Indian Army Qualification: Indian army ya Bhartiya sena jismen aaj laakho yuva join hone ka sapna dekhte hai kyonki army mein 10th aur 12th ke baad hi bhartiyan nikalni shuru ho jaati hai iss karan wo jald se jald naukri ki chaahat mein taiyaari karna shuru kar dete hai. Ek baat yeh bhi hai ki adhiktar yuva pidhi ke log sarkari naukri hi chaahte hai iss karan wo army mein taiyaari karte hai.
Toh Agar aap 2020 Indian Army Rally Bharti ke baare mein jaanana chaahte hai to diye gaye button par click karein.
Iss blog mein sirf Males ki post ke baare mein jaankari hai. Mahila Army bharti ke liye yaha click kare aur padhe: Mahila Army Bharti 2020
Agar aap 2020 Indian Army Rally Bharti ke baare mein jaanana chaahte hai to diye gaye button par click karein. Army Rally Bharti 2020
Niche jaakar aap apna topic chun sakte hai
General Duty Soldier
Soldier Technical
Soldier Technical (Aviation and Ammunition Examiner)
Soldier/Clerk aur Store keeper
Soldier nursing assistant
Sepoy Pharma
Soldier Tradesman (All arms)
Soldier Tradesman (Syse, Mess Keeper aur House Keeper)
Survey Automated Cartographer
JCO mein kya honi chahiye yogyata
JCO Catering
Havildar Education
General Duty Soldier ke liye Qualification
Agar aap bhartiya sena mein general duty soldier ki post par naukri karna chaahte hai to uske liye aapko kam se kam 10th pass hona jaruri hai. Saath hi ismen aapke kam se kam 45% marks hone bhi jaruri hai. Jabki sabhi subjects mein 33%-33% hone chaahiye. Aagar aap 10+2 hai toh usme aapke sabhi subjects mein toh percentage maayne nahin rakhta hai lekin poora result 33% hone chaahiye.
General duty soldier mein agar age ki baat karein toh ismen 17 saal se kam tatha 21 saal se badi age waale apply nahin kar sakte hai. Kul milakar baat yah hai ki aapki age 17 aur 21 ke beech honi chahiye.
Fitness mein aapki body kuch aisi honi chahiye
Zone/ Area | State | Height | Chest (cm) | Weight (Kg) |
Eastern Himalayan | Arunachal Pradesh, Manipur, Sikkim, Nagaland, Tripura, Mizoram, Meghalaya, Assam and Hill Region of West Bengal Gangtok, Darjeeling and Kalimpong Districts) | 160 | 77-82 | 48 |
Western Himalayan | Jammu & Kashmir, Himachal Pradesh, Punjab pahadi (Himachal Pradesh aur Punjab ke beech inter state seema ke kshetra Mukerian, Hoshiarpur, Garh Shankar aur Ropar), Garhwal aur Kumaon (Uttrakhand) | 163 | 77-82 | 48 |
Southern Plains | Andhra Pradesh, Karnataka, Tamil Nadu, Kerala, Goa and Pondicherry | 166 | 77-82 | 50 |
Western Plains | Punjab, Haryana, Chandigarh, Delhi, Rajasthan aur Western Uttar Pradesh (Meerut aur Agra Division) | 170 | 77-82 | 50 |
Eastern Plains | Eastern Uttar Pradesh, Bihar, West Bengal Jharkhand aur Orissa | 169 | 77-82 | 50 |
Central Plains | Madhya Pradesh, Chattisgarh, Gujarat, Maharashtra, Dadar, Nagar, Haveli, Daman aur Diu | 168 | 77/ 76* *STA | 50 |
Ladakhi | 157 | 77-82 | 50 | |
Gorkha | Indian aur Nepali | 160 | 77-82 | 48 |
All state/Kendrashasit pradesh | Adivasi Candidates (Manyata prapt janjatiy kshetron se candidates) | 162 | 77-82 | 48 |
Soldier Technical ke liye Qualification
Kai saare yuva jo Indian army mein soldier technician ke roop mein apna career dekhte hai. Iss post mein aapko 10+2 pass hona jaruri hai wo bhi science ke subject mein. Science ke subject mein aapko physics, chemistry, maths aur english mein kam se kam 40% se jyada marks hona jaruri hota hai. Jabki sabhi subjects ko milakar 50% se kam nahin hone chahiye.
Age kya honi chahiye is Post mein
Agar hum soldier technical post mein age limit ki baat karein toh aapki age 17 se kam aur 23 se jyada nahin honi chahiye.
Fitness mein aapka shareer kuch aisa hona chahiye
Zone/ Area | States | Height (cm) | Chest (cm) | Weight (kg) |
Western Himalayan | Jammu & Kashmir, Himachal Pradesh, Punjab pahadi (Himachal Pradesh aur Punjab ke beech inter state seema ke kshetra Mukerian, Hoshiarpur, Garh Shankar aur Ropar), Garhwal aur Kumaon (Uttrakhand) | 163 | 77 | 48 |
Eastern Himalayan | Sikkim, Nagaland, Arunachal Pradesh, Manipur, Tripura, Mizoram, Meghalaya, Assam aur West bengal ke pahadi kshetra (Gangtok, Darjiling aur Kalimpong ke Zile) | 157 | 77 | 48 |
Western Plains | Punjab, Haryana, Chandigarh, Delhi, Rajasthan aur Western Uttar Pradesh (Meerut aur Agra Division) | 170 | 77 | 50 |
Eastern Plains | Eastern Uttar Pradesh, Bihar, West Bengal Jharkhand aur Orissa | 169 | 77 | 50 |
Soldier Technical (Aviation aur Ammunition examiner)
Soldier technical (Aviation aur Ammunition Examiner) ki baat karen toh ismen aapko 10+2 pass hona jaruri hai aur wo bhi science ke subject mein. Science mein aapke (Physics, chemistry, maths aur english ke subjects mein 50% se jyada marks hone chahiye aur har subjects mein 40% ya 3 saal ka polytechnic Engineering diploma kiya hua hona jaruri hai.
Ismen aapki age 17 se 23 saal ke beech mein honi chahiye.
Iss post ke liye aisa hona chahiye aapka shareer
Zone/Area | State | Height (cm) | Chest (cm) | Weight (kg) |
Eastern Himalayan | West Bengal, Gangtok, Darjeeling aur Kalimpong, Arunachal Pradesh, Manipur, Sikkim, Nagaland, Tripura, Mizoram, Meghalaya, Assam aur pahadi kshetra. | 157 | 77-82 | 48 |
Western Himalayan | Jammu & Kashmir, Himachal Pradesh, Punjab pahadi (Himachal Pradesh aur Punjab ke beech inter state seema ke kshetra Mukerian, Hoshiarpur, Garh Shankar aur Ropar), Garhwal aur Kumaon (Uttrakhand) | 163 | 77-82 | 48 |
Southern Plains | Andhra Pradesh, Karnataka, Tamil Nadu, Kerala, Goa aur Pondicherry | 166 | 77-82 | 50 |
Western Plains | Punjab, Haryana, Chandigarh, Delhi, Rajasthan aur Western Uttar Pradesh (Meerut aur Agra Division) | 170 | 77-82 | 50 |
Eastern Plains | Eastern Uttar Pradesh, Bihar, West Bengal Jharkhand aur Orissa | 169 | 77-82 | 50 |
Central Plains | Madhya Pradesh, Chattisgarh, Gujarat, Maharashtra, Dadar, Nagar, Haveli, Daman aur Diu | 168 | 77/76 | 50 |
All state/Kendrashasit Pradesh | Adivasi Candidates (Manyata prapt janjatiya kshetron se candidates) | 162 | 77-82 | 48 |
Ladakhi | 157 | 77-82 | 50 | |
Gorkha | Gorkhas Candidates Nepali aur Indian | 162 | 77-82 | 48 |
Soldier/Clerk aur Store keeper
Soldier/clerk aur store keeper mein aapko 10+2 pass hona jaruri hai aur wo bhi 60% marks ke saath. Iske alava aapke har subject mein 50% toh hone chahiye. Form bharne se pahle aapko yeh bhi dhyaan rakhna hai ki aapke 10th ya 10+2 mein english, maths aur accounts ka subject bhi tha ya nahin kyonki ismen yeh subjects jaruri hota hai.
Ab baat karte hai age ki, Toh Soldier/clerk aur store keeper ki post ke liye saadhe 17 se 23 saal ki age wale hi form bhar sakte hai.
Iss post ke liye aisi honi chahiye aapki body
Zone/Area | State | Height (cm) | Chest (cm) | Weight (kg) |
Eastern Himalayan | West Bengal, Gangtok, Darjeeling aur Kalimpong, Arunachal Pradesh, Manipur, Sikkim, Nagaland, Tripura, Mizoram, Meghalaya, Assam aur pahadi kshetra. | 160 | 77-82 | 48 |
Western Himalayan | Jammu & Kashmir, Himachal Pradesh, Punjab pahadi (Himachal Pradesh aur Punjab ke beech inter state seema ke kshetra Mukerian, Hoshiarpur, Garh Shankar aur Ropar), Garhwal aur Kumaon (Uttrakhand) | 162 | 77-82 | 48 |
Southern Plains | Andhra Pradesh, Karnataka, Tamil Nadu, Kerala, Goa aur Pondicherry | 162 | 77-82 | 50 |
Western Plains | Punjab, Haryana, Chandigarh, Delhi, Rajasthan aur Western Uttar Pradesh (Meerut aur Agra Division) | 162 | 77-82 | 50 |
Eastern Plains | Eastern Uttar Pradesh, Bihar, West Bengal Jharkhand aur Orissa | 162 | 77-82 | 50 |
Central Plains | Madhya Pradesh, Chattisgarh, Gujarat, Maharashtra, Dadar, Nagar, Haveli, Daman aur Diu | 162 | 77/76 | 50 |
All state/Kendrashasit Pradesh | Adivasi Candidates (Manyata prapt janjatiya kshetron se candidates) | 162 | 77-82 | 48 |
Ladakhi | 157 | 77-82 | 50 | |
Gorkha | Gorkhas Candidates Nepali aur Indian | 160 | 77-82 | 48 |
Soldier nursing assistant
Soldier nursing assistant ki post ke liye 10+2 pass physics, chemistry, biology aur english mein 50% se jyada total marks aur 40% har subjects ke saath pass hona bahut jaruri hai. Agar aapke paas BSc (Simple pass botany, Zoology, Bio Science aur english) hai toh bhi iss post ke liye aasani se apply kar sakte hai.
Iss post ke liye aapki age 17 se 23 ke beech honi chahiye.
Ab hum baat karte hai ki aapka shareer kaisa hona chahaiye toh uske liye table niche di gayi hai.
Zone/Area | State | Height (cm) | Chest (cm) | Weight (kg) |
Eastern Himalayan | West Bengal, Gangtok, Darjeeling aur Kalimpong, Arunachal Pradesh, Manipur, Sikkim, Nagaland, Tripura, Mizoram, Meghalaya, Assam aur pahadi kshetra. | 157 | 77-82 | 48 |
Western Himalayan | Jammu & Kashmir, Himachal Pradesh, Punjab pahadi (Himachal Pradesh aur Punjab ke beech inter state seema ke kshetra Mukerian, Hoshiarpur, Garh Shankar aur Ropar), Garhwal aur Kumaon (Uttrakhand) | 163 | 77-82 | 48 |
Southern Plains | Andhra Pradesh, Karnataka, Tamil Nadu, Kerala, Goa aur Pondicherry | 166 | 77-82 | 50 |
Western Plains | Punjab, Haryana, Chandigarh, Delhi, Rajasthan aur Western Uttar Pradesh (Meerut aur Agra Division) | 170 | 77-82 | 50 |
Eastern Plains | Eastern Uttar Pradesh, Bihar, West Bengal Jharkhand aur Orissa | 169 | 77-82 | 50 |
Central Plains | Madhya Pradesh, Chattisgarh, Gujarat, Maharashtra, Dadar, Nagar, Haveli, Daman aur Diu | 168 | 77/76 | 50 |
All state/Kendrashasit Pradesh | Adivasi Candidates (Manyata prapt janjatiya kshetron se candidates) | 162 | 77-82 | 48 |
Ladakhi | 157 | 77-82 | 50 | |
Gorkha | Gorkhas Candidates Nepali aur Indian | 160 | 77-82 | 48 |
Sepoy Pharma
Kai yuva aise bhi hote hai Jo Bhartiya Seopy (भारतीय सिपाही) (Pharma, army medical corps)’ ke liye taiyaari karte hai. Ismen agar education ki baat kare toh 10+2 yaa D pharma pass ki hui honi chahiye, Jismen kam se kam 55% marks ya B Pharma mein 40% marks hone jaruri hai.
Aap mein se jinke bhi itne marks hai wo iss pad ke liye aasaani se apply kar sakte hai lekin iss baat ka bhi dhyaan rakhna hai ki aapki age 19 se 25 saal ke beech hi honi chahiye.
Aisa hona chahiye aapka shareer
Zone/Area | State | Height (cm) | Chest (cm) | Weight (kg) |
Eastern Himalayan | West Bengal, Gangtok, Darjeeling aur Kalimpong, Arunachal Pradesh, Manipur, Sikkim, Nagaland, Tripura, Mizoram, Meghalaya, Assam aur pahadi kshetra. | 157 | 77-82 | 48 |
Western Himalayan | Jammu & Kashmir, Himachal Pradesh, Punjab pahadi (Himachal Pradesh aur Punjab ke beech inter state seema ke kshetra Mukerian, Hoshiarpur, Garh Shankar aur Ropar), Garhwal aur Kumaon (Uttrakhand) | 163 | 77-82 | 48 |
Southern Plains | Andhra Pradesh, Karnataka, Tamil nadu, Kerala, Goa aur Pondicherry | 165 | 77-82 | 50 |
Western Plains | Punjab, Haryana, Chandigarh, Delhi, Rajasthan aur Western Uttar Pradesh (Meerut aur Agra Division) | 170 | 77-82 | 50 |
Eastern Plains | Eastern Uttar Pradesh, Bihar, West Bengal Jharkhand aur Orissa | 169 | 77-82 | 50 |
Central Plains | Madhya Pradesh, Chattisgarh, Gujarat, Maharashtra, Dadar, Nagar, Haveli, Daman aur Diu | 167 | 77/76 | 50 |
All states/Kendrashasit Pradesh | Adivasi Candidates (Manyata prapt janjatiya kshetron se candidates) | 162 | 77-82 | 48 |
Ladakhi | Ladakhi | 167 | 77 | 50 |
Gorkha | Indian aur Nepali dono Gorkha | 177 | 77 | 48 |
Soldier Tradesman (All Arms)
Soldier Tradesman (all arms) ki post mein padhai ki baat kare toh ismen ya toh 10th pass hona jaruri hai ya ITI pass kiya hua hona jaruri hai. 10th mein kitne marks aaye the isse ismen koi matlab nahin hai. Jabki age 17 se 23 honi chahiye.
Aisa hona chahiye aapka shaheer
Zone/Area | State | Height (cm) | Chest (cm) | Weight (kg) |
Eastern Himalayan | West Bengal, Gangtok, Darjeeling aur Kalimpong, Arunachal Pradesh, Manipur, Sikkim, Nagaland, Tripura, Mizoram, Meghalaya, Assam aur pahadi kshetra. | 160 | 77-82 | 48 |
Western Himalayan | Jammu & Kashmir, Himachal Pradesh, Punjab pahadi (Himachal Pradesh aur Punjab ke beech inter state seema ke kshetra Mukerian, Hoshiarpur, Garh Shankar aur Ropar), Garhwal aur Kumaon (Uttrakhand) | 163 | 77-82 | 48 |
Southern Plains | Andhra Pradesh, Karnataka, Tamil Nadu, Kerala, Goa aur Pondicherry | 166 | 77-82 | 50 |
Western Plains | Punjab, Haryana, Chandigarh, Delhi, Rajasthan aur Western Uttar Pradesh (Meerut aur Agra Division) | 170 | 77-82 | 50 |
Eastern Plains | Eastern Uttar Pradesh, Bihar, West Bengal Jharkhand aur Orissa | 169 | 77-82 | 50 |
Central Plains | Madhya Pradesh, Chattisgarh, Gujarat, Maharashtra, Dadar, Nagar, Haveli, Daman aur Diu | 168 | 77/76 | 50 |
All state aur Kendrashahit pradesh | Adivasi Candidates (Manyata prapt janjatiya kshetron se candidates) | 162 | 77-82 | 48 |
Ladakhi | 157 | 77-82 | 50 | |
Gorkha | Gorkhas Candidates Nepali aur Indian | 160 | 77-82 | 48 |
Soldier Tradesman (Syse, Mess keeper aur house keeper)
Indian Army mein jo bhi yuva 8th pass ke baad shaamil hona chaahte hai toh unke liye sirf Soldier Tradesman (Syse, Mess keeper aur house keeper) ki post hai. Sahi suna, Soldier tradesman ke syse, mess keeper aur house keeper ki post mein kam se kam 8th pass waale apply kar sakte hai. Saath hi isme marks bhi kahin nahin atkenge.
Ab baat aati hai age ki toh iss post mein aapki age 17 se 23 ke beech honi chahiye.
Iss post ke liye aisi honi chahiye aapki body
Zone/Area | State | Height (cm) | Chest (cm) | Weight (kg) |
Eastern Himalayan | West Bengal, Gangtok, Darjeeling aur Kalimpong, Arunachal Pradesh, Manipur, Sikkim, Nagaland, Tripura, Mizoram, Meghalaya, Assam aur pahadi kshetra. | 160 | 77-82 | 48 |
Western Himalayan | Jammu & Kashmir, Himachal Pradesh, Punjab pahadi (Himachal Pradesh aur Punjab ke beech inter state seema ke kshetra Mukerian, Hoshiarpur, Garh Shankar aur Ropar), Garhwal aur Kumaon (Uttrakhand) | 163 | 77-82 | 48 |
Southern Plains | Andhra Pradesh, Karnataka, Tamil Nadu, Kerala, Goa aur Pondicherry. | 166 | 77-82 | 50 |
Western Plains | Punjab, Haryana, Chandigarh, Delhi, Rajasthan aur Western Uttar Pradesh (Meerut aur Agra Division) | 170 | 77-82 | 50 |
Eastern Plains | Eastern Uttar Pradesh, Bihar, West Bengal Jharkhand aur Orissa | 169 | 77-82 | 50 |
Central Plains | Madhya Pradesh, Chattisgarh, Gujarat, Maharashtra, Dadar, Nagar, Haveli, Daman aur Diu | 168 | 77/76 | 50 |
All state/Kendrashasit Pradesh | Adivasi Candidates (Manyata prapt janjatiya kshetron se candidates) | 162 | 77-82 | 48 |
Gorkha | Nepali aur Indian | 160 | 77-82 | 48 |
Ladakhi | 157 | 77-82 | 48 | |
Andaman & Nicobar Island | Lakshadweep Samuh | 165 | 77-82 | 48 |
Survey Automated Cartographer
Survey automated cartographer ka matlab engineer ki bhi indian army mein post hoti hai jiske liye aapko BA ya BSc ki degree ki hui honi chahiye wo bhi maths ke saath. Iske alava 12th class (10+2) mein maths aur science ke subjects bhi hone chahiye.
Survey automated cartographer mein age limit ki baat kare toh ismen aapki age 20 years se jyada aur 25 se kam hi honi chahiye.
Yeh hai Physical Criteria
Zone/Area | State | Height (cm) | Chest (cm) | Weight (kg) |
Eastern Himalayan | West Bengal, Gangtok, Darjeeling aur Kalimpong, Arunachal Pradesh, Manipur, Sikkim, Nagaland, Tripura, Mizoram, Meghalaya, Assam aur pahadi kshetra. | 160 | 77-82 | 48 |
Western Himalayan | Jammu & Kashmir, Himachal Pradesh, Punjab pahadi (Himachal Pradesh aur Punjab ke beech inter state seema ke kshetra Mukerian, Hoshiarpur, Garh Shankar aur Ropar), Garhwal aur Kumaon (Uttrakhand) | 166 | 77-82 | 48 |
Southern Plains | Andhra Pradesh, Karnataka, Tamil Nadu, Kerala, Goa aur Pondicherry. | 166 | 77-82 | 50 |
Western Plains | Punjab, Haryana, Chandigarh, Delhi, Rajasthan aur Western Uttar Pradesh (Meerut aur Agra Division) | 170 | 77-82 | 50 |
Eastern Plains | Eastern Uttar Pradesh, Bihar, West Bengal Jharkhand aur Orissa | 169 | 77-82 | 50 |
Central Plains | Madhya Pradesh, Chattisgarh, Gujarat, Maharashtra, Dadar, Nagar, Haveli, Daman aur Diu | 168 | 77/76 | 50 |
All state/Kendrashasit Pradesh | Adivasi Candidates (Manyata prapt janjatiya kshetron se candidates) | 165 | 77-82 | 48 |
Ladakhi | 157 | 77-82 | 50 | |
Gorkha | Gorkhas Candidates Nepali aur Indian | 157 | 77-82 | 48 |
JCO mein kya honi chahiye Yogyata
Indian army bharti mein JCO hi sirf ek aisi post hai jisme sabse jyada age limit 34 years hai. Iss post mein pujari, maulvi aur paadri ko mauka milta hai. JCO ki post mein padhai ki baat kare top graduate kisi bhi subject mein hona jaruri hai aur saath hi majhabi padha likha hona bhi jaruri hai.
JCO ki post mein aapki age 27 se 34 saal tak honi chahiye. Jabki ismen physical eligibility ki baat karein toh hight 166 cm aur chest 77 se 82 cm. Ismein aapka weight 50 kilogram hona chahiye. Wahin iss post mein pandito aur maulviyo ki height 157 cm hona jaruri hai.
JCO Catering
JCO Catering ki post mein bharti hone waale sainik khana banane ka kaam karte hai. Jiske liye padhai kam se kam 10+2 ya Hotel management mein Diploma/Certificate course ek saal se jyada wala hona chahiye.
Ismen age limit 21 saal se 27 saal ki age waale ismen apply kar sakte hai.
Yeh hai Physical Criteria
Zone/Area | State | Hight (cm) | Chest (cm) | Weight (kg) |
Eastern Himalayan | West Bengal, Gangtok, Darjeeling aur Kalimpong, Arunachal Pradesh, Manipur, Sikkim, Nagaland, Tripura, Mizoram, Meghalaya, Assam aur pahadi kshetra. | 160 | 77-82 | 48 |
Western Himalayan | Jammu & Kashmir, Himachal Pradesh, Punjab pahadi (Himachal Pradesh aur Punjab ke beech inter state seema ke kshetra Mukerian, Hoshiarpur, Garh Shankar aur Ropar), Garhwal aur Kumaon (Uttrakhand) | 166 | 77-82 | 48 |
Southern Plains | Andhra Pradesh, Karnataka, Tamil Nadu, Kerala, Goa aur Pondicherry. | 166 | 77-82 | 50 |
Western Plains | Punjab, Haryana, Chandigarh, Delhi, Rajasthan aur Western Uttar Pradesh (Meerut aur Agra Division) | 170 | 77-82 | 50 |
Eastern Plains | Eastern Uttar Pradesh, Bihar, West Bengal Jharkhand aur Orissa | 169 | 77-82 | 50 |
Central Plains | Madhya Pradesh, Chattisgarh, Gujarat, Maharashtra, Dadar, Nagar, Haveli, Daman aur Diu | 168 | 77/76 | 50 |
Ladakhi | 157 | 77/76 | 50 | |
Gorkha | Gorkhas Candidates Nepali aur Indian | 160 | 77/76 | 48 |
Havildar Education
Indian army bharti mein sabse badi post mein se ek Havildar Education ki hoti hai. Iss post mein apply karne se pahle aapko achhi padhai poori karni jaruri hai.
Havildar ki post mein aapko in mein se koi bhi degree ki hui honi chahiye:- MA/MSc MCa/BA/BSc (IT) ke saath B.ed add group Y – BSc/BA BCa/BSc (IT) (w/o B.ed). Jabki age limit ismen 20 se 25 honi chahiye.
Yeh hai Physical Criteria
Zone/Area | State | Hight (cm) | Chest (cm) | Weight (kg) |
Eastern Himalayan | West Bengal, Gangtok, Darjeeling aur Kalimpong, Arunachal Pradesh, Manipur, Sikkim, Nagaland, Tripura, Mizoram, Meghalaya, Assam aur pahadi kshetra. | 160 | 77-82 | 48 |
Western Himalayan | Jammu & Kashmir, Himachal Pradesh, Punjab pahadi (Himachal Pradesh aur Punjab ke beech inter state seema ke kshetra Mukerian, Hoshiarpur, Garh Shankar aur Ropar), Garhwal aur Kumaon (Uttrakhand) | 162 | 77-82 | 48 |
Other | 162 | 77-82 | 50 |
Iss prakar Indian Army (Bhartiya Sena Bharti) mein inn pado par bhartiyan hoti hai aur usme alag-alag padhai aur alag-alag physical requirement hoti hai jo humne upar table di hai. Agar aapko abhi bhi kuch samajh nahin aaya ho toh humein comment kar sakte hai.
Kisi bhi zone se form appli kar skte h kya
Nahin. Jahan ka domicile hai usi district ki bharti mein bhaag le sakte hai
I want to join Indian army in Gujarat
Please advise for applying
Bhai jab Gujrat ki bharti aayegi toh aap aasani se apply kar sakte hai. yahan click karke facebook group se judiye.
Mere total present 12 vi me 68.60.h lekin english me37 h kya me army me job lg skta hu please repaly
Nahin bhai aapki english mein kam se kam 50% hone jaruri hai.
Koi percentage requirment bhi hoti h ky
Haan, bhai aap dhyan se is article ko padhiye sab bataya gaya hai. Adhik jaankari ke liye yahan click karke facebook group se judiye.
Bhai mera 10th me ek subject me, math me 27% marks hai army me ho sakta hai ya nahi
Aap GD ke liye nahi apply kar sakte ho kyunki 10th mein sare subject mein 33% hone chahiye. AAp tradesman ke liye apply kar sakte ho jo 8th mein 33% chahiye
Age 24 1/2 + 12 th pass open school se, waight ,55 height ,162, kya, main ,jco, ke liye apply Kar sakta hu, or ye vecancy kab nikalti hai, jankari de plzz
bhai JCO (Pujari, Maulvi, Padri) ke liye Graduate kisi bhi prakar ka aur mazhabi padha bhi kari honi chahiye aur age 27 se 34 saal honi chahiye.
JCO (Catering) ke liye 10+2 ya Diploma / Certificate Course ek saal se zyada wala kisi hotel management, cookery ya catering technology mein. age aapki 21 se 27 saal honi chahiye.
12 be pass ka Liya army soldiers ki Bharti kab niklage
Nikalti rahti hai, aap article mein dekhiye jo bhartiya aayi hai usme agar aapka zila hai toh apply kar sakte hai.
Respect sir.
Mera 10th me 58% hai and 12th me 60% aggregate hai
hindi – 63
English -69
Physics -60
Chemistry-49
Biology-58
Maths-55
Sir mai kya Elligable hun?? But best of five he dena hota h toh sir kya kare.? Mai clerk ke liye apply kar sakta hun
Yadi mai (hindi, eng, phy, bio, maths) du
Aap eligible hai apply karne ko agar aapke physical standards match hote hai.
10 me 40%wala b form saktah kya army GD kq
Hanji bhar skate hai.
sir mera is bar comarse se 12th main eligible hun english hai mere pass clark me aply kar sakta hun
Haanji agar commerce ke saath accounts hai to apply kar sakte ho
sir mera 12th 64% se hai but math me 47 marks hain main clark ke liye aply kar sakta hun
Hanji kar skate hai.
Sir mere 10th Mai 42% number hai or sbhi subject Mai 33% se upr nmbr hai 12th pass hu GD bhrti dekh skta hu 2019 Mai qualifications Chez huyi hai Mai GD bhrti dekh skta hu ya nhi
Hanji de sakte hai aap agar aapki age limit requirements ke hisab se hai.
Sir Mera 10th me 71 percent he And 12 th me 46 percentage he And Diploma kiya hua hee sir Me Technical Post ke liye apply kaar saakta hu sir Reply anser..
Bhai sab likha hua hai phir bhi kyo poochte ho. Technical ke liye 10+2 pass science mein (Physics, chemistry, Maths aur English jismein 50% se zyada number aur har subject mein 40%) chahiye.
Kam height walo ke liye fauj me koi chhoti – moti post ho to bataye.
Sir 10 class me 44℅wale apply kar sakte h kya
Sir 10 class me mere 44 percent he kya me 12 pass karke gd ki bharti dekha sakta hu
Class 10th mein 45% zaruri hai GD soldier ke liye. Agar aapka 12th pass hai to baki (Technical/Clerk) post ke liye appear kar sakte ho
Sir.. 10th me maths me.. 32% hai. Or baki me 33% se above hai.. to sir kya me GD ke apply kr sakta hun..
nahin total 45% hona chahiye aur har subject mein 33% hona chahiye.
Army me last kitna age tak bharti lete hai sir
Soldier ost ke liye last 21 saal hai.
mera born date 29/05/1998 h or 10 paas hu kya m form bhar skta hu
Yes aap 21 saal ki age tak apply kar skate hai.