RBI_Assistant_Notification bank bharti update

Agar aap banking sector me naukri dhundh rahe hai to jaaniye ki kaun kaun si naukri ke vikalp(options) ho sakte hai aapke pass jaise sarkari naukri bank emin, private bank naukri, etc. Latest Sarkari naukri bank upadtes niche article mein padhein.

Iss article se aapko Bank Bharti ke baare mein pata chalega

(Aap neeche diye gaye links pe click karke alag alag sections pe ja sakte hai)

Bank kya hota hai aur kitne prakar k hote hai

Graduation ke baad sarkari bank job 2020 ki puri jaankari

(SBI PO,IBPS PO,SBI&IBPS Clerk, RRB Officer&Officer Scale-1, RBI Grade B Officer & Assistant)

12th pass ke liye bank naukri 

Latest Sarkari Naukri Bank Updates 2020

SBI Clerk 2020 ki notification aa chuki hai. Notification padhane ke liye click kare**

**SEBI Grade A Officer vacancy 2020 ki notification aa chuki hai. Download karne ke liye click kare**

Bank kya hota hai?

Bank ek aisa system hai jaha logo kya paisa jama kia jata hai aur ye paisa zarurat padhne pe bank se nikalata ja sakta hai. Bank logo k jama paiso pe beyaaz (interest) deta hai. Iske alva bank loan aur investment jaisi services provide karta hai.

Bank k prakar

Indian banking system me 27 public sector banks, 21 private sector banks, 49 foreign banks, 56 regional rural banks, 1,562 urban cooperative banks aur 94,384rural cooperative banks hai.

1.Central bank (Reserve Bank of India) : India ka central bank hai Reserve Bank of India. RBI baki sab banks ko manage karta hai. RBI do bhaagon mein vibhaajit hain –

  •  Central office (kendreey kaaryaalay)
  •  Regional office (kshetreey kaaryaalay)

RBI ke pure desh me 31 regional aur ek central office hai. RBI central office Mumbai me hai.

2.Public sector Bank matlab “Sarkari bank” jisme 51% se adhik bhagidari sarkar ki hota hai jaise SBI, Bank of India, Allahabad Bank etc.. 

3.Private sector Bank matlab “neeji bank” jisme 51% se adhik bhagidar kisi neeji company ki hoti hai jaise ki  HDFC Bank, ICICI Bank, Axis Bank etc….

4.Regional Rural Bank matlab “kshetreey Gramin Bank”. Gramin bank rajjya sthar ke bank hai joh sarkar sanchalti karti hai. Inka mukhiye maksad gramin kshetre ke logo tak bank ki sevaye (services) pahuchana hai. Gramin bank jaise ki Kaveri Grameena Bank, Pandyan Grama Bank etc…

5.Cooperatives Banks matlab “Sehakari Bank”. Sehakari bank gramin kshetro me kisano aur shehari kshetro me chiote utpadan karne wale vyapariyo ko sevaye deta hai jaise ki iThe Bihar State Co-operative Bank Ltd. , Pravara Sahakari Bank Ltd. etc..

Banks list k liye yaha click kare

Graduation ke baad sarkari naukri bank

Sarkari/Private sector banks har saal exams conduct krte hai PO/Clerk/SO ki position k lie aur in exams k lie lakho candidates apply karte hai. Banks bahut sare job vacancies nikalti rehti hai.In jobs k liye exams clear karna hota hai. Ye exam online (computer based) hote hai. Banks me aap in sab positions k lie exam de sakte hai:

  1. SBI PO 2020 ki puri Jaankari ke liye click kare

  2. IBPS PO 2020 ki puri jaankari ke liye click kare

  1. IBPS SO 2020 ki puri jaankari ke liye click kare

  2. SBI Clerk 2020 ki puri jaankari ke liye click kare

  3. IBPS Clerk 2020 ki puri jaankari ke liye click kare

  4. IBPS RRB Officer Scale-I and Office Assistant 2020 ki puri jaankari ke liye click kare

  5. RBI Grade B Notification 2020 ke liye click kare

  6. RBI Assistant 2020 ke liye click kare

  7. SEBI Grade A Officer 2020 ke liye click kare

Bank Exams ki taiyari ki tips ke liye yahan click kare


Latest Sarkari Job Update

LIC Assistant Recruitment 2020

SSC CPO Exam: Delhi Police Sub Inspector 2020

Maharashtra Police Bharti 2020


12th pass ke liye bank mein naukri

Private sector bank me aap bina exam die bhi jobs sakte hai jaise ki. Ye jobs clerical work hote hai jaise ki:

  • Data entry operator: Isme data dia jata hai jsiko computer me daalna hota hai.Typing wok hota hai. Data entry me information ko update karna hota hai. Jaise ki bank me jitne bhi forms bhare jate hai customers ki details k liye, un details ko computer me store karna hota hai. 
  • Computer operator: Computers or baki machines ko control and maintain karna hota hai. Sare records banana, data backup lena , software check karna aur printer me papers load karna bhi ek computer operate ki responsibility hoti hai.
  • Sales: Fieldwork karna hota hai isme jaise ki potential customers tak product sell karna. Jaise ki credit card sell karrna, banks accounts open karana etc .Iske liye aapki communication or marketing skills bahut achi honi chahiye.
  • Front End operations: isme customer care executives ko  customers k queries ko call/email k through solve karna hota hai jaise ek call center me hota hai. Telecalling /Chat process ka karna hota hai.
  • Back-end operations : Administrative kaam jaise ki office functioning manage karna,  documentation karna,

Bank me bharti k liye qualification

Upar diye gayi naukriyo me aap 12th pass ya Graduation k baad naukri kar sakte hai.

Skills

Good communication skills, computer skills, documentation skills, basic English

Starting Salary 

Rs. 10,000- 40,000 per month ya usase bhi zayda hosakta hai.

Bank ki naukri kaise dhundhe ?

  • Online job portals like Naukri.com Indeed.com , Wisdomjobs.com etc… in portals par account banana hota hai jisme details daalni hoti hai  jaise ki Educational Qualifications, Work experience (if any), Internships , and Skills jesi details resume ke sath upload karna hota hai account me. Iske baad skills and interest k according job search ki ja sakti hai and apply bi kia ja sakta hai i portals pe. Private banks bahut profiles like computer operator, data entry, sales executives etc.. vacancies k bare me in portals par job notifications aati hai.
  • Banks ki official websites/social media platforms jese ki Facebook, twitter, linked-in par bhi current job openings k bare me updates aate hai. In platforms se bhi job openings search ki ja sakti hai.
  • Aap Google par bhi search kar sakte hai apne skills and interest k according.
  • Newspapers me bhi banks advertisements dete hai job openings k liye.

Job search kaise kare ki puri jaankari ke liye click kare


Latest Sarkari Naukri ke liye click kare


29 COMMENTS

    • Hi Rashid

      Aapko sarkari naukri ke liye kuch exams dene hote hai. Aapko kaunse sector mein sarkari naukri karni hai?

  1. Thanks for providing good data about the bank exams. While I am searching, then I found useful and important information about the Bank exam in Jobads. I recommend everyone visit Jobads for more knowledge.

  2. Hi anney, Anney mam mai abhi 12th mai hu or mujhe public sector mai job kerna hai means government job banking mai app mujhe please koi salah de dijiye.

    • Hi Sanjana

      Government bank mein job ke liye pehle aapko graduation complete karna hoga phir aap apply kar sakti hai.

  3. Hi anney,
    Mujhe public sector means government job kerne hai banking mai mujhe Kuch bata digiye isske bare mai.

  4. Sir mujhe bank me job krni h uske liye kya process h bta do please . Kaise kya preparation krni h or education me kya kya chahiye..

  5. A.o.a sir/Mrs

    Mira nam Muhammad Hussain hai or.FA mri education hai or computer ka diploma bhi hai Kia mujhy jobs mil skti hai…

    • Hi Priya humne upar article mein alag alag bank jobs ki sari jaankari de rakhi hai. Aap agar graduate hai to aap apply kar sakti hai.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here