delhi police bharti ki puri jaankari

Delhi Police Bharti ke liye Constable aur Sub Inspector (SI) ki vacancies har saal nikalti hai. Ye bharti Central Government ke antargat aati hai. Abhi Head Constable ki bharti nikal chuki hai jiski jaankari niche dekh sakte hai.

Delhi Police Head Constable Ki Bharti Nikal Gayi Hai, Yahan Click Karke

Delhi Police Bharti Recruitment Notification ki jaankari jaise:

Delhi Police Constable Bharti 2020

Delhi Head Constable Bharti 2020

Delhi Police Constable Recruitment Dates 2020

Delhi Police Constable Educational Qualification 2020

Delhi Police Physical Standard aur Eligibility 2020

Delhi Police Constable Salary 2020

Delhi Police Online Form 2020

Form Bharne Ke Liye Jaruri Documents 2020

Delhi Police Selection Process And Exam Pattern 2020

Delhi Police Syllabus 2020

Delhi Police Admit Card 2020

Delhi Police Constable Bharti 2020

Delhi Police Constable Bharti 2020 ki date abhi tak nahin nikali lekin abhi lekin haal ke samacharo ke anusar pata chala hai ki iss baar Delhi Police constable recruitment ki post ke liye 15,000 posts ki vacancy nikalane wali hai aur Delhi Police Sub-Inspector Bharti 2020 ki online application processjald hi shuru hogi Apply karne ke liye niche click kare.

Delhi Police Sub Inspector (SI) Bharti 2020 ke liye click kare

Head Constable Bharti 2020

Delhi head constable bharti 2020 ki notification abhi nahi nikali hai. Iss bharti mein 2019 mein Assistant wireless operator/Teleprinter operator ke liye total 649 post nikali hai.

Iss bharti mein male aur female dono apply kar sakte hai.

Bharti ki detail:

  • Total Vacancies – 649
  • Head Constable (AWO/TPO) – Male (Open) – 392 Posts (43 vacancies for Departmental candidates)
  • Head Constable (AWO/TPO) – Female (Open) – 193 Posts (21 vacancies for Departmental candidates)

Delhi Police Constable Salary 2020

Delhi Police mein constable ki agar salary hai Rs. 21,700-69,100 hai.

Delhi Police Recruitment Dates 2020

Delhi head constable bharti ki dates aap niche dekh sakte hai.

Important dates

  • Online application bharne ki date: Not updated
  • Online application ki last date: Not updated

Official Notification
Official Website

Delhi Police Educational Qualification 2020

Delhi Sub inspector aur Constable ki post ke liye educational qualification bhi honi jaruri hai jo humein niche batayi hai. Toh pahle aapko apni qualification dekhni hai iske baad hi apply karna hai.

PostQualification
Constable10+2 pass kisi recognized board se form fill karte samay.

Delhi Police Physical Standard aur Eligibility 2020

Delhi Police Bharti mein constable aur sub inspector banane ke liye kuch basic eligibility requirements hoti hain jo ki humne neeche bataya hua hai.

PostAge Limit
Constable ke liye18 se 24 Saal

Age Limit mein relaxation kuch iss prakar hai –

Code No.CategoryAge-Relaxation permissible beyond the Upper age limit
01SC05 years
02ST05 years
03OBC03 Years
04Ex-Servicemen
(Unreserved/General)
03 years after deduction of the military
service rendered from the actual age
as on the closing date.
05Ex-Servicemen (OBC)06 years (3 years + 3 years) after
deduction of the military service
rendered from the actual age as on the
closing date
06Ex-Servicemen (SC)08 years (3 years + 5 years) after
deduction of the military service
rendered from the actual age as on the
closing date.
07Ex-Servicemen (ST)08 years (3 years + 5 years) after
deduction of the military service
rendered from the actual age as on the
closing date.
08Departmental Male/ Female Candidates for open vacancies in Delhi Police only Departmental Candidates (Unreserved) who have rendered not less than 3 years of regular and continuous
service as on closing date.
Upto 30 years of age.
09Departmental Candidates
(OBC) who have rendered not less than 3years of regular and continuous service as on closing date.
Upto 33 years of age.
10Departmental Candidates
(OBC) who have rendered not less than 3years of regular and continuous service as on closing date.
Upto 35 years of age
11Departmental Candidates
(ST) who have rendered not less than 3 years of regular and continuous service as on closing date.
Upto 35 years of age
12Sportsmen and women
(un-reserved)
Upto 5 years
13Sportsmen and women (OBC),Upto 5 years
14Sportsmen and women
(SC)
Upto 10 (5+5) years
15Sportsmen and women
(ST)
Upto 10 (5+5) years
16Sons/daughters of serving, deceased, retired police personnel/Multi Tasking Staff (Formerly group ‘D’ employees) of Delhi Police.Up to 25 years of age
17Widow/divorced women/
judicially separated women

Up to 30 years of age

Delhi Police Physical Requirement 2019

Category
Height
Chest
Weight
Male
170 cm for all/165 cm for ST/SC
81 cm se 85 cm.ST/SC ke liye 76 se 80 cm.
Height ke anusar
Female
157 cm sabhi ke liye aur155 ST/SC ke liye
Height ke anusar

Delhi Police SI Vacancy

Delhi Police SI vacancy nikal chuki hai. Puri jaanakri ke liye click kare

Delhi Police mein Sub Inspector ki post ke liye vacancy SSC CPO ke antargat nikalti hai. Delhi Police anya State Police Departments ki tarah apne State Government yani ki Delhi Government ke under nahi aati hai , balki yeh Central Government ke under aati hai .

SSC CPO waale blog ko padhke agar aap Delhi Police mein Sub Inspector ki post ke liye vacancy ke baare mein janana chahte hain toh yahan click karein.

Delhi Police Online Form 2020

Delhi Police Bharti 2020 ke forms abhi available nahi hain par yeh forms delhi police ke official portal pe available hote hain.
Iss form ko bharne ke liye saare candidates ko Rs. 100 ki application fees deni hoti hai par yeh fees women, SC, ST candidates ko nahi deni padti hai.
Iske baad aapko apne kuch documents upload karne padenge form ke saath jiske baare mein hum aapko aage batayenge.

  • Iske baad jab page khulega toh form bharne ka link dikhega aur uspar click karna hoga.
  • Iske baad khali box dikhenge jismein candidates ko apni jaankari bharni hoti hai. Ismein basic details bharni hoti hai jaise name, parents’ name, date of birth, email id, mobile number etc.
  • Agle step mein, candidates ko apna photograph aur signature upload karna hoga jo official notification mein bataya hoga.

Photograph – Photograph ki white colour or light colour ki background honi aur uski size 4 kb se 12 kb honi chahiye. Jabki resolution 100×120 pixels in width and height mein honi chahiye.

Signature – Signature black yaa blue ink mein white sheet par hona chahiye. Aur signature ki scanned copy jpg format mein aur 1 kb se 12 kb ke andar honi chahiye. Resolution 40×60 pixels honi chahiye.

  • Application form bharne ke baad, candidates ko ek baar dekh leni chahiye.

Iss tarah Delhi Police Constable Exam application form ko sahi se dekhne ke baad Final Submit button par click karna hai. Yahan application form ko print karne ka bhi option hota hai. 

Delhi Police SI vacancy nikal chuki hai. Puri jaanakri ke liye click kare

Form Bharne Ke Liye Jaruri Documents 2020

Delhi Police Bharti 2020 ke liye aapko apne application form ke saath kuch zaruri documents bhi upload karne padenge jaise ki – 

  • Date of Birth ke liye Matric Certificate.
  • Educational Certificates like Diploma/Degree/10+2.
  • Cast Certificates like BCA/BCB/SC/ST/OBC.
  • Hill Area Certificates.
  • Driving License.
  • DESM Candidate Certificates.
  • Aadhar Card.
  • Wards Certificate.
  • Delhi Police Admit Card.
  • NOC/Discharge Certificate For Ex-servicemen.

Delhi Police Selection Process And Exam Pattern 2020

Delhi Police constable ke selection process mein two stages hote hain – 

1.Computer Based Examination – Constable ke post ke liye yeh test 100 marks ka hota hai aur ismein kuch basic general knowledge , reasoning etc check kari jaati hai ,

Iss Examination ke subjects , time allowed aur har subject ke liye maximum marks neeche diye hue hain –  

Paper No.

Subjects

Duration

Marks

1. Paper I 

(a) General Intelligence and Reasoning

2 Hours

400 Marks 

(b) General Awareness 

(c) Numerical Ability 

2. Paper II 

(a) Hindi Language

2 Hours 

 200 Marks

(b) English Language 

2. Physical Endurance and Measurement Tests – Physical Measurement tests donon male aur female candidates ke liye alag alag hote hain. 

Male candidates ke liye neeche diye gaye table ko dhyaan se dekhein

AgeRace 1600 metresLong JumpHigh Jump
Upto 30 years6 Minutes14 feet3’9”
Above 30 to 40 years7 Minutes13 feet3’6”
Above 40 years8 Minutes12 feet3’3”

Note : Jo candidates race mein qualify karlenge wahi Long Jump aur High Jump ke liye eligible honge. Inn donon activities mein aapko teen chances di jaayengi jinmein aapko apne age ke hisaab se qualify karna hoga. Agar koi candidate inn activities ke dauran disqualify hojaata hai toh uske against appeal nahi kari jaa sakti hai.

Female candidates ke criteria ke liye – 

AgeRace 1600 metresLong JumpHigh Jump
Upto 30 years08 Minutes10 feet03 feet
Above 30 to 40 years09 Minutes09 feet2’9”
Above 40 years10 Minutes08 feet2’6”

Note : Jo candidates race mein qualify karlenge wahi Long Jump aur High Jump ke liye eligible honge. Inn donon activities mein aapko teen chances di jaayengi jinmein aapko apne age ke hisaab se qualify karna hoga. Agar koi candidate inn activities ke dauran disqualify hojaata hai toh uske against appeal nahi kari jaa sakti hai.

Delhi Police Syllabus 2020

Delhi Police ke selection exam ke liye different subjects ke liye yeh syllabus hai –

General Knowledge

  • Indian Constitution.
  • Indian Geography.
  • History – India & World.
  • Indian Economy.
  • Science & Technology.
  • Indian Polity.
  • Environmental Issues.
  • Current Affairs – National & International, etc.

Numerical Ability

  • Arithmetic
  • Algebra
  • Geometry
  • Mensuration
  • Statistical Charts
  • Trigonometry etc.

Reasoning

  • Similarities & Differences.
  • Decision Making.
  • Spatial Orientation.
  • Discrimination.
  • Problem Solving.
  • Spatial Visualization.
  • Analysis.
  • Judgment.
  • Arithmetic Reasoning.
  • Arithmetical Number Series.
  • Observation.
  • Visual Memory.
  • Relationship Concepts.
  • Coding & Decoding.
  • Statement Conclusion.
  • Non-Verbal series.
  • Verbal and Figure Classification.
  • Syllogistic Reasoning.
  • Analogies etc.

Delhi Police Admit Card 2020

Har candidate jo Delhi Police Constable exam ke liye apply karte hain unhein exam se pehle roll numbers aur Admission Certificate yani Admit Card issue kare jaate hain. Delhi Police recruitment exam ka admit card aap unki official website se download kar sakte hain. Abhi Delhi Police Constable Exam ka admit card aaya nahi hai par jaise hi aayega hum aapko uski jaankari pradan kardenge.

Admit Card ke baare mein vistaar se janane ke liye neeche click kare.

Delhi Police Constable Admit Card 2020

Delhi Police SI vacancy nikal chuki hai. Puri jaanakri ke liye click kare


Saari Latest Police Bharti 2029 Updates ke liye click karein


Humein umeed hai ki iss article se aapko Delhi Police Bharti ki puri jankari mil gayi hogi jaise recruitment, eligibility, vacancy , selection process etc . Humne poori koshish kari hai ki shuruwaat se ant tak aapko har sawal ka jawab mil jaaye. Agar aapko kisi anya jankari ki zarurat hai toh humein comments section mein likhke zarur batayein, hum aapki madad karne ki poori koshish karenge.

I'm a political enthusiast who loves to watch TV shows in order to imbibe something from the characters in it and i believe that the first step to success is ambition as you can't achieve something until you dream about it. I'm a part of the Commerce Society and Enactus Hansraj where I'm serving as the Event Management and Promotions Head and Project Director for Project Armaan,respectively.

56 COMMENTS

  1. Sir m haryana se belong karta hu
    Mere pass Delhi ka regidensi nahi h
    To m Delhi ka farm nahi bhar sakta Kya
    App muje jarur reply jarur kre sir

    • Sari details is article mein likhi hai. Ek baar check kariye aur phir agar kuch samajh nahi aata to please puchiye.

  2. Age ..for constable kitni honi chahiye general category ke liye kuch websites btati hai ki 21 tk hi kar sakte hai constable ke liye plzz btaiye🙏

    • Yes, kar sakte hai. UP ke liye koi alag se age limit nahi hai par OBC candidates from all states ke liye hai jiske baare mein upar article mein puri jaanakri de rakhi hai.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here