SBI CLERK ADMIT CARD – JUNIOR ASSOCIATES (CUSTOMER SUPPORT & SALES) Prelims Exam 2020 Admit Card aa chuka hai.
SBI Clerk 2020 ka Admit Card 11th Feb 2020 ko release ho chuka hai. Prelims Exam February/ March 2020 mein hona hai.
SBI Clerk Prelims Exam Admit Card 2020 sirf unn candidates ko issue hoga jinki application examination authority ne accept ki hai. Admit card ko download karne ke liye candidates ko apna Registration Number/Roll Number aur Password / Date of Birth ko apne registered account mein enter karke download karna hoga. SBI Clerk Admit card ko download karne ki last date 8th March 2020 hai.
SBI Clerk Admit Card download karne ke liye yaha click kare
SBI Clerk Prelims Admit Card 2020 ko download karne ke liye ye steps follow kare
Step 1: Official website par jaaye sbi.co.in par jaaye aur careers Section par click kare ya iss link par click kare: SBI CLERK ADMIT CARD PRELIMS EXAM 2020
Step 2: Latest Announcements tab par jaakar SBI Clerk 2020 ke link par jakar Admit Card download kare.
Step 3: Login section mein jaakar Registration Number aur Date of Birth/ Password enter kare.
Step 4: Successfully login karne ke baad Admit Card screen par aajayega. Admit Card ko asche se verify karke DOWNLOAD karle. Iske baad SBI Clerk Admit Card 2020 ka print out A4 sheet par nikal kar rakhlein.
SBI Clerk Admit Card 2020 ko 8th March 2020 tak download karlein kyunki iske baad download karne ka link close hojyega to dhyan se pehle hi download karke rakhlein.
SBI Clerk Admit Card download karne ke liye yaha click kare.
SBI Clerk Admit Card 2020 par ye details mention hogi
1. Name of the Applicant
2. Date of Birth
3. Gender (Male/ Female)
4. Category of Examinee
5. Mother’s/ Father’s Name
6. Registration/ Application Number
7. Name of the Exam
8. Signature of the Candidate
9. Exam Centre Name and Code
10. Exam Time and Date
11. Photograph of the Applicant
12. List of ID Proofs to be carried along with SBI Clerk Admit Card 2020
13. Important guidelines
SBI Clerk Exam Important documents
SBI Clerk ke Prelims aur Mains Exam center mein entry ke liye kuch important documents dikhana zaruri hai. Candidates ek passport size photograph, ek Identity Proof aur SBI Clerk Admit Card 2020 ki copy lejani hogi. Identity proof ke liye koi bhi government ID le ja sakte hai.
- Aadhar Card
- Voter ID Card
- Pan Card
- Driving License
- Passport
SBI clerk selection process 2020
State Bank of India (SBI) clerk ke liye recruitment process 2 phases me karta hai :
1.Preliminary Examination: Ye phase 1 hota hai jisme objective test (MCQ) hota hai.
2.Mains Examination: Ye phase 2 hota hai jisme objective (MCQ) test hota hai.
3. Local language Proficiency Test & Document Verification: Ye last phase hota hai jisme candidate ki local language proficiency test ki jaati hai.
SBI clerk exam pattern 2020
Phase 1: Preliminary Exam (Objective test)
S.No | Topics | Questions | Marks | Time |
1. | English Language | 30 | 30 | 20 minutes |
2. | Numerical Ability | 35 | 35 | 20 minutes |
3. | Reasoning | 35 | 35 | 20 minutes |
Total | 100 | 100 | 60 minutes (1 hour) |
- Negative marking : 1/4th marks har galat jawab k.
Phase 2: Mains Exam (Objective test)
S.No | Topics | Questions | Marks | Time |
1. | General English | 40 | 40 | 35 minutes |
2. | Quantitative Aptitude | 50 | 50 | 45 minutes |
3. | Reasoning and Computer Aptitude | 50 | 60 | 45 minutes |
4. | General/Banking Awareness. | 50 | 50 | 35 minutes |
Total | 190 | 200 | 2 hours 40 minutes |
- Negative marking : 1/4th marks har galat jawab k.
Phase 3: Local language Proficiency Test & Document Verification
Joh candidates Mains exam clear karte hai unko Local language Proficiency Test clear karna hota hai.
Is test me candidates ki knowledge of language test ki jati hai. Candidates ne jis state k lie apply kia hai, unko vaha ki local language ana zaruri hai. Unko vo language bolana, likhana aur padhana ani chahaye. Islie ye test conduct kia jata hai.
- Jin candidates ne 10/12th me opted language padhi hai aur unke pass uska certificate hai, unko ye exam dene ki zarurat nahi hai.
- Baki candidates jinhone nahi padhi, unko ye test dena compulsory hai recruit hone k lie.
- Joh candidates ye exam fail karte hai unko disqualify kar dia jata hai recruitment process se.
SBI Clerk 2020 ke ssylalbus aur study material janane ke liye click kare
SBI Clerk recruitment 2020 se judhe kuch zaruri sawaal jawaab
Q.1) Kya 12th pass candidates apply kar sakte hai?
Ans. SBI bank clerk job ke liye sirf ‘graduates’ eligible hai apply karne ke liye. Iss post ke liye graduation degree holders (bachelors degree) recognized institute se complete karna zaruri hota hai.
Q.2) Kya college/graduation ke final year students eligible hai appky karne ke liye?
Ans. Yes, graduation ke final year students apply kar skate hai.
Q.3) kya SBI bank clerk exam 2020 ki official notification aa chuki hai?
Ans. Yes, official notification aa chuki hai.
Q.4) Kya application form aur exam online hota hai ya offline?
Ans. SBI bank clerk ka application form aur exam dono online hota hai. Offline form kahi bhi nahi bhare jaate.
Q.5) Kya SBI clerk post ke liye work experience zaruri hai?
Ans. Nahi, iss post ke liye work experience ki koi zarurat nahi hai. Aap graduation complete karne ke baad directly iss post ke liye eligible hojate hai.
Q.6) Kya SBI clerk ka exam sirf English mein hota hai?
Ans. Nahi, ye exam two languages mein hota hai – English & Hindi both. English section ke alava baki sections Hindi language mein de sakte hai.
Q.7) SBI PO mein SC category students kitni baar exam de sakte hai?
Ans. SC/ST category candidates ke liye koi bhi limit nahi hai exam dene ki. Vo kitni bhi baar exam de sakte hai. Baaki categories ke maximum attempts ke liye niche eligibility section mein padhe.
Q.8) SBI bank clerk ki taiyari ke liye general knowledge ke liye kaunsi best book hai?
Ans. General awareness ke liye ‘Lucent Publications’ ki book best hai.
Baaki sections ki best book ke liye yaha click kare
SBI Clerk job ki puri jaankari ke liye click kare