uber ola business plan inquiry in hindi

Uber ya Ola Cabs Driver Job Se Kamaye ₹40,000 se Zyada Har Mahine

Agar aap Uber ya Ola cabs mein driver ki job karne ki soch rahe ho to is article ko dhyaan se padhein. Main aapko bataunga ki Uber/Ola mein cab kaise lagaye, kaun si gadi lagaye aur cab driver ban ke kitni kamai ho sakti hai.

Uber ya Ola mein cab lagane ke bare mein jaanein

(Links pe click karke alag alag bhaag pe ja sakte hai)

Ola Uber cab business plan

Ola ya Uber cab se kamai

Ola Uber cab finance scheme

Ola ya Uber ke liye best car

Ola ya Uber me car lagane ke liye requirement aur documents

Ola ya Uber me car kaise lagaye

Zamana tezi se badal raha hai aur usse bhi tez badal rahi h technology.

Aaj puri duniya ek chote se phone me sama gayi hai. Pehle log subha subha ki flight ya train pakadne ke liye raat ko hi taxi book karte the. Kyuki kya pata us waqt taxi mile ya na mile. Lekin ab waqt badal gaya hai ab hum ghar baithe baithe apne smartphones ki madad se cab ya taxi kabhi bhi book kar sakte hai.

mere ek dost ka kehna hai ki uber aur ola ki wajah se uski zindagi AASAN ho gayi hai. ab kahin bhi jana ho, koi tension nahin hoti

Ola or Uber kuch esi app based cab booking companies hai jo na keval logon ke safar ko asaan bana rahein hai balki kai logon ko rozgaar bhi de rahi hai.

Agar aap bhi kam punji me achi kamai ka zariya khoj rahe hai to Ola ya Uber apke liye behtar vikalp ho saktein hai.

 Ola or Uber Cab Business Plan

Aap in 3 tareekon se Uber Ola cab ka business kar sakte hai

Driver aur owner bhi (Apni gadi hai to)

Yadi apke paas apni gaadi hain or aap apni gaadi khud chalana chahte hain to aap Ola ya uber ke sath as a partner jud kar business kar sakte hain.

Non driving partner ya Fleet Operator (Apni gadi hai to)

Agar apke pas khud ki gaadi hai  lekin aap khud us gaadi ko nahi chalana chahte to aap Uber ya Ola me fleet operator ke taur par jud sakte hain.

Lekin dhyan rahe doston isme driver bhi apko hi dena hoga kyuki company apko koi driver nahi deti.

Driver under partner (Apni gadi nahi hai)

Doston ghabraiye nahi agar apke pas khud ki gaadi nahi hai to bhi  aap Ola ya Uber ke sath jud kar business kar sakte hain. Kyuki ab aap uber ya ola se car lease par bhi le sakte hain.

Ola Ya Uber cab driver salary – Ola, Uber cab se kitna kama sakte hai?

Agar aap acchi tarah se kaam karte ho puri mehnat se to sare kharche nikal ke aap zarur ₹ 40,000 se zyada kama sakte hai har mahine.

Ola ya Uber me apki kamai  apke dwara complete ki gayi rides pe depend karta hai. 

Jese ki agar apne ek single ride complete kari to company total bill se 15-20% commission legi. Or ye bill Ola ya Uber app me apne aap calculate ho jata hai. Isi tarah agar aap dinbhar me 12 rides complete karte hai to Ola/Uber aapse 4000-4500 Rupee ka commision lega. 

Peak hours me ek ride complete karne par apko  250 Rupee ka bonus milta hai.

Peak Hour Timing :12 am to 2 am, and 2 pm to 12 pm

Yahi nahi agar aap airport par kisi ko drop karte ho to apko 800 Rupee ka bonus milta hai.

Ye sara paisa apke bank account me direct transfer ho jate hain.

Agar aap daily 6-7 chakkar (Rides) bhi lagate hain to commision katne ke baad  aap mahine ke 30000-40000 rupee kama sakte hain.

Uber Ola business plan inquiry in Hindi  & Finance Scheme  

Jin logon ke pas khud ki car nahi hai unke liye uber or Ola company ne finance scheme nikali hai jiske jariye aap ek gaadi le sakte hain or ache khase paise kama sakte hain.

Agar aap bhi Ola ya Uber se gaadi kharidne ki soch rahe hain to apko ye process follow karna hoga:

Finance scheme ke liye documents

In documents ko lekar Ola ya Uber ke office jana hoga jaise :

  • Apka Commercial Driver’s License (Yellow Badge)
  • Pan Card
  • Aadhaar Card
  • Current & Permanent Address proof
  • 4 drivers ke reference (jo Ola ya Uber me driver ho)
  • Bank details – Naam, bank ka naam, account number, IFSC ya NEFT details

Finance Scheme ki Verification fees

Uske baad apko verification fees deni hogi jo lagbhag  4000 Rupee (non-refundable) hogi aur security deposit lagbhag 21,000 Rupee – 31,000 Rupee (refundable) hogi lekin ye rakam depend karti hai aap kon si car lease pe le rahe ho.

Sare documents ke verification or security fees jama karne ke baad apko lease par car mil jayegi. Ye car company ke naam par hi registered rahegi jab tak apki gaadi ki kishte puri na ho jaaye.

Uber ya Ola Finance Scheme ka Rent ya Kistein

Apko car ke hisab se car ka daily rent pay karna hoga lagbhag  700 Rupee – 1150 Rupee . Ye paisa apne aap apki total earning se daily deduct ho jayega or baki bacha paisa apko mil jayega.

Finance Scheme Insurance aur gadi ki maintenance

Company apka insurance bana kar deti hai. Gaadi ki service or maintenance company khud schedule kiye hue time ke anusar karti hai.

Lekin ek baat ka dhyan rahe ki company physical damage or accident ki jimmedari nahi leti iski bharpaye apko khud apne paiso se karni padegi.

Ola ya Uber ke liye best car

Doston jese apko pata hai ki koi bhi business shuru karna apke budget pe depend karta hai usi tarah Ola ya Uber ke sath business shuru karne se pehle bhi apko apna budget dekhna hoga tabhi aap ye decide kar payenge ki Uber ya Ola ke liye best car kon si hai.

Aapki suvidha ke liye humne gaadio ko 4 categories me divide kiya hai.:

Category 1Category 2Category 3Category 4
UBER GO / OLA MICRO / OLA MINIUBER X / OLA PRIMEUBER BLACKSUV
WAGON-R, CELERIO, RITZ, LIVA, MICRA, VIBE, INDICA, VISTA, BRIO, PULSE, PUNTOERTIGA, SWIFT D’ZIRE, ETIOS, LINEA, VERITO, INDIGO, ACCENT, MOBILIO, AMAZE, SCALACIAZ, CITY, CROSS, ALTIS, SUNNY, DUSTERXYLO, FORTUNER, INNOVA


Aap apne budget ke anusar upar diye gaye categories me se koi bhi car chun sakte hain or Ola ya Uber me apni gaadi laga sakte hain.

Dhyan rahe doston koi bhi gaadi apko maximum profit tabhi degi jab uska Mileage jyada or MAINTENANCE kam hoga. 

Ola ya Uber Me Car Lagane Ki Requirements

Ola ya Uber mein gaadi lagana aasan hai. Aapke paas

  • Commercial license aur police verification hona chahiye
  • Apni gaadi ya finance scheme se nikalwayi hui gaadi (Yellow plate wali)
  • Smartphone hona chahiye jismein Android ya iOS ho aur jo Ola ya Uber ki application ko chala sake

Cab lagane ke liye documents ya dastavez

Ola ya Uber me car attach karne ke liye jaruri documents ki list is baat par nirbhar karti hai ki aap ola ya uber me koi driver rakhna chahte hain ya aap khud apni gaadi chalana chahte hain.

Yadi aap ola ya uber me koi  driver rakhna chahte hain to apko chahiye honge ye documents:

Car Documents
  1. Vehicle RC
  2. Vehicle Permit
  3. Vehicle Insurance
  4. Fitness Certificate
  5. All tax Receipt
Driver Documents
  1. Commercial Licence
  2. Aadhaar Card
  3. Pan Card
  4. Address Proof
  5. Police Verification

Agar aap khud hi apni gaadi chalana chahte hain to apko upar diye gaye documents ke sath sath ye documents bhi dene honge:

Owner Documents
  1. PAN Card
  2. Cancelled Cheque or Passbook
  3. Aadhaar Card
  4. Address Proof
  5. Driving License
  6. Service Tax Registration

Doston yaad rahe Service Tax Registration  bohot jaruri hai kyuki isi ke base par hi apka naya current account khulega.

Ola ya Uber me car kaise lagaye?

Ab aapne documents to sare ready kar liye lekin sawal ye hai ki aap Ola ya uber me car lagayenge kese?

To hum pehle baat karte hain agar apko ola me car lagani hain to kya procedure follow karna hoga

Ola cabs mein gadi kaise lagaye?

Jese ki humne apko bataya aap ola me registration ek partner ya ek driver ya ek Fleet operator ki tarah kar sakte hain.

Aap ola me apni car do tarike se laga sakte hai :

Offline tareeka

1)Sabse pehle aap Ola ka nazdiki regional office pata kare. Aap Ola ka regional office Ola ke main office me call karke bhi pata kar sakte hain. Humne Ola cab company ke contact details niche diye hain

2) Upar bataye gaye sabhi documents lekar Ola ke regional office pohoche jahan Ola ka staff apki gaadi ki condition check karega or ye dekhega ki apki car Ola ke manakon (standards) ko pura karti hai ya nahi.

Dhyan rahe doston apki gaadi bilkul achi condition me honi chahiye or apki gaadi 5 saal se jyada purani nahi honi chahiye.

3) Uske baad Ola ka staff apko Ola ki disha nirdesho (guidelines) ke baare me samjhayega or apka ola ke sath ek contract sign hoga.

4) Contract sign hone ke baad apko ek naya smartphone diya jayega jisme Ola partner app installed hoga.Or is tarike se aap ola me gaadi laga sakte hain.

Online tareeka

1) Sabse pehle Ola partners India ki website pe jaiye. Jiska link humne niche diya hua hai.

Ola official website

2) Jese hi aap is link pe click karenge apke samne ek form a jayega jisme apko apne details bharne honge jese Name, Phone Number, Vehicle Type, City jaise details fill karke ‘Submit’ kare.

3)  Submit karne ke kuch samay baad apko Ola se update milega aur apko sabhi jarurui documents ke sath Ola office pe jana hoga.Jahan apke gaadi ki verification hogi Or baki ka process upar bataye gaye offline process ki tarah same hai.

Uber main cab lagane ka tareeka

Kya apko Uber me car lagani hai?

Ola ki tarah hi aap Uber me bhi dono tarike se  offline or online gaadi laga sakte hain.

  1. Sabse pehle apko Uber ke regional office me apni gaadi or apne pure documents lekar jana hoga. Ya to aap Uber ki Official website se bhi register kar sakte hain. Register Here

2) Regional office jane ke baad wahan ka staff apki gaadi ki condition check karega or ye dekhega ki apki car Uber ke manakon (standards) ko pura karti hai ya nahi.

3) Uske baadUber ka staff apko Uber ke disha nirdesho (guidelines) ke baare me samjhayega or apka Uber ke sath ek contract sign hoga.

4) Contract sign hone ke baad apko ek naya sartphone diya jayega jisme Uber partner app installed hoga.Or is tarike se apka registration process pura ho jayega or  aap Uber me car laga sakte hain.

Umeed karte hain apko Uber Ola Business Plan Inquiry In Hindi se judi sari information mil gayi hogi.

Magar abhi bhi is topic se jude kuch sawal hain jo log aksar puchte hain jinka jawaab main deta hoon

Ola ya Uber mein cab lagane se jude sabse zaruri sawaal aur unke jawab

1)  Kya hum driver ke bina Ola Ya Uber ko car de sakte hain?

Ans: Nahi, agar aap Ola Ya Uber me gaadi lagana chahte hain to driver bhi apko apna hi dena hoga.

2) Kya hum second hand car ko Ola Ya Uber me laga sakte hain?

Ans: Ye apki car ki condition pe depend karta hai, agar apki gaadi 5 saal se jyada purani nahi hai or apki gaadi me A.C working condition me hai to aap Ola Ya Uber me car laga sakte hai.

3) Ola ya Uber kitna Commission charge karti  hai?

Ans: Ola 20% aur  Uber 15% commission charge  karti hai.

4) Kya ek hi gaadi ko Ola Uber dono me attach kar sakte hain?

Ans: Agar apki khud ki gaadi hai to aap Ola Uber dono me attach kar sakte hain.

5) Lease par le gayi gaadi company ke naam par hogi ya humare naam par?

Jab tak apki installment puri nahi ho jati gaadi company ke naam par hi rahegi. Agar aap gaadi ki sari installment bhar dete ho jisme ki kariban 3-4 saal lag jate hain to company gaadi ko apke naam pe transfer kar deti hai. Uske baad wo gaadi apki apni ho jati hai.

Agar aapko koi bhi sawaal/doubt ho is article ke baare mein toh niche comment kare aur hum aapko jawaab dene ki puri koshish karenge.

26 COMMENTS

    • Hi Chandresh, Ola ya Uber ek ride pe 20% – 25% (Approx.) tak ka commission leti hai. Toh Rs. 500 ki ride mein se karib Rs. 100-125 tak ka commission Uber/Ola ko jayega.

  1. मै अपनी डिजायर गाडी़ को उबेर मे लगवाना चाहता हुँ 2017 मोडल है

    • जी हाँ, आप बिलकुल लगा सकते है अगर आपकी गाड़ी की स्थिति अच्छी है और 5 साल से ज्यादा पुरानी नहीं है तो।

    • Haan Ji aap XLI laga sakte hai lekin dhyaan aapki gaadi 5 saal se jyada purani nahin honi chahiye aur AC bhi honi chahiye.

    • Haan Ji aap Swift laga sakte hai lekin dhyaan aapki gaadi 5 saal se jyada purani nahin honi chahiye aur AC bhi honi chahiye.

    • Haan Ji aap laga sakte hai lekin dhyaan aapki gaadi 5 saal se jyada purani nahin honi chahiye aur AC bhi honi chahiye.

    • Bhai ismein saara process bataya gaya hai, agar kuch samajh nahin aa raha hai toh bataiye, hum aapki madad jarur karenge.

    • Ji, Jin logon ke pas khud ki car nahi hai unke liye uber or Ola company ne finance scheme nikali hai jiske jariye aap ek gaadi le sakte hain or ache khase paise kama sakte hain.

  2. hello,
    ji main ola se leeds par gadi lene ke bare details me jaankari chahta hu jese ki
    1, lagbhag kitna payment starting me dena hoga
    1, installment kitne tak hota hai
    3, kon c gadi deti hai new ya old
    4, kon kon c gadiya mil skti hai
    5, installment late karne par kya charge hota hai
    6, kya installment 3 sal se phle bhi clear kar skte hai
    7, kya usko chalane ke liye commercial licence hi chahiye
    aur bhi haj kuch sawal

    • Hello JAi, aapke sare sawaloo ke jawaab article mein humne de rakhe hai. Please dhayn se padhe aur aapko sari jaankari mil jayegi.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here