Barahvin ke results agye hai aur har saal ki tarah is saal bhi students apne bhavisya aur higher education ko lekar soch mein pade honge. Toh aaj hum aapko India ke ek kaafi famous university, Delhi University, ke baare mein detail mein batayenge.
Har saal lakhon lakh students na kewal India ke kone kone se balki videshon se bhi DU mein admission lene aate hain. Toh ayiye aaj is article mein hum baat karte hain ke akhir DU mein admission lete kaise hain.
DU admission 2019 se jude kuch latest updates –
- Undergraduate courses ke admission ke liye online registration process 30 May se shuru ho chuka hai.
DU UG admission online registration ke liye yahan click karein
- Is saal B.A. (Hons.) Economics mein admission lene wale students ke liye Best of Four subjects mein maths mandatory hai.
- B.Com (Hons.) ke students ke liye bhi maths mein 50% marks hona mandatory hai.
- Jin students ke pas main subjects mein Modern Indian Language (MIL) yani Assamese, Bengali, Bodo, Dogri, Gujarati, Kannada, Kashmiri, Konkani, Maithili, Malayalam, Manipuri, Marathi, Nepali, Odia, Punjabi, Sanskrit, Santhali, Sindhi, Tamil, Telugu and Urdu mein se koi subject hai, ab unke Best of Four mein se 2.5% marks ka deduction nahi hoga.
- Postgraduate courses ke admission ke liye online registration 3 June se shuru ho chuka hai.
DU PG admission online registration ke liye yahan click karein
Is article mein hum aapko batayenge –
DU mein apply karne ke liye qualification/eligibility
DU admission online registration form process 2019
DU UG admission process merit basis pe
DU UG admission process entrance basis pe
DU UG admission process ECA/Sports quota pe
DU admission se jude kuch key points
Delhi University (DU) ke bare mein jane
Delhi university jisey jyadatar DU kaha jata hai, India ke kuch behtareen universities mein aata hai. Iske naam se hi pata chalta hai ke ye India ke capital yani Delhi mein hai. Apni behtareen faculties, facilities aur kaafi different tarah ke courses ke karan har saal is university mein India aur videsh se admission ke liye students ki bhid lagti hai.
DU ki shuruwat sabse pehle St. Stephen college (1881) se hui aur usi ke sath sath Hindu College (1899) aur Ramjas College (1917) ki bhi shuruwat hui. Aaj Delhi university ke 77 colleges hain jahan 16 faculties padhaye jate hain aur over 86 departments hain. Niche humne DU ke har ek college aur unmein hone wale courses ke bare mein bataya hai –
Delhi University colleges
North Campus Colleges
Colleges | Courses Offered |
Aditi Mahavidyalaya | B.A, B.Com |
Daulat Ram College | B.A, B.Sc, B.Com |
Hindu College | B.A, B.Sc, B.Com |
Hansraj College | B.A, B.Sc, B.Com |
Indraprastha College for Women | B.A, B.Sc, B.Com |
Kirori Mal College | B.A, B.Sc |
Miranda House | B.A, B.Sc |
Ramjas College | B.A, B.Sc, B.Com |
St. Stephen’s College | B.A, B.Sc |
Shri Ram College of Commerce | B.A, B.Com |
Sri Guru Teg Bahadur Khalsa College | B.A, B.Sc, B.Com |
Swami Shraddhanand College | B.A, B.Sc, B.Com |
West Campus
Colleges | Courses Offered |
Bhagini Nivedita College | B.A, B.Sc, B.Com |
Bharati College | B.A., B.E. (Information Technology) and B.Com |
Bhaskaracharya College of Applied Science | B.Sc |
Deen Dayal Upadhyaya College | B.A, B.Sc, B.Com |
Janki Devi Memorial College | B.A, B.Sc, B.Com |
Kalindi College | B.A, B.Sc, B.Com |
Keshav Mahavidyalaya | B.A, B.Sc, B.Com |
Lakshmibai College | B.A, B.Sc, B.Com |
Rajdhani College | B.A, B.Sc, B.Com |
Satyawati College | B.A, B.Com |
Satyawati College (Evening ) | B.A, B.Com |
Shivaji College | B.A, B.Sc, B.Com |
Shyama Prasad Mukherji College | B.A, B.Sc, B.Com |
Sri Guru Gobind Singh College of Commerce | B.A, B.Sc, B.Com |
Indira Gandhi Institute of Physical Education & Sports Sciences | B.P.Ed and B.Sc |
Janki Devi Memorial College | B.A, B.Sc, B.Com |
Dhaula Kuan Campus
Colleges | Courses Offered |
Aryabhatta College | B.A, B.Com |
Atma Ram Sanatan Dharma College | B.A, B.Sc, B.Com |
Delhi College of Arts & Commerce | B.A, B.Com |
Jesus & Mary College | B.A, B.Sc, B.Com |
Maitreyi College | B.A, B.Sc, B.Com |
Motilal Nehru College | B.A, B.Sc, B.Com |
Motilal Nehru College (Evening) | B.A |
Ram Lal Anand College | B.A, B.Sc, B.Com |
Sri Venkateswara College | B.A, B.Sc, B.Com |
South Campus
College | Courses Offered |
Acharya Narendra Dev College | B.Com, B.Sc |
College of Vocational Studies | B.A, B.Sc, B.Com |
Deshbandhu College | B.A, B.Sc, B.Com |
Dyal Singh College | B.A, B.Sc |
Dyal Singh College (Evening) | B.A, B.Com |
Gargi College | B.A, B.Sc., B.Com |
Institute of Home Economics | B.Sc |
Kamala Nehru College | B.A, B.Com |
Lady Shri Ram College for Women | B.A, B.Sc, B.Com |
P.G.D.A.V. College | B.A, B.Sc, B.Com |
P.G.D.A.V. College (Evening) | B.A, B.Com |
Ramanujan College | B.A, B.Com |
Rajdhani College | B.A, B.Sc, B.Com |
Ram Lal Anand College | B.A, B.Sc, B.Com |
Sri Aurobindo College | B.A, B.Sc., B.Com |
Sri Aurobindo College (Evening) | B.A, B.Com |
Shaheed Bhagat Singh College | B.A, B.Com |
Shaheed Bhagat Singh College (Evening) | B.A, B.Com |
East Campus
College | Courses Offered |
Dr. Bhim Rao Ambedkar College | B.A, B.Com |
Shaheed Rajguru College of Applied Sciences for Women | B.Sc. |
Shaheed Sukhdev College of Business Studies | BMS, B.Sc |
Maharaja Agrasen College | B.A, B.Sc, B.Com |
Shyam Lal College | B.A, B.Sc, B.Com |
Shyam Lal College (Evening) | B.a, B.Com |
Vivekananda College | B.A, B.Sc, B.Com |
Maharishi Valmiki College of Education | B.Ed |
Central Campus
College | Courses Offered |
Lady Irwin College | B.Sc. |
Mata Sundri College for Women | B.A, B.Sc, B.Com |
Sri Guru Nanak Dev Khalsa College | B.A, B.Com |
Zakir Husain Delhi College | B.A, B.Sc, B.Com |
Zakir Husain Delhi College (Evening) | B.A, B.Com |
College of Arts | B.F.A |
Toh ayiye ab baat karte hain ke agar aapko bhi in mein se kisi bhi college, faculty, department mein admission lena ho toh, uske liye aapki eligibility kya honi chaiye.
DU mein apply karne ke liye qualification/eligibility
Delhi university mein admission ke liye apply karne ke liye ek student ko kam se kam 12th pass hona jaruri hai. Aapko DU ke kon se course mein admission lena hai wo aapke 12th ke stream par nirbhar karta hai aur is par bhi nirbhar karta hai ke aap kis course ke liye apply karna chahte hain.
DU admission online registration form process
Aapko bata dein ke DU mein students Undergraduate courses aur Post graduate courses, dono ke liye apply kar sakte hain. DU ke jyadatar UG course ya PG courses mein aap 3 tarikon se apply kar sakte hain – Merit basis pe, Entrance ke basis pe ya Sports quota se. Inmein se kisi bhi course ke admission ke liye sabse pehle aapko ek online registration form bharna hota hai. Niche diye gaye image se aap samajh sakte hain ke kis tarah se DU k courses mein admission ho sakta hai –
Kisi bhi tarah ke admission ke liye sabse pehle aapko DU ka ek registration form bharna hoga. Ye registration form boards ke exam ke kuch hi dino mein DU ki website pe online available ho jata hai. 2019-20 ke liye DU UG admission ki registration date aa chuki hai. Aap DU ke website pe jaker ye form bhar sakte hain.
DU official website pe jane ke liye yahan click karein.
Source – DU Official Website
Jaise hi aap undergraduate admission portal ke link ko click karenge, wo aapko ek naye page par le jayega jahan aap registration sign-up kar sakte hain.
Direct registration ke page par jane ke liye yahan click karein.
Form bharne se pehle in instructions ko aap jarur padhein aur uske bad hi form bharna shuru karein.
Is image mein aap dekh sakte hain ke admission form mein jo bhi necessary documents, certificates aur jo bhi jaruri instruction hai wo dia gaya hai.
Online registration ke liye ye steps follow karein –
Step 1: Candidate ko online DU ke portal par jaker “register here” pe click karna hoga. Registration ke liye aapse apka kuch personal detail lia jayega jaise naam, email ID, phone number etc.
Step 2: Registration karte hi ek confirmation link aapki email par ayega, email open karke us link pe jaker registration confirm karein.
Step 3: Ab aap fir se online portal pe jaker login ID aur password se login karein.
Step 4: Login karne ke bad aapko apna kuch detail form mein bharna hoga jaise-
- Bank details (Bank account number, IFSC code etc.)
- Personal details (Gender, Date of Birth, Aadhar card number etc.)
- Academic details (12th exam roll number, Passing year, Status of result etc. )
- Merit based course selection (Ismein aap ek hi form mein multiple courses select kar sakte hain)
Humara sujhao hai, ke aap jyada se jyada courses ke liye apply kar dein. Issey agey jab bhi cutoff ayega, aapke pas multiple options available honge. Courses select karte waqt aap un courses ke liye eligible hain ya nahi ye bhi check kar lein. Iski jankari aapko courses ke pas bane hue “i” icon se mil jayegi.
- Uploads (self-attested class X marksheet, self-attested class XII marksheet, if available etc., category certificate, if applicable)
- Registration fee.
Step 5: Ab aapko kuch documents upload karna hoga jaise –
Step 6: Documents upload hote hi aap “Submit” button pe click kar sakte hain. Yahan aapko form ka ek preview ajayega jahan aap dekh sakte hain ke aapne kya details bhare hain. Agar form mein koi changes karne hon toh aap isi step pe kar lein.
Step 7: Agle step mein aap application form ko save kar lein aur fee payment ke liye agey badhein. Aapka registration tabhi successful mana jayega jab aapka payment process complete ho jayega.
Step 8: Application submit karne ke bad aap us application ki ek copy apne device mein save kar leiin. Application save karne ke liye “Print copy” pe click karein.
Dhyaan rahe ye registration fee aapko aapke category ke according bharni hogi. Registration fee aap credit card/debit card/netbanking dwara kar sakte hain. Niche diye gaye list mein humne categories ke according fee bataya hai –
Category | Registration Fee (Rs.) |
Registration fee for UR/OBC | 150 (Non-refundable) |
Registration fee for SC/ST/PwD | 75 (Non-refundable) |
Agey hum aapko batayenge ke courses ke according aap in mein se kon se process se admission le sakte hain.
DU UG admission process merit basis pe
Delhi university mein undergraduate karne ke liye aap apne 12th ke marks ke basis par admission le sakte hain. Dhyaan rahe merit basis pe admission lene ke liye DU ek cutoff nikalti hai. DU ka cutoff ek specific percentage of marks hota hai jisko various criteria ke basis pe decide kia jata hai. Ye cutoff har college aur alag alag courses ki different hoti hai.
Jyadatar UG courses ke liye aapko DU ke merit list mein aana hoga. Niche diye gaye list mein humne DU ke un UG courses ke bare mein baat kia hai jinmein admission ke liye merit mein aane ki jarurat hoti hai –
Delhi University UG courses on merit basis
BA | General | Passed HSC (10+2) examination with at least 40% marks |
Vocational Studies |
BA (Hons) | French, German, Italian, and Spanish | Passed HSC (10+2) examination with at least 45% marks |
Arabic, Bengali, Hindi, Persian, Punjabi, Urdu, Sanskrit, Hindi Patrakarita | Passed HSC (10+2) examination with at least 45% marks. OR Passed with 40% marks in the aggregate and 50% marks in the subject concerned | |
Journalism | Passed HSC (10+2) examination with at least 45% marks and studied English language in qualifying examination |
B.Voc | Printing Technology, Web Designing, Health Care Management, Retail Management & IT, Banking Operations, Software Development | Passed HSC (10+2) examination with at least 40% marks |
B.Com (Hons) | Passed HSC (10+2) examination with at least 45% marks. Also, candidate must have passed Mathematics/Business Mathematics at the qualifying examination | |
B.Sc (Hons) | Statistics, Mathematics | Passed HSC (10+2) examination with at least 45% marks and 50% marks in Mathematics |
Botany, Microbiology, Zoology, Anthropology, Biological Sciences | Passed HSC (10+2) examination with at least 55% marks and passed English with minimum 50% marks | |
Physics, Chemistry, Electronics, Instrumentation, Polymer Science | Minimum 55% marks in PCM and 50% marks in one compulsory language | |
Geology | Minimum 55% marks in Physics, Chemistry and Mathematics/ Geology/ Biology/ Biotechnology/ Geography and 50% marks in one compulsory language | |
Food Technology | Minimum 55% marks in Physics, Chemistry and Mathematics/ Biology/Biotechnology and 50% marks in English | |
Biochemistry | Minimum 55% marks in Chemistry, Biology/Biotechnology, Maths/Physics and 50% marks in one compulsory language OR pass in English language | |
Mathematical Science | Passed HSC (10+2) examination with at least 40% marks | |
Physical Science/Applied Physical Sciences | Minimum 45% marks in Physics, Chemistry/ Computer Science, Mathematics and 40% marks in one compulsory language OR pass in English language | |
Life Sciences/Applied Life Sciences | Minimum 45% marks in Physics, Chemistry, Biology/ Biotechnology and 40% marks in one compulsory language OR pass in English language | |
Home Science | Passed HSC (10+2) examination with at least 50% marks | |
Biomedical Science | Minimum 55% marks in Physics, Chemistry, Biology/ Biotechnology and 50% marks in English language |
DU Admission – Process
Sabse pehle DU apni pehli cut off list nikalti hai. Aapko jis kisi bhi course ke liye apply karna hai, uske liye aapko apne 12th ke best 4 subjects ka percentage dena hoga. Best 4 ka matlab hai 12th mein diye gaye wo 4 subjects jinka marks sabse accha ho. Best 4 subjects ke marks calculate karne ka tarika hota hai –
- Ek Language (Core/Elective/Functional)
- Wo subject jismein admission lena ho, jaise agar aapko B.Sc Maths mein admission lena hai toh 12th mein Maths ka marks.
- Iske alawa koi bhi do academic/elective subjects.
Ye best 4 subjects aapko course ke anusar chunna hoga jiski puri jankari aapko DU ke website pe jaker unke courses aur unki eligibility se pata chal jayegi. Jyadatar courses mein ek language aur us course se related 12th mein jo apka subject tha wo hona hi chahiye.
DU cut off aate hi, aapko Delhi University ki official website pe ya dusre madhyam se yani newspaper ya aur bhi websites se pata chal jayega ke aapke best 4 subjects ka percentage kis college ke cutoff ke range mein arha hai.
DU Admission – Documents
Ab aap cutoff ke according jo bhi aapke pasand ka college aur course hai usey chhun lein. Agla step hoga us college mein jaker apne chune hue course ke liye apply karna. Is process mein aapko kuch jaruri documents chaiye jinki original copies aap admission ke waqt college mein jama karenge jaise –
- Provision certificate of Class XII
- 5-6 passport size photographs, self attested !
- Transfer certificate
- Class X Board Examination Certificate
- School se character certificate
- Class XII ka marksheet
- Registration form ka print out, jo apne online bhara hai (is form mein apka registration no. hoga)
- Minority certificate or SC/ST/OBC certificate.
- Admission fee ka demand draft (DD).
Note – Waise toh inke alawa aapko kisi aur document ki jarurat nahi padegi, fir bhi humara suggestion hai apko ke admission ke liye jane se pehle aap college ki website pe jaker ek bar notification jarur padh lein taki agar koi aur bhi document ki jarurat ho toh wo aap apne sath le jayein. Admission ke time aapko in sare documents ki original copies jama karna hoga. Isiliye aap pehle hi in documents ki xerox copies bana kar rakh lein apne pas rakh lein taki kabhi bhi kisi aur kaam ke liye apko in documents ki jarurat pade toh aap xerox copy use kar sakein. Admission ke bad apko ye documents wapis kar diye jayenge.
Documents verification aur fee submit hote hi aapka admission process complete ho jayega. Ab college shuru hone ki date aur baki sari information apko college dwara mil jayegi.
DU UG admission entrance basis pe
Delhi University mein entrance ke through in kuch UG courses mein admission liya ja sakta hai –
Name of Institution | Courses |
Faculty of Applied Social Sciences and Humanities | B.A. (Honours) Business Economics Bachelor of Management Studies Bachelor of Business Administration (Financial Investment Analysis) |
Cluster Innovation Centre | B.Tech. (Information Technology and Mathematical Innovations) B.A. Honours (Humanities & Social Sciences) |
Faculty of Education | Bachelors of Elementary Education |
Faculty of Inter-disciplinary & Applied Sciences | Bachelor of Science in Physical Education, Health Education & Sports (B.Sc. [PE,HE &S]) |
Indraprastha College for Women | B.A. (Honours) Multimedia and Mass Communication |
Music and Fine Arts | Bachelor of Arts (Honours) in Hindustani Music- Vocal/Instrumental (Sitar/Sarod/Guitar/Violin/Santoor) Bachelor of Arts (Honours) in Carnatic Music Vocal/Instrumental (Veena/ Violin) Bachelor of Arts (Honours) in Percussion Music (Tabla/Pakhawaj) |
Faculty of Social Sciences | Five-Year Integrated Programme in Journalism in Delhi School of Journalism |
Entrance ke through admission lene ke liye bhi aapko kuch wahi steps follow karne honge jo aap merit list ke liye karte hain. Uper diye gaye steps ke Step 5 tak aapko same process karna hoga. Iske agey aap niche diye gaye step ko follow karein –
Step 6: Ab aap registration process mein agey badhein aur apne choice ka UG course select karein jismein aap admission lena chahte hain aur examination centre ka choice bhi select karein.
Step 7: Agle step mein aap application form ko save kar lein aur fee payment ke liye agey badhein. Aapka registration tabhi successful mana jayega jab aapka payment process complete ho jayega.
Note : Agar koi candidate ek se jyada course ke liye entrance dena chah raha hai toh us candidate ko alag se form bharna hoga aur alag se us course ki fee pay karni hogi, magar us form ke liye bhi login ID aur password same rahega.
DU ke UG courses ke entrance exams ki fee category ke according niche di gayi hai –
Category | Registration Fee |
OBC/ UR | Rs. 500 |
SC/ ST/ PwD | Rs. 250 |
DU UG admission Sports/ECA Quota ke basis par
Agar aap humesha se khel kud ya extra curricular activities (ECA) mein ruchi rakhte aye hain aur school, district, state, national ya international level par in dono mein se kisi mein kamyabi paate aye hain toh aapke liye DU mein admission lene ka ek aur rasta hai sports/ECA quota.
DU apne kaafi colleges mein Sports/ECA quota ke through admissions deta hai. DU ke under jitne bhi colleges hain wo apne availability ke anusar apne college mein ECA/Sports quota se admission de sakte hain. Chaliye ab baat karte hain ke kaise aap DU mein ECA ke through admission le sakte hain.
ECA/Sports quota mein admission process
Delhi university apne colleges mein har sal kuch seats Extracurricular Activities aur Sports quota ke liye rakhti hai. Sabse pehle toh aapko bata dein ke in quota mein bhi ECA/Sports quota ke through bhi admission ke liye apko wahi process follow karna hota hai jo aap entrance ya merit based admission ke liye karte hain. Aap merit/entrance based admission process ke step 4 tak same process follow karein. Yahan click karke aap wo steps dobara padh sakte hain.
Note: Kyunki ab aap ECA/Sports quota se admission ke liye aaply karna chah rahe hain toh aapko ab ECA/sports ke certificates bhi upload karna hoga. Ab agey step 7 tak aap same process follow karein taki apka form successfully complete ho jaye.
Sports/ECA quota se admission lene ke liye aap jo certificate upload karenge ussey judi ye do batein jarur dhyaan rakhein –
- Apke certificates, online registration date se 3 saal se jyada purane na ho, warna unhe eligible nahi mana jayega.
- Apke certificate ko admission ke liye fit tabhi mana jayega jab aapne kisi International, National, State, Zonal or School level pe ya toh koi sports/ECA mein jeeta ho ya participate kia ho.
Bhale aap sports quota se admission le rahe hon ya ECA se aapko dono ki fees registration ke time same hi hogi. Bas in quota se online form bharne par har category ke students ko extra 100 Rs. bharna hota hai. Niche list se aap pata kar sakte hain ke aap apne category ke according kitna fee pay karenge –
Category | Registration Fee |
UR/OBC | Rs. 150 (Non-Refundable) |
SC/PwD/ST | Rs 75 (Non-Refundable) |
ECA/Sports (Every Category) | Rs. 100 (Additional, Non-Refundable) |
ECA se UG course mein Selection Process
ECA ke through selection process mein ye kuch jaruri points hain jinka dhyaan rakhein –
- Sabse pehle toh aapke pas ECA ka valid certificate hona chahiye.
- Aapko certificate ke alawa ek trial se bhi hoker gujarna hoga jo ki DU dwara karwaya jayega.
- DU apke certificate ko 25% weightage deti hai aur trail ko 75%.
- Trail preliminary or final level pe conduct kia jayega.
- Sabhi candidates ko preliminary trial mein kewal ek bar participate karne ka mauka milega.
- Jo bhi candidates preliminary level pe qualify karenge wahi final level pe jayenge.
- ECA quota qualify karne ke liye aapko kam se kam 50% tak marks secure karna hoga.
- Jo bhi aapki ECA ke basis pe final merit hoga wo aapke 12 ke best 4 ke percentage ke sath jud jayega, aur aapka admission us final merit pe hoga.
DU List of Activities for ECA Trials
ECA se admission lene ke liye aapko in activities mein se ek mein certified hona hoga –
- Dance (Indian Classical/ Western/ Indian Folk/ Choreography)
- NCC
- Music Vocal (Indian Classical/ Western Classical/ Indian Light & Folk/ Western Light)
- Quiz
- Creative Writing (English & Hindi)
- Digital Media (Still Photography/ Animation/ Film Making)
- Music Instrumental (Indian/ Western)
- Fine Arts (Sketching & Painting/ Sculpture)
- Theatre
- Debate (English & Hindi)
- NSS
- Divinity for minority colleges (For Mata Sundri College, Sri Guru Gobind Singh College of Commerce, Sri Guru Nanak Dev Khalsa College and Sri Guru Tegh Bahadur Khalsa College)
Sports quota se UG mein selection process
DU mein sports quota se admission ya toh direct ho sakta hai ya fir sports trial ke through ho sakta hai. Direct admission ke liye aapko in mein se kisi federation ke sath sports mein country ko represent kia hona jaruri hai –
- Olympic Games by International Olympic Committee (IOC)
- Asian Games by the Olympic Council of Asia
- World Championship/ World Cup by International Sports Federations (ISF)
- Asian Championships by International Sports Federations (ISF)
- Commonwealth Games by Commonwealth Games Federations (CGF)
- South Asian Games (SAG) by South Asian Sports Council (SASC)
- Paralympic Games by International Paralympic Committee (IPC)
Agar aap in mein se kisi league mein nahi aate hain toh aapko sports quota ke liye bhi ek trial dena hoga. Trial se selection ka process kuch is tarike ka hai –
- DU sports certificate ko 40% weightage deti hai aur us sports trial ke liye 60% weightage deti hai.
- Sports trial mein Sport Specific Fitness, Overall Playing Ability aur Fundamental Skills included hogi.
- ECA ki tarah hi ismein bhi aapko qualify karne ke liye 50% marks ki jarurat hogi.
- Sports quota se apply karne ke liye aapke age ki eligibility bhi bhot important hai taki aap apne course ke duration mein inter-university sports mein participate kar sakein.
- Iske alawa candidate ko part-time ya full-time kisi bhi job mein employed nahi hona chahiye.
Niche humne DU mein hone wali sports ki list aur unki marking criteria batayi hai –
Team Games: Ball Badminton, Baseball, Basketball, Cricket, Football, Handball, Hockey, Kabaddi, Kho-Kho, Korfball, Netball, Softball and Volleyball.
Marking Criteria for Team Games | Total (60 Marks) |
Fundamental Skills | 20 Marks |
Performance in Trials | 40 Marks |
Dual & Combat Sports: Badminton, Boxing, Fencing, Judo, Squash, Table Tennis, Taekwondo, Tennis and Wrestling
Marking Criteria for Dual and Combat Sports | Total (60 Marks) |
Fundamental Skills | 10 Marks |
Performance in Trials | 50 Marks |
Individual Sports: Archery, Athletics, Best Physique, Chess, Diving, Gymnastics, Power-lifting, Shooting, Swimming, Weight-lifting and Yoga
Marking Criteria for Dual and Individual Sports | Total (60 Marks) |
Performance in Trials | 60 Marks |
Note: Aap jab bhi sports/ECA quota se admission ke liye jayein, toh apne online form ki printed copy jarur lekar jayein.
Chaliye ab baat karte hain ke DU mein PG courses mein admission kaise lein.
DU PG Admission
PG ke liye apply karne wale students ko bhi DU ka online registration form bharna hota hai jo humne uper steps mein bataya hai. Wahan details bharte waqt aapko PG admission ke liye apply karna hoga jo ki ya toh aap merit/direct basis pe karoge ya fir entrance pe loge.
DU PG courses ke liye registration 3rd June se shuru ho chuka hai
DU PG admission online registration ke liye yahan click karein
DU mein PG mein admission lene ke do tarike hain –
Direct/Merit – DU mein PG admission ke liye 50% seats directly un students se bhari jati hai jo already DU ke students hain. DU ke under aane wale colleges apni cutoff list nikalenge jo ki students ki last appeared exams ke marks ke according hogi. Agar aapke bachelors exam ka result merit list mein agaya aur dhyaan rahe ke apko DU ka hi student hona jaruri hai, toh apka bhi selection direct ho sakta hai.
Entrance – Jo students DU ke alawa kisi aur university/college se graduated hain, unhe DU mein PG course ke liye entrance exam dena hota hai. Ye exam computer based exam hoga aur har courses ki alag alag eligibility ke according aap entrance ke liye DU online registration form se hi apply kar sakte hain.
PG courses
DU se PG aap in courses mein kar sakte hain jo ki jyadatar 2 years ka hota hai-
LLB, M.Ed, M.Sc, B.P.Ed, B.E.P.D, M.P.Ed, MA, MCA, M.Com aur M.Phil aur Ph.D. In sabhi courses ke exams ka pattern aur eligibilities ke liye yahan click karein.
Eligibility
DU ke PG courses mein apply karne ke liye aapko ye kuch eligibilities fulfil karni hongi –
Age limit – Waise toh PG course ke liye koi age limit nahi hai. Magar Medical Council of India (MCI), All India Council for Technical Education (AICTE), Bar Council of India (BCI), National Council of Teacher Education (NCTE) jaise regulatory bodies ke liye age limit mentioned hoga.
Education Qualification – Interested candidates ko PG course mein apply karne ke liye us respective course mein UG degree ka hona jaruri hai. Course specific eligibility ke liye aap niche diye gaye PDF ko padh sakte hain.
Minimum marks required – Har courses ki minimum qualifying marks alag alag honge. Magar apne undergraduation ka minimum CGPA nikalne ke liye aap ye formula use kar sakte hain –
Final percentage of marks = 6 semesters ka CGPA x 9.5
DU PG admission ki category ke according fees niche diya gaya hai –
Category | Registration Fee |
OBC/ UR/Any Other Category | Rs. 500 |
SC/ ST/ PwD | Rs. 250 |
SOL aur NCWEB admission
Inke alawa DU ke School of Open Learning (SOL) aur Non Collegiate Women’s Education Board (NCWEB) mein bhi PG course diye jate hain jaise –
SOL Courses
M.A.(Hindi) |
M.A.(History) Semester |
M.A.(PS) Semester |
M.A.(Sanskrit) Semester |
M.Com. Semester |
NCWEB Courses
M.A/M.Sc Mathematics
M.A. Arabic
M.A. Bengali
M.A. English
M.A. Hindi
M.A.History
M.A. Persian
M.A. Philosophy
M.A. Pol. Science
M.A. Punjabi
M.A. Sanskrit
M.A. Hindi
NCWEB mein kewal mahilaon ko admission milta hai aur admission ke liye bhi aapko online registration karna hoga, jiski puri detail ke liye yahan click karein.
SOL un students ke liye hain jo DU se distance learning se koi course karna chahte hain. SOL ke through bhi aap Ats/Humanities aur Commerce mein UG and PG courses kar sakte hain. In courses ke liye study material aapko SOL dwara mail ke through milega. SOL ke process se judi jyada jankari ke liye aap yahan click karein.
Note – DU ke NCWEB mein admission kewal unhi mahilaon ko milega jo NCT Delhi (National Capital Territory) ke residence honge. Isiliye is exam ke form ko bharte waqt aapko residential proof bhi upload karna hoga.
DU admission se judi kuch aur jaruri batein
- DU ke colleges mein seats ke according kayi bar cut-off nikalte hain. Kisi bhi college mein kitne cut-offs ayenge, ye fixed nahi hai. Isiliye admission process shuru hone ke bad DU ki official website aur newspapers mein DU se juda news continuously check karte rahein.
- Jab bhi aap admission lene kisi college mein jayen, apna sara original document taiyyar rakhein taki us waqt kisi bhi karan se admission mein rukawat na aye.
- Admission ke time, college counter pe, aapne jo online registration form bhara tha uski ek copy jarur lekar jayen.
- Aap ek bar agar kisi college mein admission ke liye documents de dete hain, toh bhi agar apka kisi aur college ka cut-off bhi clear ho jaye toh aap us dusre college mein admission ke liye apply kar sakte hain. Dusre college mein admission ke liye pehle baat kar lein aur unse admission ke liye receipt le lein. Uske bad hi aap pehle college se apna original document withdraw karein.
- Agar aap kisi category mein aate hain jaise SC/ST/ECA/Sports quota toh apna certificate jarur taiyyar rakhein.
- Agar aap apne 12th ke related stream se hatkar kisi aur stream ke course mein admission lena chahte hain, toh aap le sakte hain. Bas is case mein aapke best 4 subjects ke percentage of marks se 2% marks deduct ho jayenge. (Pehle ye 5% deduction hua karta tha jo 2019-20 ke session mein 2% pe kar diya gaya hai)
- DU ke under do colleges aate hain, 1 – St. Stephens aur 2- Jesus and Mary College, jahan aap DU ke general online registration form ko bhar ke admission nahi le sakte hain. In colleges ke apne form aate hain jo aapko unki official website pe mil jayega. In dono colleges mein Christians ke liye alag se reservation bhi hota hai jo ki karib 50% tak hota hai.
- Is baat ka bhi dhyaan rakhein ke har cut-off ke bad admission ke liye 3 din milta hai. 3 din ke andar aap apne saare documents aur fees ka kaam pura kar lein.
Is article mein humne DU admission se judi har jankari dene ki kosish ki hai. Humnei umeed hai ke DU admission se jude aapke har sawal ka jawab mil gaya hoga. Magar abhi bhi agar admission se jude koi bhi doubt apke mann mein hai, toh niche comment karke humse jarur pucchein.
mai ye janna chahti hu ki DU se kis ug program ka placement subse accha hai
Hi Pratima
B.com (Hons) sabse acha course maana jaata hai.
Thank you .😊😊😊
kya ncweb ke liye alag se online regn. karna hoga?
Aapne pg mein sports ke through admission ki details toh provide ki he nhi hai mene admission sports se apply kya hai uska process kya hoga.
Hi Shristi,
PG mein sports quota se admission ke liye bhi aapko sports trial ke sath sath respective department ka entrance exam dena hoga. Entrance ke marks aur sports ke marks ko add karke merit banegi jiske basis pe admission hoga.
Process ki puri jankari ke liye aap ye official PG admission bulletin padh sakti hain – http://www.du.ac.in/adm2019/pdf/16062019-PG%20Bulletin2019-20.pdf
Kya lady Irwin collage me semester exam Hindi medium me de skte hai?? Plzzz reply
Hum ne lady shri ram me admission liya h or fees online bhar de kya vo slip college me deni h ya nahi
Slip to leke hi jana college
mam,
marks update nahi kya koi problam to nahi hai?
piz dbhi bata de
Meri sinter ka naam nahi aya to kiya mera admission nahi hua please reply karo
Kaunse college mein? Agar naam nahi aya to nahi hua admission.