Plumber Engineer aur Plumber Ka Kaam in Hindi

Ek plumber ka kaam pani se sambandhit hota hai. Kisi bhi ghar ya imaarat ke bathroom ya rasoighar me paani ke pipe ko jodne or unki marammat karne wale ko plumber kaha jaata hai. Iske alawa bade-bade nahar se sheheron tak pipe dwara paani laana ya sheheron se gaanv me paani lekar jaana ye sabhi kaam plumbing engineering ki madat se kiya jata hai. Agar aap bhi plumber engineer aur pumber ka kaam ke baare mein janana chahate hai to iss article ko dhyan se padhein. 

Iss article me aapko batayenge:

Plumber kaise bane?

Plumbing Course in India

Plumber Work In Hindi

Plumber Salary In India

Plumber kaise bane?

Agar aap plumber ya plumber engineer banna chahte hain ya aapki ruchi plambing me hai to aapko iske liye plumbing ka course karna jaruri hai.  Plumbing ka course bahut acha hai aur iska aage bhi bohot scope hai. Plumber banne ke liye aapko diploma in plumbing technician ka course karna padega.

Plumbing Course In India

Plumbing course aap 8th or 10th ke baad  kar sakte hain. Aur ye course ek saal ka hota hai. Ye course aapko private aur sarkari ITI  sansthaanon me milega. 

1. ITI Plumber Course/Trade

Ye course aap apne kisi bhi nazdiki ITI sansthan se kar sakte hain. ITI se plumber ka course karne ke liye apko 8th pass hona jaruri hai.

  • Qualification: 8th pass
  • Duration of course: 1 year
  • Fees:₹ 2000 se ₹3000

ITI plumber course details ki adhik jaankari ke liye humara ye blog zarur padhe

https://www.joshtalks.com/joshkosh/career/iti-kya-hai-aur-courses-after-10th-12th/

ITI Plumber Apprenticeship

Har Saal Railway, ONGC,IOCL, PSU jaise HAL, BEL etc. me apprentice vacancies nikalti rehti hai. ITI se plumber ka course karne ke baad aap in sabhi jagahon se apprenticeship kar sakte hain.

Apprenticeship Registration

Apprenticeship karne ke liye Govt. ne  National Apprenticeship Training Scheme (NATS)  lagu ki hai jiske liye apko online registration karna jaruri hai.

Online registration ke ye niche diye gaye link pe click kare:

Online Apprenticeship Registration ke liye click kare  

Apprenticeship training ke baad apko ek certificate diya jata hai jo apko plumber engineer aur plumber ka kaam ki talaash karte samay ek experience certificate ke roop me kaam karta hai.

Indian Plumbing Skills Council (IPSC)

Indian Plumbing Skills Council (IPSC)sarkaar dwara banayi gayi ek sanstha hai jo plumbers ke liye kaam karti hai. Bhaarat me 90% plumber trained nahi hai jiske karan plumber ko achi naukri nahi milti or kaam ke anusaar paise bhi nahi milte. IPSC aese plumbers ko training deti hai aur unhe skilled banati hai.

Desh ke alag alag rajyon me iske training centre hai jaha aap training le sakte hain or certificate prapt kar sakte hai. Doston course ki fees or course ka duration har training centre ka alag alag hai. Aap niche diye gaye IPSC training centre per call karke iski jaankari le sakte hain.

IPSC training centre list ke liye yaha click kare

Plumbing work in Hindi (Plumber Ka kaam)

Plumber Job

Jaha par bhi paani ki pipe line ka istemaal hota hai waha par plumber ki jaroorat hamesha padti hai. Ek plumber private or sarkari dono chetro me kaam kar sakta hai. Sarkari sector me railways, electricity board, Indian oil rigs and companies, Telephone Department, Airport, etc. kuch aese department hai jaha aap exam ke liye apply kar sakte hai.

Business

Plumber ka course karne ke baad aap hardware ki dukaan bhi khol sakte hain.

Urban Clap

Aap plumber ka course karne ke baad aap  urban clap me ek plumber ke taur pe jud sakte hain.

Urban Clap me khud ko register karne ke liye aap yaha click kare

Urban Clap Partner

Plumber Salary In India

India me ek plumber ki salary uske  pad aur uske kaam ke anubhav ke upar nirbhar karata hai. Waise ek plumber ki average salary ₹15000 se ₹20000 monthly hoti hai.

ITI Electrician job ki puri aankari ke liye click kare

Doston is post me humne apko plumber se sambandhit sari jaankari dene ki koshish ki hai hai. Ise aap dhyan se pade. Agar is post se related apke koi bhi sawal hai to niche comment karke humse puche hum apke saare sawalo ka jald se jald jawab dene ki koshish karenge.Aur agar yeh jaanakari aapko pasand aye to dusro ke sath share jarur kare .

1 COMMENT

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here