Agar aap teacher banna chahte hai toh ek sunhara mauka hai. Ji haan, Army Public School recruitment nikal gayi hai jismein lagbhag 8000 teachers ki post nikali hai. Iss tarah ab iske liye online form khul chuke hai aur eligible ummidvar apply kar sakte hai. Ismein PGT, TGT aur PRT ke liye post nikli hai, toh chaliye iss Army Public School PGT/ TGT/ PRT ki ke baare mein vistar se jaante hai.

Army Public School CBT Exam Ka Result Declare Ho Gaya Hai

Iss article mein aap puri jaankari dekh paayenge

Army Public School vacancy ki important date

Apply Ki dateJald announce hogi
Apply Ki last dateJald announce hogi
Admit Card Jald announce hogi
Exam Ki dateJald announce hogi
Result Ki dateJald announce hogi
Official NotificationJald announce hogi
Admit CardJald announce hogi
Result Jald announce hogi

Admit Card Download Kare

Check CBT Exam Result

Army Public School recruitment ke liye age limit

CategoryAge limit (1 April 2020 ke anusar)Experience
Naye candidates40 se kam 
(Delhi ke schools ko chorkar jahan TGT/PRT 29 saal se kam aur PGT 36 saal se kam honi chahiye)
Kam se kam 5 saal
Anubhavi candidates57 se kam (Delhi ke liye 40 saal)Pichle 10 saal mein 5 saal ka anubhav rakhne waale

Note: Online screening test mein CTET/TET compulsory nahin hai. But TGT/PRT ke roop mein niyukti ke liye kendra sarkar dwara aayojit CTET/TET compulsory hai. Yadi kisi ne CTET/TET nahin kiya hai lekin baki sabhi mein fit baithte hai toh niyukti ke liye dekha jaa sakta hai.

PGT, TGT aur PRT ke liye education qualification

Ab hum army public school vacancy ke liye jo candidates form bharenge unki education qualification ke baare mein baat karenge.

Saath hi aapko bata de ki PGT ka matlab Post graduate teacher, TGT ka matlab Trained Graduate Teacher aur PRT ka matlab Primary Teacher hota hai.

PostEducationMarks % ProfessionalMarks % 
PGTPost Graduation50B.Ed50
TGTGraduation50B.Ed50
PRTGraduation50B.Ed/ 2 saal ka diploma D.Ed mein50

Subjects wise minimum qualification dekhne ke liye niche photo dekhein

army_public_school_subject_wise1 army_public_school_subject_wise2

Army public school registration kaise kare

Registration karne ki last 22 september 2019 hai. Registration aapko online hi karna hoga jiska process niche dekha jaa sakta hai. Chaliye ab army public school teacher bharti ka registration process jaante hai.

1) Registration karne ke liye sabse pahle aapko http://aps-csb.in par jaana hoga.

2) Phir aapke saamne naya window khul jaayega jismein Registration ke section mein NEW USER dikhega waha click karna hoga.

3) Iske baad jaruri baate padhkar agla page khulega jismein aapko apni personal details bharni hogi.

4) Yeh sab karne ke baad ONLINE fees bharne ka option aayega aur aapko fees bharni hogi. Fees Debit/Credit Cards/ Net banking dwara bhar sakte hai aur iski fees 500/- hai jo ek baar bharne ke baad wapas nahin ki jaayegi.

5) Agle step mein aapko yeh sab attach karna hoga –

(i) Photographs and signatures

(ii) Proof of date of birth

(iii) Certificates of academic qualifications. 

6) Iske baad aapka registration ho jaayega aur iska confirmation ka mail bhi aa jayega.

Army public school exam kaha hoga

Teacher ki army public school recruitment ka exam India ke 74 alag-alag jagaho par hone wala hai aur iski list niche dekh sakte hai.

Army Public School exam center

Army Public School Admit Card

Army Public School ki PGT, TGT aur PRT ki iss teacher ki bharti main agar admit card ki baat karein toh wo online hi nikala jaayega jab wo available hoga. Iska admit card shayad 04-October-2019 ko aa sakta hai.

Admit Card Download Kare

Army Public School Result

Jabki exam ko 19 & 20-October-2019 conduct kiya jaayega aur result 30 october 2019 ko declare ho sakta hai.

Aur Jaankari ke liye aap niche button par jakar Official Notification mein padh sakte hai.

Notification Dekhe


Teaching career ki puri jaankari ke liye click kare

Umeed karte hai aapko sab samajh aa gaya hoga lekin abhi bhi aap army public school recruitment se juda koi sawal ya koi jankari janna chahte hain toh humein niche comment kar sakte hai jiska javab dene ki poori koshish karenge.

जन्म से ही क्रिकेट का दीवाना हूँ लेकिन क्रिकेटर बन नहीं सका और अब विकिपीडियन बनकर खिलाड़ियों पर लिखना शौक बना दिया है।

14 COMMENTS

    • Online screening test mein CTET/TET compulsory nahin hai. But TGT/PRT ke roop mein niyukti ke liye kendra sarkar dwara aayojit CTET/TET compulsory hai. Yadi kisi ne CTET/TET nahin kiya hai lekin baki sabhi mein fit baithte hai toh niyukti ke liye dekha jaa sakta hai.

    • Online screening test mein CTET/TET compulsory nahin hai. But TGT/PRT ke roop mein niyukti ke liye kendra sarkar dwara aayojit CTET/TET compulsory hai. Yadi kisi ne CTET/TET nahin kiya hai lekin baki sabhi mein fit baithte hai toh niyukti ke liye dekha jaa sakta hai.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here