7 important Digital Marketing tips for small business in Hindi

Apne business ko kaise badhaye

Is article ke jariye jainiye ki apne business ko kaise badhaye.“Digital marketing” ab ek aesa buzz word ban chuka hai jiske bare me almost sabne suna hoga. Humare liye apne business ko grow karne ke liye online marketing karna bhot zaruri ho gaya hai. Lekin fir bhi log digital marketing apnane se darte hai, unko lagta hai ki ye kafi complex hai or isme bahut money investment chahiye or agar aap koi small business run karte hai to aap isme invest nahi kar sakte.

(JO KI BILKUL GALAT HAI)

Agar aap bhi aesa hi sochte hai, to hum aaj aapki is galatfaimi ko dur krne wale hai! 

Is article me hum kin cheezo ke bare me baat krenge?

  • Digital marketing for small business kya hai?
  • Small business ke liye digital marketing kyu zaruri hai?
  • Digital Marketing kaise shuru kare?
  • Digital marketing ke kya tareeke hai
  • Small business ke liye digital marketing tip

To chaliye shuru karte hai.

Digital marketing for small business kya hai?

Digital marketing me aap apne products and services ko alag-alag digital platforms ka istemaal karke internet par advertise kar sakte hai. Log digital marketing ko apni online presence ya ek personal brand banane ke liye bhi use karte hai.

Itna hi nahi, digital marketing me isse kayi jada cheeze jud chuki hai, jiske bare me hum aage baat karenge aur janenge ki apne .

Ab ye digital marketing platforms kya hai?

Digital marketing platforms un platforms ko kehte hai jaha par aap apne products ya services ko advertise karte hai.

Jaise ki Print advertising ke liye hum Newspapers and magazine ko use karte hai, usi tarah internet pe advertise karne or online presence banane ke liye hum in platforms ko use karte hai, jaise ki-

  • Websites
  • Social media Platforms (Facebook, Instagram etc.)
  • Search engines (Google AdSense)
  • E-mail Marketing
  • Mobile Applications etc.

Small business ke liye digital marketing kyu zaruri hai?

1. Kam paise me jyada customers tak pahuch sakte hai

Kya aapko pata hai ki online marketing ki madad se hum apne product ya services ko kayi jada logo ki nazar me la sakte hai, agar hum iski tulna traditional marketing (jaise newspaper, Radio ya television ads) se kare to humko pata chlega ki iske kitne jada fayede hai. Jaise ki-

a.   Hum apne product ke liye Instagram ya facebook par page bana sakte hai jisse ki or bhi jada log hamare product ke bare me jan sake.

b.   Apne product ki category se related facebook group join kar sakte hai.

c.   Free blogging platforms (jaise blogger) par blogs likh kar logo tak pahuch sakte hai.

Maniye ki aap ek boutique ke owner hai or agar aap online nhi hai to aapke cuatomers sirf aapke aas pas ke area tak hi limited rahenge, jabki online marketing karne se ye limitation hat jayegi.

2. Customer ke sath achi relationship

Digital marketing aapko aapke customers ke sath jodta hai, jisse ki aapka unke sath achi relationship banana or bhi aasan ho jata hai. Aap unke social media platforms se jud kar unki pasand or na pasand ke bare me jan sakte hai, unka e-mail address leke unse e-mail marketing ki madad se connected reh sakte hai etc.

Ab aap unse connected reh kar apne products ka feedback bhi le sakte hai jisse aapko apne product me improvements karne me madad milegi isi ke sath hi sath unko aap apne naye products ke bare me bhi bata sakte hai.

In sari cheezo ko traditional marketing ke jariye karte hai to bht paiso ka investment lagta hai lekin online marketing ko use karke aap ye sab free me ya kam paiso me kar sakte hai.

3. Kam samay me achi brand image

Online marketing ko use karke aap kam samay me jada achi brand image bana sakte hai. Brand image achi hone se log aapke products par trust karna shuru karte hai, isse aapke products and services ko recognition milti hai. Example ke tor pe hum coco-cola ko hi dekh sakte hai, iski brand image achi hone ki vajah se iske bare me jada se jada log jante hai or trust bhi karte hai.

Internet ek itna shaktishali tool hai jiski madad se kayi aese business hai jinhone 1-2 saal me hi apne small business ko badha kar ek bhut badi company me badal liya hai or aap bhi aesa kar sakte hai.

4. Progress track kar sakte hai

Digital marketing ka ek bahut hi bada fayeda ye hai ki aap ye check kar sakte hai ki aapka konsa ad kaam kar raha hai or konsa nahi. Isme aap ye dekh sakte hai ki aapke customers kaha se aapke business tak phuch rahe hai.

Ye dekh kar aap apne un ads par invest karna band kar sakte hai jo kam nahi karre hai or apne paiso ko sahi jagah invest kar sakte hai. Isse aapka money waste nahi hoga.

5. Customer ki habits ko track kar sakte hai

Online marketing ya digital marketing ki madad se aap apne customer ke behavior ko track kar sakte hai or uske anusar hi apne products or services ko unke samne rakh sakte hai. Isse aapka customers ko dhundhna or untak pahuchna bht aasan ho jata hai.

Agar aap online business shuru karna chahte hai, to uske bare me janne ke liye yaha click kre.

Digital Marketing kaise shuru kare apne small business ki? 

Apne products ya services ko shi tareeke se digital platforms me lane se pehle aapko in sawalo ke jawab pata hone chahiye-

Aapka product KYA hai?

Apne business ko kaise badhaye isko jaanne ke liye pehle ye janna zaruri hai ki aapka product aapke customer ki problems kaise solve kar sakta hai. Customers ke samne jake apne product ko rakhne se phle humko pata hona chahiye ki hamara product hai kya? Vo customer ki konsi problem kaise solve karega? 

Iske sath hi sath humko ye bhi pata hona chahiye ki hamara product dusro ke product se alag kaise hai? Aesa kya hai jo customers ko sirf hamare product se milega?

Aapke customers KON hai?

Apne product ko janne ke sath-sath humko ye bhi pata hona chahiye ki hume product offer kise karre hai? Hamare customers kis age group me aate hai, vo kaha rehte hai, unka culture kya hai? In sare sawalo ke jawab bhi pata hone chahiye.

Aapke customers KAHA hai?

Digital marketing campaign banane se phle aapko digital marketing platforms decide karne padenge. Or ye sawal apko yahi decide karne me madad karega.

Jin logo ko aap target karna chahte hai vo log internet kyu use karte hai, Kya vo social media use krte hai ki nahi? Vo konse mobile apps use karte hai? Etc.

Isse aap asani se ye decide kar sakenge ki aapko konse platforms ko apne campaign me add karna hai.

Products KAISE advertise karne hai?

Isme aapko ye sochne ki jarurat hai ki aapko ads konse form me rakhne hai, jaise ki Text ads, Image ads, Video ads etc. 

Isme aapko apne digital marketing campaign ka budget bhi set karna hai jisse ye decide kar sake ki kaha par kitne paise invest karne hai.

In sare sawalo ke answers pata hone se humko ye decide karne me madad milegi ki hum kon-kon se digital marketing ke tareeke use kar sakte hai. Ab chaliye in digital marketing ke tareeko ke bare me aage baat karte hai.

7 Online Marketing tips for small business jo aapke business ko badhayega

Jis tarah hum alag alag platforms ko use kar sakte hai, usi tarah digital marketing ke liye kayi sare tareeke ya tools hai, aayiye inke bare me or ache se jane-  

1. Online listings me apna business list kare – Digital Marketing for Business

Online listings vo jagah hai jaha aap apne business ko list kara sakte hai. Jisse ki jab koi customer aapke area me kisi product ko search karega to use aapka naam search results me dikhayi dega.

Jaise ki maniye aapne google par apne area ke book store search kiye, to aapko kuch aese results dekhne ko milenge, jinhe hum online listing kehte hai-

Google my business ek aesa platform hai jaha aap apne business ko free me list kara sakte hai, iske alawa bhi bht sare paid online listings hai jo aap apne budget ke according chun sakte hai.

Small Business ke liye tips:

Aap apne business ki google pe online listing karane ke baad apne friends or family members ko use review karne ke liye bol sakte hai. Jisse aapka name or bhi upar show karega.

2. Search Engine Optimization (SEO) se customers ki nazar me aaye!

 Search Engine Optimization ya SEO ek free tareeka hai digital marketing ka. Isme koi money investment nahi hai!

SEO ek aesa tool hai jiski madad se hum apne page ko (jisme hum apne products ke bare me blog likhte hai) search engine ke results me upar late hai. Search engines me upar dikhayi dene ka ye fayada hai ki jada log aapki website ya blog tk pahuch paynge or uske bare me or jankari hasil kar sakenge.

Ab baat aati hai ki aap kis tarah ke blog likh sakte hai?

Maniye ki aap ek boutique shop ke owner hai to aap fashion trends ke bare me likh sakte hai jisme aap apne designs ke bare me bhi bat kar sakte hai. Agar aap ek beauty salon ke owner hai to aap grooming tips pe ek blog article likh sakte hai, aap hairstyles ke bare me bhi likh sakte hai.

Isi tarah aapka jobhi product ya service hai aap usse related cheeze likh sakte hai.

Small business ke liye Tip:

Agar aap blog likhte hai ya aapki website hai to SEO pe bahut jada dhyan de. Ye free bhi hai or bht effective bhi. Isi ke sath aap or bhi free digital marketing resources ko bhi explore kare.

3. Search Engine Marketing (SEM) se apne business ko google par sabse upar laye.

Search Engine Marketing ya SEM ki help se hum apne ads ko search engines ke top results me show kar sakte hai. Isme ye condition hoti hai ki log jitni bar hamare ad ki link pe click krenge utni bar humko search engine ko kuch paise dene padenge, kuch log SEM ko “Google ads” ke naam se bhi jante hai.

Ab bat ye aati hai ki Search Engine itne sare ads me hamara ad hi kyu dikhayega?

Uske liye 2 cheeze important hai-

  1. Aapka bidding price dusro se jada hona chahiye – ye vo price hai jo aap har click pe dene ke liye ready hai.
  1. Aapka Ad relevant hona chahiye- Relevant ad ka matlab hai ki jo aap advertise karna chahte hai or jo customer search kar raha hai, vo dono cheese aapas me match karni chahiye.

Small business ke liye tip:

Apne competitors ke bare me ache se research kare. Kisi bhi paid cheez me invest karne se pehle agar uska koi free version hai to pehle usko use karke dekhe ki kya aapke liye vo kam kar raha hai ki nahi.

4. Social Media Marketing (SMM) se connections badhaye aur badhaye apna business

Social media marketing ya SMM ki madad se hum apne product ya service ko alag-alag social media (Jaise ki Facebook, Instagram etc.) par advertise kar sakte hai. 

Social media platforms aajkal har koi use karta hai. Or isme apne products ke anusar customers ko dhundhna bhi bahut easy hai.

Jaise ki-

Aap Instagram or Facebook par page bana sakte hai, jisme aap apne products ki pictures or information daal sakte hai. Aap shuru me apne dosto or parivar ke logo se apna page follow karwa ke use share karne ko keh sakt hai, jisse aap grow karna start karenge bina kisi money investment ke.

Small business ke liye tip:

Aap digital marketing ke liye sabse pehle social media platforms ke sath hi shuru kare!

5. Content Marketing se jane ki apne business ko kaise badhaye

Internet par har koi information ki search me aata hai. Sab log kisi na kisi type ka content consume karte hai, yhi ek reason hai ki content marketing ki field bahut tezi se badh rahi hai.

Content marketing me sirf blogs likhna hi nahi balki isme aap video bana sakte hai, koi online course bana sakte hai, podcasts me iske bare me bat kar sakte hai or bhi bahut kuch. Isme investment bhi kam hai jiski vajah se small businesses ke liye ek bht acha option hai.

Small business ke liye tips:

Apna content ki reach badhane ke liye aap shuru me use apne sare friends and family ke sath share kare. Or unhe bhi ise share karne ke liye bole.

6. E-mail Marketing se customers ko vapas laye aur business ko badhaye

E-mail marketing bahut acha tareeka hai apne customers se connect rehne ke liye. Aesa jaruri nahi hai ki customer pehli bar me hi apke product ko khareed le lekin agar aap unko lagatar information bhejte rahe to vo ek brand loyalty and brand awareness create karne me help karega.

Agar aap abhi e-mail marketing nhi bhi shuru karna chahte hai tab bhi apni e-mail list banana shuru karde, iske fayede-

·  Aap apne “naye customers” ko apne “regular customers” bana sakte hai. Isliye unse unki e-mail ID lena na bhule.

·  E-mail ek professional tareeka hai logo se connect rehne ka or aane vale samay me iski importance or bhi badh jayegi.

E-mail marketing ke kya fayede hai-

  1. Isme jada money investment nahi hai isliye small business ke liye useful tareeka hai.
  2. Iske liye kayi tools available hai jo aapka kaam or easy bana dete hai.
  3. Customer relationship maintain karne me help karta hai.
  4. Aap insights ki help se apne e-mails ko track kar sakte hai.
  5. Email marketing local audience ko target karne ka bhut acha tareeka hai.

Small business ke liye tips:

E-mail list banane ke liye aapko kahi paise invest karne ki zarurat nahi hai, aap apne existing customers se, naye customers se, friends and relatives ki e-mail ID lene se bhi shuruat kar sakte hai

7. Local Online Contests se kaise badhaye apna business

Iske bare me log jada bat nahi karte hai lekin ye ek bhut acha tareeka hai online market capture karne ka iski madad se aap apni local audience ki nazar me aa sakte hai. 

Isse aapki local audience ko aapke bare me or aapke products and services ke bare me pata chalega or aapki online presence badhegi.

Small business ke liye tips:

Aap local contests ke sath-sath local online communities bhi join kar sakte hai jiski help se or bhi log aapko jan payenge.

Digital marketing ka sabse tough hissa hota hai “shuru karna”. To kya aap apne business ke liye digital presence bnane ke liye ready hai.

Toh aasha karte hai ki is article ke jariye aapne jana hoga ki digital marketing se apne business ko kaise badhaye.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here