Kya aap fluent English bolna sikhna hai? Is blog ke through hum aapko batayenge ki aap ghar baithe kaise English speaking practice kar sakte hai.
Aaj kal hum kahi bhi jaaye, chahe woh college mai admission lene ke liye ho ya koi restaurant ho ya kisi company mai job ke liye ya aap kisi community mai baath karte hai ya apne friends circle mai baath karte hai, English speaking skills hona ek bohot badi requirement ban gaya hai jiske liye. English speaking practice karna bohot zaroori hai.
Jab bhi hum kisi ko fluent English bolte hue sunte hai toh hum unse bohot impress hojaate hai ke kaise yeh insaan itni fluent English bol paa raha hai. Par hum yeh nahi samajhte ke English speaking practice karne se hi uski English itni improve hui hai.
Aap ne kayi aise Indian cricketers ko dekha hoga jo ki naye naye team mai aate hai toh unki spoken English kharaab hoti hai, lekin fir TV par interviews dekar aur media ke aage wahi bathe bol bolkar unki spoken English improve hojaati hai. Aap mai aur un mai koi difference nahi hai siwaaye iske ke unko mauke milte rehte hai TV par interviews dene ke aur media ke aage bolne ke aur unki achi English speaking practice hojaati hai.
Par aapko limited mauke milte hai jaise ki aapka job interview ho, kisi foreign country mai study ke liye interview ho, visa interview ho, IELTS test ho ya fir office mai presentation ho ya customer ke saath meeting ho. In mauko ko aap practice ke liye use nahi kar sakte kyuki aapka yehi ek mauka DO or DIE wala situation hota hai. Aapko isi ek mauke pe apna best dena hota hai. Isliye aapko pehle hi English speaking practice karke in mauko mai safal hone ki taiyyari karni padhti hai.
Josh Skills App par Sikhe Fluent English Bolna
Is article mai hum baath karenge:
- English speaking practice karna kyu important hai?
- Hum fluent English kyu nahi bol paate?
- How to practice English speaking at home?
- English speaking practice karne ke online courses ke baare mai jaaniye
English speaking practice karna kyu important hai?
English speaking skills ko improve karne ke bohot saare reasons ho sakte hai, jaise aapke job ke liye ya studies ke liye ya travel karne ke liye. English speaking practice karne se naahi sirf aapke communication skills aur memory improve hoti hai balki aapki cultural knowledge bhi badh jaati hai jisse aap aur independent feel karne lagte hai.
English bolna sikhna hai toh aapko English bolne ki regular practice karni bahut hi jaruri hai. Kyun? Aaiye jante hai.
1. International communication mai madad karta hai
English language 53 countries ki official language hai aur ise 400 million log use karte hai. Aap English language mai sirf English native logo se hi nahi balki duniya ke har country ke logo se baath kar sakte hai. Agar aapko foreign country mai studies ke liye jaana ho ya tourism ke liye jaana ho toh aapko English speaking aani bohot zaroori hai tabhi aap dusro se baath kar paayenge isliye aapko practice karte rehna hoga.
2. Personality develop hoti hai
Jab aap fluently English mai baath kar paayenge toh aapki personality mai bhi development aajata hai. Aapka confidence level badh jaata hai aur aapko dusro se baath karne ke ethics aur sahi behaviour ki samajh hone lagti hai. English speaking practice karke aap aaj kal ke competitive situation mai apni personality ko develop kar paate hai.
Agar aapko personality development ke baare mai aur information chahiye aur aap apni personality develop karna chahte hai toh aap Josh talks ka Personality development course join kar sakte hai.
3. Public speaking skills improve hoti hai
English speaking practice karne se aapki public speaking skills bhi develop hojaati hai. Aapki English speaking skills improve hojaane se aap dusro ke saamne ache presentations aur speeches de paate hai.
Apni public speaking skills ko improve karne ke liye aap online courses ki bhi sahayata le sakte hai. Josh talks ke public speaking course mai enroll karke aap bhi ek successful speaker ban sakte hai.
4. Aapki job opportunities badh jaati hai
Aapke CV/Resume mai agar English proficiency skill mentioned ho toh aapki value aur badh jaati hai. Aapki is skill ki wajah se aapke ache jobs milne ke chances badh jaate hai. Ache companies aapko hire karne ke liye taiyyar rehte hai. Aapke screening tests mai aur job interviews mai aapke communication skills ek bohot bada role play karte hai. In communication skills ko aap sirf English speaking practice se hi improve kar paayenge. Fluent English mai baath karke aap apne employers ko impress kar sakte hai aur new opportunities ko grab kar paayenge.
5. Aapka Confidence level increase hota hai
Aapki English speaking skills ko improve karne se aap mai ek confidence build hojata hai. English speaking practice karte rehne se aapke saare dar aur hesitation dur hojayegi. Aapko logo se baath karne se dar nahi lagega aur aapki ek alag pehchaan ban jaati hai. Jab bhi aapko English mai baath karne ka mauka mile aap khulke apne skills ka use kar sakte hai.
Apni English speaking ko improve karne ke liye aap Josh talks ka Spoken English course join karke roz English speaking practice kar sakte hai.
6. Aapki knowledge badti hai
Agar aapko achi English aati ho toh aap English articles aur information ko bhi samajh paayenge aur use yaad rakh paayenge aur dusro se share kar paayenge. Aaj kal har important information English mai available hai. Jaise courts, law books, websites, social media etc. Agar aapki English skills achi hai toh aap is information se faida uthaa sakte hai aur apni knowledge badhaa sakte hai.
Hum fluent English kyu nahi bol paate?
Agar aapko English bolna sikhna hai toh hume ye jaanne ki zaroorat hai ki hum English bolne mai kahan-kahan problems face kar rahe hai. Hum sab ko English mai baat karne se kabhi na kabhi dar lagta hi hai. Jo English native nahi hai unke liye yeh ek common problem hai. Isliye aapko zyada preshaan hone ki zaroorat nahi hai.
Aap Arnold Schwarzenegger ko toh jaante honge, jo ek famous Hollywood celebrity hai aur former governor of California bhi. Unhe English bohot weak thi. Par unhone is weakness ko apne upar effect hone nahi diya. Unhone English speaking practice karke apni English improve ki aaj itne successful ban gaye.
Sabka koi na koi reason hota hai jiske wajah se hum achi English nahi bol paate. Mai aapko in reasons ke baare mai batati hu.
Hesitation
Jab hum kisi aur ke saamne English mai baat karte hai toh hamare andar ek hesitation aajati hai. Yeh hesitation isliye hoti hai kyuki hum sonchte hai ki kahi saamne wale ko humse achi English aati hogi. Agar hum kuch galath bolenge toh saamne wale ko pata chal jayega aur hame kuch bol dega. Is dar ki wajah se hum dusro ke saamne English bolne se hesitate karte hai.
Vocabulary ki kami
Iska matlab hai aapke shabd kosh mai kami. Jab aapke paas shabdo ki kami hoti hai toh aap English nahi bol paate. Sahi situation pe sahi words bolne par hi aapka sentence poora hota hai. Agar aapki vocabulary hi weak hai toh aapko samajh nahi aayega ke sentences kaise frame kare aur kaise baath kare. Is wajah se aapki English weak hojati hai aur aap English mai baath karne se dur rehte hai.
Motivation ka na hona
Aap jo bhi kaam kare usmai aapka interest hona bohot zaroori hai. Koi bhi kaam zabardasti karne mai aap kabhi safal nahi ho sakte. Agar aapka interest English speaking skills ko improve karne mai nahi hai toh aapka interest English speaking ko practice karne mai bhi nahi hota. Isi lack of interest ki wajah se maximum log peeche reh jaate hai aur apne skills improve nahi karte.
Practice na karna
Koi bhi skill ya talent ko seekhne ke liye aapko uski practice karte rehna hoga. Hum mai ek kami yeh hai ki hum sirf aur sirf apni native language use karne mai comfortable feel karte hai. English language ko hum utna importance nahi dete jitna ki dena chahiye. English speaking practice na karne se hamari spoken English kharaab hojaati hai aur baath karne mai problem hoti hai. Zyada practice nahi karne ki wajah se aapki skill weak hojaati hai.
Grammar pe zyada focus karna
Jab bhi aap English mai baath kare toh grammar pe zyada focus naa kare. Hum grammar ke tenses ko apne sentences mai add karne ki jitni koshish karenge utni mistakes hote rahengi. English ko uske flow mai bolna chahiye. Maine bohot logo ko dekha hai jinko grammar bohot ache se aati hai par woh fluent English nahi bol paate. Hum grammar ko calculatedly use karne ki koshish karte hai jiski wajah se hamari spoken English kharaab hojaati hai. Jitna zyada aap grammar per focus karenge utni aapko English fluently baath karne mai problem hogi.
Doosro se compare karna
Ek natural human practice hai apne aapko dusro se compare karna. Hum hamesha saamne wale ko apne se acha samajhte hai aur unke saamne apna level bataane se darte hai. Mai bhi apne aapko hamesha dusro se compare karti thi aur stress leti thi. Par aisa karne se hame koi faida nahi hota. Hum jo hai jaise bhi hai hame usmai khush rehna chahiye aur aage improve karne ke liye practice karte rehne chahiye. Aap jab apne aapko dusro se campare karenge toh aap aur bhi demotivated hojaate hai aur achi English nahi bol paate.
How to practice English speaking at home?
Hum sub English language bachpan se seekhte aur bolte aa rahe hai. Aap padhai mai bohot ache hai fir bhi aap fluent English nahi bol paate? Grammar aur vocabulary padhne ke baad bhi aapko baath karte samay sentences frame karne mai problem hoti hai?
Maine bhi is situation ko face ki hai. Weak English bolne ki wajah se mujhe life mai bohot saari problems ko face karna padha both personal aur professional level pe. Par maine is weakness ko ghar baithe apni strength banali, sirf kuch tips aur steps ko follow karke.
Toh mai aapko bataungi ki aap in problems ko kaise solve kar sakte hai aur ghar mai English speaking practice kaise kar sakte hai.
1. English bolna sikhna hai toh naye words seekhiye aur vocabulary improve kare
Firstly, agar aapko ghar baithe English seekhni hai toh aap English words seekhne se start kar sakte hai. Agar aap English mai poora sentence nahi bol paa rahe hai toh aap koshish kare ke hindi sentences mai hi aap zyada se zyada English words use kare. Achi English bolne ke liye aapke mind mai atleast 2000 words hone chahiye. Jitne zyada words ki aapko knowledge hogi utne zyada sentences aap frame kar paayenge. Aapke cousins ya chote bhai behen ki English books read karke aap in words ko apne mind mai save kar sakte hai. Glossary ya synonyms padhke in words ke matlab samajh sakte hai. Dictionary se roz 10 words ko yaad karne ki koshish kariye ya phr newspaper aur TV se new words seekhiye aur iske notes banaale.
2. Important topics ki list banaye aur prepare kare
Doosri tip hai ki agar aapka koi goal hai jise poora karne ke liye aap English seekh rahe ho, jaise ki job interview, ya visa interview toh apne goal ke mutabik aapko ek list taiyyar karni chahiye jismai English conversation ke kuch important topics ho. Jaise agar aap job interview ki taiyyari kar rahe hai toh aapke topics interview questions ho sakte hai jo aapko interview mai puche jaa sakte hai. Jaise ki “Tell about yourself”, “What is your aim in life”, “Descibe your daily routine” etc. Aapko iske detailed answers taiyyar karne hai aur practice karte rehna hoga. In answers ko yaad karne ke baad aap iski practice kisi person ke saamne kar sakte hai taaki aap confident feel kare.
3. Dusro ko imitate karne ki koshish kare
Next tip hai kisi ko dekhke imitate karna. Aap TV pe ya YouTube pe koi bhi video ko dekhne ke baad usko apne words mai bolne ki practice kar sakte hai aur wohi article ya story dusro ko suna sakte hai. Isse aapko English mai sonchne aur new words use karne ka chance milta hai aur aapki vocabulary improve ho sakti hai. Aapko sentences frame karne mai aur dusro ke saamne speech dene ki practice hojati hai. Jab aap dusro ko imitate karte hai toh aap grammar mai improve hojate hai, jise implicit learning kehte hai.
4. Fluent English bolna sikhna hai toh ghar per English bhasha ka hi use kare
Next tip hai ki aap apne friends, relatives aur family members se English mai baath karna shuru karde. Jab aap ghar mai subse English mai baath karna shuru kardenge toh aapka confidence automatically badh jaayega aur aapko dusro ke saamne English mai baath karne ki aadat hojaayegi. Apne ghar walo ko kahe ke jaha bhi aapse koi galthi hoti hai woh aapko waha correct kare aur aapki mistake point out kare. Jab aap English mai baath karne ke habitual hojaoge toh aap automatically bahar walo se bhi English mai baath karne lagoge aur aapki achi English speaking practice hojayegi.
5. Articles ki madad se practice kare
Aapki fluency aur bolne ki speed ko badhaane ke liye ek tip hai ki aap koi bhi article lele koi book se, ya newspaper se ya internet se. Ab is article ki summary banakar isko loudly 3 times read kare. Har time pehle se fast read karne ki koshish karte rahe. Jab aap perfect hojaye toh dusro ke saamne ise sunaaye. Isi tarah articles read karte jaayiye jisse aapki reading skills aur fluency improve hoti rahegi.
6. English songs ki sahayata se English speaking improve kare
English speaking practice karne ke liye aap English songs ki sahayata bhi le sakte hai. Iske liye aap koi bhi English song choose kar sakte hai aur uske lyrics online find karke usko read karle aur uska meaning samajh lein. Ab us song ko lyrics ke saath gaane ki koshish kare. Slow se hote hue fast gaano se aap practice kar sakte hai. Isse aapka pronunciation and fluency improve hojayegi aur saath hi aapko new words seekhne ko milenge. Aap roz ek song practice kar sakte hai. Yeh technique aapko koi bhi language mai fluent hone mai bohot help karti hai.
7. Naye tongue twisters seekhe
Ek aur interesting tip hai tongue twisters bolna. Agar aapko English bolna sikhna hai toh aap roz ek English tongue twister ko seekh sakte hai aur use practice kar sakte hai. Isse aapki English speaking practice hogi aur maa bhi aayega. In tongue twisters se aap apne friends ya relatives ko bhi challenge kar sakte hai jisse aapka interest in muskil tongue twisters ko seekhne mai aur badh jaayega aur saath hi aapka pronunciation bhi improve hojayega.
8. English bolna sikhna hai toh chat karte samay Speech-to-Text ka feature use kare
Aaj kal online messaging toh har koi use karta hi hai. Infact, hum sub isse poori tarah addicted ho chuke hai. Aap ise ek opportunity ki tarah use kar sakte hai. Jab bhi aap apne kisi friends ya family se chat kare toh Speech-to-Text ka feature use kare. Isse aap verbally apne messages bol sakte hai aur voice automatically text mai convert hojaayegi. Isse aapko ghar baithe doosro se English mai baath karne ki adath hojayegi aur aapki fluency bhi improve hojayegi
9. English mai bolne se pehle English mai sonchne ki practice kare
English mai kuch bhi bolne se pehle aap uske sentences ko apne mind mai sonchle aur phir boliye. Isse aap baath karte samay beechmai stuck nahi honge aur aapko pehle se pata hoga ke aap kya kehne wale hai. Isse aapke mistakes hone ke chances kum hojayenge. Jab bhi apne aap se baath kare toh English mai baath karne ki koshish kare. Apne dimaag mai chal rahi har baath ko English mai karne ki koshish kare. Agar aap English mai sonchege tabhi aap achi English bol bhi paayenge.
10. English bolna sikhna hai toh phone pe baat karte samay sirf Angreji ka hi istemaal kare
Customer service se English mai baath kare. Jab bhi aapko koi complaint ho ya koi bhi problem ho toh aap customer support services ko call karte hai. Jab bhi aap baath kare Hindi ya koi aur language naa choose karte hue English language ko hi choose kare. Isse aapko dar bhi nahi lagega kyuki call pe baath karne wala na aapko jaanta hai aur naa hi aapko dekh paata hai. Aap confidently English mai baath karke achi practice kar sakte hai.
11. Apni voice record kare
Apni voice record kare. Aap jab bhi kuch read kare ya speech de toh apna audio record karle aur use sune. Isse aapko pata chalega ke aap kya galath bol rahe hai aur kya sahi. Aapke pronunciation mai mistakes ko jaan paayenge. Isi tarah apne mistakes ko har baar correct karte rahe jab tak aap perfect nahi ho jaate.
English speaking practice karne ke online courses ke baare mai jaaniye
Hum sub jaante hai ki English kitni common language ho chuki hai aur ise fluently bolna kitna zaroori hai. Aaj kal har koi apni English speaking skills ko improve karne mai laga hua hai taaki woh apne academic aur professional career mai aage badh sake. Isliye aise bohot saare spoken English online courses available hai jisse aap ghar baithe asaani se English speaking practice kar sakte hai. Aisa hi ek course hai Josh talks ka Spoken English course jo Josh skills app download karke aap abhi enroll kar sakte hai. Is course mai aapko English vocabulary, pronunciation, fluency aur confidence badhaane ke tips aur lessons diye jaayenge. Koi bhi basic learner is course se apne theoretical aur practical grammar ko improve kar sakta hai. Is course mai aapko daily practice lessons bhi diye jaate hai jisse kuch hi dino mai aap fluent English bol paayenge. Toh neeche diye gaye link ko click kare aur Spoken English course join kare.
Yeh the kuch tips jisse aap ghar baithe apni English speaking practice kar sakte hai aur apni English behtar bana sakte hai. In tips ko apni life mai aaj hi include karna shuru karde aur kuch hi dino mai aapki spoken English mai zaroor difference nazar aayega. Aapko bass consistent rehna hai aur apne goal ki taraf aage badhte rehna hai. English improve karna aapke liye hamesha beneficial hi hoga.