CG Police Bharti matlab chhattisgarh police department mein bharti. Iske liye sub inspector aur constable level pe posts hoti hain jiske andar further posts divided hoti hain. Iske liye males aur females dono hi apply kar sakte hain. Sub Inspector ke liye total 655 posts hoti hain aur Constable ke liye 2018 mein 2259 posts nikli thi. Is article mein humne saari details di hain cg police bharti aur vacancy ke baare mein.
Bihar Police Bharti Nikal Gayi hai, Abhi Apply Kare
CISF Constable/Tradesman ki bharti nikal chuki hai. Notification padhane ke liye yahan click kare
Delhi Police Sub Inspector 2019 ki vacancy nikal chuki hai. Notification ke liye click kare
Aap Inn Links Par Click Karke Seedhe Apna Topic Padh Sakte Hai
CG Police Educational Qualification
Chattisgarh Police Exam Syllabus
Kuch Puche Janane Vaale Sawal Javab
Chhattisgarh Police Bharti mein state level par recruitment hoti hai. Job location Chattisgarh ke districts mein hoti hai. Chattisgarh Police ki Official website par saare updates aate hai.
CG Police Sub Inspector mein bhi kahi type ki posts hoti hain jin sabki details aapko niche mil jaegi. Alag category mein alag no. of posts hain toh sab details aap ache se padh le.
CG Police SI Vacancy Details: Total – 655 Posts
Post | General | SC | ST | OBC | Total |
1. Subedar | 11 | 3 | 8 | 3 | 25 |
2. Sub Inspector | 158 | 44 | 125 | 54 | 381 |
3. Sub Inspector (Special Branch) | 16 | 4 | 12 | 5 | 37 |
4. Platoon Commander | 74 | 21 | 63 | 26 | 184 |
5. Sub Inspector (Finger Expert) | 3 | 1 | 2 | 2 | 8 |
6. Sub Inspector (Question paper) | 1 | —– | 1 | —– | 2 |
7. Sub Inspector (Computer) | 4 | 1 | 4 | 2 | 11 |
8. Sub Inspector (Telecom) | 3 | 1 | 2 | 1 | 7 |
CG Police Constable Posts 2020
Chattisgarh Police Constable ke liye posts ki soochna aapko jald de di jaaegi lekin pichle saal 2018 mein jo vacancy nikli thi vo takriban 2259 posts ki thi. Iss saal iss se zyada ya kam bhi ho sakti hain. Par dekha jaye toh 2000 ke aas paas hi hoti hain vacancy.
CG Police Salary
SI Salary matrix level – 8 (initial monthly salary – Rs 35400/-)
Constable – Department Rs.5,200 se Rs.20,200 ke pay band ke beech mein salary deti hain plus grade pay Rs.1,900 ka. Uske saath aur bhi allowances milti hain unn candidates ko jo apni performance ke hisaab pe select hote hain selection process mein.
CG Police SI Important Dates
Event Name | Schedule Dates |
Application Start Date | abhi aayi nahi hai |
Last Date Application Submit Ki | ——————- |
Exam Date | ——————- |
CG Police Constable Exam 2020 Important Dates
Events | Dates |
Online application form start date | abhi aayi nahi hai |
Last date of online application form | ——————- |
Last date for Fee Payment | ——————- |
CG Police Constable Admit Card Issue Date | ——————- |
Document Verification/ Physical Test Date | ——————- |
CG Police Constable Written exam date | ——————- |
Toh Chattisgarh Police Bharti ka exam aap Hindi aur English dono mein se kisi mein bhi de sakte hai. Admit card ki baat karein toh yeh aap jab online form bharenge toh email par bata diya jaayega ki Chattisgarh Police Admit Card kahan milega aur kaise milega.
CG Police Eligibility
CG Police SI Eligiblity
Nationality: Candidate ke paas Domicile certificate ya continuous Residence Certificate hona chahiye Chattisgarh ka.
Age limit
CG Police Sub Inspector aur Constable bharti mein agar physical standard ki baat karein toh kuch iss prakar se hai.
Sub Inspector ke liye | 18 se 31 Saal |
- Age relaxation- Age relaxation SC/ST/OBC/ Meritorious sportsperson/Ex-servicemen category ke liye 5 years hoti hain.
CG Police Constable Eligibility
Name of Post | Age Limit | Educational Qualification |
Constable (Telecom) | 18 se 38 saal | 12th pass with Physics, Chemistry & Mathematics ek recognised board se |
Constable Tradesman and Constable MT (Driver) | 18 se 28 saal | Candidates ko kam se kam 8th pass hona zaruri hain. Candidates jo Bastar Division aur areas jo Naxalites se affected hain vaha se hain unke liye 5th pass hona zaruri hain. |
Constable (General Duty) | 18 se 28 saal | Candidates ko kam se kam 10th pass hona zaruri hain. Candidates jo Bastar Division aur areas jo Naxalites se affected hain vaha se hain unke liye 5th pass hona zaruri hain. |
Other Posts | 18 se 38 saal | 12th pass from a recognised board. |
Candidates jo SC/ST/OBC ko belong karte hain unke liye 5 years relaxation hain
CG Police Educational Qualification
Post | Qualification |
Sub Inspector | Graduation kisi recognized university se aur 10th mein Hindi/ Sanskrit subjects hone chahiye. |
- Subedar ,Platoon Commander, SI aur SI(Special Branch) ke post ke liye graduate hona zaruri hain.
- Qualification Sub Inspector (Computer) hoti hain BCA ya B.Sc (Computer)
- Sub Inspector (Telecommunications) ke liye Diploma/Degree hona chahiye (Electrical/Electronics/Telecommunications Engineering) mein
- Sub Inspector (Angul Chinh) aur SI (Document under question) ke liye graduation honi chahiye (Physics,Chemistry & Mathematics) mein.
CG Police Online Form 2020
Chhattisgarh Police Constable & SI Recruitment 2020 ke liye apply aap online hi kar paayenge. Abhi 2020 ki notification nahi aayi hai.
Application Mode: Online
Payment: Net Banking aur E-Challan dwara payment kar sakte hai.
Candidates jo interested hain aur eligible hain unko online apply karna hoga sirf iss website se. Online mode ke alava koi tarika nahi hain application submit karne ka. Uske alava koi mode ko accept bhi nahi kara jaega. Form bharne se pehle saari details, eligiblity criteria aur form bharne se related saari information jaanle. Form aap official website pe jaake bhar sakte hain aur step-step process humne niche bataya hain.
- Official website visit kare CG Police ki.
- Vaha pe link dhundhe official notification ka sub inspector recruitment ke liye aur constable post ke liye bhi.
- Download kare notification ko aur usse dhang se padhle.
- Eligible candidates “Apply Online” link pe click karein.
- Apni details daalde online application form mein.
- Apni photograph aur signature ki scanned copy upload karde.
- Application fee bharde.
- Phir submit button pe click karde aur application form ka print out nikal le.
Candidates ko nominal sa fees bharna hota hain apni category ke hisaab se jiske baare mein humne niche bataya hain.
CG Police SI Application Fees 2020
S.No. | Category | Application Fees |
1. | General/OBC | Rs. 400/- |
2. | ST/SC/PWD | Rs. 200/- |
CG Police Constable Application Fees 2020
Category | Fees |
General/OBC | ₹ 200/- |
ST/SC/PWD | ₹ 125/- |
- Phase 1: Document Verification
- Phase 2: Physical Measurement Test/Physical Efficiency Test
- Phase 3: Written Test
- Selection List/Merit List
Phase 1: Document Verification Chhattisgarh Police SI aur Constable ke liye
Document verification ke liye zaruri documents ke list humne niche batayi hain. Jis candidates ke documents match nahi karte uss documents se jo unhone upload kare the ,vo reject hojaenge. Documents bilkul original hi upload karne hain aur saath leke jane hain verification ke liye.
Certificates jo verification ke liye saath mein hone chahiye
- Aadhar card.
- Proof of all Educational Qualifications.
- Date of Birth Certificate / S.S.C.
- School Study Certificate.
- No Objection Certificate from Employer (if anywhere employed) Other certificates if any.
- Community Certificate.
- Non-Creamy Layer Certificate as per Form- VIIB / Creamy Layer Certificate as per Form- VIIC.
- Certificate of Residence / Nativity (where the Candidates not studied in School / Private Study).
Phase 2: Physical Measurement Test (PMT) SI post ke liye:
Candidates | Height | Chest |
Male | 168 cms | 81-86 cms (minimum 05 cms expansion compulsory) 78-83 cm for SC/ST |
Female | 153 cms | NA |
Physical Efficiency Test (PET) SI aur Constable Post ke liye:
Candidates | Race | Time |
Male | 1500 Meters | 05 Minutes 40 Seconds |
Female | 800 Meters | 03 Minutes 20 Seconds |
PMT/PET ke koi marks nahi hote hain par qualify hone mein iska role hota hain aur performance mayne rakhti hain. Jo candidates qualify karjate hain physical test mein vo hi written examination ke liye qualify karte hain.
Phase 3: Written Examination
Written Examination Phase 3 hota hain aur iska exam 4 hiso mein hota hain jo hain 1st Test (English, Hindi, Aptitude), 2nd Test (PCM), 3rd Test (Computer).
Jo 1st aur 2nd written examination hain vo sab posts ke liye dena mandatory hota hain. 3rd Exam Sub Inspector (document under question), (Telecommunications), (Angul Chinh) ke liye posts ke lie hota hain. 4th examination Sub Inspector (Computer) ke liye hota hain.
CG Police Exam Pattern
CG Police SI Exam Pattern
Question Paper | SI Post Examination | Subjects | Questions | Time |
Part 1 | Compulsory for all | Hindi/English Language | 60 | 2 hrs. |
Compulsory for all | Aptitude Test | 40 | ||
Part 2 | Compulsory for all | General Knowledge/General Studies | 100 | 3 hrs. |
Part 3 | Only For SI Radio/ SI Finger Print & SI Question Document | Science (Physics, Chemistry & Maths) | 100 | 2 hrs. |
Part 4 | Only for SI (Computer) | Computer Science | 100 | 2 hrs. |
CG Police Constable Exam Pattern
Subjects | No of questions | Maximum marks | Duration |
Arithmetic | 25 | 25 |
2 hours (120 Minutes) |
Analytical Ability | 25 | 25 | |
Mental Ability | 25 | 25 | |
General Knowledge | 25 | 25 | |
Total | 100 | 100 |
|
Final Merit list dono written exam aur PET ke hisaab se banti hain.
Chattisgarh Police Exam Syllabus
CG Police SI Exam Syllabus 2020
Subject | Content |
1. General English & Hindi | Candidates’ ability to understand correct English, his basic comprehension and writing ability, etc. would be tested. Questions will be asked from error recognition, fill in the blanks (using verbs, preposition, articles etc), Vocabulary, Spellings, Grammar, Sentence Structure, Synonyms, Antonyms, Sentence Completion, Phrases and Idiomatic use of Words, etc. |
2. Aptitude Test | Ismein questions verbal aur non-verbal dono prakaar ke honge. Questions inn topics se puche jaenge analogies, similarities and differences, problem solving, relationship, arithmetical computation and other analytical functions, Venn diagrams, relationship concepts and Ability to observe and distinguish patterns etc. |
3. General Knowledge & Current Events | Culture and Religion, Soil, Rivers, Mountains, Ports, Inland Harbours, Freedom Movement, Sports : championships/ Winners/ Terms /No. of Players, Defence, Wars and Neighbours, Current Affairs, Important National Facts about India, Heritage and Arts, Dance, History, Languages, Capitals and Currencies, National : Bird/ Animal/ Sport/ Flower/ Anthem/ Song/ Flag/ Monuments, Eminent Personalities, Common Names, Full forms and Abbreviations, Discoveries, Diseases and Nutrition, Award and Authors. |
4. General Science | General Science ke Questions test karenge aapko roz ki observation aur experience scientific aspect ke hisaab se jo expect kiya ja sakta hain ek person se jisne science na padhi ho. Ismein knowledge jaise subjects Physics, Chemistry aur Mathematics ka bhi test hota hain. |
5. Computer Science | Basic Computer Knowledge test hogi ismein aapki. |
Chhattisgarh Police Constable Exam Syllabus 2020
Subject | Content |
1.Arithmetic | Ismein simplification, number system, HCF LCM, decimal & fraction, percentage, ratio & proportion, simple interest, compound interest, time & work, partnership, mensuration and use of table & graph ye sab aata hain. |
2. Mental Ability | Ismein aapko similarities and differences, reasoning, a different type of patterns, hidden figures, sign language, symbols or figures, words, finding relation through numbers, number series, etc. sab topics cover karne honge. |
3. Analytical Ability | Ismein decision-making, analysis and judgment, verbal and figures classification, graphs or chart, analysing data from the table, Arithmetical number series, etc. sab cover karna hoga.
|
4. General Knowledge | Indian economy, India and Chhattisgarh, Geography of the world, History of India and Chhattisgarh and National Movements, Indian polity and constitution, current events, General Science, etc. |
CG Police Result 2020
Do separate results declare kare jaatein hain conducting body ki taraf se. Ek result based hoga PMT/PET aur dusra result based hoga written examination. Inn dono exams ke basis pe final merit list tyaar kari jaati hain.
Chattisgarh Police Bharti Best Books:
- Chhattisgarh Sub Inspector Police Examination (Upkar Publication)
- Chhattisgarh Police Sub Inspector Examination (Jayantilal Bhandari)
- Chhattisgarh Police Aarakshak (GD) Bharti Pariksha – Arihant Publication
Delhi Police Sub Inspector 2019 ki vacancy nikal chuki hai. Notification ke liye click kare
CG Police Bharti se jude kuch sawaal jawaab
Q1. Tattoo allowed hain kya?
Ans- Tattoo’s ka aise koi problem nahi hain par kam prefer hote hain police department mein. Military mein allowed nahi hote hain par yaha pe koi problem nahi hain.
Q2. Kya exam paper hindi mein hoga?
Ans- Examination paper dono English aur Hindi mein hoga.
Q3. UP vale ye exam de sakte hain kya?
Ans- Nahi, UP vale ye nahi desakte hain. Ye sirf CG state valo ke liye hain aur UP valo ko unke state ka exam dene hoga police bharti ke liye.
CG Police ke Admit Card ke liye yaha click kare
Saari Latest Police Bharti 2020 Updates ke liye click karein
Humein umeed hai iss article se aapko CG Police Bharti 2020 se judi puri jaankari mil gayi hogi. Agar aapke mann mein iske alawa aur bhi koi sawal hai toh comment karke humse jarur puchein.
Cg police bharti
Yes
Cg police si ki bharti kab hogi plz bataye sir
abhi nahin, jab aayegi toh yahan update kar diya jaayega.
Si constable police bhati ka form kab niklega
Jab bharti aayegi tab article mein upadte kardiya jayega.
cg police last date kab hai
abhi bharti nahin aayi hai. aate hi yaha update kar diya jaayega
me Jeevan Yadav hu ky police officer ka job mil skt hi ky
Aap agar eligible uar paper clear kar lete hia zaruru mil sakti hai aapko ye job.
Kya M. P wale exam de sakte h kya
Hanji de sakte hai.
Sir CG Police Bharti Notification kb aayega?
plz reply me
Bhai abhi nahin aayi hai bharti, jab aayegi toh aapko bata diya jaayega.
sir bastar area k male candidates k liye kya hight me chhut h
narayanour dist se hu CG POLICE SI bharti k liye
Nahi height mein nahi hai par age mein hai relaxation.
update pane ke liye kya ka
rna hoga
Abhi update nahi aaye hai. Jaise hi aayenge hum yaha par update kardenge.
Sir 12th (PCM) kon kon se post ke liye eligible h
Cosntable post ke liye eligible honge. SI ke liye graduation karna zaruri hai.
Sir cg police constebal Bihar wale aaplai kar sakte hai Kya plise btana sir
Hanji kar sakte hai.
jai hind sir
From kese bhare mam
bharti abhi nahin aayi hai, jab aayegi toh bata diya jaayega.
Mai BE last year me hu.mujhe june-july me degree milegi. Kya mai apply kr skta hu.?
Abhi bharti bhi nahin aayi. Jab aayegi toh usmein qualification ke hisab se apply karna.
Cgpolice की भर्ती कब तक में आएगा
Abhi koi notification nahi aayi hai. Jaise hi aayegi yaha par update kardi jayegi.
Sir c g sub inspector 2020 bhti process kya rhyga phly physical hoga ki wrriten
abhi bharti hi nahin aayi hai CG ki