Latest Bank Naukri Update
**IBPS Clerk 2019 notification release ho chuki hai. Details ke liye click kare.**
Iss article mein aap IBPS RRB Office Assistant & Officer Scale-1 post ke baare mein saari jaankari paayein:
IBPS RRB application form 2019
IBPS RRB selection process & exam pattern 2019
IBPS RRB bharti 2019 ki taiyari kaise kare
IBPS RRB Office Assistant &Officer Scale-1 bharti 2019 se judhe kuch zaruri sawaal
Q.1) Kya 12th pass candidates apply kar sakte hai?
Ans. Ye job ke liye sirf ‘graduates’ eligible hai apply karne ke liye. Iss post ke liye graduation degree holders (bachelors degree) recognized institute se complete karna zaruri hota hai.
Q.2) Kya college/graduation ke final year students eligible hai appky karne ke liye?
Ans. Yes, graduation ke final year students apply kar skate hai.
Q.3) kya IBPS RRB exam 2019 ki official notification aa chuki hai?
Ans. Haan official notification 15th June 2019 ko aagyi hai. Notification download karne ke liye click kare
Q.4) RRB mein kaunse banks aate hai?
Ans. RRB mein rural banks hote hai jo har villages mein hote hai.
Q.5) Kya application form aur exam online hota hai ya offline?
Ans. IBPS RRB ka application form aur exam dono online hota hai. Offline form kahi bhi nahi bhare jaate.
Q.6) Kya IBPS RRB post ke liye work experience zaruri hai?
Ans. Nahi, iss post ke liye work experience ki koi zarurat nahi hai. Aap graduation complete karne ke baad directly iss post ke liye eligible hojate hai.
Q.7) Kya IBPS RRB ka exam sirf English mein hota hai?
Ans. Nahi, ye exam two languages mein hota hai – English & Hindi both. English section ke alava baki sections Hindi language mein de sakte hai.
Q.8) IBPS mein SC category students kitni baar exam de sakte hai?
Ans. SC/ST category candidates ke liye koi bhi limit nahi hai exam dene ki. Vo kitni bhi baar exam de sakte hai. Baaki categories ke maximum attempts ke liye niche eligibility section mein padhe.
Q.9) IBPS RRB ki taiyari ke liye general knowledge ke liye kaunsi best book hai?
Ans. General awareness ke liye ‘Lucent Publications’ ki book best hai.
Baaki sections ki best book ke liye yaha click kare
IBPS RRB Office Assistant aur Officer Scale-1 Bharti 2019
IBPS hota kya hai?
Institute of Banking Personnel Selection (IBPS) Reserve Bank of India (RBI) dawara sathapit ki gayi ek agency hai jiska kaam hota hai sarkari banks k lie candidates ko select karna. IBPS sare Public sector, Regional Rural banks aur kuch Private bank k liye selection karta hai. IBPS Common Recruitment Process (CRP) – PO aur Clerk se selection karta hai. IBPS official website
RRB kya hota hai?
RRB ka full form hota Regional Rural Banks yani kshetreey Gramin Bank. Ye gramin bank hote hai ar har saal hazaro vacancies nikali jati hai all over India.
RRB me bharti do posts k liye hoti hai:
Office Assistant
Office Scale-1 (Assistant Manager)
(i) In do post k alava bhi post hoti hai par unko liye experience ki zarurat hoti hai.
(ii) Office Assistant aur Office Scale-1 (Assistant Manager) k liye Common Recruitment Process (CWE, Common Interview and provisional allotment in Regional Rural Banks) hota jai aur ye process IBPS conduct karta hai.
(iii) Candidates dono position k lie apply kar sakte hai aur dono post k lie exam fees separately pay karna hoga.
IBPS RRB Office Assistant & Office Scale-1 eligibility 2019
Citizenship
- A candidate must be either –
(i) a Citizen of India or
(ii) a subject of Nepal or
(iii) a subject of Bhutan or
(iv) a Tibetan Refugee who came over to India before 1st January 1962 with the intention of permanently settling in India or
(v) a person of Indian origin who has migrated from Pakistan, Burma, Sri Lanka, East African countries of Kenya, Uganda, the United Republic of Tanzania (formerly Tanganyika and Zanzibar), Zambia, Malawi, Zaire, Ethiopia and Vietnam with the intention of permanently settling in India, provided that a candidate belonging to categories (ii), (iii), (iv) & (v) above shall be a person in whose favour a certificate of eligibility has been issued by the Government of India.
RRB Office Assistant & Office Scale-1 age limit
- Office Scale-1(Assistant Manager) : 18 years se 30 years tak (03.06.1989 and later than 31.05.2001)
- Office Assistant (Multipurpose):18 years se 28 years tak (02.06.1991 and later than 1.06.2001)
RRB Office Assistant & Office Scale-1 age limit reserved categories ke liye
Reserved category k lie fees me relaxation di jati hai.Ye relaxation lene k liye candidates k pass Government dwara issued certificate ya koi document hona chahye support karne k liye:
Candidate’s Category | Age Relaxation |
SC/ST | 5 years |
Other Backward Classes (OBC) | 3 years |
General (PWD) | 10 years |
SC /ST (PWD) | 15 years |
OBC PWD | 13 years |
Persons domiciled in Jammu & Kashmir State during the period from 01.01.1980 to 31.12.1989 | 5 years |
Ex-Servicemen/Disabled Ex-Servicemen | Actual period of service rendered in defence services +3 years, (8 years for Disabled Ex- Servicemen belonging to SC/ST) subject to max. age of 50 years |
Widows, Divorced women and women judicially separated from their husbands & who are not remarried | 7 years (subject to maximum age limit of 35 years for General, 38 years for OBC & 40 years for SC/ST candidates) |
IBPS RRB Office Assistant & Office Scale-1 qualification 2019
- Graduate hona zaruri hai. Graduation kisi bhi field me ho sakte hai par ek recognized institution/university se
- Candidates jis region k lie apply kar rahe hai unko vaha ka local language ana chahye. Local language proficiency (Read,Write and Speak) is must.
- Office Scale-1(Assistant Manager) me un candidates ko preference di jati hai jinke pass degree hai Agriculture, Horticulture, Forestry, Animal Husbandry, Veterinary Science, Agricultural Engineering, Pisciculture, Agricultural Marketing and Cooperation, Information Technology, Management, Law, Economics or Accountancy ki field me.
RRB bank bharti ki eligibility ke liye yaha click kare
Note – Local Language Proficiency
In dono post k lie Local language proficiency bahut zarurai hai. Aap jis region k RRB k lie apply kar rahe hai vaha ki local language aani zarurai hai.
- Jin candidates ne aathaveen (8th) ya uske baad regional language padhi hai, kisi recognized board ya school se aur unke pass iska certiifcate hai to un candidates ko proficient maana jayga.
- Jin candiadtes ko ko local lanuguage nahi aati selection k tyime un candidates ko 6 months ka time period diya jata hai proficiency lane ki lie. Ye unka probation period hoti hai. Aur ye period extend kar hojata hai Jab tak lanuage profiency nahi aati.
IBPS RRB salary 2019
In hand Salary of RRB Office Assistant :Rs.15,000 – 20,000
In hand Salary of RRB Officer Scale-I (Assistant Manager) : Rs.30,000 – 35,000
IBPS RRB Office Assistant & Office Scale-1 Bharti exam dates 2019
Activity | Dates |
Online Application ki shuruvat | 15.06. 2019 |
Online Applications fill karne ka aakhiri din | 04.07. 2019 |
Admit card download | July 2019 |
Preliminary Examination | Officer Scale-I – 03.08.2019, 04.08.2019 and 11.08.2019 Office Assistant- 17.08.2019, 18.08.2019 & 25.08.2019 |
Preliminary Examination Result | Officer Scale-I – August 2019 Office Assistant- September 2019 |
Online Examination – Main / Single Officers (I, II & III) | Officers (I, II & III) – 22.09.2019 Office Assistant – 29.09.2019 |
Online Examination Result | October 2019 |
Provisional Allotment | January 2020 |
IBPS RRB bharti 2019 ki application kaise bhare?
- IBPS ki official website, i.e. www.ibps.in khole
- “APPLY ONLINE FOR CWE-PROBATIONARY OFFICERS/ MANAGEMENT TRAINEES” par click kare aur Online Application Form bhare.
- Basic information fill karne ke baad ‘Register’ kare. Candidates ko bahut dhyan se saari details fill karni hogi. Apne certificates ke according ki details bhare kyunki agar aapki koi bhi detail aapke diye gaye documents se match nahi hui to aapki application cancel kardi jayegi.
- Registration successful hone ke baad system ek provisional registration number aur password generate karega screen par aur via Email & SMS ke through bhi aapke registred email ID aur phone number par bhi same details send ki jayegi.
- Candidates ko apni photograph aur signature bhi upload karna hoga as per the specifications :
Candidate’s recent, colour, passport-size photograph of good quality with light background | Image dimensions: 200 X 230Pixels File Type: JPG File size: 20 KB – 50 KB |
Applicant’s signature | Image dimensions: 140 X 60Pixels File Type: JPG File size: 10 KB – 20 KB |
**Form sirf online hi bhara ja sakt hai aur iski fees bhi online hi bhari ja sakti hai.**
IBPS exams ki application fees 2019
- Rs. 100 for SC/ ST/ PWD Candidates.
- Rs. 600 baki category ke candidates ke liye
Apply karne ke liye click kare
IBPS RRB Office Assistant & Officer Scale -1 Admit Card 2019
Office Assistant ka Admit card download karne ke liye click kare
Officer Scale -1 ka Admit card download karne ke liye click kare
IBPS RRB selection process 2019
a) RRB Office Assistant(Multipurpose) ke liye recruitment 2 phases me hoti hai:
Phase 1: Preliminary Examination
Phase 2: Mains Examination
RRB Office Assistant exam pattern 2019
Phase 1 Preliminary Exam (Objective Test)
S.No | Topics | Questions | Marks | Time |
1. | Reasoning | 40 | 40 | Composite time of 45 minutes |
2. | Numerical Ability | 40 | 40 | |
Total | 80 | 80 | 45 minutes |
- Negative marking : 1/4th marks har galat jawab k.
Phase 2 Mains Examination (Objective Test)
S.No | Topics | Questions | Marks | Time |
1. | Reasoning | 40 | 50 | Total time of 120 minutes(2 hours) |
2. | Numerical Ability | 40 | 50 | |
3. | General Awareness | 40 | 40 | |
4.a | English Language | 40 | 40 | |
4.b | Hindi Language | 40 | 40 | |
5. | Computer Knowledge | 40 | 20 | |
Total | 200 | 200 | 120 minutes |
- Candidates 4a ya 4b me se ek koi bhi ek language choose kar sakte hai.
- Negative marking : 1/4th marks har galat jawab k.
Joh candidates is exam ka cut off clear karte hai unko last round k lie call ata hai.
b) RRB Officer Scale-I (Assistant Manager) ke liye recruitment 3 phases me hoti hai:
Phase 1: Preliminary Examination
Phase 2: Mains Examination
Phase 3: Interview
RRB Officer Scale-I (Assistant Manager) exam pattern 2019
Phase 1 Preliminary Exam (Objective Test)
S.No | Topics | Questions | Marks | Time |
1. | Reasoning | 40 | 40 | Composite time of 45 minutes |
2. | Quantitative Aptitude | 40 | 40 | |
Total | 80 | 80 | 45 minutes |
- Negative marking : 1/4th marks har galat jawab k.
Phase 2 Mains Exam (Objective and Descriptive Test)
S.No | Topics | Questions | Marks | Time |
1. | Reasoning | 40 | 50 | Total time of 120 minutes(2 hours) |
2. | Quantitative Aptitude | 40 | 50 | |
3. | General Awareness | 40 | 40 | |
4a* | English Language | 40 | 40 | |
4b* | Hindi Language | 40 | 40 | |
5. | Computer Knowledge | 40 | 20 | |
Total | 200 | 200 | 120 minutes |
- Candidates 4a ya 4b me se ek koi bhi ek language choose kar sakte hai.
- Negative marking : 1/4th marks har galat jawab k.
Joh candidates mains ka cut off clear karte hai unko Interview k lie call ata hai.
Phase 3 Interview Round
Total marks for Interview is 100 marks. The minimum qualifying marks / scores in interview for Officers Scale I will not be less than 40% (35% for SC / ST/OBC/PWD candidates). The relative weightage (ratio) of CWE and interview will be 80:20 respectively for the Officers cadre.
Final Selection
Mains aur Interview round ka ek cumulative score nikala jata hai aur joh candidates
IBPS RRB notification download kare
IBPS RRB bharti 2019 ki taiyari kaise kare
IBPS RRB bharti ke liye best books
Bank k exam me bahut competition hota hai aur iski tyari bhaut ache se karni hoti hai. Kuch books hai joh bank k exam ki tyari me help karti hai.
S.No. | Sections | Book Names |
1. | English |
|
2. | Numerical Ability(Maths) |
|
3. | Reasoning |
|
4. | Banking awareness |
|
5. | Computer awareness |
|
6. | General Knowledge |
|
7. | Current affairs |
|
IBPS RRB Preparation 2019
Best online websites current affairs padhne ke liye
- GK Today (current affairs and general knowledge)
- Bankers Adda ( Sare sections English, Numerical Ability, Reasoning, Computer Awareness, Banking Awareness, Current affairs and General Knolwedge k study notes, practise questions, quizes, mock tests, monthly capusles sab aapko yahan mil jayga)
- Bank exam Today (sare topics aur previous year question papers har baking exam k yaha mil jayenge)
- Gradeup (sare topics mock tests k sath yaha par available hai)
English language Improve Kaise kare
- Roz English newspapers like The times of India, The Hindu, The Indian Express ache se padhiye. Editorial section par focus kare. New words ko mark kare aur dictionary se meaning dekhe.
- English movies dikhiye
- Doston se English me hi baat karne ki koshish kijiye.
Latest Bank Jobs 2019 ke liye niche click kare
SBI PO 2019 ki jaankari ke liye yaha click kare
SBI Clerk 2019 ki jaankari ke liye yaha click kare
Agar aapko koi bhi sawaal/doubt ho is article ke baare mein toh niche comment kare aur hum aapko jawaab dene ki puri koshish karenge.
RRb clerk k liye interview hota h kya
RRB mein Office Assistant post mein nahi hota interview par Officer Scale-1 mein interview hota hai.
Can I fill both Officer scale 1 and office assistant ?
Nahin aap ek sath ek hi form bhar sakte hai.
Sir ibps rrb bank me job ke liye state kase teh karte he aur veh kon teh karta he please sir reply it…
Aap apne state se apply kar sakte hai ya aur state se bhi.
17th , 18th and 25th august ko rrb office assistant ka pre ka exam hai … maine 29th june ko form apply kiya tha kya 25th august ko mai exam dungi?
Hanji aapki exam date in teeno se hi hogi- 7th , 18th and 25th August
Hello
In place of English hame Hindi kab select karna hoga Mains exam ke time per ya phir uske liye mains ka form fill karna hoga
Ek hi form bhara jaat hai pure process ke liye.