bihar police bharti | bihar police constable aur si vacancy, bihar police admit card

Pichle saal Bihar Police Recruitment mein males aur females dono ke liye vacancy nikli the jismein constable ki 9900 aur Sub Inspector ki 1717 post the. Iss saal Bihar Police Sub Inspector ki 3500 post nikali hai jiski official notification jaldi hi aane wali hai. Jaise hi notification aayegi yaha par Bihar Police Admit card ki details bhi update kardi jaayegi.

Bihar Police Bharti ki Puri Jaankari ke liye yahan click karein.

Bihar Police Admit Card kaise download karein?

Agar aapne bhi Bihar Police bharti mein apply kiya hai toh aapke liye admit card bahut important hai kyonki bina admit card ke exam center mein entry nahin karne dete hain. Iss karan aapko apna admit card download karna hai aur exam ke din saath lekar jaana hai. Ab hum yeh batayenge ki aap Bihar Police admit card kaise download kar sakte hai.

Bihar Police Constable Admit card :

Step 1: Official website par visit karein. Jiske liye yahan click karein.

Step 2: Apna registration number aur Date of birth sumbit karein.

Step 3: Bihar Police Constable admit card aapki screen par aa jayega.

Step 4: Download karein aur Bihar Police hall ticket ka print out nikalein.

Bihar Police Sub Inspector Admit card

Step 1: Official website par visit karein. Jiske liye yahan click karein.

Step 2: Apni Registered ID aur registered phone number enter karein. Iske baad apni Date of birth enter karein aur Captcha code enter karein.

Step 3: Submit karein aur admit card downaload karein.

Step 4: Download karne ke sath sath aap print out bhi nikal sakte hai.

Bihar Police Constable Syllabus 2020

SubjectsSyllabus
HindiSynonyms, Antonyms,  Sentence Error, Sentence correction, fill in the blanks, Comprehension & Cloze Test jaise topic par focus karein.
EnglishSynonyms, Antonyms,  Sentence Error, Sentence correction, fill in the blanks, Comprehension & Cloze Test jaise topic par dhyan de aur English grammar se related question par focus karein.
MathematicsFundamental Arithmetical operations, Percentages, Ration aur Proportion, Profit aur Loss, Simple Interest, Average, Discount, Partnership, Time aur Work, Time aur Distance, Mensuration.
General Studies (History, Geography aur Politics)Social Study ke question Indian History, Culture, Geography, Environment, Economic aspects, Freedom Movement, Indian Agriculture & Natural Resources ke major features aur Indian Constitution & Polity, Panchayati Raj, community development aur 5 years Plan se related honge sath hi Bihar ke Geographical aur Political condition ki General knowledge.
General Science (Physics, Chemistry aur Biology)General science ke questions mein har din ke matters ke knowledge ka examination aur unke scientific aspect se related questions include hoga, sath hi 12th standards ke Physics, Chemistry aur Biology subjects ki knowledge.

Bihar Police Sub Inspector Syllabus

SubjectsSyllabus
General Knowledge & Current EventsCulture aur Religion, Soil, Rivers, Mountains, Ports, Inland Harbours, Freedom Movement, Sports : championships/ Winners/ Terms /No. of Players, Defence, Wars aur Neighbours, Current Affairs, India ke Important National Facts, Heritage aur Arts, Dance, History, Languages, Capitals aur Currencies, National : Bird/ Animal/ Sport/ Flower/ Anthem/ Song/ Flag/ Monuments, Eminent Personalities, Common Names, Full forms aur Abbreviations, Discoveries, Diseases aur Nutrition, Award aur Authors.
General HindiSynonyms, Antonyms, Sentence Error, Sentence correction, fill in the blanks, Comprehension & Cloze Test jaise topics par focus karein.
General Studies Indian History, Indian Polity, Current Events, Geography, Economy se related question. Current national & International events, banking, sports jaise topics par bhi focus karein.
General ScienceGeneral science ke question mein basic knowledge check hogi aapki jismein aapke scientific matter par dhyan dena hoga. Sath hi 12thstandard ke Physics, Chemistry and Biology subjects ki knowledge.
Civics, Indian History, India ki Geography  Social Study ke question Indian History, Culture, Geography, Environment, Economic aspects, Freedom Movement, Indian Agriculture & Natural Resources ke major features aur Indian Constitution & Polity, Panchayati Raj, community development aur 5 years Plan se related honge sath hi Bihar ke Geographical aur Political condition ki General knowledge.
Mathematics Questions Simplification, Average, Percentage, Time & Work, Area, profit & Loss, Simple & Compound Interest, Time & Speed, Investment, HCF LCM, Problem On Ages , Bar Graph, Pictorial Graph, Pie Chart aur Data Interpretation jaise topics se puchein jayenge.
Mental Ability Test  Analogies, similarities aur differences, space visualization, problem solving, analysis, judgment, decision making, visual memory, discriminating observation, relationship concepts, verbal aur figure classification, arithmetical number series, non-verbal series jaise topics se par focus karein.

Saari Latest Police Bharti 2020 Updates ke liye click karein


To iss tarah aap admit card download kar sakte hai. Humein umeed hai ki aap ko samajh aa gya hoga ki Bihar Police Admit Crad Download kaise karein. Agar abhi bhi aap ko koi doubt ho to humse niche comment karke puchein.

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here