patrakar kaise bane ki jaankari journalism career

Agar aap bolne mein kaafi ache hai, agar aap dusro ke zindagi mein badlav lana chahte hai aur agar aap har pal ki news dusro tak pahuchana chahte hai. Inn sab ka matlab hai ki agar aapko ek journalist ya reporter banne mein interest hai. Lekin problem ye hai ki aapko iss field ke baare mein sabkuch sahi se nahin pata hai toh ghabraane ki bilkul jarurat nahin hai kyonki hum iss article mein shuruwat se le ke ant tak aapko iss field se related saari jaankari denge. Bahut saare sawaal chahe wo patrakar kaise bane journalism kya hota hai, course konsa karein, college konsa choose karein aur bhi bahut saare cheezein aapko detail mein bataenge.

Iss article mein hum aapko batayenge –

Journalist ya Patrakar kya hota hai aur iske types

Journalist ya Patrakar ke Skills

Patrakar ki Duties aur Responsibilities

Course eligibility aur Entrance Exams

Journalism colleges

Journalism courses

Journalist ya Patrakar ke job options aur salary

Aaj ke time mein Journalism ek aisa career ban gaya jo ki youth mein kaafi popular aur demanding hai. Patrakar logon tak har ek information pahuchahte hai jo humare desh mein ho rahi hai chahe wo politics se judi ho, bollywood se judi ho, market se judi ho sabkuch.

Journalist ya Patrakar kya hota hai aur iske types

Media aur journalism sabhi logon ki zindagi mein bahut hi important hai aur ye bahut si tarikoon se humare zindagi mein badlaaw bhi lata hai. Ek patrakar logon tak news pahuchane ke process mein kaafi alag alag field mein bhi kaam karta hai jaise ki information gathering,information researching, aur uska interpretation karna.

Journalism ek aisa career hai jisme journalists ke bahut types hai:-

  1. Print Journalism
  2. Investigative
  3. Broadcast
  4. Reviews
  5. Columns
  6. Feature writings

1. Print Journalism

Aisi type ki journalism jisme hum investigation aur events ki reporting karte ho usse hum Print Journalism kehte hai. Print Journalism ke through Newspaper,magazines aur bhi bahut saare audience tak hum information pahucha sakte hai.Iss type mein basically hum arts aur entertainment sector pe focus karte hai.

2. Investigative Journalism

Yeh ek aisa journalism ka type hai jisme humein kaafi research aur facts dhundna padh sakta hai. Sabse jaruri baat ye hai ki humein nispaksh baatein logon tak pahuchani hoti hain. Investigative journalism kabhi kabhi kaafi challenging bhi hojata hai kyonki humein dusro se jaankari nikalwana bhi padhta hai aur yeh muskil hojata hai investigation cases mein.

3. Broadcast Journalism

Broadcast journalism ka naam sunte hi humein famous TV news anchors, jaise ki  Ravish Kumar aur Arnab Goswami ka dhyan aata hai. Broadcast journalism mein humein camera ke front ke saath saath behind the camera bhi kaafi kaam hota hai. Broadcast journalism ek bahut hi bada field hai aur humein isme kaafi options mil jaate hai. Kuch job profiles jo ki Broadcast Journalism ke undar aate hain:-

  • Local news anchor jobs
  • Traffic and weather reporters
  • Production crew.

4.Reviews Journalism

Review journalism basically research aur experience par based hota hain. Isme patrakar saare events,facts,objects ko aache se samajhne ke baad apni view ko present karte hai.

5. Columns Journalism

Columns ek personal blog ki tarah bhi ho sakta hai kyonki isme patrakar apne views ko directly express kar sakta hai. Yeh weekly basis par bhi publish kiya jaa sakta hai aur isme hum thora funny content bhi daal sakte hain.

6. Feature Writing

Feature writing mein koi bhi topic ke baare mein humein uske scope aur interpretation pe dhyan dena padta hain. Yeh basically topics ko limelight mein lata hai. Iss type mein kaafi interviews bhi hoti hai aur bahut baar toh humein experts ki bhi jarurat padti hai.

Sabse famous aur important types of journalism upar bata diye gaye hai iske alawa bhi bahut saare types hote hai lekin unn sabki utni demand nahin hai par woh bhi aapko internet pe miljaega.

Journalist ya Patrakar ke skills

Koi bhi career ke liye humein interest ke saath saath kuch skills bhi jaruri hote hai aur journalism jaise career mein toh humein kuch skills ki kaafi jarurat hoti hai jisse ki aap field mein kaafi jaldi naam kama sakte hai. Patrakar kaise bane aur Unmein se kuch jaruri skills aapko bataenge:-

  • Aapko English ya Hindi mein se koi ek language bahut aache se aana chaiye kyunki iss field mein humein bahut jyada likhne aur bolne ki jarurat hoti hai.
  • Agar aapko koi regional language aache se aata hai toh aap regional news channel par focus kar sakte ho.
  • Media production aur communication ki jaankari honi bahut hi jyada jaruri hai.
  • Aapko har ek cheez par aache se dhyan dena padega aur kaafi research bhi karne ki aadat honi chaiye.
  • Pressure ke under kaam karna aana chaiye kyunki iss field mein bahut pressure hota hai. Criticism ko accept karne ki bhi aadat honi chaiye.
  • Aapke time management skills bahut hi aache hone chaiye kyonki work pressure ko manage karne ke liye time manage karna kaafi jaruri hota hai.
  • Internships karna bahut hi jaruri hai chahe wo graduation ke time par ya graduation pura hone ke baad ho. Internships karne se aapko iss field ke baare mein aache se pata chalega ki sab kuch kaise function karta hai aur konse sector mein aapko sabse jada interest hai. Aapne jo bhi college ke time par padha hai aap usse practically apply kar ke aache se sab kuch samaj sakte hai.

Patrakar ki Duties aur Responsibilities

Journalist ya Patrakar kaise bane

Journalism mein career banane ke liye aapko bahut saari duties aur responsibilities ko samajhna hoga aur uspe aache se dhyan dena hoga kyonki patrakar ka kaam bahut hi responsive hota hai. Duties bahut saari hoti hai jispe ki dhyan dena hota hai lekin kuch jyada jaruri duties jo ki patrakar kaise bane mein jaruri hai aapko bataenge niche:-

Reporting Duties

Journalists ko koi story publish karne se pehle bahut jada research karna padta hai aur uske liye unhe kaafi information gather karna padta hai. Information nikalne mein unhe kaafi time bhi dena hota aur time management skills isme bahut kaam aati hai. Bahut baar unhe crime scene pe bhi jaake information nikalna padta hai aur bahut baar toh interviews bhi lene padte hai. Interviews mein toh bahut baar kaafi muskil question bhi puchne padh jaate.

Logon ke saath coordinate karna

Logon ke saath kaam karna bahut hi jaruri hota hai journalism jaise field mein. Iss field mein humein editors se instruction lena hota hai, Information nikalwane ke liye sources banana padta hai, witness se kuch cases mein information janna hota hai. Logon ko aache se baat karke unhe convince bhi karna hota hai taki wo apni baat aapko bataye.

Legal Responsibilities

Legal responsibilities sabsi badi duty hoti hai aur sabhi patrakar ko legal laws pata hona chaiye. Koi bhi news report ya publish karne se pehle unhe ye dekhna bahut jaruri hai ki ye koi laws toh nahin torr raha aur wo dikat mein toh nahin padh sakte.Unko baaton ko confidential rakhna padta hai aur sabki privacy ka respect karna aana bahut jaruri hai. Aise hi bahut saare laws hai jo ki patrakaron ko samjhna bahut jaruri hai.

Ethical Responsibilities

Legal cheezon ke alawa aur bhi bahut saari ethical cheezein hoti hai jo ki journalists ko samajhna jaruri hai. Koi bhi news ko wo baised tarike se report nahin kar sakte. Interviews mein unhe honest rehna bahut jaruri hai. Unhe accurate information logon tak pahuchana bahut jaruri hai. Koi bhi information logon tak pahuchane se pehle unnhe aache se topic ke baare mein research karna jaruri hai.

Course eligibility aur Entrance Exams

  • Journalism courses ke liye minimum qualification 10+2 hai jisme aapke 12th ke subjects mein english ya hindi hona jaruri hai.
  • Inn courses ke liye aapke 12th mein 50% marks hona jaruri hai.
  • Koi bhi stream (Arts/ Commerce/ Science) se ye courses kiya jaa sakta hain.

Patrakar kaise bane ke sawaal ke baad humein ye janna jaruri hai ki iski eligibility kya hai.Upar diye eligibilty conditions ke alawa bhi bahut saari colleges aur universities apni khud ki entrance exams karwati hai aur unmein admission entrance exams ke through hi hota hai.Sabki entrance exams alag hoti hai lekin jo basic pattern follow kiya jata hai wo kuch iss prakar hota hai:-

  • Written test objective ya subjective ho sakta hai.
  • Objective paper mein questions General Knowledge, Current Affairs, Popular Media, English Language, Case Studies etc. jaise subjects se hote hain.
  • Subjective paper mein questions English Comprehension aur Grammar, Social Issues, Politics, Media Issues, Creative Writing jaise topics mein se aate hain.

Bahut saare colleges mein interview bhi lete hai aur overall selection written test,12th ke marks aur interview ko milake kiya jata hai.

Entrance Exams

Under Graduate Level

Agar humein graduation ke liye college join karna hai toh bahut saari colleges apni khud ke entrance exams karati hai toh humein entrance exam dena padega taki hum uss college mein admission le sake.

Kuch sabse famous aur aache colleges ke naam aur entrance exam niche diye gaye hai:-

  • IP College for Women Entrance Exam
  • Guru Gobind Singh Indraprastha University entrance exam
  • Jamia Millia Islamia entrance exam
  • DU Journalism Entrance exam
  • Mudra Institute of Communication entrance exam
  • Andhra University Common Entrance Test
  • Manipal Institute of Communication entrance exam

Post Graduate Level

Agar humein post graduation ke liye college join karna hai toh bahut saari colleges apni khud ke entrance exams karati hai toh humein entrance exam dena padega taki hum uss college mein admission le sake.

Kuch sabse famous aur aache colleges ke naam aur entrance exam niche diye gaye hai:-

  • Asian College of Journalism entrance exam
  • Indian Institute of Mass Communication entrance exam
  • Manorama School of Communication Entrance Exam entrance exam (MASCOM)
  • Xavier Institute of Communications entrance exam (XIC OET)
  • Manipal University entrance exam (MU- OET)
  • Symbiosis International University entrance exam (SET)

Journalism Courses

Patrakar kaise bane ke sawaal ke baad humein ye janna jaruri hai ki konsa course karein. Journalism ek aisa career hai jisme humein bahut saare courses ke options milte hai.Iss career mein humein options har level par mil jata hai.Journalism mein total teen level hota jisme ki humein options milta hain jaise ki:-

Level EligibityCourse Duration
Under Graduate LevelAfter 12th3 years
Post Graduate LevelAfter 12th2 years
DiplomaAfter 10th1 year

Journalism Degree Programs

12th class ke baad bahut saare bacche  journalism ko apna career banana chahte hai. Aur journalism undergraduation level par bahut saare courses ka option deta hai humein unn mein se kuch niche mention hain:-  

  • Bachelor of Arts in Mass Communication – B.A. (Mass Communication)
  • Bachelor of Arts in Convergent Journalism – B.A. (Convergent Journalism)
  • Bachelor of Arts Honours in Mass Communication and Journalism – B.A. (Hons) (Mass Communication and Journalism)
  • Bachelor of Arts in Hindi Journalism – B.A. (Hons.) (Journalism)
  • Bachelor of Arts in Journalism and Mass Communication – B.A.(Journalism and Mass Communication)
  • Bachelor of Arts in Journalism – B.A. (Journalism)
  • Bachelor of Arts in Mass Communication – B.A. Mass Communication
  • Bachelor of Mass Communication – B.M.C
  • Bachelor of Science in Mass Communication and Journalism – B.Sc. (Mass Communication and Journalism)
  • Bachelor of Science in Mass Communication, Advertising, and Journalism – B.Sc. (Mass Communication, Advertising and Journalism)
  • Bachelor of Science in Mass Communication – B.Sc. Mass Communication
  • Bachelor in Media Science
  • Bachelor of Communication, Journalism & Public Relations
  • Bachelor of Journalism
  • Bachelor of Journalism and Mass Communication – BJMC

Journalism Courses after graduation

Agar aapne graduation pura kar liya hai mass communication ya Journalism mein aur agar post graduation bhi karna chahte hai iss field mein toh aapke paas courses mein bahut saare options hain jaise ki:-

  • Master of Arts in Broadcast Journalism – M.A (Broadcast Journalism)
  • Master of Arts in Convergent Journalism – M.A. (Convergent Journalism)
  • Master of Arts in Hindi and Journalism – M.A. (Hindi and Journalism)
  • Master of Arts in Journalism and Mass Communication – M.A. (Journalism and Mass Communication)
  • Master of Arts in Journalism – M.A. (Journalism)
  • Master of Arts in Mass Communication – M.A. (Mass Communication)
  • Master of Arts in Media and Communication – M.A. (Media and Communication)
  • Master of Arts in Photojournalism – M.A. (Photojournalism)
  • Master of Arts in Public Relations – M.A. (Public Relations)
  • Master of Science in Communication – M.Sc. (Communication)
  • Master of Science in Mass Communication – M.Sc. (Master of Science in Mass Communication)
  • Master of Science in Mass Communication, Advertising, and Journalism – M.Sc. (Mass Communication, Advertising, and Journalism)
  • Master in Development Journalism and Mass Communication – MJMC
  • Master of Philosophy in Journalism and Mass Communication – M.Phil. (Journalism and Mass Communication)

Diploma Programs in Journalism

Journalism mein diploma programs bhi hota aur ye bhi kaafi logon duara kiya jata hai.

  • Advanced Diploma in Mass Communication
  • Diploma in Business Journalism & Corporate Communication – DBJCC
  • Diploma in Broadcast Journalism
  • Diploma in Journalism
  • Diploma in Journalism & Mass Media (Graduates)
  • Diploma in Journalism & Mass Media (Professional)
  • Diploma in Journalism and Mass Communication
  • Diploma in Print and Broadcast Journalism – DPBJ
  • Diploma in Radio Journalism – DRJ
  • Diploma in T.V. Journalism

Online Courses

Jitne bhi courses humne upar bataye hai chahe wo under graduation ke ho, post graduation ke ho ya phir diploma ke inn sab mein humein college mein jaake degree leni padti hai. Iske alawa humare paas aur bhi options hai jisse ki hum journalism ke courses mein degree paa sakhe hai aur course ko aache se samaj sakte hai.Aajkal online bahut saare websites ke through hum aache aache university se degree le sakte hai. Online courses mein humein sab kuch online miljaega aur wo hum jahan bhi karna chahe wahan kar sakte hai.Kuch websites jahan ki humein online courses mil sakte hai:

Journalism Colleges

Journalism jaise vast career mein ab bahut demand hai aur youth ko bhi ye course kaafi pasand hai. Agar aap india se journalism mein course karna chahte hai toh aapko bahut saare aache aache colleges mil sakte hai chahe wo graduation ke liye ho ya post graduation ke liye. Unn mein se kuch aache colleges ke naam hum ne neeche mention kiya hai:-

Colleges offering journalism courses :

  • Indian Institute of Journalism and New Media (IIJNM), Bangalore
  • Lady Shri Ram College for Women Delhi .
  • Delhi School of journalism, University of Delhi.
  • Symbiosis Centre for Media and Communication Pune Maharashtra.
  • Christ University (Christ College) Bangalore.
  • Madras Christian College Chennai Tamilnadu.
  • Indraprastha College for Women
  • Indian Institute of Mass Communication (IIMC), New Delhi.
  • St. Xavier’s College,Mumbai
  • International Institute of Mass Media,Delhi.
  • Asian College of Journalism, Chennai
  • Mudra Institute of Communications (MICA), Ahmedabad.

Journalist ya Patrakar ke job options aur salary

Journalism mein agar aapne degree le li hai aur ab aap agar iss field mein kaam karna chahte ho toh aapko toh aapke paas bahut saare job options hai aur inn mein se aap wo choose kar sakte hai jisme aapko sabse jada interest.Job options bahut saare hai iss field mein lekin unmein se kuch jo ki sabse demanding hai wo niche mention kiye gaye hai:-

  • Content marketer
  • Copywriter
  • Corporate communications specialist
  • Editor
  • Public relations specialist
  • Reporter
  • Social media specialist

Job Salary

Patrakar kaise bane ke sawaal ke baad humein ye janna jaruri hai ki ismein kamai kitni hai. Aaj ke time mein sabhi logon ke liye salary bahut important hai aur apni job se aap kitna kama pate hai usse hi aapki lifestyle decide hoti hai. Hum ne niche bataya hai ki  job options ke anusaar aapko kitne tak ki salary mil sakti hai:-

Journalism JobsAverage Salary (Yearly)
Assistant EditorRs 228,961 – Rs 1,096,553
Associate EditorRs 237,394 – Rs 736,825
Content ManagerRs 222,891 – Rs 994,161
Content WriterRs 120,272 – Rs 479,995
Copy EditorRs 141,368 – Rs 505,645
EditorRs 184,141 – Rs 940,281
Editorial AssistantRs 121,010 – Rs 480,000
Managing EditorRs 241,788 – Rs 3,532,891
JournalistRs 121,654 – Rs 908,394

Hum umeed karte hai ki aapko article pasand aaya ho. Patrakar kaise bane se judi saari details isme batayi gayi hai lekin phir bhi agar aapko koi bhi doubt ya question ho toh aap comment section mein jaake humse puch sakte hai.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here