Is article mai hum jaanenge kuch aise tips aur tricks jisse aapki English pronunciation improve ho sakti hai aur aap fluently English bol paayenge. Sath hi mai hum sikhenge kuch important English pronunciation rules jo aapko kaafi help karenge.
Jo log angrezi seekhne ke liye English ko sirf padhte hai jaise books padhte hai, magzines padhte hai, newspapers padhte hai, par kisi bhi tarah se English ko sunte nahi hai, woh log words ki pronunciation mai ya words ko bolne ke tareeke mai aksar galati kar jaate hai kyuki bohot se English words aise hai jo bolne mai waise nahi hai jaise woh likhe jaate hai.
Aaj mai aapko pronunciation ke kuch aise rules bataungi jinse English words ko pronounce karna aur unhe sahi tareeke se bolna asaan hojayega. Usse pehle aapka yeh janna zaroori hai ki pronunciation aapki English speaking mai kya role play karta hai.
Toh chaliye shuru karte hai!
Josh Skills App par Sikhe Fluent English Bolna
Pronunciation aapki English speaking ko kaise improve karta hai?
Pronunciation ka matlab hai English sounds nikaalna ya aapke bolne ke tareeke ko pronunciation kehte hai. Pourhosein jo ek writer hai, unhone kaha hai ki English pronunciation ek subse mushkil skill hai jise develop karne ke liye bohot mehnat aur practice karni padhti hai.
Oxford ke hisaab se “pronounce” ka matlab hai kisi word ka sahi tareeke se sound nikaalna. Pronunciation ka matlab hai ek aisa tareeka jisse ek langugage boli jaati hai. English pronunciation mai alag-alag components hote hai jaise sounds, stress, pitch mai changes etc.
Ek subse badi mistake jo international students karte hai woh yeh hai ki woh pronunciation improve karne pe zyada attention nahi dete. Aksar students grammar, vocabulary aur sentences ko zyada importance dete hai, par woh yeh bhool jaate hai ki pronunciation bhi ek subse important aur basic rule hai Spoken English improve karne ka.
Apni English speaking skills ko improve karne ke liye aapka pronunciation pe bhi dhyaan dena bohot zaroori hai. Ab aap sonch rahe honge ki pronunciation se aapki English speaking kaise improve hosakti hai. Toh mai aapko bataati hu importance of English pronunciation.
1. Pronunciation aapki personality darshata hai
Aap English words ko kaise pronounce karte hai isi adhaar par log aapki English speaking ko judge karte hai. Agar aapko vocabulary aur grammar ki achi knowledge hai par aapka pronunciation theek nahi hai toh aapki Spoken English weak maani jaati hai. Aapke pronunciation se hi aapke social background aur origin ka pata chalta hai. Har country aur nation ka alag accent aur style hota hai, pronunciation se aapke nationality aur personality ka pata chalta hai.
Agar aap apni personality develop karna chahte hai toh Josh Talks ka Personality Development Course join kar
2. Aapki vocabulary improve ho jaati hai
Jab aap pronunciation ke phonetic rules ko samjhenge aur unhe yaad karenge toh aapko new words bhi yaad karne mai asaani hoti hai. Har letter aur word ka ek alag sound hota hai, in sounds ko yaad karke aap new words ko bhi samajh paayenge aur unhe sahi tarah se pronounce kar paate hai, jisse aapka words ko leke confusion khatam hojaata hai.
3. Log aapki baat samajh paate hain
Sahi pronunciation hone ki wajah se logo tak aapka sahi message pohuch paata hai. Agar aap koi word galat tareeke se bolte hai toh uska meaning bhi change hojaata hai aur aapki audience aapka sahi message nahi samajh paayegi. Jaise agar aap kahenge ki “I know you” toh iska matlab hai ki “mai aapko jaanta hu” par ise agar aap alag tone mai kahenge ki “I know you?” toh uska matlab hojaata hai “kya mai aapko jaanta hu?” in dono phrases ka bohot hi alag meaning nikalta hai. Isiliye sahi pronunciation se aapke sentences bhi sahi hojaate hai
4. Aap duniya ke har desh mai asaani se communicate kar paate hai
Aapki pronunciation achi hone se aap globally English mai fluently baat kar sakte hai kyuki log aapki baat asaani se samajh paayenge. Sahi pronunciation hone se aap words ko correct tareeke se bol paayenge aur aap world mai kahi bhi jaaye confidently Angrezi mai baat kar paate hai.
Toh yeh thi English pronunciation ki importance. Ab toh aap samajh chuke honge ki pronunciation pe bhi dhyaan dena kitna zaroori hai.
Mai aapko pronunciation ke kuch importance rules bataati hu jise aap seekh sakte hai aur apni English speaking improve kar sakte hai.
English Pronunciation ke rules kya hai?
Apni pronunciation improve karne ke liye aapko kuch English pronunciation ke kuch important rules aur points ka dhyaan rakhna padhta hai, jisse aap samajh paayenge ki kis word ko kaise pronounce kare.
Mai aapko bataungi kuch aise tricks jinhe aap yaad rakh sakte hai aur asaani se pronunciation seekh sakte hai.
1. English Pronunciation Rules for Words jo “tion” se end hote hai
Aapne bohot se aise words padhe honge jinke end mai “tion” lagta hai.
Jaise Action, Attention, Position etc.
Is tarah ke words ko bolne ke 2 rules hai-
Rule 1
Aapke word ke end mai “tion” hai aur isse bilkul pehle ka alphabet koi bhi ho par “s” na ho toh ise “shun” pronounce karenge. Jaise-
- Station yani bus ya train ke liye wait karne ki jagah.
Yaha “tion” ko “shun” bola jayega kyuki “tion” se pehle ka letter “a” hai aur “s” nahi hai.
Aise hi kuch aur examples hai-
- Competition yani mukaabla
Ise hum “Com-peti-shun” pronounce karenge.
- Election yani chunaav
Ise hum “Elec-shun” pronounce karenge.
- Position yani avastha
Ise hum “Posi-shun” pronounce karenge.
- Action yani kuch karna.
Ise hum “Ak-shun” pronounce karenge.
In sub examples mai “tion” se pehle aane wala word “s” nahi hai isliye hum ise “shun” pronounce karenge.
Kuch words mai “tion” ke baad kuch aur letters jod diye jaate hai, par yaha bhi “tion” ki awaaz “shun” hi boli jaayegi. Jaise-
- National yani Desh ka raashtriya
Yaha “tion” ke baad “al” add hua hai par kyuki “tion” se pehle ka alphabet “s” nahi hai isliye hum ise “Na-shun-al” hi pronounce karenge.
Aise hi kuch aur examples hai-
- Nationality yani rashtriyata
Ise hum “Na-shun-ality” bolenge.
- Nationalism yani desh prem
Ise hum “Na-shun-alism” bolenge.
Rule 2
Aapke word ke end mai “tion” hai aur isse bilkul pehle wala alphabet “s” hai toh aap ise “chun” pronounce karenge. Jaise-
- Question yani savaal
Yaha “tion” se pehle “s” hai isliye is word ko “Ques-chun” pronounce karenge.
Aise hi dusre examples hai-
- Suggestion yani mushvara
Ise hum “Suggesh-chun” pronounce karenge kyuki “tion” se pehle “s” hai.
- Digestion yani Hazima
Ise hum “Di-gesh-chun” bolenge.
- Congestion yani bheed-bhaad
Ise hum “Con-gesh-chun” bolenge.
English Pronunciation Rules for Words jo “sion” se end hote hai
Aise bohot saare words hai jinke end pe “sion” lagta hai. Jaise mission, tension, confusion, version etc.
Is tarah ke words ko bolne ke 2 rules hai-
Rule 1
Agar word ke end mai “sion” laga hua hai aur isse pehle aane wala alphabet vowel hai yani “a, e, i, o, u” mai se ek hai ya fir “r” hai toh “sion” ko “yhun” pronounce kiya jaata hai. Jaise-
- Television yani TV
Yaha “sion” se pehle aane wala letter “i” hai jo ki ek vowel hai isliye ise “Tele-vi-yhun” bolenge.
- Confusion yani uljhan
Ise “Con-fu-yhun” pronounce karenge kyuki “sion” se pehle aane wala letter “u” hai jo ki ek vowel hai.
- Diversion yani mod
Ise “Di-ver-yhun” bolenge karenge kyuki “sion” se pehle aane wala letter “r” hai.
- Conclusion yani nateeja
Ise “Con-clu-yhun” bolenge kyuki “sion” se pehle aane wala letter “u” hai jo ki ek vowel hai.
Rule 2
Agar word ke end mai “sion” laga hua hai aur isse bilkul pehle aane wala alphabet koi bhi hai bass vowel yani “a, e, i, o, u” nahi hai aur “r” bhi nahi hai toh use “shun” pronounce karnege. Jaise-
- Mission yani koi maksad
Ise “Mish-shun” bolenge kyuki “sion” se pehle aane wala letter “s” hai jo ki ek vowel nahi hai.
- Permission yani ijaazat
Ise “Per-mi-shun” bolenge
- Tension yani pareshani
Ise “Ten-shun” bolenge
- Admission yani daakhila
Ise “Ad-mi-shun” bolenge
3. English Pronunciation Rules for Words jo “cian” se end hote hai
Kuch words ke end mai “cian” laga hota hai, aise words kisi profession ya job ke liye use hote hai. Ise “shun” pronounce karte hai. Jaise-
- Electrician yani bijli wala
Ise “Elec-tri-shun” pronounce karte hai.
- Politician yani jo politics mai ho
Ise “Poli-ti-shun” pronounce karte hai.
- Beautician yani jo beauty parlour wala kaam karta ho
Ise “Beau-ti-shun” bolenge
4. English Pronunciation Rules for Words jo “tian” se end hote hai
Is tarah ke words ko bolne ke 2 rules hai-
Rule 1
Agar koi word “tian” se end hota ho aur usse pehle “s” ke alawa koi aur alphabet ho toh “tian” ko “shun” pronounce karenge. Jaise-
- Egyptian yani Egypt mai rehne wala
Ise “Egyp-shun” pronounce karenge kyuki “tian” se pehle “s” nahi hai.
- Dalmatian yani Dogs ki breed ka naam
Ise “Dal-ma-shun” bola jaayega.
Rule 2
Agar koi word “tian” se end hota ho aur usse pehle “s” laga hua ho toh use “chun” bola jaata hai. Jaise-
- Christian yani isaayi dharm ko manne wala
Ise “Chris-chun” pronounce karenge kyuki “chun” se pehle “s” word laga hua hai.
5. English Pronunciation Rules for Words jinmai silent letters hote hai
English mai aise bohot saare words mai jinka koi ek letter silent hota hai. In words ki spelling aur pronunciation alag hoti hai. Jab hum likhte hai toh in words ki poori spelling likhte hai, par jab hum in words ko pronounce karte hai toh iska ek letter silent hojata hai. Aise hi kuch alphabets hai-
1. Silent “K” words
Jab bhi koi word mai “k”, “n” se pehle aata hai toh “k” silent hojaata hai. Jaise-
- Know
Ise “noh” pronounce karenge kyuki letter “n” se pehle “k” aaya hai isliye yaha “k” silent hojata hai.
- Knock
Ise “nok” bolenge.
- Knuckle
Ise “nukle” bolenge.
2. Silent “P” words
Jab bhi koi word mai “p”, “s” se pehle aaye toh “p” silent hojata hai. Jaise-
- Psychology
Ise “sycho-logy” pronounce karenge kyunki “s” se pehle “p” letter aaya hai.
- Psyche
Ise “sy-ch” bolenge.
- Pseudo
Ise “seu-do” bolenge.
3. Silent “c” words
Jab koi word mai “c” se pehle “s” alphabet ho toh “c” silent hojata hai. Jaise-
- Muscle
Ise “Mus-sel” pronounce karenge kyuki “c” se pehle “s” letter hai.
- Fascinate
Ise “Fasi-nate” bolenge.
- Scene
Ise “seen” bolenge.
4. Silent “g” words
Jab koi word mai “g” se pehle “i” ho aur “g” ke baad “n” ho toh yaha “g” silent hojaata hai. Matlab jab bhi “ign” form ho toh “g” silent hota hai. Jaise-
- Design
Ise “De-sigh-n” pronounce karenge kyuki yaha “ign” form use hua hai.
- Foreign
Ise “Fo-rein” bolenge.
- Sign
Ise “sien” bolenge.
5. Silent “b” words
Jab koi word mai “b”, “m” ke baad aata hai toh “b” silent hojaata hai. Jaise-
- Bomb
Ise “Bom” pronounce karenge kyuki “b” se pehle “m” letter hai.
- Climb
Ise “cla-im” bolenge.
- Comb
Ise “com” bolenge.
- Womb
Ise “wom” bolenge.
6. Silent “n” words
Jab koi words mai “n” se pehle “m” ho toh “n” silent ho jaata hai. Jaise-
- Damn
Ise “Dam” bolenge kyuki yaha “n” se pehle “m” hai.
- Condemn
Ise “con-dem” bolenge.
- Column
Ise “co-lum” bolenge.
Yeh the kuch important pronunciation rules jinhe seekhna aur follow karna aapki Spoken English ke liye bohot zaroori hai.
Pronunciation improve karne ke tips kya hai?
Hum English mai sahi pronunciation isliye nahi kar paate kyuki hamari native language ya mother tongue mai hamara pronunciation alag hota hai. Isliye hame apne pronunciation ko improve karne ke liye kuch methods aur tips use karne padhte hai jisse hamara English pronunciation native speakers jaisa ho sake.
Toh mai aapko bataati hu pronunciation improve karne ke kuch easy tips-
1. Google ki madad se English pronunciation improve kare aur seekhe
English mai sahi pronunciation seekhne ke liye aap Google ki sahayata le sakte hai. Ismai aapko har English word ka sahi pronunciation bataya jaata hai. Aap jo bhi word ka pronunciation seekhna chahte hai, aap us word ko google pronunciation mai type karke us word ka pronunciation padh bhi sakte hai aur sun bhi sakte hai. Iske saat hi aap us word ka pronunciation kum speed mai bhi sun sakte hai. Yeh ek asaan tareeka hai pronunciation seekhne ka.
2. Apne tongue, mouth aur throat ko sahi tarah use kare
Jab aap koi foreign language seekhte ya bolte hai toh aapke mouth, throat aur tongue ka movement alag hota hai. English pronunciation ko seekhne ke liye aapko apne mouth, throat aur tongue ke movement pe dhyaan dena chahiye ki kis vowel ya letter se kaisi awaaz nikaalni chahiye. Native English speakers ke mouth, throat aur tongue ke gestures ko notice kare aur use yaad karke mirror ke saamne mimic karne ki koshish kare.
3. Slow baat kare – English Pronunciation Sudharne ke liye
Bohot se students yeh sochte hai ki agar woh fast baat karenge toh dusro pe uska acha impression padhega. Par woh galat sochte hai. Fast baat karne se aapki speech kharaab hojaati hai aur log aapki speech ko samajh nahi paate. Slow baat karne se aapko sochne ka samay mil jaata hai ki aap kya baat kar rahe hai aur kis word ko kis tarah pronounce kar rahe hai. Isse aap har word ko sahi tarah pronounce kar paayenge.
4. Word stress ko samjhe
Word stress ka matlab hai ki word ke kis part ko loudly stress karke bolna hai aur kis part ko slowly bolna hai. Jaise ek common problem jo hum pronunciation mai face karte hai woh hai numbers ko pronounce karna. Like for example “thirteen” and “thirty” in dono words ko aap jab pronounce karte hai toh log aksar confuse hojaate hai ki aap konsa number bol rahe hai. “Thirteen” mai “teen” ko zyada loudly bola jaata hai aur stress diya jaata hai. Jabki “Thirty” mai “Thir” ko zyada stress diya jaata hai. Isse in dono numbers mai difference pata chalta hai. Isi tarah har word ka word stress hota hai jise aapko samajhna aur seekhna hoga. Agar aap koi word ko galat tarah se stress karte hai toh uska meaning change hojaata hai.
5. Difficult words ki notes banaye aur use practice kare
Hosakta hai ki aapko kuch words ko pronounce karne mai problem hoti ho. Aap un words ko ek book mai note kar sakte hai aur uska pronunciation aur syllable bhi likh sakte hai. Ise aap tab tak practice kare jab tak aap usmai perfect nahi hojaate. Isi tarah agar aap koi new word sunte hai ya seekhte hai toh use bhi note karke practice karte rahe. Isse naa hi sirf aapki pronunciation improve hogi balki aapki vocabulary bhi improve hojaati hai.
6. Aap TV ya internet pe jo bhi dekhte hai use repeat kare
Yeh ek subse asaan aur common tareeka hai English speaking aur pronunciation improve karne ka. Aap koi bhi native English speaker ka video, podcast, TedTalk ya TV show dekhe, aur use zor se repeat karte jaaye. Is tarah sunne aur repeat karne se aapko English mai baat karne ki aadath hojaati hai aur aap unhi ke accent ko apnaane lagte hai.
7. Tongue twisters se pronunciation seekhe
Yeh ek interesting aur mazedaar tareeka hai apni pronunciation ko improve karne ka. Aap kuch tongue twisters find kar sakte hai aur unhe slow se fast bolne ki practice kare, isse aapka apni tongue pe acha control hojayega aur aap muskil sentences aur words easily bol paayenge. Jaise “She sells seashells on the seashore” ya fir “How much wood would a woodchuck chuck?”
8. Apne friends, family ya teachers se feedback lein
Apne friends, family ya teachers se aap jab English mai baat karte hai toh unse apni English speaking ka feedback lein. Teachers ko aapke saath is maamle mai strict hone ko kahe ki agar aapke pronunciation mai koi mistake ho toh woh aapko correct kare. Isse aapko sahi aur galath pronunciation ka pata chal jaayega aur aap aage se in mistakes ko na karne pe zyada dhyaan rakhenge.
9. Apni voice record kare
Jab aap kuch bolte hai toh aap apne aapko nahi sunte balki aap baat karne pe zyada concentrate karte hai. Par apni voice record karke jab aap sunte hai toh aapko apni mistakes aur pronunciation ka pata chalta hai. Aap jaan paayenge ki aap kaha galti kar rahe hai aur aapko kin words ko improve karna chahiye. Jab aap English speaking practice kare toh apni voice record kare aur use sunke apne mistakes theek karte rahe.
Toh yeh the kuch tips jisse aap apni pronunciation ko improve kar sakte hai aur fluetly English mai baat kar sakte hai.
Apni English pronunciation ko improve karna ek mushkil aur less interesting task mana jaata hai. Yeh ek natural baat hai ki hum jo accent mai baat karte hai usi ko subse best maante hai. Yeh koi galath baat nahi hai. Par is competitive duniya mai, jaha log sirf aapki English speaking aur writing skills pe aapko judge karte hai, aapka apni Angrezi ko improve karna bohot zaroori hojaata hai.
Aap toh jaante hi hai ki aaj kal har koi apni angrezi sudhaarna chahta hai aur aise tareeko ko apnana chahta hai jisse woh ek fluent English speaker ban jaaye. Iske liye aise bohot saare Spoken English courses available hai jiski sahayata se aap angrezi mai fluent ho sakte hai. Agar aap apni English speaking skills improve karna chahte hai toh Josh Talks ka Spoken English Course join kare jisme experts duwaara aapko English speaking lessons aur daily practice di jaati hai. Aap kuch hi samay mai English ke saare basics, grammar aur sentence structures mai expert ho hojayenge. Toh abhi Josh Skills App download kare aur Spoken English Course mai enroll ho jaye.
Toh aaj hi shuru kare apni learning journey Josh Skill ke courses ke sath.