Last Updated: 05 November 2019
Indian Navy mein bharti hona bahut logon ka ek dream hota hai. Har saal bahut saare yuva Indian Navy (Bhartiya Nausena) mein bharti hone ke liye bahut mehnat karte hai aur kai saare safal bhi hote hai. Aaj hum baat karne waale hai males Indian Navy Job After 10th/12th ke baare mein kyonki bahut saare 10th aur 12th ke baad hi sarkari naukri ki taiyaari mein lag jaate hai.
Indian Navy SSR & AA ki recruitment nikal gayi hai.
Indian Navy Women Entry Jobs Ke Liye Yahan Click Karein
Indian Navy Males Entry Jobs Ke Liye Yahan Click Karein
Iss Article mein aapko inn posts ke baare mein pata chalega
Indian Navy Job After 10th
Ab hum aapko sabse pahle 10th ke baad Indian Navy ke jobs ya recruitment ke baare mein batayenge jismen males candidates apna career bana sakte hai. Ismein kuch option hai jismen aap bharti ho sakte hai.
Yeh hai 10th Pass Job In Indian Navy
Matric Recruits (Musician)
Join Indian Navy mein 10th pass males candidates ke liye ek post hoti hai Matric Recruits (Musician) matlab MR (Musician) ki. Ise nausainik aur Sailor bhi kaha jata hai. Iska matlab yeh hai ki jo log music mein interest rakhte hai aur apna career sarkari naukri ke roop mein banana chaahte hai unke liye yeh post bahut achhi hai.
Ab baat karte hai MR Musician ke qualification, education, eligibility aur selection process ke baare mein.
2019 Matric Recruits Bharti
Online Apply karne ki date: 06-05-2019
Online Apply karne ki last date: 19-05-2019
Preliminary screening Test: 06 se 10-07-2019
Final Screening Test & Medical Exam: 03 se 06-09-2019
Training ki date: October 2019
Yahan niche jaaniye physical standard, qualification, aur selection process ke baare mein.
Age Limit | Physical Standards | Qualification | Selection Process |
17-25 years | Minimum height 157 cmsWeight jo height ke basis par hoga Minimum Chest expansion of 5 cms | Matriculation pass kisi bhi recognised board se. | Preliminary Screening Board aur Final Screening Board |
Selection Process
Selection Process ke baare mein humne upar bhi bataya hai. Selection 2 phase mein hoga jismen pahle phase mein age ka verification, education qualification, music certificates aur musical ability ke baare mein test liya jata hai.
Iske baad jo iss phase ko clear kar dete hai unhen doosre phase matlab final screening board ke liye bulaya jata hai. Ismein Physical fitness test aur medical examination conduct kiya jata hai.
Training
Selected candidates ko INS Chilka mein 14 week ki basic training di jaati hai aur uske baad INS Kunjali mein professional training ke liye bheja jata hai.
Indian Navy MR (Matric Recruits)
Join Indian Navy mein Matric Recruits musician ke alava ek post sirf Matric Recruits (MR) ki hoti hai. Iss post mein nausainiko ko Chef, Steward aur Sanitary Hygienist ke roop mein shamil hone ka mauka milta hai. Matlab iss post mein yeh itne trades hote hai.
Indian Navy mein MR (Matric Recruits) ki bharti nikal gayi hai. Isme kul 400 posts hai jismein interested log apply kar sakte hai.
Online Apply: 26-07-2019
Online Apply ki last date: 01-08-2019
Exam Ki date: Sep 2019
Admit Card aayega: 12 September
Result: 14 October 2019
Official Notification: Yahan click karein
Age Limit | Physical Standards | Qualification | Selection Process |
17-20 years | Minimum height 157 cms Weight jo height ke basis par hogaMinimum Chest expansion of 5 cms | 10th pass kisi bhi recognised board se. | Written test Physical fitness test jismen medical test liya jata hai. |
Written Exam ka Syllabus dekhne ke liye yahan click karein
Sample Papers ke liye Yahan Click karein
Training
Selected candidates ko INS Chilka mein 14 week ki basic training di jaati hai. Uske baad unhen alag-alag nausenik training establishments mein trade allot kiya jata hai. Branch/trades seva ki jarurato ke anusar allocate kiya jata hai.
Indian Navy Tradesman Mate
Indian navy mein ek post hoti hai Tradesman mate ki. Iss post ko Group “C” bhi kaha jata hai. Ab baat karte hai iss post ki qualification, eligibility criteria aur education aur selection process ke baare mein.
Age Limit | Physical Standards | Qualification | Selection Process |
18-25 years | Minimum height 157 cms Weight jo height ke basis par hogaMinimum Chest expansion of 5 cms | 10th pass kisi bhi recognised board se. | Screening of application Online written examDocuments verification |
Indian Navy Jobs After 12th
10th ke baad agar aap 12th pass hokar Indian Navy mein naukri karna chaahte hai toh ki bahut chance hai. Chaliye ab Indian Navy Jobs After 12th ke baare mein vistar se jaante hai aur har post ke baare mein batate hai.
Yeh hai Indian Navy Jobs After 12th ke baad naukri ke option
Indian Navy Artificer Apprentice (AA)
10+2 matlab 12th pass ke liye Indian Navy mein Artificer apprentice aur SSR ke liye recruitment nikal chuki hai. Iss vacancy mein total SSR ke liye 2200 posts hai aur AA ke liye 500 aur total 2700 post hai jiske liye important dates niche batai gayi hai.
Important Dates
- Apply karne ki start date: 08/11/2019
- Apply karne ki last date: 18/11/2019
- Exam ki date: February 2020
- Admit Card: Jald bataya jaayega
Official Notification Download Karein
Login Ke Liye Yahan Click Karein
Indian Navy Artificer Apprentice
Sabse pahle hum baat karenge Indian Navy Artificer Apprentice ke baare mein jise Navy AA aur Join Indian Navy AA bhi kahte hai. Yeh ek bahut achhi post hai navy mein bharti hone waale candidates ke liye. Yeh ek sailor ki post hoti hai matlab nausainik.
Age Limit | Physical Standards | Qualification | Selection Process |
17-20 years
Only unmarried males | Minimum height 157 cms Weight jo height ke basis par hogaMinimum Chest expansion of 5 cms | 10+2/Equivalent exam mein maths aur physics aur sab subjects mein 60% yaa isse jyada marks hone chahiye. Chemistry/Biology/Computer science mein kisi ek subject mein padhai ki hui honi chahiye. | Screening of application Written testPhysical fitness test jismen medical test liya jata hai. |
Written Exam ka Syllabus dekhne ke liye yahan click karein
Sample Papers ke liye Yahan Click karein
Training
Selected candidates ko INS Chilka mein 14 week ki basic training di jaati hai. Uske baad unhen alag-alag nausenik training establishments mein trade allot kiya jata hai. Branch/trades seva ki jarurato ke anusar allocate kiya jata hai.
Indian Navy SSR
Join Indian Navy mein SSR post ka matlab hota hai Indian Navy Senior Secondary Recruits. Iss post mein 10+2 waale candidates apply karke sarkari naukri kar sakte hai.
Yeh hota hai Navy SSR mein kaam
Iss post mein jo naukri karte hai unka kaam hota hai radar, sonar ya communications ke operation ka kaam hota hai ya weapon ki firing jaise missiles, guns ya rockets ko chorna.
Ab baat karenge Indian Navy SSR eligibility, qualification aur selection process ke baare mein.
Age Limit | Physical Standards | Qualification | Selection Process |
17-20 years Only unmarried males | Minimum height 157 cms Weight jo height ke basis par hogaMinimum Chest expansion of 5 cms | 10+2/Equivalent exam mein maths aur physics aur sab subjects mein 60% yaa isse jyada marks hone chahiye.Chemistry/Biology/Computer science mein kisi ek subject mein padhai ki hui honi chahiye. | Online Written test Physical fitness testMedical testVisual test Final enrolment Medical Exam |
Written Exam ka Syllabus dekhne ke liye yahan click karein
Sample Papers ke liye Yahan Click karein
Training
Selected candidates ko INS Chilka mein 22 week ki basic training di jaati hai. Uske baad unhen alag-alag nausenik training establishments mein trade allot kiya jata hai. Branch/trades seva ki jarurato ke anusar allocate kiya jata hai.
Hope aapko inn sabhi posts ke baare mein aasani se samajh aa gaya hoga. Agar abhi bhi kuch baatein aap samajh nahin paaye hai toh humein niche comment kar sakte hai aur ek khaas baat yeh hai ki hum har comment ka javab jarur dete hai.
Paper kbhi haa iska
Ismen males ke liye abhi sirf Matric Recruits Bharti ki nikli hui hai jiska Preliminary screening Test: 06 se 10-07-2019 aur Final Screening Test & Medical Exam: 03 se 06-09-2019 ko hoga.
Please I am very poor to give job I am 10th pass
Navy bharti dete
Humne sari jaankari upar blog mein di hui hai.
Mujhe driving aati hai or iti bhi pass Kiya hu Mai
What is the last age for Indian Navy ??????
For which post?
I am redi sir
I am Indian Navy lover