Directorate General of Employment ne yuvayon ki skills aur vocational training ke liye ITI yani Industrial Training Institutes desh bhar mein banaye hai. Har saal lakhon yuvayon ko is training se apna career savarne ka avsar milta hai. Yaha aapko ITI kya hai aur ITI courses after 10th/12th ke baare mein puri jaankari Hindi mein milengi.
Iss article mein ITI courses ke baare mein jaane:
ITI Registration (Online Apply) 2020
ITI karke kya kare (Career options)
ITI kya hai aur courses after 10th/12th in Hindi
ITI kya hai?
ITI full form in Hindi: ‘Industrial Training Institute’ (ITI)
ITI me bahut se trades mein students ko vocational training courses diye jaate hai. In courses me industrial training aur skills par focus kiya jaat hai.ITI ek industrial diploma course hota hai. ITI me students bahut saare courses offer kiye jaate hai jinhe ‘Trades’ bola jaata hai jaise ki carpenter, fitter, electrician, welder, fashion designing etc sikhaye jaate hai. ITI skill related jobs par focus karta hai aur studnets ko tarin karta hai industrial sector me jobs ke liye. ITI 8th pass se 12th pass tak ke students kar sakte hai. Har trade ka eligibility alag hota hai. ITI k centers pure desh bhar me hai.
ITI kaise kare
ITI do type ke Institutes se kar sakte hai:
- Government ITI
- Private ITI
ITI har state me hote hai. In total humare desh me 11,964 ITI centers hai jisme se 2284 Government hai aur 9680 Private hai.
ITI centres ki list ke liye yaha click kare
ITI Course Details In Hindi
ITI mein admission ke liye Qualification
ITI me 8th pass, 10th Pass aur 12th pass students admission le sakte hai. Har trade mein alag eligibility hoti hai. Kuch trades hai jinke liye 8th pass minimum eligibility hoti hai, kuch hai jinme 10th aur kuch me 12th pass minimum eligibility hoti hai. ITI courses after 10th fail students 8th Pass courses ke liye apply kar sakte hai.
ITI trades jo engineering field mein unke liye 10+2 mein Maths aur Science
ITI Eligibility
Age Limit
Students jinki age 14 saal se zayda aur 40 saal se kam hai vo apply kar sakte hai.
Age relaxation
- Ex-servicemen & war widows ke cases me 45 years tak upper age limit me relaxation di jaati hai.
- Person with disability ke liye age me 10 saal ka relaxation diya jata hai.
- widows or women separated from their husbands is 35 years.
ITI Courses Fees 2020
Bahut students ko sawaal rehta hai ki ITI ki fees kitni hai? To iska jawaab hai ki ITI ki fees course aur area par depend karti hai.
- Rural areas
- Engineering trades: Rs.15,000
- Non-engineering trades: Rs.12,000
- Urban areas
- Engineering trades: Rs.16,500
- Non-engineering trades: Rs.13,200
ITI Courses/Trades List
ITI Course after 8th, ITI Course after 10th & ITI Course after 12th mein bahut saare options hai.
Two Years Engineering Trades | |
S.No. | Name of Trade |
1. | Draughtsman Civil |
2. | Draughtsman Mechanical |
3. | Electrician |
4. | Electronics Mechanic |
5. | Information Technology & Electronic System Maintenance |
6. | Instrument Mechanic |
7. | Machinist Grinder |
8. | Mechanic Motor Vehicle |
9. | Mechanic Ref. & Air conditioning |
10. | Radio & TV Mechanic |
11. | Radiology Technician |
12. | Surveyor |
Two Years Engineering Trades under Centre of Excellence (CoE) | |
S.No. | Name of Trade |
1. | Automobile Sector |
2. | Electrical Sector |
3. | Information Technology Sector |
4. | Production & Manufacturing Sector |
Two Years Engineering Trades (Eligibility with Non-Science Subjects) | |
S.No. | Name of Trade |
1. | Fitter |
2. | Machinist |
3. | Painter General |
4. | Turner |
5. | Wireman |
One Year Engineering Trades | |
S.No. | Name of Trade |
1. | Architectural Assistant |
2. | Auto Electrician |
3 | Automotive Body Repair |
4. | Automotive Paint Repair |
5. | Carpenter |
6. | Computer Hardware & Networking |
7. | Dent Beating & Spray Painting |
8. | Mechanic Diesel |
9. | Mechanic Tractor |
10. | Interior Decoration & Designing |
11. | Plastic Processing Operator |
12. | Plumber |
13. | Scooter & Auto Cycle Mechanic |
14. | Sheet Metal Worker |
15. | Steel Fabricator |
16. | Welder (Gas & Electric) |
One Year Non-Engineering Trades | |
S.No. | Name of Trade |
1. | Baker & Confectionery |
2. | Commercial Art |
3. | Computer Operator & Programming Assistant (COPA) |
4. | Craftsman Food Production (Gen.) |
5. | Cutting & Sewing (Co-ed) |
6. | Cutting & Sewing (Girls) |
7. | Desktop Publishing Operator |
8. | Digital Photography |
9. | Dress Designing |
10. | Dress Making |
11. | Embroidery & Needle Work |
12. | Fashion Technology |
13. | Health & Sanitary Inspector |
14. | Hair & Skin Care |
15. | Hospital House Keeping |
16. | Li-tho Offset Machine Minder |
17. | Office Assistant cum Computer Operator |
18. | Secretarial Practice (English) |
19. | Steno English |
20. | Steno Hindi |
21. | Steward |
22. | Textile Designing |
Six Months Non-Engineering Trades | |
S.No. | Name of Trade |
1. | Call Centre Assistant |
2. | Corporate House Keeping |
3. | Data Entry Operator |
4. | Domestic House Keeping |
5. | Front Office Assistant |
6. | Event Management Assistant |
7. | Office Machine Operator |
8. | Tourist Guide |
ITI Admission/Exam Dates 2020
Event | Date |
Commencement of online/ offline application process for ITI courses | March/ April/ May 2020 |
Deadline to submit online/ offline applications for ITI courses | June 2020 |
Admission process for ITI courses | June or July 2020 |
Commencement of classes for ITI courses | July or August 2020 |
ITI Admission Process 2020
ITI mein admission do tarah hote hai. Kuch states marks ke basis par merit list niklati hai aur kuch states pehle entrance exam lete hai aur phir merit list niklate hai. Generally, ye process 3 steps mein hota hai.
Step 1: Online registration kare
Step 2: Entrance Exam/Merit Based Admission
Step 3: Documents verification & fees submission
ITI Admission Online Registration 2020
ITI online application fill karni hoti hai
- ITI state ki official website par jaaye
- Valid ID proof aur mobile number se Register kare
- Successful registration ke baad application form ko fill kare
- Sab details sahi se bharne ke baad, form ko submit kare
- Online application fees bhare aur receipt save karle
ITI Online Application Fees
- General category – ₹ 250
- SC/ST/OBC category – ₹ 150
Fee exemption is given to physically challenged, visually impaired, war widows, children of martyred/handicapped ex-servicemen, students referred by orphanages or juvenile correction homes.
ITI Entrance Exam Pattern 2020
ITI mein admission ke liye entrance exam generally August mein hota hai har state mein. Kuch state saal mein do baar exam karte hai : April aur August
Exam medium: Exam do languages mein hota hai – English & Hindi
Exam mode: Har state mein alag rule hota hai. kuch mein offline exam hota hai kuch states mein online exam hota hai.
ITI entrance exam mein 100-150 Multiple Choice Questions (MCQ) aate hai jinko 3 hours mein pura karna hota hai. Exam mein niche diye gaye sections mein se questions puche jaate hai
- Numerical ability
- Logical Reasoning
- English
- General Awareness
ITI Entrance Exam Syllabus 2020
S.No. | Sections | Topics |
1. | English | Reading Comprehension, Cloze Test, Fillers, Sentence Errors, Vocabulary based questions, Sentence Improvement, Jumbled Paragraph, Paragraph Based Questions |
2. | Logical Reasoning | Puzzles, Seating Arrangements, Direction Sense, Blood, Relation, Syllogism, Order and Ranking, Coding-Decoding, Logical Reasoning |
3. | Numerical Ability (Maths) | Sets and Functions, Algebra, Co-ordinate Geometry, Calculus, Statistics & Probability, Relations and functions, Vectors, 3-D Geometry, Linear Programming |
3. | General Awareness | Current Affairs, Indian History, Indian Geography, Sports, Famous Personalities etc |
ITI Admission Ke Liye Zaruri Documents
- 8th/10th/12th standard Mark Sheet and Certificate
- Admit card (Entrance exam walo ke liye)
- Result or merit list
- Transfer certificate
- Domicile certificate
- Category certificate if applicable
- Identity proof like Voter ID card, Aadhar card and Driving Licence etc.
- Other relevant documents as per instructions.
ITI Ke Baad Kya Kare
ITI Ke Baad Apprenticeship
ITI karne ke baad sabse pehle Apprenticeship yani training karni hoti hai. ITI trade course complete karne ke baad students ko field mein apprenticeship karne ke liye bheja jaata hai.
ITI Ke Baad Jobs
ITI diploma complete karne ke baad sarkari aur private jobs dono ka scope hota hai. Private job mein companies mein kaam kar sakte hai ya khud ka business bhi khol sakte hai jaise Electricals ka shop, Plumber ka shop etc..
Sarkari Naukri
- Jobs in Indian Railways (Group D Posts)
- Jobs in Public Sector Units (SAIL, GAIL, BHEL etc…)
- Jobs in Government Departments/Ministries/PwD
- Jobs in Defence Sector
Agar aapne ITI se Radio/TV mein course kiya hai to aap BSF Head Cosntable ke liye apply kar sakte hai. Ye bharti males aur females dono ke liye. Jald apply kare.
BSF Head Constable Bharti 2019
RRB Railway Group D ki puri jaankari ke liye click kare
Private Job Options
- Jobs in Corporates, Companies, Hotels, Hospitals (Electrician, Plumber, etc…)
- Jobs in Industries
- Khud ka Business khol skate hai
ITI Electrician Jobs ki puri jaankari ke liye click kare
Plumber job ki puri jaankari ke liye click kare
10th ke baad career options ke baare mein jaane
Polytechnic courses ke baare mein jaane.
Hum asha karte hai ki aapko ITI kya hai, ITI courses after 10th, ITI courses after 12th se judi saari jaankari is article mein mil gayi hogi aur agar apko koi sawaal hai to niche comment kare aur hum aapko jawaab dene ki puri koshish karenge.
ITI ke address patta
Hi Bishram
Aapko kaunse sheahr ke ITI ke baare mein janana hai?
Iti aur 11,12 ek saath kar sakte hai kya
Nahin, lekin agar 11, 12th open se karte hai toh ITI kar sakte hai.
Kya hum iti aur 11,12 ek saath kar sakte hai
Nahin, lekin agar 11, 12th open se karte hai toh ITI kar sakte hai.
Hello admission fees kya hai
hey Bharti,
ITI course fees area par depend karti hai par generally Rs.12,000 se Rs.15,000 ke bich mein hoti hai fees.
Software engineering arts side se available h iti me
Hi Akriti
Engineering ke liye science subjects hone zaruri hai iti mein admission lene ke liye.
hi m satyam, muje steno krni h to iti k baad kese job lgegi meri gov. sector m , or kya m iti k sath college kr skta hu kya
Aap ek baar blog ko dhyan se padhiye ismen kai option hai job ke aur rahi baat college ki toh agar aap open se karte hai toh saath mein ITI kar sakte hai.
ITI course kitne din ka hota hai
kam se kam 6 month hoti hai bhai ITI
ITI ki entrance exam kab hoti hai nd fees kya hai
ITI online application fee General category – ₹ 250 aur SC/ST/OBC category – ₹ 150 hoti hai.
Kya iti me addmistion lene ke k
Liye kitni 12th ki percentage honi chaiye
Aisa kuch nahin hai. Agar aapke waha ITI mein merit base par le rahe hai toh percentages matter karenge aur entrance base par lete hai toh nahin.
Mai 8 pass hu mujhe admission mil sakta hai aur mai 10 fail hu
Aap 8th pass courses ke liye jaa sakte hai.
Sir Mene iti Copa apprectice 1years Kiya ab aage kya step Karna Hoga job k loye
Ab aap job search kare aur apply kare
Me nay 10th feel hu Kay iti me consa course karna hoga
Mai ne 10 ke baad iti sewing technology se kiya hai fir 12 karre hai usme humko eak pepar dena hai hindi ka but meri 12th ke result me kitne subject honge
Koi minimum marks nahi chahiye.
Please answer me
Z
Good
High School + inter ITI apprentice one year
sir haryana stats ki iti ma 8th bas pr admission nhi ho rha ha plz information send me
Paramjeet 8th pass mein koi course nahi hoga isliye nahi hora hoga admission.
Please mujhe btao Ki 12 me commerce ke baad mujhe iti me koi government jobs milegi desh Ki sewa ke liy
Aap bahut si govt jobs ke liye apply kar sakti hai jaise railways mein, SSC mein.
Iti me kaun si tradd jyada best hai.
Muche ye courses sikhana hai please call me my no. 7900082609
Sachin hum courses nahi provide karte. Humne bas ITI ke baare mein information di hai. aap apne shehar ke kisi bhi ITI se apni pasand ka course kar sakte hai.
sir kya sc wale logo ki fees 15000 tk hi hogi
Har iit lki alag fees hoti hai
Iti m subject Kya Kya Hota h
Har course ke alag subject hote hai. Appko kausne course ke baare me janana hai?
For railway jobs 10th me baad mil Sakta hai kya
Yes, Rialway me bahut si 10th pass job aati hai. Yaha check kare: https://www.joshtalks.com/joshkosh/sarkari-job/sarkari-naukri-railway-recruitment-control-board-latest-jobs/
SIR high school se ITI mai form apply kar sakte hai
10th pass ke baad kar sakte hai.