Central Reserve Police Force (CRPF) ne Head Constable posts ki vacancy nikali hai. CRPF bharti ke Head Constable Recruitment Notification 2020 ki puri jaankari yaha pdhein.
Central Reserve Police Force (CRPF) India ki sabse badhi Central Armed Police Force hai. CRPF ka main role law and order maintain karna hai.
CRPF Bharti 2020 ki puri jaankari dhyan se padhein.
CRPF recruitment 2020 mein 1412 Head Constable (General Duty/Bugler/Mali/Painter) ki post open hai aur isko apply karne ki last date 6th March 2020. hai. Iss post ke liye In-service Male & Female officers apply kar sakte hai. Ye post sirf already serving yani jo CRPF mein pehle se hai unke liye hi hai. Ye post abhi temporary hai par isko permanent kia jaa sakta hai.
CRPF bharti vacancy
Vacancy | General | SC | ST | Total No.of Posts |
Male | 1031 | 200 | 100 | 1331 Posts |
Female | 63 | 12 | 06 | 81 Posts |
Eligibility
Age limit
Upper age apply karne ki 32 years hai as on 1st August 2019.
Service Eligibility
Candidates ne kam se kam 4 years ki service complete kari hone chhaiye apply karne ke samay. 4 years se zayda service wale candidates ko extra marks die jayenge:
Service years | Marks |
Upto 4 years | No marks |
4-5 years | 04 marks |
5-6 years | 08 marks |
6-7 years | 12 marks |
7-8 years | 16 marks |
Above 8 years | 20 marks |
Educational Qualification
10+2 pass kisi bhi Central/State board se.
Salary
7th CPC Pay Level 4: Rs. 25,500-81,000/- monthly plus allowances (DA, HRA,CCA etc..)
Exam Dates
Application start date | 07-02-2020 |
Last Date to apply | 06-03-2020 |
Written exam | 19-03-2020 |
CRPF bharti Selection process
Stage 1: Written Exam
Ye exam MCQ format mein hoga aur questions English & Hindi mein honge. Iss exam ke liye total 3 hours die jayenge. Questions 10+2 level ke honge.
Section | Questions | Marks |
General Intelligence, awareness, reasoning, numerical ability | 60 questions | 60 marks |
Professional Knowledge | 70 questions | 70 marks |
Language comprehension & communication skills | 30 questions | 30 marks |
Total | 160 questions | 160 marks |
Stage 2: Physical standards
Height
Category | Male Candidates | Female Candidates |
General | 170 cms | 157 cms |
ST | 76 cms | 81 cms |
Chest (Only Male candidates)
Category | Unexpanded | Expanded |
General | 80 cms | 85 cms |
ST | 76 cms | 81 cms |
Weight height ke according hona chahiye.
Stage 3: Physical Efficiency Test (PET)
Male | Female |
100 meters race in 16 seconds | 100 meters race in 18 seconds |
1.6 Km race in 6.30 minutes | 800 meters race in 4 minutes |
Long jump 12 feet in 3 chances | Long jump 9 feet in 3 chances |
High jump 3 feet 09 inches in 3 chances | High jump 3 feet in 3 chances |
Training
Selected candidates ko 2 years ka probation complete karna hoga.
CRPF recruitment: Apply kaise kare?
Interested candidates ko offline apply karna hoga. Iske liye pehle existing Head of Office se NOC lena hoga aur baki documents ke sath mein submit karna hoga.
Baki information par CRPF ki official site visit kare: crpf.gov.in
Saari Latest Sarkari Job Updates 2020 ke liye click karein
Humein umeed hai ki iss information CRPF bharti recruitment ki puri jaankari mil gayi hogi jaise, application, salary, exam pattern, etc. Humne puri koshish ki hai ke shuruwat se ant tak aapko har sawal ka jawab mil jaye. Agar abhi bhi aapko kisi jankari ki jarurat ho toh comment mein jarur puchein. Hum aapki puri madad karenge.