Cabin crew ek esa career hai jo kaafi kam qualification mein bhi kia ja sakta hai. Is job mein aap kaafi acchi kamai kar sakte hain aur ek badhiya career bana sakte hain.
Aaj is article ke madhyam se hum aapko batayenge ke –
Cabin crew ka kya kaam hota hai?
Cabin crew banne ke liye qualification aur eligibility?
Cabin crew ki jobs kaise dhundein aur apply kaise karein?
India mein domestic aur international milakar karib 7 best airlines hain jinmein aap as a cabin crew kaam kar sakte hain. Niche humne almost sabhi top airlines ki list di hai –
Air India – Government undertaking
SpiceJet – Private
Jet Airways – Private
IndiGo – Private
GoAir – Private
AirAsia – Private
Vistara – Private
In sabhi airlines mein cabin crew ke liye vacancies aati hai jiske liye aap apply kar sakte hain. Ab baat karte hain ke cabin crew job kisey kehte hain.
Cabin crew kisey kehte hain?
Cabin crew ka matlab hota hai cabin ke karmchari. Kisi bhi flight mein jahan aap baithte hain usey cabin kehte hain aur jo team pure cabin aur passengers ka dhyaan rakhti hai, unhe cabin crew kehte hain. Cabin crew unhe kehte hain jo flights ya airlines mein customers ko services aur comfort provide karte hain.
Cabin crew ki main responsibility hoti hai ke flight mein aane wale har passenger ki safety ka dhyaan rakhein, unki jaurat ko pura karein, flight ke rules aur procedures ko samjhayein aur passengers ki needs ka dhyaan rakhein.
Cabin crew ko different flights aur har alag alag desh mein alag alag naam se bulaya jata hai jaise flight attendent, steward, stew, airhostess. Jyadatar mahilayein jo ki cabin crew ke jobs mein aana chahti hain unhe airhostess kaha jata hai aur males cabin crew ko flight attendent ya steward kaha jata hai.
Cabin crew ka kya kaam hota hai?
Waise toh uper humne bataya hai ke cabin crew members ka kaam kis tarah ka hota hai, magar ayiye jante hain ke cabin crew ki actual job responsibility kya hai?
Ek cabin crew ka sabse pehla kaam hai ke unke passengers ko kisi bat ki koi dikkat na aye. Cabin crew members ko in chizon ka dhyaan rakhna hota hai –
- Flight take-off se pehle puri cabin ke safety regulations ka dhyaan rakhna.
- Sabhi passengers ki flight onboarding ka dhyaan rakhna.
- Cabin mein aane wale luggage ke weight ka dhyaan rakhna.
- Flight lene wale passengers ko greet karna yani unka swagat karna.
- Unhe unki seats ki jankari dena aur un passengers ko special attention dena jo ki old age mein hain ya specially abled hain.
- Sabhi emergency equipments aur informations ka dhyaan rakhna.
- Passengers ko emergency equipments aur safety procedures ki puri jankari dena.
- Flight ke dauran passengers ko refreshments aur meals provide karna.
- Passengers ko newspapers, magazines aur in-flight entertainment provide karna.
- First aid ka dhyaan rakhna.
- Flight ke dauran kisi bhi emergency situation ke liye aware rehna.
- Emergency situation ke sath deal karna.
- Journey puri hone se pehle pure cabin ko check karna.
- Flight land karne se pehle sabhi passengers se safety regulations ko pura karwana.
- Landing ke bad passengers ko safely de-board karna.
- Journey puri hone ke bad written flight report taiyyar karna
Cabin crew ka kaam management ka kaam hota hai. Ek flight ke take-off se pehle aur flight land hone ke bad tak cabin crew ke members hi dhyaan rakhte hain ke pure process mein koi dikkat na aye. Isliye ek cabin crew is kaam ke liye puri taiyyari karni hoti hai jo ki unhe training ke dauran di jati hai.
Cabin crew banne ke liye qualification aur eligibility?
Cabin crew jobs waise toh kaafi interesting or fancy job hai magar aapko jankar khusi hogi ke is job ke liye minimum qualification kaafi kam hai. Agar aap 12th pass hain, bhale aapki stream kuch bhi ho yani, science, arts ya commerce, aap cabin crew ke liye apply kar sakte hain. Agar aap graduate hain toh bhi aap is job ke liye apply kar sakte hain, magar jaisa humne bataya ke is job ke liye minimum qualification 12th hai.
Qualification ke alawa har ek airline ki alag alag eligibility criteria hoti hai ya ye kahein ke requirements hoti hain jaise minimum age, minimum height, Body Mass Index yani BMI, languages, vision, speech quality etc. Niche humnein bataya hai ke cabin crew mein as a fresher apply karne ke liye aapki minimum qulification aur eligibility kya honi chahiye –
Minimum qualification | 12th Pass (Any stream) |
Age | 18 – 27 year old (Male/Female both) |
Height | 170-172 cm (Male) |
150-155 cm (Female) | |
Body Mass Index (BMI) | According to height |
Vision | 20/30 or better |
Languages | English and Hindi (Any more languages known is preferred) |
Speech quality | Clear speech, no stammering (Haklana) |
Note – Agar aap cabin crew job ke liye apply kar rahe hain toh apke body pe koi bhi visible tatoo nahi hona chaiye. Ye bhot hi jaruri point hai ke aapke body pe koi aisa tatoo na ho jo dikhe.
Uper di gayi eligibility information har airline ki alag alag ho sakti hai. In requirements ki exact jankari aap jab bhi kisi airline ke liye apply karne jayenge toh uske website ya official notification pe mil jayegi.
Cabin crew ek aisa job hai jo baki requirements ke sath sath aapki personality ki bhi demand rakhta hai. Isiliye ek cabin crew member banne ke liye aapke andar ye kuch skills bhi hone chaiye –
- Sense of responsibility
- Pleasing personality
- Presence of mind aur initiative lene ki aadat
- Acchi physique
- Long hours tak kaam karne ka patience
- Duty ke taraf aapka systematic approach
- Acchi appearance
- Acchi communication aur interactive skills
- Pleasant voice
- Team spirit
- Positive attitude
- Sense of humour
Agar aapko lagta hai ke aap mein ye saari qualities hain toh aap bhi cabin crew mein ek behtareen career bana sakte hain.
Cabin crew mein jane ke liye kayi bar log courses bhi karte hain. Agar aap course karna chahte hain toh niche kuch courses batayi gayin hain jinke liye aap apply kar sakte hain jaise-
- Diploma in Cabin Crew Services & Hospitality Management
- Diploma in Airline and Travel Management
- Diploma In Aviation & Hospitality Management
- Diploma in Airline Cabin Crew
- Certificate Course in Air Hostess/Flight Purser
Ye sabhi courses aapko India ke best institutes mein mil jayengi. In courses ka duration alag alag institutes ka different hota hai. Course duration 3 mahine se lekar 3 saal tak ki ho sakti hai, ye depend karegi ke aap kon sa course karte hain.
India ke best cabin crew courses institutes/colleges ki list, duration of course aur fees ki jyada jankari ke liye yahan click karein.
Note – Hum aapko bata dein ke kayi institutes aapse vada karenge ke training ke bad wo aapko job bhi dila denge magar iski koi assurity nahi hoti hai. Aap apne skills improvement ke liye in courses ko kar sakte hain lekin agar aap khud hi confident hai toh in courses ya in institutes se certified hona jaruri nahi hai. Aur agar aapka kisi bhi airline mein selection ho jata hai toh aapko airline ke taraf se hi training bhi milti hai.
Cabin crew ki jobs kaise dhundein aur apply kaise karein?
Toh ab baat karte hain ke agar aap har ek cabin crew job ke liye eligible hain toh aap ye job kaise dhund sakte hain aur uske liye aaply kaise karein.
Job dhundne ke liye aap kisi bhi online job portals jaise naukri.com pe job ke liye apply kar sakte hain jahan har airline ke cabin crew ki recruitment ki puri jankari di gayi hoti hai. Naukri.com pe account kaise banayein aur job ke liye kaise apply karein iski detail mein jankari ke liye yahan click karein.
Iske alawa newspapers ya airlines ke official websites se bhi aap notifications dekh sakte hain ke kab aur kahan ki vacancy ayi hui hai.
Jab bhi official notification ya vacancy aye, aap ya toh job portal se us vacancy ke liye apply karein ya official website se karein. Generally, ek fresher ko cabin crew mein job ke liye 3 rounds follow karne padenge –
Round 1: Face to face Interview
Ismein aapko interview ke date or scheduled jagah pe jana hoga aur wahan aapko interviewers se face to face interview round mein baithna hoga. Is round mein wo jyadatar aapse aise sawal karenge jo aapka confidence, aapki personality aur aapke speaking skills ko check karega. Agar aap in tino criteria ko clear kar lenge toh aap is round ko bhi aasani se clear kar sakte hain.
Dhyaan rahe ke interview mein apna resume jarur lekar jayen. Resume kaise banate hain ye janne ke liye yahan click karein.
Round 2: Physical and medical test
Ismein aapko kuch physical tests aur medical tests se gujarna hoga jismein aapki BMI, eye sight, height wagerah check ki jayengi. Ye tests job ki requirement ke according hogi.
Iske alawa jaisa humne bataya ke aapke body pe koi visible tatoo nahi ho ye bhi check kiya jayega. Agar aap ye round bhi clear kar jate hain toh apka agla round hoga.
Round 3: Group Discussion (GD)
Is round mein aapko selected candidates ke sath ek group discussion mein shaamil hona hoga. Aapko ek topic bataya jayega aur sabhi candidates ko actively GD mein participate karna hoga.
Issey apka test kiya jayega ke aap logon se baat karne mein kitne confident hain, aap kitna calmly dusron ke opinion ko bhi sun sakte hain aur aapko jaldi gussa toh nahi aata ya aap chhidh toh nahi jate hain.
Ye teeno rounds ho sakta hai ek din mein complete ho jaye ya recruitment wale aapko jo bhi time ya date denge us din wo round conduct karwaya jayega. Jaise hi aap sabhi rounds clear kar lenge aapko joining letter de di jayegi jismein date or joining aur baki sari details aapko mil jayegi.
Note – Jab bhi aap kisi bhi airline ke liye interview dene jayen, dhyaan rakhein ke wo airline apse paise ki demand kabhi nahi karegi. Agar koi bhi interview ho chahe wo airline ki ho ya kisi aur field ki, aapse paise demand karne wali company fraud hoti hai. Ese interview se wapis ho jayein, paise dene ki galti kabhi na karein.
Beginning mein salary aur benefits?
Cabin crew ki salary waise toh kaafi acchi maani jati hai, magar ye kabhi fix nahi hoti hai. Cabin crew ki salary alag alag factors pe vary karti hai jaise aap kon se airline ke liye kaam kar rahe hain, ya aapke job ka base kya hai.
- Maan lijiye aap kisi aise airline ke liye kaam kar rahe hain jo ki 5 star level ke airline mein aata hai, toh aapki salary comparitively jyada hogi. Wahin agar aap kisi aise airline ke liye kaam kar rahe hain jo kuch saalon pehle shuru hua ho ya airline ka level thoda niche hai toh aapki salary kam hogi.
- Iske alawa agar aap ese location pe kaam karte hain jahan crowd ya flights range bhot jyada hai, jaise Delhi, Mumbai, Kolkata etc. toh toh wahan aapki shift timing badh jayegi aur shifts bhi badh jayenge. Usi ke according aapki salary bhi jyada hogi.
- Salary domestic aur international airline ki bhi alag alag hoti hai. International flights ka flying duration jyada hota hai aur domestic ka kam. Toh aapki salary usi according kam ya jyada ho sakti hai.
- Iske alawa ye toh jahir hai ke aapki seniority bhi aapki salary decide karegi. Jitna jyada experience aapke pas hoga utni hi acchi aapki salary hogi.
Magar ek overall baat ki jaye toh shuruwat mein ek fresher cabin crew member ki salary Rs. 25,000-4 0,000 tak ho sakti hai. Ismein koi doubt nahi hai ke ye salary jald hi badh bhi jati hai.
Iske alawa aise kayi saare benefits hain jo ki aap cabin crew bankar utha sakte hain jaise –
- Travelling allowances (family ke liye bhi) including air tickets, car rental, accommodation, cruises etc.
- 13-17 off days per month
- Retirement benefits
- Life Insurance
- Health Insurance
- Kit Allowance
- Iske alawa aap high profile parties bhi attend kar sakte hain
- Nayi jagahon pe visit karne ka mauka.
- Aur sabse bada benefit ke kam padhai karke bhi is job mein aap kaafi accha paisa kama sakte hain aur ek respectful job pa sakte hain.
Cabin crew retirement age
Jaisa ki humne bataya ke cabin crew esi job hai jisme members ki personality aur health pe kaafi dhyaan diya jata hai. Toh agar aapki personality aur health mein koi issue nahi aata hai toh aap lambe samaye tak as a cabin crew kaam kar sakte hain.
Waise toh har ek airline ki retirement age alag alag hoti hai, magar dekha jaye toh around 40-45 years ki age tak aap kisi bhi airline mein kaam kar sakte hain. Ye age limit har ek airline ki alag alag hoti hai aur aapko recruitment ke dauran iski puri jankari airlines dwara di jayegi.
Iske alawa Govt. undertaking airline, Air India, ki recent announcement ke according Air India cabin crew members ki retirement age 58 Years rakhi gayi hai. Ye announcement Government ke taraf se hai aur iski official notification Air India ki website pe available hai jo aap yahan click karke bhi padh sakte hain.
Cabin crew esi job hai jo aapko life-long experience ke sath sath luxury life bhi deta hai. Toh agar aap bhi 12th pass hain aur chahte hain ke ek amazing career ki shuruwat karna toh cabin crew as a career option aapke liye best choice hoga.
Hume ummeed hai ke aapko is article se cabin crew banne ki saari jankari mil gayi hogi, lekin abhi bhi agar apke mann mein ese kuch dobuts hain ya koi sawal hai toh niche comment mein jarur pucchein. Hum aapki puri madad karenge.
I m Riya saxena me 12th me hu meko airhotess me Jana hai me chahti hu waha job meko bhut achi lagti hai meko Hindi ND English aati hai bs me Delhi me hi job krna chahti hu
Hi Riya,
Cabin crew mein job location ka decision airline pe depend karta hai. Although, kaafi airlines aapse location preference pucchti hain, magar us location pe job milna wahan ki vacancy, apki seniority aur airline ke basis pe decide hoga.
HI I AM SHAHID
Cabin crew mein job Karne ke liye cabin crew course krna jaruri h.?
Haan, air hostess ka course karna padta hai.
Meri English Week h
Aapko apni english par kaam karna hoga. English sikhane ke liye click kare: https://www.joshtalks.com/joshkosh/skill-develop-karein/english-speaking-sikhe-free-english-speaking-course/
Hii I am Gloria
Cabin crew k liye course krna pdega ky bina course k nhi ja skte h
Hii mera Naam Preeti Priya h, Mai Bihar board se graduation kr rhi hu, kya m Kolkata m iska course kr Sakti hu.
Course to kahi bhi kar sakte ho
hello maim,
my name is Mohd Naeem and i have read all information that a such good information but i have
question that,” how much eye sight should be needed in air line”?
In most airlines +/- 0 .5–1.5 is acceptable. If you have more than this then get a surgery done. They do not reject on eye sight basis.
Agar face pr hlka saa nishan ho to kyaa apply kr skte hai or airhosstess k liye konsa best course h or jyada log khte h ki airhosstess ki Job achi nhi hoti kyaa aisa sch m h kyaa plz mujhe btaoo mujhe ye course krna h or mere bhut saare douts bhi h
Hanji aap zaruru apply kar sakti hai. Iss job mein communication skills aur confidence dekha jaata hai aur aisa kuch nahi hai ki ye job bekaar hai. Ye ek acha career option hai jisme aap successful ho sakti hai agar aapka man hai.