12th Pass Govt Job: Aisa nahin hai ki ki 12th ke baad aap sarkari naukri nahin kar sakte hai, Ji haan, aap 12th pass government job bhi karke sapna poora kar sakte hai. Bahut saare department mein aap sarkari job for 12th pass hokar kar sakte hai. Toh aaj hum govt jobs after 12th ki baat karenge jismein aap apply kar sakte hai.
12th Pass Sarkari Naukri Ke Liye Apni Category Select Karein
👮 12th Pass Police Job |
🎖 12th Pass Army Job |
🎖 12th Pass Navy Job |
🚆 12th Pass Job In Railway |
🎖 12th Pass Air Force Job |
📝 12th Pass SSC Job |
🎖 12th Pass Defence Job |
12th Pass Police Job
12th Pass Govt Job mein Police bharti ki baat karein har state mein alag-alag nikalti hai aur usmein other state ke log bhi bhaag le sakte hai. 10+2 pass karne ke baad kai state mein police mein bharti ho sakte hai. Adhik jaankari aap niche dekh sakte hai.
Sarkari job for 12th pass mein police ki post ke liye inn state mein bharti nikalti hai.
State | Post name | Age Limit | Read More |
Maha Police Bharti | Constable | 18 se 25 saal | Read More |
MP Police Bharti | Head Constable | 21 se 25 saal | Read More |
Jharkhand Police Bharti | Special Branch Constable | 19 se 25 saal | Read More |
CG Police Bharti | Constable | 18 se 28 saal | Read More |
Haryana Police | Constable | 18 se 25 saal | Read More |
Delhi Police | Constable | 18 se 24 saal | Read More |
UP Police | Constable | 18 se 25 saal | Read More |
Bihar Police | Constable | 18 se 25 saal | Read More |
Punjab Police | Constable | 18 se 25 saal | Read More |
Agar aap Police bharti ki aur adhik jaankari chahte hai toh niche diye gaye link par click karke padh sakte hai.
12th Pass Army Job
Issi beech 12th Pass Govt Job mein hum Join Indian Army ki baat karein toh ismein 12th ke liye bahut saari posts hai jismein aasani se apply karte hue naukri kar sakte hai. Army mein jo rally bharti hoti hai usmein bahut sari posts hoti hai aur officer level ke liye bhi post nikalti hai.
Indian Army 12th Pass Govt Job Online Form mein aap ismein apply kar sakte hai.
Post name | Age Limit | Read Full Detail |
Soldier Technical | 17½ se 23 saal | Read More |
Soldier Technical (Aviation) | 17½ se 23 saal | Read More |
Soldier Clerk/Store Keeper | 17½ se 23 saal | Read More |
Soldier Nursing Assistant | 17½ se 23 saal | Read More |
Sepoy Pharma | 19 se 25 saal | Read More |
JCO (Catering) | 21 se 27 saal | Read More |
10+2 Technical Entry Scheme | 16 ½ se 19½ saal | Read More |
NDA | 16 ½ se 19½ saal | Read More |
ACC | 20 se 27 | Read More |
Iss prakar rally ke alava aap agar 12th ke baad officer level ke liye army mein join hona chahte hai toh 10+2 Technical Entry Scheme, NDA aur ACC (Army Cadet College) ki post hai. Toh bharti nikalne par aap ismein se kisi post ke liye apply kar sakte hai.
12th Pass Navy Job
Indian Navy ki agar baat kare toh ismein kuch posts hai jismein aap recruitment ke dauraan apply kar sakte hai. Aap niche batai gayi posts mein 12th pass karne ke baad Join Indian Navy mein bharti hokar desh ki seva kar sakte hai.
Indian Navy 12th pass govt job online form ke liye yeh posts available hai.
Post name | Age Limit | Read Full Detail |
Navy Artificer Apprentice | 17 se 20 saal | Read More |
Indian Navy SSR | 17 se 20 saal | Read More |
Indian navy mein 12th pass government job mein aap in 2 posts AA (Artificer Apprentice) aur SSR (Senior Secondary Recruits) mein bharti nikalne par apply kar sakte hai. Agar jyada jaankari chahiye toh aap niche button par bhi click karke padh sakte hai.
12th Pass Job in Railway
Railway ek bahut bada department hai jismein har saal laakho bhartiyan nikalti hai. Issi tarah 12th pass candidates ke liye bhi bahut saari recruitment nikalti hai. 12th pass karne ke baad bahut saare candidates railway recruitment ki taiyari mein lag jaate hai.
Aap niche batayi gayi post ke liye 12th pass karne ke baad eligible ho jaayenge.
Post name | Age Limit | Read Full Detail |
Railway TTE | 18 se 30 saal | Read More |
Jr. Clerk cum Typist | 18 se 40 saal | – |
Iss prakar 12th pass karke jo log railway recruitment mein apna career banana chahte hai wo inn posts mein apply kar sakte hai. Agar aap aur jyada jaankari chahte hai toh niche diye gaye button par click karke padh sakte hai.
12th Pass Air Force Job
Ab baat aati hai Air Force ki. Indian Air force mein laakho log bharti hona chahte hai aur usmein mehnat karne waale kaafi log safal bhi ho jaate hai. Toh ab hum yeh jaanenge ki 12th pass ke liye kaunsi vacancy nikalti hai.
Inn posts ke liye air force mein bharti ho sakte hai 12th pass log
Post name | Age Limit | Read Full Detail |
10+2/HSC NDA | 16½ se 19½ saal | Read More |
Indian Air Force Group X | 16 se 21 saal | Read More |
Indian Air Force Group Y | 16 se 21 saal | Read More |
Aap inn post ke liye apply 12th pass karte hi apply kar sakte hai lekin 12th mein aapke subjects par bhi bahut matter karega iss kaaran aap niche button par click karke uski detail padh sakte hai.
12th Pass SSC Job
Staff Selection Commision (SSC) mein naukri karna bahut logo ka sapna hota hai. Toh aapko bata de SSC mein bhi 12th pass ke liye post nikalti hai aur wo hai
Post name | Age Limit | Read Full Detail |
SSC Stenographer | Grade C – 18 se 30Grade D – 18 se 27 | Read More |
SSC CHSL | 18 se 27 saal | Read More |
Iss prakar SSC Recruitment mein in 2 post ke liye 12th pass candidates eligible hote hai aur wo bharti aane par form bhar sakte hai. SSC Stenographer mein typing aana bahut jaruri hai aur ismein 2 Grade hote hai. Agar aap aur jaankari chahte hai inn post ke baare mein upar bataye gaye read more par click karein.
12th Pass Defence Job
Iss prakar aapko bata de ki Army, Navy aur Air force ke alava bhi defence mein kai aur bhi department hai jismein aap 12th pass karke recruitments ke liye apply kar sakte hai. Ismein BSF, Territorial Army aur CISF jaisi vacancy nikalti hai.
BSF 12th Pass Job
BSF 12th Pass Job mein Head constable ki post hoti hai jismein interested log apply kar sakte hai.
Head constable mein kai alag-alag posts hoti hai jismein HC Radio Operator (RO), Fitter aur HC Radio Mechanic (RO) post hoti hai. Ismein 12th mein jo subjects rahe hai wo bahut matter karte hai toh pahle poori janakari aap niche padh sakte hai.
CISF Head Constable
CISF jiska poora naam Central Industrial Security Force hai. Ismein 12th pass ke liye Head constable ke liye bharti nikalti hai. CISF defence ka hi ek part hai.
Head constable ke liye candidate ki age 18 se 25 saal honi chahiye aur saath reserved categories ke logon ko relaxation bhi milta hai.
Iske alava is bharti mein aapka physical fitness test bhi hota hai, matlab aapka sharir bhi fit hona chahiye jismein height, weight, chest etc dekha jaata hai. Baki jaankari niche button par click karke dekh sakte hai.
Toh humein yahi ummid hai ki aapko 12th Pass Govt Job ke baare mein jaankari sahi se mil gayi hai aur agar 12th pass government job se juda koi sawal hai jo humse poochna hai toh aap niche comment box mein pooch sakte hai.
Grils ko no job 😭😭😭😭😭