Iss article mein linkedin par account kaise banaye in hindi mein puri jaankari padhe. Ek professional network bahut zaruri hota hai jisase aapke career ko bahut help milti hai. Networks se aap better job opportunities ke baare mein jaan sakte hai aur ab is internet ke zamane mein ye sab aap ghar baithe kar sakte hai. aap ghar baithe apna network bana sakte hai jaha aap directly professionals aur working logo ko contact kar sakte hai. Iss network ke liye sabse achi jagah Linkedin.com
LinkedIn kya hai?
Linkedin ka matlab hai professional logo ka social media. Ye ek aisa platform hai jaha aap apne networks/contacts banate hai aur industry ke logo se connect kar sakte hai. companies Linkedin par kaafi job postings bhi daalti hai.
LinkedIn par account kaise banaye in Hindi?
Web browser par ‘google.com‘ type kare
Iske baad LinkedIn.com type karte hue website par click kare
Apni personal details fill kare
- Full name – For ex. Neha Rawat
- Email id – For ex. [email protected] Ek important baat dhyan rakhe – Kabhi bhi unprofessional email id na banaye jaise ki [email protected] Email id hmesha professional honi chahiya
- Password – minimum 6 characters ka daalde
Join Now par click kare
Link Phone Number
Apna phone number type kare aur country me India select kare.
Send code par click kare
Iske baad us number par ek verification code ayega, us code ko type kare
Verify code par click kare
Location details
Yaha par apni current location jaha aap reh rahe hai unhe select kare
- Country/Region
- State/Province
- City
Next par click kare
Work experience details
Agar aap already kaam kar rhe hai ya kar chuke hai to apni job designation and company ki details type kare varna I am a student par click kare
College details
- College name – For ex. Shri ram college of commerce
- Degree – For ex. BA
- Specialisation – For ex. Economics
- Starting & Ending Year – Degree shuru and khatam hone wala year
Continue par click kare
Email Id se Link kare
Apne Linkedin account ko apni professional email id se link kare taaki aapko email par updates aa sake.
Apne account jaise ki gmail account par jaaye aur link karne ke liye linkedin se aya hua mail open kare. Uss mail mein ek code hoga. Uss code ko ya to aap linkedin par jaakar verify kare hai ya niche Agree & Confirm your email par click kare
Profile Photo picture lagaye
Dhyan rakhe ki wo professional ho aur apka face clearly visible ho. Apni profile photo daalane ke liye Add Photo par click kare.
Educational qualification
- School name – For ex. St. Xavier’s school
- Degree – 12th pass ke liye senior secondary type kare and 10th pass ke liye secondary
- Field of study – yaha par aapne kya padhai kari hai wo daal de
- Grade – yaha par percentage ya CGPA type kare
- Agar aapne kisi activity ya society me part liya hai to uski details mention kare
Continue par click kare
Profile details update kare
Agar aap kahi par already kaam kar rhe hai to Add current position par type karte hue job ki details de –
- Company ka naam jaha currently kaam kar rahe hai
- Post name : Aapki kya designation hai
- Year : Current job ki joining and ending date. agar aapne abhi resign nahi kiya hai to Eding date mein Present choose kare.
- Industry ka naam jis mein aap hai
Iske baad aap alag alag sections mein details fill kare hai aur apna ek acha profiile banaye.
- Experience : Aapni saari jobs ke baare mein bataye
- Education : Apni Graduation aur Post Graduation ke baare mein bataye. Aap school ke baare mein bhi bata sakte hai.
- Volunteer Experience : Agar aapne koi internship ya kahi volunteer kiya hai to uske bare mein bataye
- Skills & Endorsements : Aapki skills ki details de
- Interest : Industry ya companies jinme aapko interest ho vo add kare
LinkedIn mein network kaise banaye?
LinkedIn par profile banane ke baad ab next step hota hai logo se connect akrna aur apna network banana. Iske liye Search tab mein jaake aap naam type kar sakte hai.
Aapko jo connect ki request usko check karne ke liye My network par click kare aur request Accept ya Decline kare.
Aap LinkedIn.com par network create karne ke alava Job bhi search kar sakte hai.
Video dekhkar sekhe Linkedin.com par account banana
Agar aap job interview ki taiyari kar rahe hai to padhe Interview tips aur taiyari ke baare mein detail mein
Agar abhi bhi aap naukri/job search se juda koi sawal ya koi jankari janna chahte hain toh humare Facebook group par ayiye aur apna sawal pucchiye, hum apki poori madad karenge. Group se judne ke liye click karein.