Agar aap ye soch rahe to ki graduation ke baad kya kare toh ye kuch options hai joh aap dekh sakte hai apna career start karne ke liye.
Iss article me aapko pata chalega ki graduation ke baad kya kare
(Aap neeche diye gaye links pe click karke alag alag sections pe ja sakte hai)
BPO Jobs /Call centres job ki puri jaankari
Private sector me entry level Jobs (Associate level) ki puri jaanakri
Aviation sector me entry level jobs ki puri jaankari
Digital Marketing me career ki puri jaankari
Video Editing/Photo Editing me career ki puri jaankari
Content writing me career ki puri jaanakari
Foreign Language Jobs ki puri jaanakari
Make-up / Hair Expert me career ki puri jaankari
Graduation ke baad Sarkari Naukari
1. Bank PO/Clerk/Assistant
Graduation ke baad Bank mein job karna ek bahut accha option hai. Agar aapne graduation complete karli hai toh aap bank jobs ke liye eligible hojaate hai. Sarkari bank job ke liye bhi eligibility graduation hi hai. Aap graduation kisi bhi field se kar sakte hai par minimum 55% marks chahiye hote hai sarkari bank jobs ke apply karne ke liye. Bank PO/clerical jobs mein entrance exams ke basis par recruitment hoti hai.
Bank mein job ke liye options hai:
- SBI PO 2019 ki puri jaankari ke liye click kare
- IBPS PO 2019 ki puri jaankari ke liye click kare
- SBI Clerk 2019 ki puri jaankari ke liye click kare
- IBPS Clerk 2019 ki puri jaankari ke liye click kare
- RBI Grade B Notification 2019 ke liye click kare
- RBI Assistant 2019 ke liye click kare
- IBPS RRB Officer Scale-I and Office Assistant 2019 ki puri jaankari ke liye click kare
2.BPO Jobs /Call centres ki naukri
BPO ya Call centre kya hota hai?
BPO ka full form hota hai Business Processing Outsourcing. BPO/Call centres in simple words mean to ki apni company ka kuch kaam kisi third party ko dena taki productivity increase ho aur cost save ho.
Jaise ki koi company joh kapadhe banake online bechati hai usko bahut sare customer queries bhi aati hogi. Ab company ka main kaam kapadhe bnana par customer ki problems bhi solve karna zaruri hai to ye company customer queries solve karne ka kaam ek BPO ko dedegi joh yahi kaam karti hai. Is kehte hai kaam outsource karna matlab aap kaam kisi aur ko dedena.
Example: aap apne apne bill/phone connection se related koi dikkat hoti hai to aap customer care pe call karte hai vodafone/airtel/idea/jio pe. Joh customer care executtives aapki problem/issue ko solve karte hai vo actually ek BPO k employee hote hai. Vodafone ye kaam ek BPO ko dedeti hai jinks kaam hota hai customers k issues ko solve karna.
Eligibility
12th Pass/Graduation kisi bhi field se
Freshers joh graduation ke badd naukri dhundh rahe hai unke liye bahut acha option hai ye.
Skills required
Basic computer knowledge, good communication skills, Basic English/local language(for domestic), good listening skills, negotiation skills
Other requirements : long working hours, rotational shifts
BPO/Call centres do type k hote hai
1.International BPO/Call Centres
International Call centre me kaam karne ke lie aapko English aani bahut zaruri hai kyunki aap un customers se baat-chit (interact) karenge joh dusre desho me hai aur unse baat karne k lie common language English hi hai. Isliye achi English aana zaruri hai international call centre me kaam karne k liye . Aap abroad jake bhi kaam kar sakte hai.
Starting salary
Rs.15,000 – 25,000 per month with Incentives, food and cab allowance
2.Domestic BPO/Call Centres
Domestic call centres ek hi desh k customers k lie hote hai. Jese ki India k domestic call centres joh sirf Indian customers k lie hote hai. India me itni alag alg languages boli jati hai aur har state me alag language hai. ISlsie domestic call centres ko har regional language me baat karne wale logo ki zarurat hoti hai taki customers se baat karne me koi language barrier na aaye. Islie regional language bolne walo ki bhaut demand badh gayi h ab is sectoe me.
Starting salary
Rs.10,000 – 20,000 per month with Incentives, food and cab allowance
BPO/Call Centre interview ke sawal aur unke jawab janne ke liye yahan click karein.
BPO/Call Centre me kya kaam hota hai
1.Voice Processes (Outbound Process)
(i)Telesales/Telemarketing Associate (Voice) : phone k dwara product ko bechana ya uska promotion karna.
(ii)Telecalling/ Customer care (Voice) Associate : customer ki problem (query) ko phone par solve karna.
Skills required
Good communication skills, basic computer skills, Language proficiency in the local language (if in domestic call centre)
Starting salary
Rs.10,000 – 20,000 per month (Domestic call centre)
Rs.15,000 – 25,000 per month (in International call centre)
2. Non-Voice Processes (Inbound Process)
(i)Email/Chat process Associate(Non-voice) : customers ki query ko chat ya email se solve karna. Isme calling ka kaam nahi hota hai.
Skills required
Fast typing speed, English, Good communications skills both oral and written
Starting salary
Rs. 15,000 to 25,000 (in Domestic)
Rs.15,000 to 35,000 (in International)
BPO me kaam karne ka fayda
BPO k naukari apne career ko shuroo karane ka ek bahut acha option hai.Ye sector pichle 15 years me bahut grow hua hai. Globalization hone se bahut sari Foreign companies ne India me BPO sector shuru kia tha jisase lakho logo ko employment mili hai. Aaj bhi ye sector me bahut jobs hai aur ab bahut sari Indian comapanies bhi is sector me aa chuki hai. Yaha pe logo ko bahut sikhne ko milta hai, unki communication skills bahut improve hoti hai. Is sector me saal bhar naukri hoti hai joh kisi bhi shehar me rehke kari ja sakti.
Levels of Promotion (Scope of Job)
- Team Leader/Manager/Supervisor
Team Leaders ka role ye hota hai ki vo dekhe ki har customer care representatives ki performance dekhana,training dena , targets set karna. Simple terms me vo supervisor karte hai customer care representatives ka kaam.
Starting salary: Rs.20,000-35,000
- Project Manager
Project manager ka role hota hai projects ko manage and coordinate karna.
Starting Salary :Rs.40,000-70,000
Naukri kaise dhundhe
- Job portals jaise Naukri.com, wisdomjobs.com, Monster.com etc. se apply kare
- Job Consultants ke through apply kare
- Newspapers me job advertisements check kare
Top Leading BPO/Call Centres in India (with locations)
- Genpact (Jaipur, Gurgaon, Bangalore, Hyderabad, Kolkata)
- Tata Consultancy services, TCS (Ahmedabad, Bangalore, Baroda, Bhubaneswar, Chennai, Coimbatore, Delhi, Noida, Gurgaon, Gandhinagar, Goa, Hyderabad, Kochi, Kolkata, Lucknow, Mumbai, Mumbai, Pune, Thiruvanathapuram)
- Wipro BPO (New Delhi, Navi Mumbai, Pune, Mumbai, Kolkata, Hyderabad, Chennai, Bangalore, Greater Noida)
- Aegis Limited (Mumbai, Ahmedabad, Bangalore, Gurgaon, Hazira, Hyderabad, Jamshedpur, Kolkata, Lucknow, Noida and Pune.)
- Accenture India (Delhi, Noida, Gurgaon, Bangalore, Pune, Mumbai, Hyderabad, Kolkata, Chennai)
- IBM (Gurgaon, Bangalore, Chandigarh, Chennai, Kolkata , Mumbai , Pune Vizag)
- Hinduja Solutions ( Bangalore, Chennai, Hyderabad, Mumbai, Durgapur, Mysore)
- Infosys (Bangalore , Chennai, Gurgaon, Jaipur , Pune)
- WNS Global Services (Bangalore, Chennai, Gurgaon , Mumbai , Nashik , Pune)
- Firstsource Solutions (Mumbai, Bangalore, Chennai, Trichy, Indore, Kolkata, Hubli, Kochi, Vijaywada, Pondicherry, Jalandhar)
- EXL Service (Noida, Gurgaon, Pune)
- Cognizant BPO (Bangalore, Chennai, Coimbatore, Gurgaon, Hyderabad, Kochi, Kolkata, Mumbai, Pune)
- HCL (Noida, Mumbai, Chennai, Kolkata, Hyderabad, Bangalore)
- Convergys (Bangalore, Gurgaon (4), Hyderabad, Pune, Thane)
- Mphasis (Bangalore, Mangalore, Chennai, Puducherry (Pondicherry), Mumbai, Pune, Ahmedabad, Noida, Indore, Hyderabad, Vadodara, Kolkata, Raipur)
- Intelnet Global (Mumbai, New Delhi, Gurgaon, Chennai)
3.Entry level Jobs in Private Companies
Private banks/Private companies/Hotels jaise ki Axis bank, HCL graduates ko hire karti hai bahut profiles ke lie.These profiles are a good start for graduates.
Eligibility
Graduation kisi bhi field se ho skati hai.
Kya kaam hota hai
(1)Back-end operations
Isme data entry operator, computer operator, administrative work , documentation,document handling and office management ka kaam hota hai.
- Data entry operator: Isme data dia jata hai jsiko computer me daalna hota hai.Typing wok hota hai. Data entry me information ko update karna hota hai. Jaise ki bank me jitne bhi forms bhare jate hai customers ki details k liye, un details ko computer me store karna hota hai.
- Computer operator: Computers or baki machines ko control and maintain karna hota hai. Sare records banana, data backup lena, software check karna aur printer me papers load karna bhi ek computer operate ki responsibility hoti hai.
Skills required
Excellent computer skills, Fast typing speed, Basic knowledge of software, English, Good Communication skills (both read and write).
Starting salary
Rs.10,000 -20,000 per month
(2)Customer Support Associates (Voice and Non-Voice)
Customer Support Associates ek accha option hai graduation ke baad naukri karne ke liye. Is job profile me customers se baat karni hoti hai aur unki problems ko address karna hota hai. Ye call(voice) ya chat(non-voice) dono se ho sakta hai.
Skills required
Good computer skills, English, communication skills, management skills
Starting salary
Rs.10,000 -20,000 per month
(3) Sales Job
- Sales Executives /Sales Agent :Sales executives (Salesperson) products ya services ko customers ko sell karte hai. Is profile me field me kaam karna hota hai.
- Telesales/Telemarketing Associate (Voice): Telesales associates sales associate hote hai joh telephone ka use karke products ya services ko potential customers ya existing customers tak pahuchate hai.
Skills required
Good marketing skills, good communication skills, negotiation skills, presentation skills
Starting salary
Rs.10,000-25,000 per month plus incentives
Naukri kaha kar sakte hai
Corporate, Banks, Insurance companies, MNC’s, Business houses etc..
Naukri kaise dhundhe
- Job portals jaise Naukri.com, wisdomjobs.com, Monster.com etc. se apply kare
- Job consultants ke through apply kare
- Newspapers/Companies websites/social media handles ko check kare job openings ke liye
4.Entry level jobs in Aviation sector
Aviation industry me pilot aur cabin crew k alava bahut sare salg alag staff ki zarurat padhti hai joh ground aur airport manage karte hai aur unko ground duty staff bolte hai.
Eligibility
Graduation kisi bhi field se ho sakti hai.
Kya kaam hota hai (Job profiles)
- Ticketing (ticket booking, Visa)
- Security
- Help Desk
- Guest relation
- Customer care
- Inquiry Desk
- House keeping
- Admin
- Documentation
Skills required
Good spoken English, communication skills, computer skills
Starting salary
Rs.10,000-25,000 per month
Naukri kaha kar sakte hai
Sari airline companies jaise ki Jet airways, GoAir, Goindigo, Vistara ground staff ke liye hire karti rehti hai. In companies k alava Airport authorities bhi hire karti hai ground staff ke liye.
Ground staff work job ki jaankari ke liye click kare
Naukri kaise dhundhe
- Airlines ki official websites jaise Jet Airways, GoAir, GoIndigo,SpiceJet check kare
- Job portals like naukari.com, monster.com etc…se apply kare
- Newspapers me job advertisements check kare
5.Digital Marketing Job (Social Media Marketing)
Digital marketing kya hota hai
Digital marketing ka matalab hai ki samaan/sevaon ke prachaar (promotion) ke liye internet ka upayog (use) karna. Jaise ki jab bhi internet par koi website kholte hai ya youtube video dekhte hai to usme advertisements aati hai aur ye digital marketing ka hissa hota hai.
Digital marketing me career
Agar aap ye soch rahe to ki graduation ke baad kya kare toh Digital marketing ek bahut accha option hai career shuru karne ke liye. Digital marketing is waqt sabse powerful promotional tool hai iski reach ki wajah se kyunki ye ek sath lakho logo tak aapki baat pahuchane ki shamta rakhta hai. Yahi wajah hai ki ab companies advertisement karne ke liye social media ka use karti hai aur isliye digital marketer/social media managers ki bahut demand badh gayi hai. Jin logo ko internet par kaam karna acha lagta hai
Ek important chiz agar aapko koi regional/local language aati hai to aap us language me bhi social media handler ban skate hai jiski aajkal demabd bhi hai. Bahut companies especially digital media companies social media channels ko handle karne k liye recruitment karti hai.
Digital marketing internet se sikhi ja sakti hai ya isme certificate/diploma course bhi kiya ja sakta hai. Course karne ke baad ‘internship’ kare taki aapko achhe sikhane ko mile aur expereince mile jisase aapko naukri milne me asani ho.
Digital Marketing ke interview ke sawal aur jawab ke liye yahan click karein
Eligibility
Graduation kisi bhi field se ho sakti hai.
Digital marketing me kaam kya hota hai
Website ki Search Engine Optimization, social media jaise Facebook, Instagram, twitter pe marketing, Google advertisement, etc.
Skills required
Creative thinking, good communication skills, Good spoken English, good computer skills including good knowledge of social media, marketing skills, photo editing skills
Starting salary
Rs. 10,000-25,000 per month. Experienced candidate Rs. 2,00,000(lakhs) per month tak kama sakte hai.
Kaha naukri kar sakte hai
- Media companies
- Advertising firms
- Marketing firms
- Public Relation firms (PR agency)
- Corporate/Companies: Har company apna social media page ko maintain karne ke liye social media managers hire karti hai.
- Individuals: Celebrities ya famous log bhi social media managers hire karte hai.
Naukri kaise dhundhe
- Job portals jaise Naukari.com, wisdomjobs.com, Monster.com etc. se apply kare
- Companies websites/newspapers/social media handles ko check kare job openings ke liye
6.Video Editing/Photo Editing Career
Editing kya hoti hai?
Video Editing/Photo Editing ek aisa process hai jisme ek sadharan (raw) video/photo me kuch naya jodhna ya galtiyo ko hatana hota hai. Editing ka kaam computer aur internet ke dwara kia jata hai.
Editing ka kaam films, TV shows, web videos(internet par videos jaise ki yotube videos) me kia ja sakta hai.
Eligibility
12th pass ya graduation kisi bhi field se
Video Editing./Photo Editing me career shuru karne ke liye sabse pehle short-term (3-6 months) certificate ya diploma course kar sakte hai. Bahut sare private institutes hai joh course courses provide karti hai. Course complete karne ke baad internship ya job kar sakte hai.
Course kaha se kar sakte hai
- Arena Multimedia
- Maacindia
- Video Editing Institute
- Lynda.com (Online course)
- ADMEC Multimedia (Online course)
Skills required
- Interest and passion to work in this field
- Good computer skills
- Good knowledge of the software like Adobe Premiere , Corel VideoStudio, Lumen5 Coral Photo editor, Adobe Photoshop etc.
- Creative mindset (creativity)
Starting salary
Rs.10,000-25,000 per month and with experience can go more than Rs.80,000 per month
Naukri kaha kar sakte hai
- Media firms
- Advertising companies
- Digital marketing
- Production houses
- Photography/Videography Company
Naukri kaise dhundhe
- Job portals jaise Naukari.com, wisdomjobs.com, Monster.com etc. se apply kare
- Companies websites/newspapers/social media handles ko check kare job openings ke liye
7.Content Writing Career
Content Writing kya hota hai
Content writing ka matlab hota hai online platforms ke lie likhna. Internet ke dour me har sab companies website banwati hai, online videos ka demand hai jiske lie content writers ki zarurat padhti hai kyunki internet par joh bhi padhte hai ya dekhte hai uska content ek content writer hi likhta/likhti hai.
Agar aap ye soch rahe to ki graduation ke baad kya kare toh content writer ek bahut accha option hai career shuru karne ke liye. Har posts, video scripts, articles joh hum internet pe dekhte hai vo sab content writers likhte hai. Content writer ki job karne ke liye creative writing skills bahut zaruri hai joh kisi bhi language me ho sakti hai. Agar kisi ko English nahi aati par aur koi language jaise ki “Gujarati language’ me bahut accha likhna aata hai to koi dikkat nahi hai isme. Content writers kisi bhi language me likh sakte hai kyunki regional/local language me likhne walo ki bahut demand hoti hai.
Agar koi content writing me career banana chahta hai to use online blog/articles publish karne chahye kyunki ye blogs/articles unke samples hote hai jisase naukri apply karne ke waqt dikhaya ja sakta hai.
Eligibility
Graduation kisi bhi field se.
Content writer ka kaam
- Scripting karna (films/videos) ke liye
- Articles/blogs likhna ,
- Websites ke liye likhna
- Social media handles jaise ki Facebook, Instagram ke liye likhna
Skills Required
Excellent writing skills in any language is the most important skill, research, knowledge of wordpress, SEO, good knowledge of social media.
Starting salary
Rs.15,000-35,000 per month and can reach upto Rs.80,000 per month
Naukri kaha kar sakte hai
- Advertising firms
- Media firms
- Marketing firms including Digital Marketing firms
- Public Relations (PR agency)
- Website development company
Naukri kaise dhundhe
- Job portals jaise Naukari.com, wisdomjobs.com, Monster.com etc. se apply kare
- Companies websites/newspapers/social media handles ko check kare job openings ke liye
8.Foreign Language Expert Job
Foreign language expert ek bahut accha option career start karne ke liye. Globalization ki wajah se foreign language experts ki bahut demand badh gayi hai.
Foreign language expert banane ke liye koi bhi foreign language sikhi jaa sakti hai jiski demand ho. Foreign language ko sikhne ke liye courses karne hote hai aur ye courses bahut se institutes karate hai har jagah. Foreign language expert banane ke liye bahut practice ki zarurat hoti hai aur thoda time bhi lagta hai kisi dusri language par command lene me par isme career options bahut hai.
Companies bahar ke desho (foreign) me bhi apna business expand karti hai jiske liye use apne employees ko alag alg desho me jaha vo business setup kar rahi hai vaha bhejana hota hai. Par ek dikkat joh sab face karte hai ‘Language barrier’. Agar us desh me English nahi boli jati toh employees ko dikkat aati hai vaha ke logo se baat karne me jiske liye transaltors ki zarurat padhti hai. Agar koi bahar ki company India me business setup karti hai to unko communicate karne ke liye translators ki zarurat padhti hai jinko dono desho ki language aati ho. Iske alava bahut sari jagah foreign language experts ki zarurat padhti hai.
Top Foreign languages
English, French, German, Italian, Japanese, Spanish, Russian, Arabic, Persian aur Chinese.
Ek galatfehami (myth) hai ki foreign language sikhne ke liye English aani zaruri hoti hai. Ye baat bilkul bhi sach nahi hai kyunki English khud ek foreign language hai. Koi bhi foreign language sikhane ke liye English aani zaruri nahi hoti hai.
Eligibility
Graduation kisi bhi field se
Starting salary
Rs.15,000-35,000 per month and can earn more than Rs.70,000 per month
Naukri kaha kar sakte hai
- Language translator for Corporate firms,MNC and Government Organizations
- Foreign language trainer in schools/colleges/tuition
- Publishing house ya media firms me books/documents/scripts ke translation work
- Embassies me translators
- Airlines (Aviation sector) me cabin crew ya ground staff
- Tourism industry me tourist guide
- Hospitality sector jaise ki hotels me as attendants
- International Call centres/BPO me Associate
- Freelancer, Writer, Translator, Interpreter
Top Companies joh language experts hire karti hai
• Accenture
• Evalueserve
• Wipro
• Fiserv
• TCS
• Tech Mahindra
• Infosys
• Kuliza
• Scabbard
9.Make-up Artist/ Hair Stylist
Jin logo ko make-up me interest hai unke pass ek bahut accha option hai make-up artist bnane ka. Ek make-up artist creative hota hai. Vo apni creativity use karke ye janta hai ki kis par kaisa make-up accha lagega.
Hum sab TV/internet pe dekhte hai ki actors/models tyar hoke rehte hai. In sab k piche makeup artist aur hair stylist ki mehnat hoti hai. Agar aap ek ache makeup-artist/hair stylist ban jate hai to aapke pass paisa kamane k bahut options aajate hai.
Eligibility
Koi minimum qualification nahi par diploma ya short course karna zaruri hota hai taki aap techniques and skills sikh sake. Ye training aap kisi institute me je sakte hai ya phr kisi bhi experienced professional make-up artist k under bhi training le skate hai.
Skills required
Creativity, Techniques
Starting salary
Rs.15,000-25,000 per month and with experience can go upto Rs.70,000 or more per month.
Naukri kaha kar sakte hai
- Salons
- Entertainment industry (TV/Films/Bloggers)
- Modelling agencies
- Media companies for shoots of magazines
Apna khud ka parlour kholne ka sapna pura kare. Puri jaankari ke liye click kare
Beauty Parlour kaise khole
10. Higher Studies: MBA
11. Graduates ke liye Latest Sarkari Naukari 2020 updates
RRB NTPC Recruitment : Graduates Posts
UPSC Jobs: IAS/IPS Officer
Police: Sub Inspector (SI) Post
Give me job
arti chauhan
software course kar li hu and Hindi typing big krti hu and job Karna chahti hu
Thanks for sharing too many option to move own career in this field.
Hi Shashi
Thankyou for the feedback.
this is very great full site.
thankyou.