Last Updated: 03 January 2020
Bhartiya Vayu Sena jise hum Indian Air Force bhi kahte hai jo Bhartiya Sashtra Sena ka ek ang (part) hai jo vayu yudh aur vayu suraksha ka mukhya kaam karti hai. Iski sthapna 1932 mein hui thi. Aaj Indian Air Force mein bahut saare logo ko ek sapna hota hai ki wo bhi iska hissa bankar desh ki raksha karein aur apna career banayein. Toh ismein hum aaj baat karne waale hai Air Force Bharti ke baare mein jismen 10th aur 12th pass candidate apply karke job paa sakte hai.
Air Force Group X & Y Ki Latest Bharti aa chuki hai
Note: Indian Air Force mein 10th aur 12th ke baad sirf Males ki hi bharti hoti hai. Female ke liye yahan click karein.
Aap Yeh Select Karke Apna Topic Padh Sakte hai
Join Indian Air Force jo Bhartiya Sashtra Sena ka ek bahut bada part hai aur ismein har saal alag-alag post aur Qualification wise posts nikalti hai jismen 10th aur 12th ke liye bhi nikalti hai. Toh sirf unn post ke baare mein jismen 10th aur 12th Pass jaa sakte hai.
10th Pass Job in Air Force
Air Force Bharti mein Sabse pahle hum baat karne ja rahe hai 10th Pass Job in Air Force par. Ismein aapke paas jaane ke liye jyada posts nahin hoti hai. Kahne ka matlab yeh hai ki 10th pass waalo ke liye Indian Air Force mein jyada post nahin hoti hai. Ek aur baat yeh bhi hai ki yeh Civilian ki post hoti hai matlab ismein aapko hathiyar nahin milte hai. 10th pass waalo ke liye sirf ek hi post hoti hai aur wo hai Group C se join karna.
Indian Air Force Group C
Air Force Bharti mein Group C ke liye post state wise hi nikalti aur ismein Indian Army ki tarah bahut jyada nahin hoti hai. Toh ab iske baare mein Eligibility aur Qualification se judi poori jaankari jaante hai.
Iss post mein bahut saare trade hote hai usmen kuch bhartiya nikalti hai usmen interested candidates apply kar sakte hai jab notification aaye tab.
Yeh hote hai Indian Air Force Group C mein Trades
1. Draughtsman Grade-III
2. MTS
3. Mess Staff
4. Safaiwala
5. Cook
6. Painter
In sabhi trade ke liye Air Force bharti nikalti hai aur number of posts of bhi alag-alag hi hoti hai. Matlab example ke liye MTS ke liye 10 post toh Cook ke liye 5 aise.
Air Force Qualification for Group C
① Multi Tasking Staff/ Mess Staff/Safaiwala/ ke liye aapko Matriculation pass matlab 10th Pass hona jaruri hai.
② Painter/Cook ke liye Matriculation pass kisi recognized Board se certificate ke saath.
③ Draughtsman Grade – III- Matriculation pass kisi recognized Board se. Toh agar aapke paas yeh educational Qualification hai toh aap bhi upar batayai gayi posts ke liye apply karke Indian Air Force mein naukri paa sakte hai.
④ Inn sabhi posts ke liye aapki age 18 se 25 saal ke beech honi chahiye tabhi aap apply kar paayenge.
Indian Air Force Group C Selection Process
Ab agar hum IAF Group “C” ke selection process ki baat karein toh yeh Written test ke basis par hota hai. Iss exam mein jo jyada marks laate hai uske hisab se merit list se candidate ka selection kiya jata hai.
Air Force Vacancy 12th Pass
Ab hum baat karne wale hai Indian Air Force Job After 12th ki. Toh aapke liye khushkhabri toh yah hai ki Indian Air Force mein 12th ke baad kai post ke jariye entry kar sakte hai.
Indian Air Force ki inn Posts mein 10+2 (12th) kar sakte hai Apply
10+2/HSC NDA
Indian Air Force mein jin logon ne 10+2 matlab jinhone 12th pass kar diya hai unke liye join karne ke liye sabse bada mauka NDA hota hai. NDA ka matlab National Defence Academy, jismen male candidate apply karte hue apna career Vayu Sena mein bana sakte hai.
Chaliye ab baat karte hai NDA Eligibility aur NDA Qualification ke baare mein ki aapka sharir kaisa hona chahiye.
Kya Honi Chahiye NDA mein Educational Qualification aur Eligibility
Sabse pahle toh baat yahi aati hai ki educational qualification kya honi chahiye, halanki humne upar bataya toh hai lekin kuch aur bhi baate aapko pata honi chahiye.
Age | 161/2 to 191/2 |
Marital Status | Unmarried |
Gender | Male Only |
Education | 10+2 Physics aur Mathematics ke saath |
Nationality | Indian |
Height | Yahan Click Karein |
Weight | Yahan Click Karein |
NDA mein Height aur Weight
Height (In cms.) | Weight (In kgs.) | ||
16-17 years | 17-18 years | 18-19 years | |
152 | 42.5 | 44.0 | 45.0 |
155 | 43.5 | 45.3 | 47.0 |
157 | 45.0 | 47.0 | 48.0 |
160 | 46.0 | 48.0 | 49.0 |
162 | 48.0 | 50.0 | 51.0 |
165 | 50.0 | 52.0 | 53.0 |
167 | 51.0 | 53.0 | 54.0 |
170 | 52.5 | 55.0 | 56.0 |
173 | 54.5 | 57.0 | 58.0 |
175 | 56.0 | 59.0 | 60.0 |
178 | 58.0 | 61.0 | 62.0 |
180 | 60.0 | 63.0 | 64.5 |
183 | 62.5 | 65.0 | 66.5 |
Jo candidate Gorkha ya pahadi kshetra se belong karte hai jaise North-Eastern area ke, Garhwal aur Kumaon, unhe 5 cms ka relaxation diya jata hai. Iske alava jo candidates Lakshadweep islands se belong karte hai unhe minimum height mein 2 cms ka relaxation diya jata hai.
NDA Selection Process
Ab hum baat karenge NDA Selection Process par aur jaanenge ki ismen aapka selection kaise hota hai aur kya-kya karna padta hai.
Toh agar selection procedure ki baat karein toh Indian Air Force ke liye NDA ka Do stage dwara selection hota hai. Ek Written exam aur doosra SSB Interview. Yeh dono test Air Force Selection Boards dwara conduct kiye jaate hai.
Sabhi Candidates ko Air Force Selection Boards par reporting ke pahle din ek written exam dene ke liye rakha jaata hai. Iss exam mein pass hone waale candidates ko stage two ke liye bheja jata hai jinhone stage 1 ko qualify kiya ho.
Phir doosre stage mein ummidvaron ka interview liya jata hai jiske do round hote hai, Psychological Aptitude Test and Intelligence Test.
Isme jo candidates qualify kar dete hai unko jaruri Original Certificates aur saath mein ek-ek photocopy submit karni hoti hai.
Inn documents ki original aur photocopy submit karni hoti hai, (i) Original Matriculation pass certificate aur (ii) Original 10+2 pass certificate.
NDA Selection ke liye jaruri documents
Jin candidates ko Interview ke liye select kar diya jata hai unhe kuch jaruri documents submit karne hote hai. Iske alava kisi reserved category mein aate hai unhe saawdhani se documents jama karne hote hai.
Yeh hai kuch jaruri Documents jo NDA selection mein chahiye hote hai.
– Original 10+2 ya Class 12th passing ka certificate.
– Certificate of Eligibility for certain category of students.
– Category or Caste certificate applicable to SC, ST, OBC etc.
– Identity and Address Proof
Indian Air Force Group X
NDA (National Defence Academy) ke baad Indian Air Force mein 12th pass waale candidate Group X mein jab notification nikalti hai tab jaa sakte hai. Yeh airmen ki post hoti hai aur ismen jaana laakho ka sapna hota hai.
Indian Air Force Group X ki post technical post hoti hai jismen aapki educational qualification bhi kuch achhi honi chahiye with kuch compulsory subjects ke saath.
Airmen Group X aur Y dono ki vacancy nikal gayi hai jiski adhik jaankari niche dekh sakte hai:
Important Dates
Starting Date to Apply Online: 02-01-2020
Apply Online ki last date: 20-01-2020
Dates for Online Exam: 19 se 23 March 2020
Admit Card Available hoga: February 2020
Official Notification Ke Liye Yahan Click Karein
Syllabus Yahan Se Download Karein
Indian Air Force Group X Qualification
Age Limit | Qualification | Physical Standards | Selection Process |
16 se 21 Saal Unmarried | 10+2 maths, physics aur english ke saath. Minimum marks 50% hone chahiye. | Height – 152.5 cms Chest – 5 cm phoolna chahiye. | Selection Process ke baare mein jaanne ke liye yahan click karein. |
Toh aap dekh chuke hai ki iss post ke liye candidate eligible honge jinki age 16 se 21 saal hai aur unmarried hona jaruri hai. Iske alava candidate ko 10+2 pass kiya hua hona chahiye aur maths, physics aur english mein minimum marks 50% hone chahiye. Toh ab najar ghumaate hai Group X ke selection process par.
Indian Air Force Group Y
Jaisa ki aapne upar dekha ki Indian Air Force mein Group X ki post nikalti hai vaise hi Group Y ki bhi Air Force Bharti nikalti hai. Iske alava ek baat aapko bata de ki in dono post ke liye ek saath bhi bharti nikalti hai jismen laakho yuva bhaag lete hai apni kismat aajmane ke liye.
Indian Air Force Group X ki post technical post hoti hai jismen aapki educational qualification bhi kuch achhi honi chahiye with kuch compulsory subjects ke saath.
Important Dates
Starting Date to Apply Online: 02-01-2020
Apply Online ki last date: 20-01-2020
Dates for Online Exam: 19 se 23 March 2020
Admit Card Available hoga: February 2020
Official Notification Ke Liye Yahan Click Karein
Syllabus Yahan Se Download Karein
Indian Air Force Group Y Qualification
Age Limit | Qualification | Physical Standards | Selection Process |
16 se 21 Saal Unmarried | 10+2 pass. Minimum marks 50% hone chahiye. | Height – 152.5 cms Chest – 5 cm phoolna chahiye. | Selection Process ke baare mein jaanne ke liye yahan click karein. |
Toh air force ki Group Y post ke liye bhi eligibility aur qualification Group X jaisa hi hota hai. Iss post mein kisi specific subject ki jarurat nahin hai jaise X post mein maths, physics aur english compulsory hai.
Indian Air Force Group X aur Y ka Selection Process
Sabse pehle aapko bata de ki Indian Air Force ke Group X ka selection 5 stage mein poora hota hai jiske baare mein humne niche vistaar se bataya hai.
1. Online Written Examination
Sabse pahle iss post ke liye form bharne ke baad online examination hoti hai jismen achhe marks laane padte hai.
2. Document Verification
Jo candidates Online Written test mein qualify kar dete hai unke documents ka verification hota hai aur phir agle stage ke liye bhej diya jaata hai.
3. Physical Fitness Test
Indian Air Force Group X mein baki bhartiyo ki tarah Physical fitness test bahut important hota hai aur isko pass karna jaruri hota hai. Ismen aapko 1.6 km race poori karni hoti hai 7 minute mein, iske alava 10 Push Up, 10 Sit Ups aur 20 Squats Up lagaane padte hai is physical test mein.
4. Adaptability Test
Physical test ko clear karne ke baad ek adaptability test liya jata hai. Ismen candidate ko ek camp jaise area mein rakha jata hai aur dekha jata hai ki aap Indian Air Force ke environment mein rah paayenge ya nahin.
5. Medical Examination
Indian Air Force Group X ke selection ka last step hota hai medical examination ka. Iss exam mein aapko pass hona jaruri hota hai aur agar aap clear kar dete hai toh aapka selection ho jata hai.
Yeh Kuch Latest Defence Jobs hai Jisme aap apna career bana sakte hai
Indian Air Force Jobs For Graduates
Toh hum ummid karte hai ki aapko yeh saari posts ke baare mein achhe se samajh mein aa gayi hai aur agar kuch baate samajh nahin aa rahi hai toh comment karke pooch sakte hai, hum aapke sawalon ka javab jarur denge.
Want to be a soldier
how to join 10th pass parcentage
Ashik 10th pass females abhi sirf Army mein soldier post ke liye join kar sakti hai.
Puri jaankari ke liye ye article padhe: http://bit.ly/2ITNiAZ
Hobby is my army
12th pass
Nice
Job
Me 16year ka hu 10th me 75%bani h me Air force ke group c form ko kese bharu
Ismein aapki age 18 saal honi chahiye kam se kam aur apply tab hi kar paayenge jab bharti aayegi.
Main 10th pass hu
Aur 12th ke exam diye hai
To air force me job karna chahta hu .
Toh bhai yeh blog padhiye aur 12th ke baad karna chahte hai toh achhi padhai kijiye. Agar 10th ke baad job karna chahte hai blog mein jo option hai usko dekhiye.
Abhi.mai.9.pas.kiya.hai.age.kya.karu
9th ke baad aap 10th kar do jiske baad kai saare sarkari naukri hai jo aap yahan dekh skte ho.
Sir mene abhi 12 paas ki 69% k saath arts se to humare liye bhi koi job h iaf me
Haan bhai aap Air force ki group Y post ke liye apply kar sakte hai jismen minimum 50% hona chahiye.
Sir 12 the pass hu magar commerce faculty hain kya karu
Rushabh bhai aap Group Y ke liye apply kar sakte hai jismen 10+2 pass hona chahiye aur Minimum marks 50% hone chahiye.
How to apply for y group airforce
Ji abhi nahin bhar sakte online. Online bharne ki link aapko 1 July 2019 ko milegi.
OK sir Thank you so much
I complete my 12th class
Can I join air force 2019 bharti
Yes aap apply kar sakte hai.
Sir me science stream se hu or Mera percentage sirf 49 he Kia muje apply Karne Ka hak he.
Nahin bhai kam se kam aapke 50% hone chahiye.
Sir meri DOB 01/03/1999 hi
Mai ab airforce ka form bhar sakta hu ki nhi
Bhai blog ko dhyaan se padhiye humne sab bataya hai. Age 16.5 se 21 saal hoti hai.
Sir mei 12th paas hu orr 58% percent h mujhe form online krne k liye link do Plzz….
Ji abhi nahin bhar sakte online. Online bharne ki link aapko 1 July 2019 ko milegi.
Sir me 12th pas hu but Mujhe asthma ka problem hai par mujhe ye job karni hai kya me ye job kar sakti hu.
Kuch kaha nahin ja sakta iske baare mein kyonki agar Physical test ke dauran ashthma ka pata chala toh aapko baahar kar diya jaayega.
Mera 10th ka marksheet ghum gaya tha pr mene 2th copy hai toh meh yeh apply kr shakta hu yeh nhi
Bhai documents toh original bhi chahiye hote hai jab documents verification hota hai tab.
Iska last date kya hai
Bhai ismen abhi Group X aur Y ki post khuli hui hai jiski last 15-07-2019 hai.
Sir a form online kassa barna ha plz
Ji abhi nahin bhar sakte online. Online bharne ki link aapko 1 July 2019 ko milegi.
Kiya kiya yogyeta mang rahe hai mea 12 th utrin kar liya hu
Aap pahle ek baar dhyaan se yah article phir se padh lijiye phir koi baat samajh nahin aaye toh puchiye.
Hii mene 12th Arts pass kiya hei.
Group _Y me ok
Ji haan, aap apply kar sakte hai lekin 50% hona jaruri hai.
Amrish Kumar indian airfors xy group ma from apply kar Sakura ha 50 parent number ha
Haan jinke 50% hai wo hi apply kar sakte hai Group X aur Y ke liye.
Hii sir main 12th pass hu 50% main Air force main job karna Chatham sir
Ji haan, aap kar sakte hai job. Blog ko dhyaan se padhiye aur koi baat samajh nahin aaye toh poochiye.
Hiiii sir main 10th pass hi 49.40%main air force main job Katana chahata hu
Bhai aap Group C ke liye apply kar sakte hai lekin X aue Y mein nahin kar sakte.
Sir mera aje 16 years hua kya hum bhar sakte He sir
Haan Ji aap apply kar sakte hai.
Indian air force ki post ke liye fees kitni.hogi
bhai ismen 250/- rupees registration fee hoti hai.
sir mene 12th arts se pass ki h airforce group y ke form apply kr sakta hu
haan aap ismein apply kar sakte hai.
sir meri DOB 12/07/1997 hai mai group y ke liye apply kar sakta hu plz reply sir
bhai aapki age 16 se 21 Saal beech mein honi chahiye.
Sir muze 12 th me 67% hai .
Toh aap apply kar sakte hai.
Sir mere 12th me over all 60% hai but math aur physics me 47 number hai kya mai apply kr sakta hu
dekho bhai group x mein 10+2 maths, physics aur english ke saath.
Minimum marks 50% hone chahiye aur group Y mein yeh 10+2 pass.
Minimum marks 50% hone chahiye.
Sir, not 50%in +2 english. Can i apply this form
Jo qualification diya hai wo honi chahiye agar aapke marks kam hai toh aap apply nahin kar sakte hai.
Sir Mai 10th pass hun Mai bhi ye form bharna chahta hun I request you sir please sir ye link mujhe bhi do
Link abhi available nahin hai jab hogi toh aapko yahan de di jaayegi.
Comment:sir main 12th main 50% laya hue. Per mere physics ko 50 pdrcentage se kam marks hai. Kya main ‘Y’ Group ke liye apply kar sakta hue plz bataiye
Bhai ismen aapke Minimum marks 50% hone chahiye sabhi subject ko milaakar
Sir and 12th chau hai apply kar skate hai kya ham
Bhai aap sahi se bolg padhte kyo nahin, likha toh humne yahi hai ki 10th aur 12th waale apply kar sakte hai.
Sir hamne 12th 54.6% se paas kiya h hamare sir english Or physics main 57% marks h per sir math keval 34% h kya sir ham bhi try kar sakte h
ismen aapke total 50% hone chahiye bhai tabhi aap iske liye yogya honge.
Sir mere 10th me 69.16% h me bhi sir try kar sakta hu
Haan Ji aap apply kar sakte hai.
Hii sir main 10+2 pass hun aur mark’s 10th me hai 69%89 hai to kya main online form bhar sakta hun
Haan bhai aap form bhar sakte hai.
10+2 me 56.40parsent ha English me47 parsent ha Kya Air Force y group me apply kar sakta hu
ji haan aap apply kar sakte hai.
Hlo sir Jo ab job ayi hui h kya m us me apply kr sakta hu mere 67 % h or arts se +2 ki h
Haan Ji bilkul aap apply kar sakte hai.
I have english 67 maths 53 and physics 37 i can apply for indian force x
Yes, Group X ke liye 10+2 pass hona hoga aur usme maths, physics aur english subjects honi chahiye aur total marks Minimum 50% hone chahiye.
sir
mera inter me english me 50% hai to mai form apply kar sakta hu
plese tell me .
Haan Ji aap apply kar sakte hai.
how to join 10th pass parcentage
Article mein sari vacancy ki details batayi gayi hai.
Sir mene 10 me 69%marks paaye hai me bhi jobs ke liye apply kar sakta hu kya
Haan ji 10th ke liye air force mein Group C ke liye hai form bhar sakte hai.
Abhi hm 12th pass kiea hai or mai y group ke bare me jankari nahi hai app mere help karoge iss field me kis type ka job mileaga
Bhai isme sab bataya gaya hai aap padhiye.
I am interested in this job please detail send karo . I am 12th class pass age 18
Aur kya chahiye detail mein bhai. Sab toh bata diya hai.
How to register
yahan jakar apply kare https://airmenselection.cdac.in/STAR/controller/redirectController/showSignUp
I am 12th paas student pls help me to this job
Form bhar dijiye aur mehnat karke taiyari kare.
I can do this job
akash verma 12 pass
Join air force
Sir I have 49% in 12th can I apply
nahin, iske liye kam se kam 50% marks chahiye
My name is Akash Kashyap. I am completing my 10+2 but my 10th class with math,physic, and English.
And my 12th with commerce. So I can apply this form.
Toh aap group Y ke liye apply kar sakte hai.
Sir mera 12th commerce se tha or 10th math, physic and english se to kya mai apply kar sakta hu
haan ji aap apply kar sakte hai.
Sir mere 10th me 73:/: ha lekin 12th me 47 ha kya me ‘Y’ Grup se bhar skta hun
bhai humne bataya toh hai ki 50% chahiye group Y ke liye.
Admission date vacancy
Mere pass domicile uttrakhand ka hai to mai eligible hu kya nahi
Aap kaunsi post ke liye puch rahe hai?
Sir open rally kb hoga
Indian Army mein rally bharti? https://www.joshtalks.com/joshkosh/sarkari-job/indian-army/army-rally-bharti-khuli-bharti/
Ambala see 10th pass ke liye bhartee kab he
10 pass
sir i have 58% in 10th can i apply mo=7562961121
Kaunsi post ke liye?
I am a girl i want to join in Indian air force military after 10th class
I need reply
Hi Jaya, unfortunately girls cannot join Airforce before completing graduation.
Air force
Name – Raju
I am boy I want to join in
Indian Air force military after
10+12th (PCB) Utter Pradesh (Hapur)
Ji Group X aur Y ki Vacancy nikal chuki hai aur aap 2 January 2020 se form bhar sakte hai.