Basic English Grammar Kaise Sikhe?

English Grammar Kaise Sikhe

Is article mai hum aapko batayenge ki beginners English grammar ko kaise sikhe hai aur kuch important grammar concepts.

Aaj kal ki competitive duniya mai Basic English Grammar sikhna aur samajhna sabhi ke liye bohot zaroori hogaya hai. Basic English grammar mai strong foundation hone se aap correct sentences form kar paate hai aur aapki communication skills bhi improve ho sakti hai. 

Learn Basic English Grammar for Beginners

Kya aapne abhi abhi English sikhni chaalu kari hai hai? Kya aap apni basic English grammar ko improve karna chahte hai? Toh aap bilkul sahi jagah aaye hai. Aaj hum aapko English grammar ke kuch basics ke baare mai bataungi jo ek beginner ko English grammar sikhne mai madad karenga.

Aaj hum jaanenge ki

  • English grammar kya hai?
  • English grammar basics sikhna kyun zaroori hai? 
  • English grammar ke parts of speech kya hai?
  • Ghar baithe English grammar kaise sikhe aur practice kare?

Josh Skills App par Sikhe Fluent English Bolna

English grammar kya hai?

Aap English grammar apne school days se hi sikhte aur padhte aa rahe honge. Hum sabne apne school mai grammar ki bohot practice ki hai. Par kya aapko English grammar ka matlab pata hai? Kya aapko pata hai ki hame school mai grammar kyu padhaya jaata hai? Agar nahi pata hai toh pareshaan math hoyiye. Mai aapko English grammar ka matlab batati hu.

“Grammar” shabd ek Greek word se aata hai jiska matlab hai “craft of letters” ya aksharo ki kala. Grammar koi bhi language ko describe aur study karta hai. Bina English grammar ke English conversation adhoori hai. Basic English grammar body of rules hai jo words, phrases, clauses, aur sentences ka structure describe karte hai.

English grammar hamari English writing aur speaking ka foundation hai. Agar hamara yeh foundation strong ho toh hum English mai fluency prapt kar sakte hai. Koi bhi language bina grammar ke effective nahi ban sakti. British author David Crystal ne kaha hai ki grammar ek aisa art hai jisse hum ek sentence se bohot saare meanings bana sakte hai. 

Novelist Joan Didion ne grammar ko “infinite power” kaha hai kyuki ek hi sentence ke structure ko shift karne se uska meaning bhi change hojata hai. English grammar ke bina koi sentence poora nahi ho sakta aur sentence ka koi matlab nahi ban paata. Logo se communicate karne ke liye grammar ka use karna bohot zaroori hai. 

Grammar ek rules aur examples ka set hai jo sentences form karne mai aur words ko meaning dene ka kaam karte hai. English grammar rules hame sikhaate hai ki hum words ko kis order mai use kare aur us word ka konsa form use kare taaki sunne aur padhne wale tak hamara sahi message pohuch sake.

Grammar sikhna kyun zaroori hai?

English grammar kaise sikhe janne se pehle ye janna important hai ki isse sikhna kyun zaroori hai. English grammar ka matlab samjhne ke baad aap jaan chuke honge ke English grammar ki importance hamare life mai bohot hai. Ek effective speaker aur writer banne ke liye English grammar ki basic knowledge hona bohot zaroori hai. Grammar skills aapke education, leadership, social life aur employement mai bohot bada role play karte hai.

Importance of English Grammar in our life - English Grammar Kaise Sikhe?

English grammar apke daily life conversations mai bhi bohot important role play karta hai. Hum realize nahi karte ki jab hum English language mai baath karte hai toh hum har sentence mai English grammar ka use karte hai. Yeh grammar implicitly use hojata hai, hum ise deliberately use nahi karte. Hum aapko bataungi ki English grammar ki hamari daily life mai kya importance hai.

Toh aayiye English grammar ki importance jaante hai-

  • Aapke writing skills improve hoti hai

English grammar sikhne se aap ache sentences frame kar paate hai. Jab bhi aap kuch likhte hai toh aapko grammatically correct hona padhta hai, tabhi aapki writing effective maani jaayegi. Sahi tenses, phrases, verbs aur punctuations use karke aap apne article ko effective bana sakte hai aur aapki writing skills improve hojaati hai.

  • Aapke communication skills improve hoti hai

Dusro se communicate karne ke liye aapko sahi phrases ka use karna padhta hai. Chahe woh formal communication ho ya informal, grammar ka use karna hi padhta hai. Apne situations ke hisaab se aapko words arrange aur use karne padhte hai jo sirf English grammar sikhne se ho sakta hai. 

Agar aap apni English speaking skills ko improve karna chahte hai toh aap Josh Talks ka Spoken English course join kar sakte hai.

  • Aapki vocabulary improve hoti hai
Improve English vocabulary through dictionary

English grammar ko sikhne se aapki vocabulary mai bhi improvement aajata hai. Vocabulary ka matlab hai shabd kosh ya aapki words ki knowledge. Grammar aapko har ek word ke bohot saare forms aur tenses sikhaata hai jisse aap naye words sikh paate hai. Har word ko kaise use kare aur uske meaning kaise change kare in sub ki knowledge aapko grammar sikhne se mil jaati hai. 

  • Aapke jobs milne ke chances badh jaate hai

English grammar ke basics ko jaanne se aapke job milne ke chances badh jaate hai kyuki aapki written aur communication skills ke basis pe aapko job ke liye select kiya jaata hai. Agar aapke resume mai koi bhi spelling mistakes ya punctuation errors ho toh aapke select hone ke chances khatam hojaate hai. Aapke written tests mai mistakes hone se bhi aapko job nahi mil paati. Isliye aapko apni basic English grammar ko improve karna bohot zaroori hai.

  • Aapki social life mai madad karta hai

English grammar basics sikhne se aap apni social life mai bhi successful ban sakte hai. Aap toh jaante hi hai ki aaj kal social media platforms hamari life mai kitna important role play karte hai. In platforms mai aap apni daily life ke updates post karte hai. Agar aapki English grammar basics achi ho toh aap dusro tak apna message successfully pohucha sakte hai.

  • Aapke leadership skills improve hoti hai

Jab aapki English grammar improve hojaati hai toh automatically aapki communication skills bhi improve hojaati hai. Ek effective leader ke liye ache communication skills hona bohot zaroori hai. 

Agar aap apne leadership skills improve karna chahte hai toh Josh Talks ka Personality Development course join kar sakte hai.

English grammar ke parts of speech kya hai?

Ab aap English grammar sikhne ki importance samajh chuke hai toh aap ye janna chahte honge ki English grammar kaise sikhe? English grammar sikhne ke liye sabse basic rule hai parts of speech ke concept ko samjhna aur isko use karne ka tareeka sikhna. 

Ab aap soch rahe honge ke parts of speech kya hai. Jab hum kuch bolte hai ya likhte hai toh hame words ke group ko arrange karna padhta hai taaki woh meaningful bane. Har sentence ke har word ko ek naam diya jaata hai jise parts of speech kehte hai. 

In words ke sequence ko samajhne ke liye inhe 8 categories mai divide kardiya gaya hai. Toh aaiye jaante hai ki English grammar kaise sikhe aur different parts of speech.

1. Noun (Sangya)

Kisi vyakti, jagah, jaanvar, ya cheez ke naam ko noun ya sangya kehte hai. 

Vyakti (person)- Sweety, Rosy, Sandy etc.

Jagah (place)- Agra, Hyderabad, Taj Mahal etc.

Jaanvar (Animal)- Cat, Lion, Dog etc.

Cheez (Thing)- Kite, Pen, Paper etc.

Aap nouns ki quiz practice bhi kar sakte hai yaha click karke. 

Neeche diye gaye examples se aapko nouns ki behtar samajh ho jayegi.

  1. Rita is my cousin.

Explaination- Is sentence mai “Rita” ek ladki ka naam hai jo ki ek proper noun hai aur “cousin” ek common noun hai isliye is sentence mai do nouns hai – “Rita aur cousin”.

  1. I love these beautiful flowers.

Explaination- Is sentence mai “flowers” ek noun hai kyuki yeh ek vastu ya cheez ka naam hai isliye yaha “flowers” ko underline kiya gaya hai.

  1. We saw many reptiles at the zoo.

Explaination- Is sentence mai “reptiles” noun hai kyuki yeh jaanvaro ki class ko represent karte hai isliye yeh common noun hai aur “zoo” ek jagah ke baare mai bataate hai isliye is sentence mai “reptiles aur zoo” nouns hai.

Baaki ke neeche diye gaye sentences mai underlined words nouns hai. Ab aap soche ki neeche diye hue sentences mai underline kiya hua work noun kyun hai 

  1. He played with her sister.
  2. The train stopped suddenly.
  3. Sweety is a beautiful girl.
  4. I would like some ice in my juice.
  5. Dogs are a man’s best friend. 

Toh yeh the kuch examples jinse aap Nouns ache se samajh paayenge.

2. Pronouns (Sarvanaam)

Noun ke badle aaye hue shabd ko pronoun ya sarvanaam kehte hai. Yeh words noun ki place lelete hai. Jaise he, she, they, we, you, I, your etc.

Types of Pronouns

 FirstSecondThird
MaleFemaleNeutral
Singular SubjectIyouhesheIt
Singular ObjectMeyouhimherIt
Singular ReflexiveMyselfyourselfhimselfherselfitself
Plural SubjectWeyouthey
Plural Objectusyouthem
Plural Reflexiveoverselvesyourselvesthemselves

Pronouns ki quiz practice karne ke liye yaha click kare.

Examples

  1. They are going to play.

Explaination: Maan lijiye ki Ram, Mohan aur Raheem cricket khelne jaa rahe hai. Toh hum is sentence ko likh sakte the ki “Ram, Mohan and Raheem are going to play”. Yaha Ram, Mohan aur Raheem nouns hai. Hum in nouns ko “They” se replace kar sakte hai jo ki ek pronoun hai.

  1. He is very tired.

Explaination: Maan lijiye ki Ali bohot thak chuka hai, toh hum likhenge ki “Ali is very tired” yaha Ali ek noun hai toh hum iski jagah “He” pronoun use kar sakte hai.

  1. You and I must celebrate together.

Explaination: Is sentence mai “You and I” pronouns use hue hai. Maan lijiye ki mai Sara ko keh rahi hu ki -Sara aur mujhe saath mai celebrate karna chahiye. Toh hum likhe sakte hai “Sara and Ayesha must celebrate together” par is sentence se hame first aur second person ka pata nahi chal raha, toh hum Sara aur Ayesha nouns ko “you and I” se replace kar denge.

Ab aap aage ke examples mai pehchaniye ki pronouns konse hai aur kis noun ko replace kiya gaya hai.

  1. I am learning a new subject.
  2. When are you coming?
  3. It looks like things are starting to look up!
  4. It grew to be the tallest tree in the jungle.
  5. Rohan loves cats. He has a cat named “Snowy”.

In examples se aapko pronouns ki behtar samajh ho paayegi.

3. Adjectives (Visheshan)

Jo shabd nouns aur pronouns ki visheshta bataate hai unhe adjectives kehte hai. Jaise young, clever, long, black etc.

Neeche diye gaye examples ko samajhne ki koshish kare.

Examples

  1. Rahul is a smart boy.

Explaination: Is sentence mai “Rahul” ek ladke ka naam hai jo ki ek noun ban jaata hai. Rahul ki vishesta hai ki woh “smart” hai. Isliye is sentence mai adjective “smart” hai.

  1. This black coffee tastes great.

Explaination: Is sentence mai “coffee” ek noun hai aur is coffee ka type hai “black”. Yaha “Black coffee” ke taste ke baare mai bataya jaa raha hai. Isliye “Black” ek adjective hai.

  1. Have you received the  latest news about the virus?
  2. Priya is very tall.
  3. There is a damp feeling in the aim due to heavy rain in the city.
  4. She lost the few friends she had.
  5. My purse is better than yours.
  6. Maya noticed a red ribbon on the box.

In examples se aapko adjectives ki samajh hojayegi.

Adjectives ka quiz solve karne ke liye aap yaha click kar sakte hai. 

4. Verb (Kriya)

Woh shabd jisse kuch karne ya hone ka pata chalta hai unhe verb kehte hai. Yeh shabd koi kaam, activity ya movement ko darshaate hai. Jaise playing, reading, eating, dancing etc.

Examples

  1. She is playing in the garden.

Explaination: Is sentence mai ek ladki garden mai khel rahi hai. Yaha ladki ka khelna ek activity hai. Isliye “playing” ko verb kaha gaya hai.

  1. We are going out for a picnic.

Explaination: Is sentence mai kuch log picnic par jaa rahe hai. “Jaana” ek action hai isliye “going” ko verb kaha gaya hai.

Baaki se sentences mai aap verbs ko pehchaan sakte hai.

  1. I am studying for my exams.
  2. Ayesha cooks lunch everyday.
  3. Abdul plays cricket very well.
  4. I always ask a lot of questions.
  5. Every day I read my book.
  6. Keshav lives in Delhi.

Yeh hai kuch examples jimai verbs ko uske present tense mai change kar diya gaya hai. Agar aap verbs ki aur practice karna hai chahte hai toh aap yaha click karke quiz solve kar sakte hai.

5. Adverb (Kriya-Visheshan)

Woh shabd jo kisi verb, adjective ya doosre adverb ki visheshta bataate hai unhe adverb kehte hai. Jaise slowly, fast, twice, once etc.

Neeche diye gaye examples se aapko adjectives aur adverbs ka difference samajh aayega.

Examples

  1. Listen to him carefully.

Explaination: Is sentence mai “listen” ek verb hai kyuki yeh ek activity hai. Is activity ke baare mai decribe kiya gaya hai ki “dhyaan se sunna”. Isliye is sentence mai “carefully” adverb hai kyuki yeh verb ki visheshta bata raha hai.

  1. The bird is very small.

Explaination: Yaha bird ki characteristic ke baare mai bataaya jaa raha hai ki chudiya bohot choti hai. Bird ki characteristic hai ki woh “small” hai toh yeh ek adjective hai. Par yeh bird kitni small hai? “very” small. Toh “very” adverb ban jaata hai.

  1. We parked the car here.

Explaination: Is sentence mai verb hai “parked”. Car kaha parked hai? “here”. Isliye “here” yaha adverb hai kyuki yeh verb ke baare mai information de raha hai.

  1. She ran quickly to her mom.
  2. She answered all my questions calmly.

Umeed hai ki aapko in examples se adverbs ki samajh hojayegi.

Adverbs ka quiz practice karne ke liye yaha click kare.

6. Prepositions (Sambandhbodhak)

Woh shabd jo kisi noun ya pronoun se pehle aakar us noun ya pronoun ki jagah bataate hai unhe prepositions kehte hai. Jaise in, on, into, between etc.

Neeche diye gaye examples aapko prepositions samajhne mai madad karenge.

Examples

  1. The pen is on the table.

Explaination: Is sentence mai “pen” ek noun hai, aur pen table ke upar rakha hua hai. Is jagah ko bataane wala word hai “on”. Isliye yaha preposition “on” hai.

  1. I will meet you at 5pm.

Explaination: Is sentence mai pronoun hai “I” aur yaha “5pm” ko milne ki baath ho rahi hai. Is samay ko bataane wala word hai “at”. Isliye yaha preposition “at” hai.

  1. My phone is in my purse.
  2. My shoes are superior to yours.
  3. Whom was he talking to on the phone?
  4. Wisdom consists in doing the right thing at the right time.
  5. I am not afraid of the dangers ahead.

In examples ko samajhne ki koshish kare.

7. Conjunctions (Samuchaya Bodhak)

Woh shabdh jo words, groups, phrases, clauses ya sentences ko combine karte hai unhe conjunctions kehte hai. Jaise know, since, but, both etc.

Examples

  1. We are going to a zoo and a park on the same day.

Explanation: Is sentence mai 2 phrases hai- Pehla hai “We are going to a zoo” aur doosra hai “a park on the same day” in do sentences ko join karne wala word hai “and” jo ki ek conjunction hai.

  1. Do you want a black one or a red one?

Explanation: Is sentence mai 2 choices mai se choose kiya jaa raha hai. “Black ya red”. In dono choices mai difference bataane wala word hai “or”  jo  ek conjunction hai.

Baaki ke examples se conjunctions ko pehchaniya.

  1. She won silver medals for both long jump and single race.
  2. Kabir likes vanilla ice cream, but his sister, Fiza hates it.
  3. Since Tanya’s recital is on Monday, she needs to practice her dance routine.
  4. Mohan slept late, yet he made it to school on time.
  5. Before he was a famous actor, Akshay was a chef in a restaurant.

Umeed hai aapko in examples se conjunctions ki samajh hojayegi.

8. Interjections (Vismaya Bodhak)

Woh shabd jo sudden pleasure, sorrow ya wonder express karte hai unhe interjections kehte hai. Yeh words aapke emotions bataate hai jaise hello, wow, well etc. 

Toh aaiye jaante hai Interjections ke kuch examples:

Examples

  1. Ouch! That hurts.

Explaination: Jab bhi hame koi dard hota hai toh hamara ek reaction nikalta hai. “Ouch” yaha ek aisa reaction hai jo dard ki feeling bataata hai. Isliye “ouch” ek interjection hai.

  1. Oh, I did not know about that.

Explaination: Jab aapko koi baath ke baare mai pata chale jo aapko nahi pata ho toh aapka reaction “Oh” ho sakta hai. Isliya yaha “oh” ko underline kiya gaya hai.

  1. Hello! How are you doing?
  2. Bravo! Dhoni has taken a wicket.
  3. Well done! You have done a great job.
  4. Yummy! The food is so tasty.
  5. Brilliant! Your blog is amazing.

Toh yeh the 8 parts of speech jo ek beginner English grammar learner ke liye bohot zaroori hai. In parts of speech ko aap ache se yaad karle aur iski practice karte rahe kyuki aapko yeh simple grammar life long kaam aayega. Toh aaiye ab jante hai ki English grammar ghar baithe kaise sikhe aur practice kare.

Ghar baithe English grammar kaise sikhe aur paractice kare?

Ab aapko basic English grammar ki poori jaankari mil hi chuki hai. Agar aap ek beginner hai toh aapko basic English grammar ki practice karni padegi tabhi aap ismai perfect ho sakte hai. 

Ab aap sonch rahe honge ke aap apni English grammar improve karne ke liye kaise practice kare. Toh mai aapko basic English grammar practice karne ke kuch techniques bataati hu.

  1. English grammar kaise sikhe – Practice books

Basic English grammar ko practice karne ke liye bohot saare books available hai jisse beginners ki help hojaati hai. In books mai English grammar ki detailed information di jaati hai jisse aap asaani se ghar baithe apni grammar improve kar sakte hai. Aise hi kuch books hai-

The Elements of Style Workbook

Basic Grammar in Use Student’s Book with Answers

Practice Makes Perfect Basic English, Second Edition

English Grammar practice book for beginners
  1. Puzzles and games ke zariye English grammar kaise sikhe?
English grammar puzzles and games

Puzzles aur games ek interesting aur mazedaar tareeka jisse beginners basic English grammar sikh sakte hai. Yeh puzzles aur games aapka interest badhaa dete hai aur bina stress liye aap asaani se English grammar sikh jaate hai. Agar aap bhi puzzles aur games ke through basic English grammar sikhna chahte hai toh yaha click kare.

  1. Josh Skills ka online course join kara

English grammar sikhne ke liye bohot saare online courses available hai jisse aap ghar baithe apni basic English grammar improve kar sakte hai. 

Aisa hi ek course hai Josh Talks ka Spoken English Course jismai aapko English speaking ke baare mai poori knowledge aur training di jaayegi. Bohot log is course mai enroll karke apni English speaking skills aur grammar improve kar rahe hai. Experts aur trainers ke through aapko daily practice aur classes ek interesting tareeke se di jaati hai jisse aap kuch hi din mai Spoken English asaani se sikh jaate hai. Aap bhi is Josh skills app download karke Spoken English course mai enroll kariye aur apni English grammar basics improve kare.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here