Is article ko padh ke aapko pata chalega ki Resume, CV ya Biodata ka matlab kya hota hai aur uski zarurat kyu hoti hai.
Mera naam Ashutosh Bharadwaj hai aur main Josh Talks mein VP – Marketing hoon. Maine apne 13 saal ke career mein hazaron resume dekhein hai aur darjanon logon ko job di hai.
Resume, CV ya Biodata kya hota hai samajhne ke liye dekhiye ye mazedar video ↓↓
Main jaanta hun ki naukri dene wale kaise sochte hai to main aapko bataunga Andar Ki Baat jo hain aise resume tips jo mere tajurbe se maine seekha hai.
Is blog ko padhke aap janeinge
- Resume ya CV ka matlab kya hota hai?
- Resume aur CV mein kya antar hota hai?
- Resume ki zarurat kya hai?
- Naukri dene wale resume mein kya dekhte hai
Pehle jante hai ki resume ya CV ya biodata hota kya hai aur iski kya zaroorat hai?
Is Article ko Likha hai
Ashutosh Bharadwaj (B.E | MBA)
Work Experience: Team Lead at Honeywell India | Marketing head at Broomberg Services | Currently VP – Marketing at Josh Talks
Ashutosh ko corporate aur start ups mein 13 saal ka experience hai. Unhone kafi sare log recruit kiye hai aur unko Resume making aur Job interview conduct karne ka kafi experience hai.
Yahan click karke aap Ashutosh ki professional LinkedIn profile dekhein
Resume ya CV kya hota hai?
Jab bhi aap kisi naukri ke liye apply karte hai aapka CV maanga jata hai. Yeh ek document hota hai jis mein aapki professional aur personal qualifications hote hai.
CV ki full form hota hai Curriculum Vitae jo ek Latin shabd hai. Hindi mein iska matlab hota hai “Jeevan ka saar” ya “Zindagi ki kahani”
Aapko resume mein woh sab kuch dalna chahiye jiski zaroorat job dene wale ko hoti hai jaise ki
- Aapne kya kya padha kari hai
- Apne kahan aur kya naukri kari hai (Agar aap fresher nahin ho)
- Aapke paas kaun si woh khoobiyan ya skills hai jo naukri mein kaam aa sakte hai
Resume aur CV mein kya antar hai?
Hamare liye dono ek hi cheez hai. Waise to resume CV ka sankshipt roop hota hai par aajkal donon shabdon ke beech mein koi antar nahi hai. Resume ko biodata bhi kaha jata hai.
Andar ki Baat Resume Tip in Hindi #1
Resume/CV ya Biodata ek page ka hi hona chahiye
“Kuch log kehte hai ki CV aur resume alag hote hai. kyuni CV ek page se zyada ho sakta hai.
Yeh galat hai. Resume, CV ya biodata ek hi page ka hona chahiye. 20 – 20 saal ke experience walon ka bhi resume ek hi page ka hota hai. Sirif PhD researchers ya scientists ka resume 1 page se zyada hota hai kyunki unko apni research ke bare mein baat karna hota hai. Company walon ke paas itna time nahi hota ki woh 2-3 page ka resume padhein. Bas baat khatam!”
Resume ki zarurat kya hoti hai?
Jab bhi aap kisi job ke liye apply karte hai woh pehle aap se resume mangte hai.
Yeh aise hi nahin kiya jata hai. Resume bahut zaruri hota hai naukri ke liye kyunki
- Resume ko dekh ke hi naukri dene wali company samajhti hai ki aap us job ke liye theek ho ya nahin
- Resume dekh ke company wale yeh pata karte hai ki aapko interview ke liye bulana hai ya nahi
- Jab interview hota hai to interview lene wala sawal resume ko hi dekh ke poochte hai
Isliye zaruri hai ki aap ek accha sa resume banayein , aisa resume jisko dekhte hi naukri dene wale aapko interview ke liye bula lein.
Andar Ki Baat Resume Tips in Hindi #2
Agar aapke resume sabse alag aur badiya hai to naukri milne ke chance badhte hai
“Maine hazaron resume dekhe hai jeevan mein. Kuch ko chod ke sab ek jaise lagte hai. Jab mujhe koi resume dikhta hai jo acha bana hua hai aur jis mein lagta hai ki candidate ne kuch mehnat kari hai to main interview se pehle hi dimag bana leta hun ki is candidate ko select kar lo. Jisne resume banane mein itni mehnat kari hai woh acha candidate to hoga hi”.
Company wale aapke resume mein kya dekhte hai?
Ek CV pe recruiter 6 second lagate hai to CV mein wahi ho na chahiye jo woh dekhna chahte hai. To aapke resume aisa hona chahiye ki bas 6 seconds mein aapki quality chamak jaye aur aapka interview call aa jaye.
Aap interview mein resume leke jate ho aur pura job interview usi CV be hi adharit hota hai.
Company wale aapke resume yeh sab dekhna chahte hai
- Jis bhi naukri ke liye apne apply kiya hai uske liye aap qualified hone chahiye
- Agar aap fresher hai tab to company aapko train karegi par phir bhi job dene wala chahta hai ki resume mein nikal ke aye ki aap mehnat kar sakte ho aur
Andar Ki Baat Resume Tips in Hindi #3
Acche resume se aap naukri dene wale ki zindagi asan kar rahe hai
Aap se zyada tension resume ki recruiter ko hoti hai. Kyunki kisi bhi naukri ke liye 50 se 100 resume aate hai aur us mein se kuch ko hi interview ke liye bulaya jata hai.
“Company recruit isliye karti hai kyunki unko logon ki zarurat hoti hai aur agar sahi candidate nahin milta to unka kaam rukta hai aur recruiter ko apne boss se sunna padta hai. Isliye accha resume bana ke aap naukri dene wale ki madad kar rahe ho”.
Aasha hai ki aapko samajh mein aa gaya hoga ki resume, CV ya biodata ka matlab kya hota hai.
Agar aap naukri dhund rahe hai to aap ko jald se jald acha sa resume bana lena chahiye.
Resume ka format kya hota hai aur resume kaise banaya jata hai janne ke liye is article ko zaroor padhein.