Home Spoken English Learning Tips

12 Tips English Bolne ka Dar Hatane ki – Increase Confidence in English Speaking

Increase confidence in Speaking English

Kya aap ke saath aisa hota hai ki aap chahe kaafi time se english padh rahe hai, lekin fluent english bolte waqt aap confidence ke saath nahi bol pate? Toh ghabraiye nahi. Aise bahut se log hote hai jo english bolne ke samay nervous or shy ho jate hai jisse unka confidence kam ho jata hai. Aaj hum iss article ke through kuch aisi tips share karenge jo aapko nervousness aur shyness dur karne mai toh help karegi hi. Sath hi sath aapka confidence bhi badhayegi. So let’s see how you can increase confidence in English speaking!

How can I improve Confidence in English Speaking

Hum sab English bolne mein kabhi na kabhi nervous zarur hote hai. Aisa mana gaya hai ki jinhe English aati hai wo insaan english ache se padh bhi leta aur likh bhi leta hai. Lekin unmein se kuch log English bolte waqt nervous ho jate hai. Iske peechhe 4 main kaaran hote hai, jiski wajah se unhe English speaking mein dikkat aati hai:

  • Low confidence level – Jab bhi insaan ka confidence level public speaking mein low ho tab aksar wo english mein baat karne se ghabarata hai. Aap chahe khud se ye samjh na pae ki aapka confidence low hai ya nahi. But samne wala aapki body language dekhte hi pehchan jata hai ki aap kis level of confidence se baat kar rahe hai. Dhyan rakhiye ki baat karte waqt aap ka body posture sahi ho. 

Josh Skills App par Sikhe Fluent English Bolna

  • Shyness – Kuch logo ki nature mein hi shyness hoti hai. Aise log sabke samne sirf English mein hi nahi balki hindi mein bolne se bhi ghabarate hai, kyuki wo logo dusro se jaldi mix up nahi ho pate aur apne hi shell mein rehna pasand karte hai. 
  • Nervousness- Insaan nervous tab hota hai jab usse lagta hai ki wo bolte waqt koi mistake karege. Yehi fear of being judged insaan ko har situation mein sabse zyada nervous bana deta hai. Aur reasons jaise khud ko dusro ke speaking skills se compare karana, purani koi galti ya khud se satisfy na ho pana, bhi insaan ko nervous feel karwa sakti hai. 
  • Fear of making mistakes- Galtiya karna insaan ki nature mein hai. Jab aap apne comfort zone se nikal kar kuch karenge toh galti hone ki chances zyada hote hai kyuki aap wo kaam routine mein nahi karte. But issi dar se hum kai baar kuch cheeze karte hi nahi hai, ki koi galti na kar baithe. Iss dar ke kaaran kitne log English bol nahi pate. Aapko iss dar ko hata kar aur zyada English mein bolna chahiye. Taki jo galtiya ho aap unse sikh kar apni English better kar paye.
Don't feel Shy or Nervous - Increase Confidence in English Speaking

English Speaking mein Confidence badhane ki Tips – Increase Confidence in English Speaking

1. Breath before speaking

Ek lambi saans lena insaan ko relax karta hai. Yeh mana jata hai ki confidence se bolne ke liye aap ki body mein oxygen proper amount mein hona chahiye. Isliye aksar aapne dekha hoga ki jab bhi koi stage par bolta hai toh pehle ek lambi saans leta hai. Body mein sufficient oxygen se aap sirf confidently hi nahi bolte, uske saath aapka brain focused rehta hai bolte waqt. Aise mein aap samne wale ko apni baat asani se samjha pate hai. Agar kabhi aapko on the spot soch kar bolna ho toh ye technique usmein bhi aapki help karegi.

2. Speak slowly and increase confidence in English speaking

Author of Talk Like TED, Carmine Gallo ne apni book mein ‘190 words per minute’ ke ek ideal speaking rate ke baare mein bataya hai. Unke according, public speaking ke time aapko approx 150-190 words per minute bolne chahiye. 

Mostly har english bolne wala vyakti dheere dheere bolta hai. Dheere bolne se aap zyada confident aur trustworthy lagte hai, aur yeh bhi prabhav padega ki aap kaisa mehsoos karte hai. Confident feel karwane ke saath saath, ye sochne ke liye thoda samay deta hai ki aap aage kya kehne ja rahe hai. But aapko yaad rakhna hai ki zyada slowly bolne se samne wala thoda bore ya aapki baato mein uninterested ho sakta hai. Toh aapko dhyaan rakhna hai ki na toh aap zyada fast bole aur na hi zyada slow.  

Author of Talk Like TED, Carmine Gallo

3. Smile while speaking – Bolte waqt smile kare

The Journal of Psychology mein ek published study show karti hai ki, jab log smile karte hue baat karte hai tab wo expressive lagte hai. Issi ke saath researchers ka ye mana hai ki smile karte hue baat karne wala vyakti samne wale insaan ko apni baato se connect kar pata hai. Chahe aap andar se confident feel na kar rahe ho, magar smile aapke face ko confident show karti hai. Aur toh aur aisa karne par apka mind aur body dono relaxed rehte hai jisse aap nervous ya shy nahi feel karte. 

Speak English With Confidence

4. Speak in Front of the mirror – Mirror ke samne dekh kar bole

Aksar aapne bahut se logo se suna hoga ki confidence badhane ke liye mirror ke samne practice karo. Ye sabse purana aur easy tarika hai English bolte waqt apna confidence build karne ke liye. Ye method aapki help sabse zyada public speaking ke time karta hai. Iss technique ke according aapko zyada kuch nahi kaarana. Bas mirror ke aage khade ho kar English mein bolna hai. Aap chahe toh apni favourite English movie ya web series ka dialogue bol sakte hai ya fir koi song ki lyrics ya normally English mein baat karne ki koshish bhi kar sakte hai. Aisa karne par aap English language ke saath comfortable aur positive ho jaenge. Agar aap iss technique ki help se roz English practice karenge toh 3 mahine mein aapko khud hi aapki English speaking skills mein farak dikhega.

Speak in front of Mirror

5. Find a conversation Partner

Aksar aisa hota hai ki aap akele mein toh English bol lete hai magar kisi aur ke samne nahi bol pate. Aise mein aap koi aisa vyakti khojen jiske saath aap bahut comfortable feel karte ho aur mistakes karne par aapko nervous feel na ho. Ye vyakti koi bhi ho sakta hai jaise aapka koi dost, aapke parents ya fir aapke ass pass koi bhi. Jab bhi aap unke saath ho toh ek rule bana lijiye ‘ English speaking’ rule, matlab jab bhi unse baat karein toh sirf English mein hi karein. Aisa karke aap ki nervousness dheere dheere khatam ho jaegi. 

Find a Talking Partner

6. Read Aloud- Jor se Padhiye

Hum sab jante hai English mein fluency laane ke liye reading karana zaruri hai. Aap kuch bhi read kar sakte ho. Chahe wo ek novel ya koi bhi non fictional article. Aap jo bhi padhe, bas usse jor se padhe, jaise aap kisi se baat karte hai. Iss technique ka main motive hai aapka confidence build karana English bolne ke waqt, kyuki jor se bolne par aapka dhyaan words ki pronunciation par jaega. Jise aapko apni galti bhi pata chalegi aur usko correct karte hue agli baar sahi dhang se confidence ke saath bol paenge. Bas yaad rakhna hai ki padhte samay jo word samjh na aae usse google ya youtube ki help se pronounce karna sikhna hai. 

Read aloud - Increase Confidence in English Speaking

7. WhatsApp par English mein audio messages bhejiye

Confidence increase karne ke liye main tips mein English practice hi aata hai. Hum sab whatsapp ka bahut use karte hai. Apne dosto, family aur logo se baat karne ke liye. Kuch log message type karke bejte hai toh kuch record karke. Agar aapko message type karne mein dikkat aati hai toh kyun na audio messages send karne ka fyada uthaya jae.  Aapko jab bhi apne dost se ya jiske saath bhi aap comfortable feel karte hai, unse baat karni ho toh English audio messages send karke baat kare. Aur unhe bhi bole ki aapse English mein hi baat kare.  Jaisa ki maine pehle bhi bataya tha insaan zyada shy ya nervous face to face baat karne mein hota hai. Toh aise jab aap bina unhe face kiye English mein baat karenge toh aapki shyness aur nervousness bhi dhur ho jaegi. 

Send audio messages on Whatsapp

8. Grammar par itna focus na kare

Initially jab aap English speaking ki practice kar rahe hote hai, tab grammar par focus karne se aap aur confuse ho jaenge, kyuki grammar mein bahut saare rules hote hai jinhe dhyaan mein rakhna padta hai. Instead aap try kar sakte hai ki jitne bhi words pata hai unse ek basic meangiful sentence create karne ka. Aise zaruri nahi hai ki bina grammar par focus kare ache sentences nahi ban sakte. Aap bina grammar par dhyaan diye bhi ek sentence create kar sakte hai. Han agar aapko koi English exam crack karana hai toh grammar par zarur focus kare. Magar English speaking mein confidence increase karte time grammar ke baare mein itna mat soche.

Bolte waqt grammar se zyada aapko English phrases , idioms ya slangs par dhyan dena chahiye. Hardly kuch hi native English speakers hote hai jinhe proper English grammar rules pata ho. Toh aise mein aap kyu itna soch rahe hai. 

Grammar par itna focus na kare

9. Apne comfort zone se bahar nikle

Jab tak aap apne comfort zone mein rahenge aap mein confidence nahi aa paega. Dheere dheere karke apne comfort zone se bahar nikle. Jaise agar aapko zyada logo ke samne English bolna comfortable nahi lagta toh shuruwat mein try kariye ki choti gathering jaise family lunch ya birthday/ anniversary celebrations jaha kam logg ho, aise get together mein aap English mein baat kare. Jaise jaise aap apne comfort zone se bahar niklenge, aur apne dar ko piche chodenge, dekhna aapka confidence apne aap badega. Aap chahe toh apne ghar se hi shurwat kare. Koshish kijiye jitna ho sake English mein baat kariye.  

Apne comfort zone se bahar nikle -increase confidence in English speaking

10. Learning process ko enjoy kijiye

Agar aap English ko ek language samajh kar sikhenge toh kabhi confidence build nahi ho paega. Ulta aapko hamesha mistakes ka dar rahega. Toh English learning ya English speaking ko enjoy karte hue kariye. Koshish kijiye ki aap English speaking ki practice naturally karein. Jaise English movies dekhte hoa ya hollywood songs ke through. Aisa karke aapko iss process mein mazza bhi aaega aur aap confidence ke saath English bol bhi paenge. 

11. Mistakes karne se darna nahi hai

Adhiktar logo ka ye manana hai ki, English mein fluency na aane ka sabse bada reason hai mistakes karne se darna. Logo ko lagta hai ki wo English bolenge toh wo mistakes karenge. Issi kaaran wo aksar darte hue English bolte hai. Jiske result mein unse galti zarur hoti hai aur confidence level kaam ho jata hai. 

Aapko kabhi bhi mistakes ke darr se English bolna nahi chodna. Kai baar native English speakers bhi bahut mistakes karte hai. Ye human nature hai ki jab bhi aap kuch sikhenge ya kisi cheez ki practice karenge aapse galti zarur hogi. Toh galtiyo se ghabrana nahi hai.

Mistakes karne se darna nahi hai - increase confidence in English speaking

12. Learn Lyrics of Songs – English gaane sikhiye

Aap soch rahe honge English songs sikhne se English kaise improve hogi ya confidence kaise build hoga? Music sabse acha tarika hai mind relax karne ke liye. Iske saath ye ek fun aur entertained way hai apni English improve karne ke liye. Jab aap English songs sun kar gane ki try karenge tab aapko words ki actual pronunciation pata chalegi aur aap words ko correctly sound karenge. English improve hona matlab automatically aapka confidence build hona.

Learn Lyrics of Songs - English gaane sikhiye

Mostly logo ke low level of confidence ke kaaran hi English mein fluency nahi aa pati. Aapka kuch naya karne ka dar hi aapke low confidence ka main reason hai. Jaise kai logo ko stage par perform karne ka dar hota hai kyuki unhone kabhi wo try nahi kiya. Aise hi jab tak insaan English bolega nahi tab tak uska wo fluent English na bol pane ka dar niklega kaise. Galtiya karna bahut hi normal chiz hai but hume try karna chaiye ki hum kaise khud ko improve kare. Aur hum improve tab tak nhi kar payenge jab tak hum galtiya na kare. Isliye galtiyo se ghabraye nahi. Unse seekh kar English speaking mein apna confidence increase kijiye.

Join Josh Skills Spoken English Course

Judiye 20,000+ logo ko jo Josh ke saath English bolna aur padhna seekh rahe hai. Iss Spoken English Course ko aise design kiya gaya hai, ki koi bhi basic learner iss course se apne theoretical and practical grammar ko improve kar sakta hai. Everyday situations mei english ko kaise most effectively use kiya jaa sakta hai – iss par bhi extra dhyaan diya jaata hai. Ye course Josh Skills mobile App par available hai.

Toh aaj hi shuru kare apni learning journey Josh Skill ke courses ke sath.

NO COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Sikhe Nayi Skills aur Paye Apni Dream Job. Download Josh Skills App

X