Havildar Surveyor Automated Cartographer Recruitment Last Date, Qualification aur Kaise Apply Kare
Army mein 20 Surveyor Automated Cartographer ki post nikli hai.
Online registration last date 30 October 2019 1700 hours (shaam ke 5 baje)
Yahan click karke Hindi mein Havildar Surveyor Automated Cartographer ka notification download kare
Army mein Cartographer kya karte hai?
Jang chali ho ya shanti ka samay ho, Indian army ko desh ke kone kone ke nakshe (maps) ki zarurat hoti hai. Yeh nakshe hamesha hi updated rehne hote hai aur inko banane ke liye Army Engineering mein ek post hoti hai Havildar Surveyor Automated Cartographer ki. Yeh ek NCO (non commissioned officer) kis post hai jis mein aapko field survey bhi karne hote hai.
Cartographer GIS (Geological Information Systems) pe kaam karte hai. Unka kaam digital hota hai aur unki madat se humari army tactical decision making kar pati hai dushman pe vijay pane ke liye.
Click karke topics chun sakte hai
Eligibility aur qualifications
Toh aaiye aaj hum jaante hai Havildar Surveyor Automated Cartographer recruitment ke bare mein vistar se
Neeche diye links pe click karke aur articles padhe
Army Rally Khuli Bharti (GD soldier, soldier clerk, soldier technical etc) ke liye yaha click kare
Gorkha (Indian and Nepalese) rally bharti
Religious teacher vacancy (Pandit, maulavi, granthi, padri, buddhist monk)
Havildar Surveyor Automated Cartographer eligibility
Age
20 saal se 25 saal 1 October 2019 ko. Matlab aap ki janam tithi 1 October 1994 se 1 October 1999 ke beech honi chahiye.
Educational qualification
Graduate BA ya B.Sc jismein Mathematics subject hona chahiye.
12th class mein Science aur Mathematics subject hone chahiye
Physical / Medical
Candidates ko army physical standard ke anusar fit hona chahiye. Chest 5 cm expansion aur daant mein kam se kam 14 dental points hone chahiye aur masude swast hone chahiye. Candidates ko hydrocele, varicose veins aur piles jaise rog nahi hone chahiye
Height, weight aur chest
Kaise apply kare
Online application form bharna hoga
Last date 30 October 2019
Civil candidate (jo army mein nahi hai) ko joinindianarmy ke website pe online apply karna hoga.
Step 1: Pehle aap neeche click karke joinindianarmy website ke check eligibility page pe jao
Step 2: Captcha dal ke aap site mein enter karo
Step 3: Online form mein apni details dalo aur phir Check Eligibility ke button pe click karo. Agar aap eligible ho to neeche Cartographer ka post milegi aur aap phir green Apply button pe click karke apply kar sakte ho
Step 3: Login page aa jayega jahan aap apni details dal ke apply kar sakte hao
Yahan click karke Havildar Surveyor Automated Cartographer ka notification download karo
Havildar Surveyor Automated Cartographer ka selection process kya hoga?
Form bharo
Pehle aapko application bharni hogi (Online ya written)
Jo candidates qualify kar jayenge unko Admit Card Milega aur unko screening ke liye bulaya jayega
Screening aur physical test
Admit card mein screening center aur date di hogi jahan aap ko hazir hona hoga.
Screening center pe aapko apne documents leke jane honge. jo wahan check kiye jayeinge
Document list
- Original admit card
- Sarpanch ya state authority ka issue kiya hua character certificate
- Domicile/resident/nativity certificate
- Sare educational certificates 10th class ke baad aur sari marksheets
Documents check karne ke baad physical test hoga.
Running
1600 meter daudna hoga 8 min mein
Pahadi ilake mein riyata di jayegi agar height center ki 5000 se 900 feet pe hai to 8 min 30 seconds aur agar height 9000 foot se 12000 foot tak hai to 10 min mein 1600 meter daudna hoga
Pull ups
Beam pe kam se kam 6 pull up karne honge
Zig Zag balance aur 9 foot ka jump karna hoga qualify karne ko
Written test
Jo log qualify karenge unko 23 Feb 2020 ko written test dena hoga
Yeh test 2 part ka hai, part 1 maths ka paper hoga jisme 50 questions honge. Sahi jawab pe 2 marks aur galat question pe negative marking hogi 0.5 marks ki.
Part 2 mein Physics aur Chemisty ke sawal honge jismein 50 question honge, 2 marks ka ek question aur negative marking 0.5 marks ki.
Yahan click karke aap cartographer exam ka syllabus download kar sakte ho
Yahan click karke Havildar Cartographer ka sample paper download kare
Paper 1 aur paper 2 mein 40% marks chahiye qualify karne ko aur merit list mein aane ke liye.
Agar aapko koi aur sawal hai to aap comment karke puch sakte hai.
Jai hind!
सर मुझे भी आर्मी जंईन करणी हैं ड्राईव्हर हूं
I want to jobs
2020 ki vacancy kab aayegi
Abhi koi notification nahi aayi hai. Jaise hi aayegi yaha par update kardi jayegi.
what is the standard or difficulty level of this written exam
It is very basic.