Home Spoken English Learning Tips

News Ki Madad Se Apni English Easily Improve Kare!

News se English Sikhe

English easily improve kaise kare? iske aapko kayi tareeke pata honge, jinme se aap kayi tareeko ko use bhi kar rahe honge. Jaise ki-

Or bhi kayi saare cheeze! Ye saari cheeze aapko English easily imporve karne me beshak badi hi madad karti hai. Lekin in saare bade hi popular tareeko ke alawa bhi ek tareeka hai jo ki aapko English me expert banane me help karega.

Kya hai vo tareeka?

News ki madad se English improve karna!

News to har kisi ke ghar me har roj news channel pe dekhi or newspaper se padhi jati hai, aapko bhi deen duniya ki khabro me badi hi ruchi hogi. To kyu na isi ruchi ka or ache se istemal kare or apni English improve kare.

Josh Skills App par Sikhe Fluent English Bolna

Aaj hum baat karenge:

  • News ki madad se English improve karne ke kya fayde hai?
  • News dekhte samay kin points ko dhyan me rakh ke English easily improve kare?
  • Newspaper padhne ka sahi tareeka kya hai?
  • Top English news channels and newspapers kon se hai?

Aayiye baat kare ki itne saare ways hone ke baad bhi hum News ki madad se English imporve karne ki kyu soche?

News ki madad se English improve karne ke kya fayde hai?

1. Dekh, Sun or padhke apni English easily improve kare!

TV, Radio and Newspaper se English easily improve kare

News ki madad se English imporve karne ka ye sabse bada fayeda hai ki aap news dekh bhi sakte hai, padh bhi sakte hai or sun bhi sakte hai. Aap apne convenience ke hisaab se decide kar sakte hai. Agar aap kahi travel kar rahe hai to aap radio sun sakte hai, ghar par hai to TV dekh sakte hai ya office ya kahi or hai to newspaper padh sakte hai.

2. Natural Conversations ki madad lekar English easily improve kare

Two woman talking to each other

News me natural Conversations hoti hai, yaha koi pre-written scripts nahi hoti movies ki tarah, jaise ki kuch interviews, baat-cheet ya discussions etc. Iski help se aapko badi hi madad milegi. Aap jo seekhenge vo banawati na hoke ekdum real hoga.

3. Clear English ka milega sahara!

Book showing the text Everyday English on cover

Chahe aap news dekh rahe ho, sun rahe ho ya padh rahe ho, news ki madad se English imporve karne ka ye benefit to tay hai ki aap vaha se bilkul clear english ke fayede utha payenge. News me jaldi short forms jaise ASAP (as soon as possible) vagerah ka use nahi hota jisse aap koi sentense na samajh paye, isme aapko static English dekhne ko milegi jisse aap confuse nahi honge. 

Static english ka matlab hota hai ki “jo bhi cheez kahi gayi hai” uska “exactly vahi matlab hai”. Aese english ke sentences me koi or chupa hua matlab nahi hota hai.

4. Vocabulary me diversity bhi milegi

Vocabulary words in dictionary

Diversity ka matlab hota hai ‘alag-alag tarah ki’. Ab aap to jante hi hai ki news me to har area ko cover kara jata hai. Jaise ki sports, politics, economy, crime etc. Iska matlab aap news ki help se alag-alag area ki vocabulary seekh sakte hai.

Jaise ki, koi words aese hota hai jo sports me jada use hote hai, ya jo politics me kafi famous hote hai ya koi words technology ke area me bade common hote hai etc. Inko hum jargons bhi kehte hai. News se humko aise words learn karne me help milti hai.

5. English easily improve kare or Latest khabro ka bhi luft uthaye

Newspapers on the desk

News dekhne ke basic purpose ko hum kaise nazar andaaz kar sakte hai? News dekhne se aap hamesha updated bhi rahenge or news ki madad se aap apni English bhi improve kar payenge. Hamesha updated rehna bada hi jaruri hai taki hum kabhi bhi kisi bhi discussion me actively bhaag le sake. Jab humko kisi cheez ke bare me knowledge hogi to hum apne aap hi confident mehsoos karne lagenge or badh chadh kar kisi bhi discussion me part le sakenge.

Ab baat aati hai ki konse hai vo points jinko hum news dekhte samay dimag me rakhe taki hum apni english improve kar paye?

Aayiye aage jane-

News dekhte samay konse points ko dhyan me rakh ke English easily improve kare?

1. Naye words ko likhte hue chale

Vocabulary words likh kare English easily improve kare

News dekhte ya sunte samay apne paas ek pen and copy rakhe jisme aap naye-naye vocabulary ke words likh sake. Aap apni copy ya diary me alaa-alag columns bhi bana sakte hai jaha pr politics, sports, crime, economy etc. ke words alag-alag likh sake. 

Agar aap newspaper padh rahe hai to aap highlighter ka use bhi kar sakte hai (iske bare me hum aage bat karenge). Isse aapka kaam aasan ho jayega. Baad me in words ka matlab aap google kar sakte hai.

2. News dekhne ke liye mobile applications ki madad le

mobile news application ki madad se English easily improve kare

Chahe aap kitna bhi TV, newspaper ya radio pe news sune. Agar aap news ki madad se apni English improve karna chahte hai to aapko ek acha news app apne mobile me download kar lena chahiye, jisse aapko din bhr choti-choti headlines milti rahegi or aapko jo news achi lagegi use aap tab hi khol ke padh sakte hai isse aapke news padhne ke chances jada hai.

Achi news app ki list dekhne ke liye yaha click kare.

3. TV ka luft uthaiye

Tv pe news dekh ke apni English easily improve kare

Agar ho sake to news tv ya online videos me dekhe, isse na hi aap english fluency samajh payenge balki aap english bolte samay expressions ya bolne ke tareeke ko bhi ache se observe kar payenge. Isliye visual news (jise hum dekh bhi sake) ka badi hi importance hai jab hum news ki madad se English improve karne ki baat karte hai. 

4. Notes banake apne English easily improve kare!

A girl writing down the news summaries

Yaha par vocabulary vale notes ki baat nhi ki ja rahe hai balki hum yaha baat kar rahe hai news ki summary banane ki. News ki madad se English improve karne ke liye aap hamesha puri news sunne ya dekhne ke baad uski summary jarur likhe, isse aapka sentence formation acha hoga or aap un sentences me kuch achi vocabulary ke words bhi include kar skte hai.

5. News dohraye

Boy talking to his friend - News dusro se share karke apni English easily improve kare

Aap jo bhi news sun rahe hai us news ko aap dusro tak bhi pahuchaye, is baat ka dhyan rakhe ki jo words aapne sune ya padhe unhi exact words ko use karne ka try kare jab aap dusre logo ko vo news bata rahe ho. 

Jaise ki – Aapko pata hai ki new education policy introduce ki gayi hai ab aap is bare me apne friends ko batate samay same words ka use karne ka try kare jin words me aapne news suni ho.

Aap roj subah subah chai ke sath newspaper to padhte hi honge, lekin kya aapko pata hai ki newspaper padhne ka bhi ek sahi tareeka hai?

Agar nahi bhi pata hai to koi baat nahi, aayiye iske baare me aage baat kre –

English improve karne ke liye newspaper padhne ka sahi tareeka kya hai?

1.Newspaper ka editorial section padhe

Image showing the editorial section of the newspaper "The Hindu"

Jab bhi news ki madad se english improve karne ki baat aati hai to editorial section ko sabse jada importance di jati hai. Agar aapke pas pura newspaper padhne ka time nahi hai ya aapko samajh nahi aaraha hai ki konsa news ka section padhe to aap news milengi chahe sports ho, crime ho, politics ho, technology ho etc. 

  • Isme aapko ache-ache vocabulary ke words bhi milenge.
  • Isme natural and clear english style ka use kiya jata hai jisse ki aapko ye English ko or bhi ache se samajhne me madad karegi.

2.New readers kya kare?

Image showing a screenshot of the Entertainment section of the newspaper

Ab agar aap newspaper padhne ki aadat me nahi hai to pure 20 page ka paper padhna aapko bada hi bhayanak kaam lagega, to isi vajah se aap shuruaat kre kuch aese sections se jisme aapko interest ho, jaise ki sports coloumn, entertainment section etc. Isse aapki dheere-dheere aadat build up hogi or uske baad aap kuch tough sections ki taraf ja sakte hai. 

News ki madad se English improve karne ki journey me newspaper padhne ki habit daalna ek primary and most important step hai.

3.Highlighters ka istemal kare

Highlighters and sticky notes on the table

Newspaper padhte samay aapko beshak naye-naye words to milenge hi uske sath hi sath aapko kayi english ke phrases ya ache sentences bhi milenge isliye aap hamesha highlighters ya pencil leke baithe jisse ki aap turant hi aese cheezo ko mark kar sake and jisse aapka reading flow bhi na bigade. Words highlight kar dene se unko aap baad me aasani se identify karke unk matlab google kar sakte hai ya kisi achi dictionary me dekh sakte hai. 

4.Man me padhe

Man reading the newspaper

Kayi logo ki aadat hoti hai ki vo har cheez bol-bol kar padhte hai. Aapko aesa bilkul bhi nahi karna hai, try kare ki aap jo bhi article padhe use man me padhe, isse aapke mind ko cheeze (jaise news headlines, vocabulary words etc. ) yaad rakhne me madad milegi or aap english ke sentences ka matlab or bhi ache se samajh payenge. Isliye news ki madad se English improve karne ke liye man me padhne ki technique ko kaster karna bada hi zaruri hai. 

Man me padhne se hum koi bhi article ya passage tezi se padh sakte hai. 

5.Skip na kare!

Girl reading a newspaper

Newspaper padhna ek habit hona chahiye na ki ek forced activity. Isliye shuruaat me ek bhi din skip na kare, agar aapke pas time kam hai to aap 1 ya 2 article hi padhe lekin puri tarah se skip kabhi na kare. Aesa karne se newspaper padhna ek daily basic kaam jaisa ho jayega jo aapko pasand aane lagega. Jaise-jaise aap iske results dekh payenge vaise-vaise aapki or bhi ruchi badhegi.

 Habit building kaise kare, ya janane ke liye yaha click kare.

Chaliye ab aapko ye to pata hai ki newspaper padhne ka sahi tareeka kya hai or news dekhte ya sunte samay kin baato ka dhyan rakhna chahiye. Lekin ab baat aati hai ki news ki madad se apni English ko improve karne ke liye news dekhne or padhne ke ache sources kya hai?

To ayiye unki taraf bhi apni nazar le kar jaye-

Top english news channel and newspapers kon se hai?

News channels

1. BBC News ( British Broadcasting Corporation) 

2. CNN News18

3. NDTV

4. Times news

5. India Today

6. Wion news

English Newspaper

1. The Hindu

2. The Times of India

3. The Economic Times

4. Hindustan Times

5. The Indian Express.

6. Deccan Chronicles 

Ab tak aapko bada hi acha idea ho gaya hoga ki news ki madad se apni English improve karne ke kya fayede hai, news ki madad se English kaise seekhe, newspaper kaise padhe, news dekhne or padhne ke popular sources kya hai etc. To ab aapko kiska intezaar hai? Aaj hi shuru kare news dekhne ki achi habit daalna jisse aap apni english improve kar paye!

Join Josh Skills Spoken English Course

Judiye 20,000+ logo ko jo Josh ke saath English bolna aur padhna seekh rahe hai. Iss Spoken English Course ko aise design kiya gaya hai, ki koi bhi basic learner iss course se apne theoretical and practical grammar ko improve kar sakta hai. Everyday situations mei english ko kaise most effectively use kiya jaa sakta hai – iss par bhi extra dhyaan diya jaata hai. Ye course Josh Skills mobile App par available hai.

Toh aaj hi shuru kare apni learning journey Josh Skill ke courses ke sath.

NO COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Sikhe Nayi Skills aur Paye Apni Dream Job. Download Josh Skills App

X