CISF Head Constable Bharti (Recruitment) 2019 notification release ho gya hai. Jismein Head Constable (GD) ki sports quota ke liye 300 post nikali hai aur ismein male aur female dono eligible hai. CISF ka full form “Central Industrial Security Force” hai. CISF Ministry of Home Affairs ke andar aata hai. CISF bharti se related jaankari ke liye padhein humara blog.
Iss article mein hum aapko batayenge
CISF Head Constable Vacancy 2019 Ki Details
CISF Head Constable Bharti Educational Qualification
CISF Head Constable Eligibility
Form Bharne Ke Liye Jaruri Documents
CISF Head Constable Admit Card
CISF Head Constable Vacancy 2019 Ki Details
CISF Head Constable (GD) Sports Quota Recruitment
CISF Head Constable (GD) ki sports quota ki vacancy mein male aur female ke liye total 300 post nikli hai jiski important dates aap niche dekh sakte hai.
Important Dates
- Applications submit karne ki last date: 17-12-2019
- North East Region ke liye Last date: 24-12-2019
Age Limit (as on 01-08-2019)
- Minimum Age: 18 Years
- Maximum Age: 23 Years
Rules ke anusar reserved category waalo ko relaxation milegi.
Qualification
Candidates 12th pass hona jaruri hai saath hi usne State/ National/ International level ke games mein represent kiya hua hona chahiye.
Apply Kaise karein
Aapko bata de ki CISF Head Constable (GD) mein apply aapko offline karna padega jiska form aap niche Official Notification par click karne par mil jaayega.
CISF Head Constable Salary
CISF Head Constable jo ki level 4 post hai ki pay matrix( Rs.25500-Rs.81100) pre revised pay Rs.5200-20200 + Grade pay 2400 aur admissible allowance hai. CISF Head Constable pension benefits ke bhi yogya hote hai ‘New Restructured Defined Contributory Pension Scheme’ ke anusaar.
CISF Head Constable Bharti Educational Qualification
CISF Head Constable ki post ke liye educational qualification bhi honi jaruri hai jo humein niche batayi hai. Toh pehle aapko apni qualification dekhni hai iske baad hi apply karna hai:
Educational Qualification | Candidate ko intermidate or senior secondary kisi recognize board se 12th standard pass hona chahiye. |
CISF Head Constable Eligibility
Agar physical standard ki baat karein to kuch iss prakar hai:
Age Limit:
CISF Head Constable post ke liye minimum age 18 years aur maximum age 25 years hai. Age mein relaxation kuch iss prakar hai:
Category | Age Relaxation | Upper Limit (Relaxation ke baad) |
OBC | 3 years | 28 years |
SC/ST | 5 years | 30 years |
Servicemen | 3 years | 28 years |
Note: Yeh age limit North East Region par bhi applicable hai.
Physical Standard:
Category | Male | Female | |||
Height | Chest | Weight | Height | Weight | |
General/SC/OBC | 165 cm | 77-82 | Weight aap ki height anusaar | 155 cm | Weight aap ki height anusaar |
ST | 162.5 cm | 76-81 | 150 cm | ||
Special relaxation inn state ke logo ko: Gharwali, Kumaoni, Gorkhas, Dogras, Marathas, candidates from Sikkim, Nagaland, Arunachal, Manipur, Tripura, Mizoram, Meghalaya, Assam, HP, J&K | 162.5 am | 77-82 | 150 cm |
Medical standards:
Eye sight | Criteria |
Near Vision | Better Eye- N6 |
Distant Vision | Better Eye- 6/6 |
Refraction | Visual correction allowed nahi hai, glass ke sath bhi nahi. |
Color Vision | CP III by ISIHARA |
Note: Sath hi English mein 35 WPM( word per minute) minimum speed hone chahiye aur Hindi mein 30 WPM( word per minute) minimum speed hone chahiye.
Application Fees Aur Process
Online application form fill karne ke liye process:
Step 1: Official website per visit karein. Jiske liye yahan click karein.
Step 2: ‘New Registration’ per click karein.
Step 3: Required details fill karein.
Step 4: Submit par click karein.
Step 5: Aap ko registered ID aur password aap ki mobile number aur Email ID par bhej diya jayega. Ab aap ‘Continue to upload photo & signature’ par click karein.
Step 6: Apna registration ID aur password sath hi Captcha enter karein. Submit par click karein.
Apni photo aur signature upload karein.
Step 7: Print par click karein aur Registration Number future use ke liye note kar le.
Step 8: Ab aap ek naye page par aa jayenge, niche scroll karein aur Apply part par click Karen.
Apna registration ID aur password sath hi Captcha enter karein. Submit par click karein.
Step 9: Ab apni entered details check karein aur baki informations fill karein. Iske baad submit par click karein.
Step 10: Submit karne par Part 1 registration ho gya. Ab required documents upload karein.
Step 11: ‘Continue for print’ karein aur payment karein.
Step 12: Payment karein ke baad ‘Print form’ par click karein.
Application fees:
Category | Fees |
General/OBC | Rs.100 |
Females/SC/ST/Exservicemen | No fees |
Note: Application fees ki payment aap Debit card/ Credit card /SBI Challan se kar sakte hai.
Form Bharne Ke Liye Jaruri Documents
CISF Head Constable Recruitment ke liye kuch jaruri documents:
- 10th ki marksheet (Date of birth ke liye)
- Educational certificate
- Caste certificate
- Passports size photo
CISF Head Constable Selection Process
CISF Head Constale ka selection teen stages mein hota hai:
Phase 1: Physical standard test(pst), documentation verification.
Phase 2: Written Test CBT/OMR.
Phase 3: Skill Test (Typing test).
Note: Inn exams ke stages interchange ho sakte hai. Agar written exam 2nd stage par hota hai to skill test ke liye qualify karne ke liye kewal written exam mein marks par depend karta hai.
Phase 1: PST & Documentation: Male aur female vacancy ke liye minimum requirments jise candidate ko satify karna padta hai Physical Standard Test mein:
Category | Male | Female | |||
Height | Chest | Weight | Height | Weight | |
General/SC/OBC | 165 cm | 77-82 | Weight aap ki height anusaar | 155 cm | Weight aap ki height anusaar |
ST | 162.5 cm | 76-81 | 150 cm | ||
Special relaxation inn state ke logo ko: Gharwali, Kumaoni, Gorkhas, Dogras, Marathas, candidates from Sikkim, Nagaland, Arunachal, Manipur, Tripura, Mizoram, Meghalaya, Assam, HP, J&K | 162.5 am | 77-82 | 150 cm |
Documentation mein apne jo document upload kiye hai form fill karte time usse verify karna hota hai. Agar aap ke document original nahi hue to aap disqualify kar diye jayenge.
Phase 2: Written exam: Written exam OMR ya online mode mein bhi ho sakta hai. Yeh exam English aur Hindi dono language mein hone wala 2 hours ka 100 marks ka exam hai. Jinmein 4 subjects se 100 question puchein jate hai.
Section | Total question | Total marks | Time duration |
General Intelligence | 25 | 25 | 2 hours |
General Knowledge | 25 | 25 | |
Arithmetic | 25 | 25 | |
English/Hindi | 25 | 25 | |
100 questions | 100 marks |
Written exam ke liye qualifying marks General/Ex-servicemen ke liye 35% total marks ka jabki SC/ST/OBC ke liye qualifying marks 33% hai total marks ka.
Phase 3: Skill Test(Typing Test): Skill test mein aapki typing ka test hota hai. Jismein English mein 35 WPM( word per minute) minimum speed aur Hindi mein 30 WPM( word per minute) minimum speed hone chahiye.
3rd stage ke baad merit list released hoti hai qualified students ki. Qualified students ko medical test ke liye bulaya jata hai. Jismein minimum required medical standards ko satisfy karna padta hai.
Final selection unn candidates ka hota hai jo written exam qualify karte hai aur detailed medical examination, review medical examination mein fit paye jate hai.
CISF Head Constable Admit Card
Jaisa ki aapko pata hai ki CISF Head Constable Recruitment 2019 mein males aur females dono ke liye 429 vacancy nikli hai. jismein interested candidates apply kar sakte hain. Iss recruitment ke liye apply karne ke baad sabse pada sawal yahi hai ki admit card kaise milega. Aap admit card Bihar police ki official website par ja kar download kar sakte hai.
Jyada jaankari ke liye yahan click karein.
CISF Head Constable Syllabus
Chaliye ke CISF Head Constable post ke liye written exam ka syllabus jante hai:
Subject | Syllabus |
Arithmetic ability |
|
General knowledge |
|
General Intelligence Subject |
|
General Hindi/ General English |
|
Note: Aap ko General Hindi/ General English mein se koi ek subject choose karna hoga.
CISF Head Constable Results
CISF Head Constable ke liye exam mein Medical test hone ke baad results aate hai. Jismein selection released merit list ke according hota hai. Iss saal ke results abhi aaye nahi hai. Aap result ka status official website par ja kar dekh sakte hai. Result download karne ke liye aap ko Roll number uar Date of birth ki jarurt padti hai.
Expected CISF Head Constable Cut Off
Category | Minimum Percentage total marks ka |
General | 74 to 75% |
OBC | 70 to 73% |
SC | 58 to 61% |
ST | 51 to 52% |
Humein umeed hai ki iss article se aapko CISF Head Constable Bharti ki puri jankari mil gayi hogi jaise recruitment, eligibility, vacancy , selection process etc . Humne poori koshish kari hai ki shuruwaat se ant tak aapko har sawal ka jawab mil jaaye. Agar aapko kisi anya jankari ki zarurat hai toh humein comments section mein likhke zarur batayein, hum aapki madad karne ki poori koshish karenge
Documents Kya Kya Kya chaiya
Humne upar documents ki puri jaankari de rakhi hai.
Bhut acchi jankari hai isse cisf k bare m poora knowledge mil GHA h
Thanks for your valuable feedback.
THANKU SO MUCH SIR G CISF KI SELECTION KE BAARE ME BATAKE