UPSC Civil Services (IAS/IPS/IRS/IFS) 2020 ki notification ki aa chuki hai. Iss article mein IAS kaise bane ki puri jaankari
Har student ka ek sapna hota hai ki woh bhi mehnat karke apni zindagi mein kuch bane jaise ki lawyer, doctor, engineer,ya kuch aur. Phir inn sab careers ke baad kuch students hote hain jo apne desh ke liye ya apne desh ko serve karna chahate hain ek IAS officer banke. Ek IAS ke student ko humare desh mein sabse oocha darjaa diya jaata hai kyunki IAS officerke liye qualify karna bahut hi difficult hota hai, tabhi lakhon mein se kuch muthi bhar students hi antim mein IAS officer ban paate hain.
Aap sab yeh bhi jaante honge ki Union Public Service Commision (UPSC) Civil Services ke examinations organise karwata hai jo ki kaafi hi mushkil hote hain. Iske baad lakhon ki taadat mein students desh ke har one se har saal aate hain iss exam ko dene ke liye prepare karte hain iss aasha mein ki woh bhi IAS officer ban jaaye. Har saal lagbhag 10 lakh students civil services ke exams dete hain IAS, IPS, IRS aur baaki elite services ke liye.
Iss video ko dekhein aur IAS Officer Sonal Goel se jaane IAS Officer banane ki puri jaankari.
Jaane IAS kaise bane:
IAS Officer Selection Procedure
IAS officer Meaning
IAS ek All India Service hoti hai jo Indian Foreign Service aur Indian Police Services ko bhi include karti hai apne mein. IAS ka full form hota hai (Indian Admnistrative Service). IAS ka exam UPSC conduct karwata hai iske saath UPSC aur bhi alag alag exam conduct karwata hai jaise ki IPS, IRS,etc. Ek IAS officer bahut hi important role play karta hai kissi bhi district administration mein, kyunki yehi hote hain jo ek district se related sare important cheezon ko dekhte hain.
IAS 1946 mein humare desh constitute hua tha uske pehle Indian Imperial Services ke naam se jaana jata tha (1893-1946) tak.
Ek IAS Officer ki kaafi duties hoti hain magar mainly unki responsibilities jo hoti hai woh hain – Law & Order ko maintain karna, revenue ka administration aur baaki saara administration uss area mein jo uske under ho. IAS Officer ki duties ke udaaharan:
- Revenue Collection
- Executive Magistrate
- Chief Development Officer (CDO)/District Development Commissioner.
- State aur Central Government ki policies implementation ka supervisor
- Policy banane mein aur decisions lene mein bahut bara hissa
- District mein planning aur actions lena
- Aur kaafi aur duties hoti hain
IAS Officers Service
IAS Officers do levels pe hote hain ek hota hai Central Level aur dusra hota hai State Level.
Hierarchy (Central) | |
Designation | Time in service |
Under secretary | 4 years |
Deputy secretary | 9 years |
Director | 12 years |
Joint secretary | 20 years |
Additional secretary | 30 years |
Secretary | 34 years |
IAS Officer ki Salary
Indian Government ne Civil Servants ke salary ke grades fix kiye hue hain. Magar yeh grades harr pay commission ke hisab se badalte hain. Abhi ka salary ka range hai:
6th Pay commission | 7th Pay commission | |||||
Grade | onScale | Gradeon | onScale | Gradeon | DesiredService periodThe year | Post |
Junior Scale | 15,600 – 39,100 | 5,400 | 50,000 – 150,000 | 16,500 | NA | Sub Divisional Magistrate (SDM), SDO or All Collector (2 years after probation) |
Senior Time scale | 15,600 – 39,100 | 6,600 | 50,000 – 1,50,001 | 20,000 | 5 years | District Magistrate (DM) or collector or joint secretary of government ministries |
JuniorAdministrator Grade | 15,600 – 39,100 | 7,600 | 50,000 – 1,50,002 | 23,000 | 9 years | Chief of Special Secretaries or various Government Departments |
SelectionGrade | 37,400 – 67,000 | 8,700 | 1,00,000 – 2,00,000 | 26,000 | 12 to 15 years | Secretary of the ministry |
Super Time scale | 37,400 – 67,000 | 10,000 | 1,00,000 – 2,00,000 | 30,000 | 17 to 20 years | Chief Chief Secretary of a major government department |
Super Time scale Above | 37,400 – 67,000 | 12,000 | 1,00,000 – 2,00,000 | 30,000 | Different | Different |
Top Scale | 80,000 (fixed) | NA | 2,40,000 (Fixed) | NA | Different | Chief Secretary of the State, Central Secretaries of various Ministries of the Government of India |
CabinetSecretaryGrade | 90,000 (fixed) | NA | 2,50,000 (Fixed) | NA | Different | CabinetSecretaryOff india |
Salary ke alawa Civil Servants ko kaafi saari allowances milti hain government se jaise ki – Dearness Allowance, City Compensatory Allowance, Leave Travel Allowance, Medical aur Subsidized Housing aur bahut saari aur.
IAS officer eligibility
1)Nationality: Sabse pehli aur important cheez jo hoti hai ek IAS officer banane ke liye woh hai ki jo candidate IAS banana chahate hain woh Indian citizen hain. Jo students ya candidates Indian residency hold nahi karte hain woh iss post ke liye apply nahi kar sakte hain.
2)Educational Qualification: IAS officer ke liye eligible hone ke liye ek candidate ke paas ek recognised Indian University ki degree hona bhi bahut jaruri hota hai. Iska matlab ek university jo incorporated ho ‘Act of Parliament’ mein ya phir ek University jo ek Deemed University ho, University Grants Commision (UGC) ke duwara. Iske alawa graduation ke final year ke students bhi appear kar sakte hain Preliminary Examinations ke liye. Iss eligibility ke baaki criteria hai:
- Candidates jinke paas Professional aur Technical degrees hain jo ki recognised ho Goverment of India ke duwara, yeh candidates bhi eligible honge IAS ke exam mein appear karne ke liye.
- IAS provisonal basis pe bhi kuch candidates ko admit karega jinke paas MBBS ki degree ho ya candidates jinhone koi aur Medical exam paas kara ho apni internship khatam kare bina. Isskeliye candidates ko apne University ke certificate ki copy submit karni hogi aur uske saath IAS ke online application ke saath.
3)Age: Jo General category ke student ya candidate exam ke liye appears karna chahate hain unki lower age limit 21 saal se kam nahi ho sakti hai aur unki upper age limit 32 saal se zyada nahi ho sakti hai. Iska matlab IAS 2019 ke liye candidates August 02 1987 se pehle nahi paida ho sakte hain aur August 01 1998 ke bad nahi paida ho sakte hain. Iske alawa age limit mein aur thode criteria’s hote hain:
- Scheduled caste aur Scheduled tribe (SC/ST) ke candidates ko maximum age limit mein 5 saal ki relaxation milti hai.
- Other Backward Caste (OBC) ke candidates ko 3 saal tak ka relaxation milta hai.
- Candidates jo Jammu & Kashmir mein January 01, 1981 se December 31, 1990 tak rahete the unko 5 saal tak ki relaxation milti hai.
- 3 saal ki relaxation unn candidates ko milti hai jo Defense Service Personnel hote hain aur jo disabled hojate hain service ke dooran dushman desh mein ya phir desh ke kissi disturbed area mein.
- 5 saal ki relaxation milti hai unn candidates belonging to ex-servicemen including commissioned officers and ECOs/SSCOs jinhone kam se kam 5 saal ki military service ki ho August 01, 2018 tak aur jo release hogaye hain kyunki:
- Unhone apna assignment khatam kar diya hai.
- Jinki koi physical disability hogayi ho Military Service ke karan
- Ya phir invalidment ke karan
- 5 sal ki relaxation ECOs/SSCOs ke candidates ko jinhone initia period of assignment jo ki 5saal ki Military Service hoti hai complete kardi ho. August 01, 2018 tak, saath hi saath unka assignment extend hogaya ho initial period se zyada jiske wajah se Ministry of Defense ek certificate issue karega jisse candidate apply kar sakte hain civil employment ke liye.
- PWD Candidates ko relaxation upto 10 saal tak ka milta hai
4) Physical Standards: Candidates jo employment lena chahate hain All India Services ke saath unko physical tests bhi clear karne padte hain jo ki Goverment of India ne banaye hain
- Physically fit hona duties aur services karne ke liye bahut important hota hai.
- Saath hi saath candidates ko mentally fit hona bhi bahut jaruri hota hai.
- Jo candidates mental aur physical fitness ke test mein qualify nahi karte hain unn candidates ko appointment nahi milti hai.
Hospitals jo medical test le sakte hain Civil Services Exam ke liye:
Delhi mein 7 colleges assigned hote hain civil services ke medical test lene ke liye, aur woh hain:
- Safdarjung Hospital
- Dr. Ram Manohar Lohia Hospital
- Lok Nayak Jai Prakash Narayan Hospital
- Succheta Kriplani Hospital
- Guru Tej Bahadur Hospital
- Seen Dayal Upadhyay Hospital
- BR Ambedkar Hospital
Inn Colleges mein male candidates ke saath female candidates ko bhi examine karte hain. Iske alawa jinn candidates ki Physical Disability hoti hai unke medical exams doosre Colleges conduct karwata hai unke IAS Prelims ke hisab se, woh Colleges hain:
- Safdarjung Hospital
- Dr. Ram Manohar Lohia Hospital
- LHMC
- Guru Tej Bahadur Hospital
- Lok Nayak Jai Prakash Narayan Hospital
Iske alawa candidates jinko Appellate Specialized Medical Board ki jarurat padti hai unki eye conditions ke liye unn candidates ko Guru Nanak Eye Centre, New Delhi bheje jata hai medical examination ke liye.
5)English: Kissi bhi Civil Services ke profession ke liye English harr candidate ke liye bahut hi jaruri hoti hai, English pe achi pakar ek bahut hi bari eligibility criteria hoti hai, Public Services mein kaam karne ke liye.
IAS officer selection procedure
Sabse pehla aur important step hota hai application ka, candidates ko IAS ke paper mein appear karenge ke liye IAS ka application form bhadna padta hai. Yeh form upsc.gov.in pe available hota hai, form ke liye Click karein.
- Candidates ko advise kiya jata hai ki woh pehle apni eligibility check karle application form bharne se pehle, kyunki ineligible candidates ko UPSC cancel kar deti hai.
- Kissi bhi mushkil ko avoid karne ke liye candidates ko advise kiya jata hai IAS application form due date se pehle hi bharden.
- Application forms IAS prelims ke aur IAS mains ke alag alag hote hain aur unhe alag se hi fill karn padta hai.
- IAS Prelims (step 1)
- IAS Mains (step 2)
- Personality Test (step 3)
IAS Prelims (Step 1)
IAS ke main examination ke pehle ek preliminary examination hota hai jisko kehte hain IAS Prelims. IAS Prelims do parts ka hota hai- pehla General Ability Test (GAT) aur dusra Civil Service Aptitude Test (CSAT).
Event | Date |
Starting Date for Apply Online | 12-02-2020 |
Last Date to Apply Online: | 03-03-2020 |
Last Date for Fee Payment (by cash) | 02-03-2020 |
Last Date for Fee Payment (Online) | 03-03-2020 |
Date for online application Withdrawn | 12 to 18-03-2020 till 6:00 pm |
Date of Preliminary Exam | 31-05-2020 |
UPSC 2020 ki puri jaankari ke liye yaha click kare
Registration IAS Prelims ki
IAS ka form official website (Click karein) pe February ke mahine tak aajata hai, candidates ko advise kiya jata ha ki woh apne required documents ke saath online application ka process jald se jald shuru karden.
Required Documents
- Class X Mark sheet
- Class XII Mark sheet
- Graduation Mark sheet
- Medical certificate
- Category certificate
- Scanned Photograph
- Scanned Signature
- IAS Prelims 2019 Admit card: IAS 2019 Prelims ka Admit Card candidates ko available hoga IAS exam ke do hafte pehle, yeh Admit Card candidates official UPSC ki website se download kar sakte hain. Admit card mein important details hoti hain jaise ki candidate ka naam, roll no., photo, date aur venue.
Online registration ki prakriya:
1)Registration:
- Official website pe jaa ke apply for UPSC Civil Services ke link pe click karein
- Wahan pe apna Naam, Gender, Category, Nationality, aur baki details bharein
- Iske baad submit button par click karein
2) Fee ki Payment:
- Offline aur online payment methods mein se choose kijiye
- Offline mode- cash payment to SBI ke sabse nearest branch mein aur Pay-in-slip jo ki page pe diya gaya hota hai
- Online mode- debit card/credit card ya phir net banking
- Click karein pay now par
(yeh step unn candidates ke liye nahi hai jo fee payment se exempted hain)
Category | IAS Prelims Exam Fees |
General aur OBC candidates sirf Male | Rs.100 |
Sari Female candidates | Exempted |
SC/ ST/ PH wale candidates | Exempted |
3)Continue Registration
- Fee pay karne ke baad baki details bharein application form ki
- Choose karein apna IAS Exam Centre
- Qualification aur communication details ko dhyan se bharein
- Verify karne ke baad click karein submit pe
4) Photo upload karein
- Click karein link pe ya phir blank space pe jahan photo upload karni hai
- Select karein image
- Uske baad click karein upload pe
- Verify karein ki photo sahi se khul rahi hai ki nahi
- Doobara inn steps ko repeat karein apne signature ki image upload karne ke liye
- Antim mein “I Agree” par click karein poora IAS online form submit karein
IAS Prelims Exam Pattern
IAS Prelims Exam Pattern | |
Exam Mode | Offline |
Number of Papers | 2 – General Ability test (GAT) aur Civil Service Aptitude Test (CSAT) |
Number of Questions | Paper 1- 80; Paper 2-100 |
Question Paper Type | Multiple Choice Questions |
IAS Prelims Total Marks | 400 |
Nature of Exam | Qualifying |
Exam Duration | 2 hours each( matlab ki dono appears ke liye do ghante), aur extra 20 minutes blind students ke liye. |
Exam Language | English aur Hindi |
IAS Prelims ki Marking Scheme
- GAT ke paper ka harr question 2 marks ka hota hai.
- CSAT ke paper ka harr question 2.5 marks ka hota hai.
- Harr wrong jawab ke liye ⅓ marks, jo ki (0.33) marks hain, kaate jaayenge.
- Agar candidate ne ek question ke liye ek se zyada jawab diye toh usse galat jawab mana jaayega.
- Agar question ka blank chora yani ki koi bhi jawab nahi mark kiya tab uss pe koi bhi penalty nahi lagegi.
- 33% minimum marks hote hain Prelims mein usse quality karne ke liye.
Books
Syllabus | Books to be covered |
Current events of national and international importance | Newspaper – Hindu/Indian ExpressIndia Yearbook – Publication DivisionYojana Magazine |
History of India and Indian National Movement. | New NCERT History Text books (6-12 class)Old NCERT Books Ancient India RS Sharma Medieval India Sathish Chandra Modern India Bipan ChandraA brief history of Modern India(Spectrum publications) |
Indian Polity and Governance Constitution, Political System, Panchayati Raj, Public Policy, Rights Issues, etc. | Indian Polity (M.Laxmikanth)Introduction to the Constitution of India(D.D Basu) |
Economic and Social Development Sustainable Development, Poverty, Inclusion, Demographics, Social Sector initiatives, etc | Class 11 NCERT – Indian Economic DevelopmentClass 12 NCERT – Introductory MicroeconomicsClass 12 NCERT – Introductory MacroeconomicsIndian Economy(Ramesh Singh) |
Indian and World Geography Physical, Social, Economic Geography of India and the World. | Class 11 NCERT – Fundamental of Physical GeographyClass 11 NCERT – India Physical EnvironmentClass 12 NCERT – Fundamental of Human GeographyClass 12 NCERT – India People and EconomyCertificate Physical and Human Geography(Goh Cheng Leong)Oxford School Atlas / Orient Blackswan School Atlas |
General issues on Environmental Ecology, Bio-diversity and Climate Change that do not require subject specialization | Class 12 NCERT Biology – Last four Chapters (Chapter 13 to 16)Shankar IAS Environment Booklet |
General Science | Class 9 and 10 Science NCERT booksHindu – Sunday Science and Technology PageScience Reporter Magazine |
Books for UPSC CSAT (Paper – II) Paper
Syllabus | Books to be covered |
ComprehensionLogical reasoning and analytical abilityDecision-making and problem-solvingInterpersonal skills including communication skills | CSAT Manual:General Studies for civil service preliminary Paper-2(TMH-Tata McGraw-Hill) The Pearson CSAT Manual |
Basic numeracy (numbers and their relations, orders of magnitude, etc.) (Class X level), Data interpretation (charts, graphs, tables, data sufficiency etc. Class X level).General mental ability. |
IAS Mains (Step 2)
IAS Manis ke liye candidates Prelims dene ke baad qualify karte hain. Jo candidates IAS Prelims mein 33% ya usse zyada marks se clear karjate hain woh candidates IAS mains mein appear karne ke liye qualify karjate hain. Mains mein do type ke papers hote hain- ek Qualifying paper hota hai aur dusra Merit paper hota hai.
Qualifying paper mein do language exam hote hain, ek jo ki candidate ki choice ki language ka paper aur dusra English ka.
Merit paper mein 7 papers hote hain, jo saare 300 questions ke hote hain.
IAS Mains mein essay writing aur objective type questions hote hain, saare papers ke score ko milake aur saath hi saath direct interview ke result ko milake ek candidate ko uski ranking Moti hai.
Exam Pattern
- Harr paper 250 marks ka hota hai
- Harr paper 3 ghante ka hota hai, aur extra 30 invites milte hain blind students ko.
- Mains ke exam mein 7 papers honge jahan candidates apni knowledge aur understanding pe test kiye jaate hain.
- Iss paper mein questions dono tarike ke hote hain objective type aur subjective type. Question English aur Hindi dono languages mein framed hote hain.
- IAS mains do compulsory papers mein divided hota hai- pehla Qualifying paper aur dusra Merit paper
Qualifying Paper
Paper A: 250 marks ka hota hai aur yeh paper candidate apni selected language mein deta hai, jo ki 6th schedule of the Indian Constituition mein se hi honi chahiye.
Paper : yeh paper candidate English mein deta hai aur paper bhi 250 marks ka hota hai.
Merit Exam
Yeh paper candidate ki intellectual aur interpersonal skills test karne ke liye hota hai. Iss paper ke essay type questions candidates ko test karti hai unke subjects ki understanding par.
Paper | Title of the Paper | Marks Allotted |
Paper 1 | Essay writing | 250 Marks |
Paper 2 | General Studies–I (Indian Heritage aur Culture, History aur Geography Duniya ki aur Society ki) | 250 Marks |
Paper 3 | General Studies –II (Governance, Constitution, Polity, Social Justice aur International relations) | 250 Marks |
Paper 4 | General Studies –III (Technology, Economic Development, Bio‐diversity, Environment, Security aur Disaster Management) | 250 Marks |
Paper 5 | General Studies –IV (Ethics, Integrity, aur Aptitude) | 250 Marks |
Paper 6 | Optional Subject – Paper 1 | 250 Marks |
Paper 7 | Optional Subject – Paper 2 | 250 Marks |
Sub Total written Test ka | 1750 Marks |
IAS Mains Marking Scheme
- Mains ke total marks 1750 hote hain
- Harr question ki weightage 2.5 marks hoti hai
- Candidates ko test kiya jaayega- basics, understanding the problem/situation, solution, presentation aur language par.
- Iske alawa candidates ko do optional papers bhi choose karne hote hain.
Books
Indian Heritage and Culture, History and Geography of the World and Society. | General Studies Paper-I | History: Art and Culture – Nitin SinghaniaIndia s Struggle for Independence(Bipin Chandra)India Since Independence(Bipin Chandra)GeographyWorld Geography – Majid HusainIndian SocietyClass 11 NCERT book – Introducing SociologyClass 12 NCERT Book – Understanding Society |
Governance, Constitution, Polity, Social Justice and International relations | General Studies Paper-II | Introduction to the Constitution of India by DD BasuIndian Constitution – PM BakshiSecond ARC ReportsIndian Foreign Policy by Rajiv SikriMinistry of External Affairs Annual Reports |
Technology, Economic Development, Bio diversity, Environment, Security and Disaster Management | General Studies Paper-III | Budget DocumentEconomic Survey of IndiaDisaster Management – Second ARC ReportSecurity – Ministry of Home affairs Annual Report |
Ethics, Integrity, and Aptitude | General Studies Paper-IV | Lexicon For Ethics ,Integrity and Aptitude (civil service chronicle) |
IAS Personality Test (Step 3)
Iss test ke liye woh candidates qualify karte hain jo candidates IAS Mains ke exam clear ya qualify kar jate hain. Personality Test mein Psychometric Test, Assessment Test aur Personal Interview included hote hain.
Exam Pattern
- Mains se qualify karne wale candidates eligible hote hain Personality Test ke liye.
- Iss test ka aim ye hota hai ki candidates ki suitability test karne ki liye as a career in public services. Yeh suitability ek Board test karti hai jo ki unbaised aur competent observers se bani hoti hai.
- Iss test ka main maksat hota hai candidate ka mental calibre test karne ka.
- Jo qualities candidates ki judge hoti hain woh hai- mental alertness, critical powers of assimilation, clear aur logical exposition, balance of judgement, variety aur depth of interest, ability for social cohesion aur leadership, intellectual aur moral integrity.
- Yeh test candidate ki choice wali language pe hota hai.
- Iss interview mein 275 marks pe grade kiya jata hai. Isse IAS ke total marks hojate hain 1,750(mains) + 275(personality test) = 2,025 marks.
- Iss grand total ke basis pe candidates ko grade kiya jata hai aur phir final interview mein bulaya jata hai.
IAS Syllabus in Hindi 2020
IAS ke 2020 ke syllabus se judi saari jaankari A to Z ke liye click karein link pe: IAS Syllabus 2020
IAS Preparation
IAS ka paper India mein sabse difficult papers mein maana jata hai aur iske saath iss paper mein karreban 10 lakh candidates appear karte hain kuch 1,000 seats ke liye. Iska matlab ek student ya candidate ki IAS clear karne ke liye sirf 0.1% chances hoti hain. Iss jaankari se hum yeh andaza laga sakte hain ki IAS mein competition kitna high hota hai.
Issliye yeh paper clear karne ke liye ek candidate ko apni preparation bahut ache tareeke se karni padti hai. Saalon ki mehnat aur padhai ke baad hi koi student ya candiate IAS ka exam clear kar paata hai. Candidates self study toh karte hi hain magar saath hi saath woh bahar se madad bhi lete hain jaise ki:
Coaching Institutes: inn institutions mein IAS ki field ke experts padhate hain students ko aur unhe unke exams ke liye prepare karte hain, coaching institutes ke udaaharan :
Online Coaching: aaj ke time mein humare paas itni advance technology ka access hai ki abh hum ghar baithe baithe IAS ke liye prepare kar sakte hain. Online coaching ek bahut hi sasta aur convenient option hota hai padhne ka ghar se. Online coaching applications ke udaaharan hain UnAcademy, Byjus, etc.
Mock Exams: mock paper dena kissi bhi exam se pehle bahut acha maana jata hai kyunki isse:
- Candidates asli exam ka ek andaza lag jata hai,
- Pata chal jata hai ki unki preparation kaisi chal rahi hai,
- Poore syllaus ka revison ho jata hai,
- Asli exam ka trail run hojata hai aur
- Candidates ko time management aajata hai iski help se.
Exam wale din ki Instructions
- Candidates koi hi extra rough sheet nahi leke jaa sakte hain, woh centre mein hi provide hogi
- Jo cheezein candidates cetre mein leke nahi jaa sakte hain unke udaaharan hain- log tales, calculators, maps, electronics, notes, loose sheets, book, etc. agar inn mein se kuch bhi kissi bhi candidate ke paas mila toh uss candidate ka paper cacel hojata hai.
- Exam Hall ke andar kissi bhi tareeke ka misbehaviour saha nahi jata hai.
- Candidates ko black ball point pen apne saath carry karna chahiye.
- Candidates ko yaad se apna IAS ka admit card leke jaaa chahiye.
- IAS ke admit card ko IAS ki recruitment tak sambhal ke rakhna chahiye
- Exam centre pe candidates ko time se pehle pohunch jaana chahiye
Exam Centres ki jaankari ke liye click kare
IAS 2019 ki cut off
CATEGORY | PRELIMINARY | MAIN | FINAL |
General | 150-200 | 660-679 | 860-889 |
OBC | 140-201 | 600-631 | 809-845 |
ST | 103-180 | 610-620 | 800-815 |
SC | 101-185 | 615-633 | 815-835 |
PH 1 | 101-170 | 550-615 | 800-820 |
PH 2 | 89-120 | 550-630 | 780-835 |
PH 3 | 60-125 | 450-515 | 690-726 |
Iss article ke zariye se humari taraf se ek koshish thi ki aapko har woh baat batanein jo aapko ek acha aur safal IAS Officer banane mein madat kare. Agar aapko aur koi baat jaanani ho ya aur koi sawal ho IAS Officer kaise bane se jura ho toh aap niche diye hue comments section mein likh ke humse pouch sakte hain, hume bahut khushi hogi aapke jawabon ka uttar dene mein, aur hum aasha karte hai ki aap jald se jald ek kamiyab IAS Officer ban jaye. Humme apna kimti waqt dene ke liye bahut bahut shukriya.
12th k bad IAS ke liye apply ni kr skte h kya
nahin bhai IAS ke liye graduate pass kiya hua hona chahiye.
B.com 3year ke bad ias officer bana. Ha mein ko
Hanji aap graduation ke baad IAS exam ki taiyari kar sakte hai.
After 10th arts lena sahi rehega kya
IAS bnne k liye ……
Hanji aap koi si bhi field se IAS ke liye apply kar sakte hai. Arts sahi rahega agar aapka interest hai to
As your wish ap konse bhi filed se ias ka preparation kar sakte ho
Hanji koi si bhi field se apply kar sakte hai.
Mai hindi Midiam se ias ki prepresion Kar sakti hu
Haanji ban sakte hai
Main m.a Ke bad ias ki exam de sakti hu ?
Hanji de sakte hai. Minimum graduation chhaiye.
Which subject is better after 12 for preparation of IAS
Firstly you have to complete graduation to apply for IAS.
IAS ki preparation ki Shi age kya honi chaiye
Aap graduation ke baad hi shuru kar sakte hai preparation karna.
Upse ias prepretion
Upsc
AApko kya jaankari chahiye?
IAS ko jyada power hoti hai kya IPS ko?
AND
IAS ko jyada salary hoti hai kya IPS ko?
IAS ki ranking IPS se upar hoti hai.
Kya commerce leke IAS ki taiyari kar sakte hai
Hanji kisi bhi field se IAS ban sakte hai.
Thank you ap ne bahut hi achchi janKari thanx a lot
ye collector or district magistrate ek hi baat hai?
Hanji.
Meri English kamjor hai
Iske baawjood kya main ek iAS BN skta hun …
Aap apni English par kaam kare to ban sakti hai
That’s good knowledge, very helpful of the starting point
Thankyou Soni
aapne baht achi jankari di hai thank you
Thanks
for upsc ,online ncert book best price me purchase karne k liye kaha se purchase kare hindi medium k liye,pls help
Aap amazon par check kar sakte hai.
Wow Very nice Article
mam can you please tell us about the psychometric test and assessment test what is this. And what was in the test.