Home Skill Develop Kare Personality Development

Self Confidence Kaise Badhaye – 15 Effective Tips

Apna Self Confidence Kaise Badhaye

Self confidence ka matlab hota hai “Atmavishwash” ya aasan shabdo me hum keh sakte hai ki self confidence ka matlab hota hai apne aap par bharosa karna. Self confidence improve karne se hum chances lena seekh pate hai or jitne jada chances hum lenge utni jaldi hum success ki raah par chal payenge! Toh aaiye jaante hai ki self confidence kaise badhaye.

Tips ki or badhne ae pehle aayiye jane ki low self confidence ki vajahse humko kya kya pareshaniyo ka samna karna padta hai- 

 Self Confidence Kaise Badhaye - 15 Effective Tips

Self confidence ki kami ki vajah se hum

  • Apne doubts clear nahi kar pate, jiski vajah se hamesha confusion bani rehti hai. 

Jaise ki – Class me koi cheez na samajh aane pe dubara na puch pana.

  • Un cheezo ko mang nahi pate jinki humko zarurat hoti hai, kyuki humko lagta hai ki hum unhe deserve nahi karte.  

Jaise ki – Jada mehnat karne ke baad bhi Salary me increament ke liye na bol pana. 

  • Feedbacks ko openly accept nahi kar pate jiski vajah se hamari achi growth nahi ho pati. 

Jaise ki – Agar meeting me kisi ne aapse alag point rakha to aap usko discuss karne ke bajaye ye sochne lagte hai ki humne aesa kyu nahi socha or hum smart nahi hai. 

  • Apne career me aage nahi badh pate, kyuki humko khud par or khud ke decisions par bahut jada doubts rehte hai. 

Jaise ki – Agar Ram ki singing achi hai or uska man hai isme aage jane ka lekin uske parents use engineer banne ke liye bol rahe hai. To vo low self confidence ki vajahse apne man ki na sun ke dusro ki bate sunega. 

Aese or kayi problems hai jo hum low self confidence ki vajah se face karte hai. Aur in sab problems ki wajah se ye janna aur bhi important ho jata hai ki self confidence kaise badhaye.

Self confidence improve karna ek aesa topic hai jisme har ek insaan zindagi me kabhi na kabhi to struggle karta hi hai. Kuch log jyada struggle karte hai or kuch log kam, aesa isliye hota hai kyuki kuch aese factors hote hai jinhe vo khud bachpan se control nahi kar sakte jaise unki society, unka family environment etc. 

Lekin ek tajzub ki baat to ye hai ki jo log starting me self confidence improve karne me jada struggle karte hai vo aage chalke bahut jada self confident ban jate hai! 

Isliye aapko darne ki zarurat nahi hai, aayiye aaj hum kuch aisi tips ki baat karenge jo aapko aapka self confidence improve karne me help karengi. Toh jante hai ki self confidence kaise badhaye

Apna Self Confidence Kaise Badhaye

1. Apna sochne ka nazariya badaliye

Apna sochne ka nazariya badaliye - Self Confidence Kaise Badhaye

Self confidence me kami ka ek sabse bada reason ye hota hai ki hum jab bhi dusro se bat karte hai to hum samne vale insaan ko ek bahut upri darja de dete hai, hum aesa sochte hai ki vo humse kayi jada qualified hai or hum jo bhi bolnge vo foolish lagega.

Aese samay pe humko ye yaad rakhna chahiye ki saamne vala vyakti bhi ek insaan hi hai. Aap unki normal and basic daily activities ke bare me soche, jaise vo bhi khana khate honge, vo bhi TV dekhte honge etc. Ye sari cheeze to aap bhi karte hai, iska matlab aap dono me jyada difference to hai nahi.

Halaki ye activity sunane me bachkani zarur lagti hai lekin ye nervousness ko kum karne me kafi help karti hai. 

2. Apne personality development ki or kaam kariye

Apne personality development ki or kaam kariye

Personality ko develop karna or self confidence improve hona, ye dono cheeze sath-sath chalti hai. Jab aapki personality, jaise aapka bolne ka accent, aapka cheezo ko leke attitude and nazariya, aapka sochne ka pattern, aapke opinions etc. badlega vaise hi vaise aapko cheeze or bhi jada normal lagne lagengi. Aapka logo se, society se nervous hona kam ho jayega jisse ki aapka self confidence improve hoga!

3. Apni grooming pe dhyan dijiye

Apni grooming pe dhyan dijiye

Ab aap ye soch rahe honge ki self confidence improvement jaise inside feeling ka bahari looks se kya lena dena hai?.

Actually indono ka aapas me kafi important connection hai, even research me bhi ye prove ho chuka hai ki ek groomed person ke andar apne aap self confidence increase hone lagta hai. Chahe hum ye bat accept kare ya na kare, personal hygiene bilkul matter karti hai, chahe baat aapke nails, hairs, teeth, fingers, face etc. Kisi ki bhi ho, hamesha self maintenance par dhyan de. 

4. Apni communication skills achi kariye 

Apni communication skills achi kariye - Self Confidence Kaise Badhaye

Communication skills ka matlab hota hai baat cheet ka sahi tareeka. Kabhi-kabhi hum kisi se baat karte time kuch galat bol dete hai, ya humko apni baat bolne ke liye sahi words nahi milte and insab ki vajah se humko lagne lagta hai ki humse koi kaam nahi ho sakta or hamara self confidence improve hone ki jagah or bhi jada down ho jata hai.

Isi cheez ko improve karne ke liye, humko apni comminication skills ko sudharna chahiye.

Aisa karne ke kayi tareeke hai, jaise ki- 

5. Apna self confidence kaise badhaye – Logo se baat karne ki habit dalna shuru kariye

Logo se baat kare - Self Confidence Kaise Badhaye

Ye point bhi upar diye gaye point se hi related hai, dono cheeze aapas me interconnected hai. Aapka sirf communication ke bare me seekhna hi kafi nahi hai, isko implement karna bhi bahut jaruri hai. Aap apna self confidence tabhi improve kar sakte hai or apni jhijhak ko tab hi hata sakte hai jab aap logo ke beech me involve hona shuru karenge.

Shuruaat ke liye aap apne niji dosto or parivaar ke sadasyo ke sath thodi der tak baat karne ki habit dale. Akela rehne ko thoda avoid kare, isse dheere-dheere aap logo ke beech me comfortable mehsus karne lagenge.

6. Cheeze shuru kare, procrastination se apna picha chudaye

Self Confidence kaise badhaye - procrastination se apna picha chudaye

Procrastination ka matlab hota hai apne kaamo ko talna. Apne aap se ye kehna ki hum ye kaam baad me kar lenge. 

Ab procrastination na karne ka self improvement se kya connection? Bilkul connection hai. Jab aap procrastinate nahi karenge to aap jada amount of work complete kar paynge jisse ki aap khud ki nazaro me or bhi jada productive ban sakenge. Kuch theories ka kehna hai ki hum jaise-jaise jada work ache se complete karte hai vaise-vaise hamari self image badhti hai or humko ye mehsus hona shuru ho jata hai ki humare andar kafi growth potential hai, jisse self confidence boost hota hai. 

To kya app bhi procrastination se peecha chudana chahte hai? Or janne ke liye yaha click kare.

7. Dar lagne par bhi ruke nahi

Dar lagne par bhi ruke nahi - Self Confidence Kaise Badhaye

Hum sabke sath ek cheez badi hi common hai ki hum jab bhi koi bada kaam karna shuru karne vale hote hai humko is baat ka dar lagta hai ki kahi hum vo kaam kharab na karde, kahi humse koi galti na ho jaye. Aesa lagna bada hi natural hai. Lekin! Kuch log isi dar ki vajah se vo kaam karte hi nahi hai, vo try bhi nahi karte hai, jisse unka ye dar kabhi dur nahi ho pata. 

Ye kuch is tarah ka loop ban jata hai- 

Failure Loop - Apna Self Confidence improve kare

Humko isi loop ko todna hai. Isliye aapko chahe jitna bhi dar lage, aap tab bhi us task ko complet kare, hamesha is cheez ko dhyan me rakhe ki agar ye task ache se ho gaya to aage humko aesa koi bhi task karne me itna dar nhi lagega or hum self confident feel kar payenge. 

8. Dheere or soch samajh ke baat karne ki habit dale

Dheere or soch samajh ke baat karne ki habit dale

“HADBADI”, hadbadi ek aese cheez hai jo hamare bahut kaam khrab kar deti hai. Hum nervous hone ki vajah se kam karne me ya  kisi se baat karne me hadbada jate hai jisse ki ya to hum jo bolna chahte hai vo bol nahi pate ya uski jagah par kuch or bol dete hai jiska baad me humko pachtava hota hai or fir yahi thinking shuru ho jati hai hamare man me ki hum kisi bhi cheez ke liye ache nahi hai.

Or firse vahi self confidence down ho jane vali kahani!

Aap is baat ko dimaag me rakhe ki jo insaan abhi yaha hai vo 10 sec ke baad bhi yahi rahega, bolne se pehle aap apne thoughts ko 10 sec se, ek lambi saans le or fir koi baat bole ya koi kaam kare.

9. Dusre logo ko observe kare

Dusre logo ko observe kare

Agar aap koi kaam karne me nervous feel kar rahe hai to pehle aap kisi or ko vo kaam karta hua dekh sakte hai, aajkal to internet ka zamana hai, youtube pe aapko kayi videos mil jaynge. Isi tarah agar aap ache speakers ko bolta hua observe kare ki vo bat karte hue kaise khade hote hai, unke hand gestures kaise hote hai, unki body movements kya hote hai etc. jaise choti cheezo par dhyan de or insabka consciously use kare and aap badi hi aasani se in skils ko develop karne lagenge.

Ab aap jab itni achi cheezo apnayenge to log apne aap hi aapki tareef karenge jisse aapka self confidence improve hone lagega. 

10. Alag-alag events me hissa lena shuru kariye

 

Agar aap school ya college me hai to apne college me ho rahe events me jarur bhaag le chahe aap koi choti si responsibility hi uthaye lekin bhaag lene se peeche na hate. School ya college level ek simulation ki tarah hota hai, matlab, aap yaha apne aap ko real world ke liye ready karte hai. Isiliye aap yaha ho rahe events ka bharpur fayeda uthaye.

Lekin agar aap school ya college me nahi hai or aapko corporate events me part lene se dar lagta hai to aap shuruaat kare apne ghar or society se. Saal bhar me hamare ghar or society me kafi events hote hai aap unme responsibilities lena shuru kare jisse ki aapki jhijhak hategi or self confidence improve hoga. 

11. Apni fitness pe dhyan de 

Apni fitness pe dhyan de

Kya aapko pata hai ki aapki body jitni healthy and fit rahti hai aapka mind utna hi tension free rehta hai? Jab hum regularly excercise, yoga ya meditation karte hai to hamara man bhi bilkul fit rehta hai, hum mindful decisions le pate hai or hamare productivity bhi badhti hai jisse procrastination bhi dur-dur tak nahi dikhayi deta! 

Ab in saare cheezo se hamara apne upar confidence badhta hai. Insab cheezo se humko achi vibes aati hai. Isliye self confidence improve karne ke liye body or mind, dono ka fit rehna bahut hi jaruri hota hai. 

12. Apne mind me apni achi image banaye

Apne mind me apni achi image banaye

Kafi jada log is activity ko important na samajh ke isko andekha kar dete hai or isme koi serious work nahi karte. Aesa bilkul bhi nahi karna chahiye kyuki aap khud par vishwas tabhi kar payenge jab aapke man me aapki image achi hogi. Aayiye dekhe ki khud ki image apne mind me kaise improve kare- 

  1. Apne aapko dusro se compare karna band kare. 
  2. Apni mistakes ko apna kr usse seekh le, naki khud ko down feel karaye. 
  3. Apni mistakes ko lekar overthink na kare. 
  4. Apni accomplishments ko yaad kare. 
  5. Apne aap se kabhi jhoot na bole. 
  6. Har cheez perfectly karne ke chakkar me na rahe. Kabhi-kabhi “good-enough” ke sath bhi khush rahe. 

13. Goal set kare or usko achieve karne ke liye habits sudhare

Goal set kare

Goal set karna or habits build karke unko achieve karna hamko ek tarah ka self satisfaction deta hai. Humko apne goals achieve karke kafi khushi mehsus hoti hai or self confidence bhi badhta hai. “One step at a time” (yani ki ek samay par ek kadam) phrase ko apnaye or apne aap ko over burden na kare. Ye aapki self esteem badhane me madad karega.  

14. Apne aapko negativity se dur rakhe or positive thoughts ki taraf le jaye 

Apne aapko negativity se dur rakhe - Self Confidence Kaise Badhaye

Kyuki hum log baat kar rahe hai apne mind me khud ki achi image banane ki, to negativity se to dur rehna hi padega! Chahe koi aesa insaan ho jo aapko let down feel karata ho, koi aese memory ho, koi aesa kaam ho jaha se aapke jeevan me negativity aati hai to usse bilkul duri bana le!

Motivate rehne ke liye alag-alag actvities start kare, jaise ki-

  • Motivational videos dekhna
  • Koi motivational book padhna
  • Supporting friends ya family members se baat karna etc

15. Apne aapko supportive logo ke sath rakhe

Apne aapko supportive logo ke sath rakhe

Un logo ke sath rehne se jo aapko hamesha support karte hai, aapki baate ache se sun ke unpe meaningful feedback dete hai or aapko uplift karte hai aese logo ke sath rehne se humko self doubt nahi hota. Aapko jab bhi koi confusion ya self doubt ho to aap in logo se baat karne me hichkichaye nahi. Kabhi-kabhi logo se madad lene me koi burayi nahi hoti hai.

Jis vyakti ke andar self confidence ki kami nahi hoti vo vyakti kisi bhi area me pehel karne se ya initiative lene se darta nahi hai, uski or logo ke sath relationship bhi achi rehti hai kyuki uske andar cheezo ko discuss karne vala mindset hota hai na ki feedbacks ya suggestions ko leke defensive ho jane vala mindset. Improved self-confidence insaan ko successful banana me bhi bahut madad karta hai.

Aasha karte hai ki aapne jana hoga ki self confidence kaise badhaye. To aaj se hi apne self confidence ke improvement ke upar kaam karna shuru kare!

NO COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Sikhe Nayi Skills aur Paye Apni Dream Job. Download Josh Skills App

X