of India and Indian National Movement.New NCERT History Text books (6-12 class)Old NCERT Books Ancient India RS Sharma Medieval India Sathish Chandra Modern India Bipan ChandraA brief history of Modern India(Spectrum publications)
Indian Polity and Governance Constitution, Political System, Panchayati Raj, Public Policy, Rights Issues, etc.Indian Polity (M.Laxmikanth)Introduction to the Constitution of India(D.D Basu)
Economic and Social Development Sustainable Development, Poverty, Inclusion, Demographics, Social Sector initiatives, etcClass 11 NCERT – Indian Economic DevelopmentClass 12 NCERT – Introductory MicroeconomicsClass 12 NCERT – Introductory MacroeconomicsIndian Economy(Ramesh Singh)
Indian and World Geography Physical, Social, Economic Geography of India and the World.Class 11 NCERT – Fundamental of Physical GeographyClass 11 NCERT – India Physical EnvironmentClass 12 NCERT – Fundamental of Human GeographyClass 12 NCERT – India People and EconomyCertificate Physical and Human Geography(Goh Cheng Leong)Oxford School Atlas / Orient Blackswan School Atlas
General issues on Environmental Ecology, Bio-diversity and Climate Change that do not require subject specializationClass 12 NCERT Biology – Last four Chapters (Chapter 13 to 16)Shankar IPS Environment Booklet
General ScienceClass 9 and 10 Science NCERT booksHindu – Sunday Science and Technology PageScience Reporter Magazine

Books for UPSC CSAT (Paper – II) Paper

SyllabusBooks to be covered
ComprehensionLogical reasoning and analytical abilityDecision-making and problem-solvingInterpersonal skills including communication skillsCSAT Manual:General Studies for civil service preliminary Paper-2(TMH-Tata McGraw-Hill) The Pearson CSAT Manual
Basic numeracy (numbers and their relations, orders of magnitude, etc.) (Class X level), Data interpretation (charts, graphs, tables, data sufficiency etc. Class X level).General mental ability.

IPS Mains

IPS Mains ke liye candidates Prelims dene ke baad qualify karte hain. Jo candidates IPS Prelims mein 33% ya usse zyada marks se clear karjate hain woh candidates IPS Mains, jo ki paper 2 hota hain mein appear karne ke liye qualify karjate hain. Mains mein do type ke papers hote hain- ek Qualifying paper hota hai aur dusra Merit paper hota hai.

Qualifying paper mein do language exam hote hain, ek jo ki candidate ki choice ki language ka paper aur dusra English ka.

Merit paper mein 7 papers hote hain, jo saare 300 questions ke hote hain.

IPS Mains mein essay writing aur objective type questions do on the hain, saare papers ke score ko milake aur saath hi saath direct interview ke result ko milake ek candidate ko uski ranking Moti hai.

Exam Pattern

  • Harr paper 250 marks ka hota hai
  • Harr paper 3 ghante ka hota hai, aur extra 30 invites milte hain blind students ko.
  • Mains ke exam mein 7 papers honge jahan candidates apni knowledge aur understanding pe test kiye jaate hain.
  • Iss paper mein questions dono tarike ke hote hain objective type aur subjective type. Question English aur Hindi dono languages mein framed hote hain.
  • IPS mains do compulsory papers mein divided hota hai- pehla Qualifying paper aur dusra Merit paper

Qualifying Paper

Paper A:  250 marks ka hota hai aur yeh paper candidate apni selected language mein deta hai, jo ki 6th schedule of the Indian Constituition mein se hi honi chahiye.

Paper : yeh paper candidate English mein deta hai aur paper bhi 250 marks ka hota hai.

Merit Exam

Yeh paper candidate ki intellectual aur interpersonal skills test karne ke liye hota hai. Iss paper ke essay type questions candidates ko test karti hai unke subjects ki understanding par.

PaperTitle of the PaperMarks Allotted 
Paper 1Essay writing250 Marks
Paper 2General Studies–I (Indian Heritage aur Culture, History aur Geography Duniya ki aur Society ki)250 Marks
Paper 3General Studies –II (Governance, Constitution, Polity, Social Justice aur International relations)250 Marks
Paper 4General Studies –III  (Technology, Economic Development, Bio‐diversity, Environment, Security aur Disaster Management)250 Marks
Paper 5General Studies –IV (Ethics, Integrity, aur Aptitude)250 Marks
Paper 6Optional Subject – Paper 1250 Marks
Paper 7Optional Subject – Paper 2250 Marks
   Sub Total written Test  ka1750 Marks

IPS Mains Marking Scheme

  • Mains ke total marks 1750 hote hain
  • Harr question ki weightage 2.5 marks hoti hai
  • Candidates ko test kiya jaayega- basics, understanding the problem/situation, solution, presentation aur language par.
  • Iske alawa candidates ko do optional papers bhi choose karne hote hain.

Saares Indian Police Service undergo karte hain probationary training at Lal Bahadur Shastri National Academy of Administration, Mussoorie aur Sardar Vallabhbhai Patel National Police Academy, Hyderabad mein. Successful completion of probation ke baad, officers service mein confirmed hote hain. Isse hum Foundation course kehte hain jo almost 15 weeks ka hota hain, jo initially Mussoorie mein hota hain aur baad mein service ke according. IPS ki instructional training hoti hain National Police Academy Hyderabad mein.

Trained officers appoint hojate hain as Assistant Superintendent of Police (ASP) apne respective states mein jinke under dusre sub rank inspectors kaam karte hain.

IPS Mains Syllabus janane ke liye click kare.

Books

Indian Heritage and Culture, History and Geography of the World and Society.General Studies Paper-IHistory: Art and Culture – Nitin SinghaniaIndia s Struggle for Independence(Bipin Chandra)India Since Independence(Bipin Chandra)GeographyWorld Geography – Majid HusainIndian SocietyClass 11 NCERT book – Introducing SociologyClass 12 NCERT Book – Understanding Society
Governance, Constitution, Polity, Social Justice and International relationsGeneral Studies Paper-IIIntroduction to the Constitution of India by DD BasuIndian Constitution – PM BakshiSecond ARC ReportsIndian Foreign Policy by Rajiv SikriMinistry of External Affairs Annual Reports
Technology, Economic Development, Bio diversity, Environment, Security and Disaster ManagementGeneral Studies Paper-IIIBudget DocumentEconomic Survey of IndiaDisaster Management – Second ARC ReportSecurity – Ministry of Home affairs Annual Report
Ethics, Integrity, and AptitudeGeneral Studies Paper-IVLexicon For Ethics ,Integrity and Aptitude (civil service chronicle)

IPS Preparation

IPS ke exam ke liye kaafi mehnat lagti hain aur jo candidate genuinely willing hota hain, hard working hote hain aur IPS role ki liye suitable vo hi select aur qualify karte hain.IPS officer banene ke liye mental aur physical toughness dono required hoti hain. Kaadi lakhon mein bache iss exam ke liye forms bharte hain aur unmein kuch hazaar ke hi end mein selection ho pata hain.

Iska matlab ek student ya candidate ki IPS clear karne ke liye sirf 0.1% chances hoti hain.Iss jaankari se hum yeh andaza laga sakte hain ki IPS mein competition kitna high hota hai.Issliye yeh paper clear karne ke liye ek candidate ko apni preparation bahut ache tareeke se karni padti hai.Saalon ki mehnat aur padhai ke baad hi koi student ya candidate IPS ka exam clear kar paata hai. Candidates self study toh karte hi hain magar saath hi saath woh bahar se madad bhi lete hain jaise ki:

Coaching Institutes: Inn institutions mein IPS ki field ke experts padhate hain students ko aur unhe unke exams ke liye prepare karte hain.Kuch popular coaching institutes ke example-

  • Vajiram and Ravi IPS Coaching Institution
  • Chanakya Academy
  • ALS Academy
  • Sriram Academy

Online Coaching: Aaj ke time mein humare paas itni advance technology ka access hai ki abh hum ghar baithe baithe IPS ke liye prepare kar sakte hain. Online coaching ek bahut hi sasta aur convenient option hota hai padhne ka ghar se. Online coaching applications ke udaaharan hain UnAcademy, Byjus, etc.

Mock Exams: Mock paper dena kissi bhi exam se pehle bahut acha maana jata hai kyunki isse:

  • Candidates asli exam ka ek andaza lag jata hai,
  • Pata chal jata hai ki unki preparation kaisi chal rahi hai,
  • Kaafi IPS Officer ke touch mein aap aa sakte hain aur unse kuch tips sakte hai ki aap IPS Officer kaise bane
  • Poore syllaus ka revison ho jata hai,
  • Asli exam ka trail run hojata hai aur
  • Candidates ko time management aajata hai iski help se.

IPS Personality Test

Iss test ke liye woh candidates qualify karte hain jo candidates IPS Mains ke exam clear ya qualify kar jate hain. Personality Test mein Psychometric Test, Assessment Test aur Personal Interview included hote hain.

Exam Pattern

  • Mains se qualify karne wale candidates eligible hote hain Personality Test ke liye.
  • Iss test ka aim ye hota hai ki candidates ki suitability test karne ki liye as a career in public services. Yeh suitability ek Board test karti hai jo ki unbaised aur competent observers se bani hoti hai.
  • Iss test ka main maksat hota hai candidate ka mental calibre test karne ka.
  • Jo qualities candidates ki judge hoti hain woh hai- mental alertness, critical powers of assimilation, clear aur logical exposition, balance of judgement, variety aur depth of interest, ability for social cohesion aur leadership, intellectual aur moral integrity.
  • Yeh test candidate ki choice wali language pe hota hai.
  • Iss interview mein 275 marks pe grade kiya jata hai. Isse IPS ke total marks hojate hain 1,750(mains) + 275(personality test) = 2,025 marks.
  • Iss grand total ke basis pe candidates ko grade kiya jata hai aur phir final interview mein bulaya jata hai.

Exam wale din ki Instructions

  • Candidates koi hi extra rough sheet nahi leke jaa sakte hain, woh centre mein hi provide hogi
  • Jo cheezein candidates cetre mein leke nahi jaa sakte hain unke udaaharan hain- log tales, calculators, maps, electronics, notes, loose sheets, book, etc. agar inn mein se kuch bhi kissi bhi candidate ke paas mila toh uss candidate ka paper cacel hojata hai.
  • Exam Hall ke andar kissi bhi tareeke ka misbehaviour saha nahi jata hai.
  • Candidates ko black ball point pen apne saath carry karna chahiye.
  • Candidates ko yaad se apna IPS ka admit card leke jaaa chahiye.
  • IPS ke admit card ko IPS ki recruitment tak sambhal ke rakhna chahiye
  • Exam centre pe candidates ko time se pehle pohunch jaana chahiye

IPS Cut Off

Har saal 150 ke aas paas IPS Officers bante hain. Last Rank jitne tak IPS Officers bante hain vo lag bhag 250 hoti hain. Ye general category ka humne aapko bataya , par ye bhi vary karta hain aur kabhi kabaar 267 tak chala jata hain.

OBC ki rank 600 ke aas paas tak honi chahiye. SC/ST category ke liye 900 ke aas paas tak rank honi chahiye, ye kuch fixed nahi hain aur humne aapko ek estimate diya hain last years ke hisaab se. Har saal posting vacancy ke hisaab se hoti hain. Agar aapko 2018 ki cut off ke baare mein janana hain toh yaha click karein.

IPS se jude sawal javab

Q1. Kya kisi aur tarike se IPS ban sakte hain?

Ans- At present, sirf teen modes mein recruitment hoti hain IPS ke liye aur vo hain:

  1. Throught  Civil Services Examination jo Union Public Service Commission conduct karvati hain jiski details humne puri upar batayi.
  2. Through Limited Competitive Examination jo bhi Union Public Service Commission conduct karvati hain par vo bahut arrely conduct hoti hain.
  3. Through State Police Officers ke promotion se.

Q2. IPS ki tyaari ke liye konse subjects hote hain?

Ans. IPS ke tyaari ke liye subjects aur syllabus humne yaha bataye hain. Click kare

Q3. IPS ke liye konsa subject lena chahiye?

Ans. IPS ke liye koi subject se farak nahi padta hain. Bas jo minimum requirement hoti hain vo graduation complete hona chahiye.

Q4. Medical Examination mein pass na ho toh kya kare?

Ans. Jo candidates IPS chest expansion ke medical standards meet nahi kar pate hain Medical Examination mein, vo appeal kar sakte hain ya dubara chest expansion show kar sakte hain Second Medical Examination mein, jo results ke baad hota hain.

Hum asha karte hain iss blog ko pura padke aapko saari zaruri information mil gyi hogi IPS Officer kaise bane se related. Phir bhi aapko koi doubt ya question hain toh aap niche comment section mein puch sakte hain aur hum uska reply karne ki puri koshish karenge.

Vansh is a career coach and has helped many people realize what they are actually meant for. He believes making the right career choice is an important decision in one's life. To ask any question ping him on Instagram - @vangujral

4 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here