Fluent Angreji Bolna Sikhe In Top 22 Tareeko Ke Sath

Angreji Bolna Sikhe

Agar hum baat kare ki sabse important soft skills kon-kon si hai to usme English communication top 5 ki list me definitely aayegi. Kyuki English ek aese common language ban chuki hai jo ki sirf local level pe nahi balki global level pe accept ki jati hai. Isliye English improve karna bada hi jaruri hai. Lekin kuch logo ko ye kaam  kabhi-kabhi bada hectic lagta hai. To aaj hum baat karenge ki konse aese English bolne ke tareeke hai jisse hum aasane se Fluent angreji bolna sikhe?

To chaliye shuru karte hai!

Josh Skills App par Sikhe Fluent English Bolna

Overburden hue bina Fluent Angreji Bolna Sikhe in Easy English bolne ke tareeke ke sath!

1. Khel-khel me angreji bolna sikhe

Chahe aap kitne bade kyu na ho jaye, games khelne me to sabko maza aata hi hai. Chahe vo family games ho ya mobile phone games ho ya koi or tarah ke. Isliye aap jab bhi koi khel khele to use English me khelne ki koshish kare, uske rules english me bataye etc. Iske alawa aap Google play store se ya fir Apple store se kuch English improve karne wale games bhi download karke khel sakte hai. Aapko is tarah ke games badi hi aasani se mil jayenge. Aur khel khel mai aap angreji bolna bhi seekh jayenge. 

Aap yaha diye gye links se bhi kuch is tarah ke games download kar sakte hai jo aapko fluent english sikhne me madad karenge. 

  1. Knudge Me
  2. Word Game

2. English gaane sunkar angreji bolna sikhe

 Agar aapne abhi tak English gaane sunne shuru nahi kiye hai to aap jald se jald iski habit banale. English me bahut saare genres hote hai jaise ki pop, classical, indie etc. Aapko beshak English gaane bade hi ache lgenge or aap unki habit aaram se bana lenge. English bolne ke tareeke me ye ek bada hi effective tareeka hai. Or agar aap English gaane already sunte hai tb to bahut hi achi baat hai. Is habit to chode nahi or aasani se fluent angreji bolna sikhe!

3. English movies dekh kar angreji bolna sikhe

Aese English movies ya TV shows dekhne se aapko English jaldi learn karne me madad milegi. English movies ya TV shows bade hi interesting hote hai aapko vo beshak pasand aayenge. Shuruaat me subtitles ke sath movies dekhna na bhule, isse aapko sentences and words samajhne me aasani rahegi.

English movies or TV shows dekh ke kaise fluent angreji bolna sikhe is bare m or janne ke liye yaha click kare  

4. Interesting phrases ki madad se fluent angreji bolna sikhe

Jab English learn karne ki baat aati hai to bahut kam log is point ke bare me baat karte hai. Lekin ye point aapko easily English learn karne me badi madad karega. Phrases ka matlab hota hai kahawat. Ab aesa to bilkul ho sakta hai ki sayad aapko normal straightforward sentences itne interesting na lage lekin jab aap alag-alag situation me use hone vale phrases padhenge to aapko usme jarur interest aayega kyuki vo kafi mazedaar hote hai. Angreji bolna sikhne ke liye ye ek quick aur effective tarika hai. 

5. Routine ki cheezo me English ka use kare

Routine ka matlab hota hai vo saare cheeze jo aap rozaana karte hai, jaise ki subah uthna, breakfast karna, excercises karna etc. In saari cheezo ko karte vakt aap try kare english ka zada se zada use karne ka. Routine ke kaam karte vakt english use karna ek bada hi aasan English bolne ke tareeke me se ek hai.

Routine work me english ka upyog kaise kare is bare me janane ke liye yaha click kare.  

6. Logo se English me baat kare aur angreji bolna sikhe

Aap apne family members ya friends ke sath baat karte samay English ka use karne ka try kare. Aesa karne se aapki English me communication skills ki practice hogi or aap isko strong kar payenge. Aur agar aapne notice kiya ho to humlog koi baat karte samay kayi sare naye words ka use karte hai jisse hamare vocabulary bhi strong hoti hai. Isiliye yaad rakhe ki logo se baat cheet karte samay, bina dare English ka use kare or fluent angreji bolna sikhe.

7. English youtube channels subscribe kare

 Youtube ka craze to din par din badhta hi ja raha hai. Ye ek aesa platform hai jaha aapko har cheez se related content milega or vo bhi almost har bhasha me. Isliye ye aapke liye ek bada hi accha advantage hai. Kyuki aap vo cheeze english me dekh sakte hai jo aapko pasand hai. For example – Aapko history ke bare me janane me badi ruchi hai, to aap youtube me ek aesa English channel subscribe kar sakte hai jo ki history se related ho. Isse aap kabhi bhi bore nahi honge or ye ek ache english bolne ke tareeko me bhi aata hai 

8. Apne aap ko overburden na kare

Hamne kayi baar ye cheez notice kari hai ki log English sikhne ke liye itna jada apne aap ko activities se over burden kar lete hai ki vo ek point of time pe aakar exhaustion ki vajah se saari activities ekdum band kar dete hai. Aesa karne se koi bhi fayeda nahi hai. Aapko is tarah se balance banake chalna hai jisse aap consistent reh paye. Thode-thode efforts roz karne se ek bahut bada improvement dikhta hai, is baat ko hamesha yaad rakhe!

9. Shuruaat me English grammar pe jarurat se jada focus na kare

Bade saare log shuruaat me hi English grammar par jarurat se jada focus karne lagte hai, even kuch logo ko to aesa bhi lagta hai ki English learn karna matlab grammar samajhna. Jo ki hamesha true nhi hai. Ha, aapko basic grammar to bilkul aani chahiye correct sentences frame karne ke liye lekin jada deep me na jaye varna aapko har cheez complex lagne lagengi. Jab aap movies vagerah dekhenge to aapko apne aap hi grammar ka bhi idea hone lagega. Jaise ki- past me baat karne ke liye was/were use hota hai subject ke sath etc. 

10. Diary ya journal likhna shuru kare, English me

Diary ya journal likhne ke apne hi kayi fayede hai, ye na hi sirf aapki English achi karta hai balki aapki communication skills ko bhi acha banata hai. Ab aap jab diary me likhte ho apne din ke baare me to dhyan rahe ki aap english me hi likhe. Aapko yaha par ye dar bhi nahi lagega ki koi aapko judge kar raha hai isliye aap mistakes karne se darenge nahi. 

11. Pehle chote-chote sentences sikhe

English aasani se sikhne ke liye ek effectively proven tareeka hai. Agar aap ek beginner hai to sabse pehle English ke chote sentences sikhne se shuruaat kare. Chote sentences jaise ki – How are you? , What is the time? , I am going to study for my exams. Etc. Is tarah ke chote-chote sentences aapki daily conversation me bhi help karenge or aap inse aasani se English sikh bhi sakte hai.

12. English sikhne ko padhai ki tarah na dekhe

Ha ye baat to sach hai ki school me humko English ek subject ki tarah hi padhaya jata hai, lekin English sirf ek subject hi nahi hai. Achi English ke liye aapko English ko ek lifestyle choice ki tarah dekhna padega. Baki subjects jaise ki Maths, Science ab aap har samay to inme nahi soch sakte na, lekin aapko English me sochne ki habit dalni padegi. Ye sab tabhi mumkin hai jab aap english ko ek lifestyle choice bana le or usko sirf ek subject ki tarah na dekhe.

13.  Duniya bhar ki khabar rakhe, English news channels se

Agar aapko news dekhna pasand hai tab to ye badi hi achi baat hai kyuki aap apne isi shauk se badi aasani se English seekh sakte hai. Aap English news channels dekhna shuru kare and English newspapers padhna bhi shuru kare, isse aapko English ke kayi naye vocabulary words bhi learn karne me help milegi. 

English news channels dekh kar english improve karne ke bare me janane ke liye yaha click kare! 

14. Aise logo ke aas pas rahe jinki angreji achi ho 

Ek theory ke anusaar aap jin 5 logo ke sath rehte hai aap bhi unke hi traits apna lete hai. For example agar vo 5 log study me ache hai to aapki bhi studies me improvement dikhayi dega, agar vo log music me interest rakhte hai to aapka bhi music me interest badhega etc. Isi theory ko follow karte hue aap bhi aese logo ke sath rahe jo ki English me ache ho jisse ki aap aasani se English sikhe!

15. Ek vacation plan kariye! 

Jaise ki humne upar baat kari ki English ko ek lifestyle choice banaye. Aesa karne ka sabse acha tareeka hai aese jagah pe vacation plan karna jaha ke native speakers English bolte ho, aesa karne se aapki Emglish me bahut jada improvement dikhegi or aapko lagega bhi nahi ki aap English learn kar rahe ho. Ye ek bahut fun tareeka hai easily English learn karne ka. 

16. Online interactive classes join karke angreji bolna sikhe

Koi online classes ko join karna bhi aapko kafi helpful rahega apni English ko Jaldi or easily improve karne ke liye. In classes me aapka commuting time bhi bachega jiski vajahse apko vo classes jada hectic nahi lagengi. Online classes me regular discussions bhi hote hai jisse aap apne doubts bhi easily clear kar sakte hai. 

English ki ek kafi effective online classes join karne ke liye yaha click kare. 

17. Chat with friends online

Aajkal to social media ka zamana hai, har koi online hai. Aap bhi isi baat ka fayeda utha kar online aese friends bana sakte hai jo aese jagah pe rehte ho jaha par english boli jati hai. Aap unke sath chat karke bhi apni English practice kar sakte hai. Aapko vaha par jada hesitation bhi nahi hogi English me baat karne me kyuki aap screen ke peeche honge na ki face to face bol rahe honge.      

18. Customer care ki bhasha English hi chune

Kisi na kisi kaam ke liye hum log customer care pe phone karte hi hai. Chahe koi physical product se related ho ya fir sabse common example, hamari telecom company ka customer care hi kyu na ho. Vaha hamesha humko option milta hai shuruaat me ki hum konsi bhasha chunana chahte hai. Try kare ki aap hamesha English hi chune. Ye ek or aesa way hai jaha aap English improve karne ke liye practice kar sakte hai or yaha bhi aapko hichkichahat nahi hogi. 

19. Apni favourite English dialogs ko memorize kare 

Agar aap English movies nahi dekhte hai or Bollywood movies dekhte hai to bhi aapko badi hi aasani se English dialogs mil jayenge. Aapke jo bhi english dialogs favourite ho unko memorize karne ke koshish kare. Isse bhi dheere-dheere aapko naye sentences samajh me aane lagenge. 

20. English advertisements dekhe

Advertisements ke bahut saare forms hai jaise ki TV advertisements, Hoardings, Newspapers ke adds, radio ads etc. Jitne bhi is tarah ke English advertisements hai vo bilkul dekhe. Aesa karne se aapko naye-naye vocabulary words milenge. Iska ek or benefit hai ki aapko advertisements dhundhane nahi padhenge. Aajkal hamari life fully bhari hui hai ads se, aap aasani se English advertisements observe kar sakte hai. 

21. Dictionary pas me rakhe 

Dictionary paas me rakhne ke bahut sare fayede hai. Aesa karne se aap jab bhi kisi naye words ke sampark me aayenge to aap turant dictionary khol ke dekh sakte hai. Aur kyuki aap jo words check kar rahe honge vo kisi situation se related honge isliye aesi probability bahut kam hai ki aap vo words bhul jaye. Isliye yaad rahe ki ek pocket Dictionary jarur apne pas me rakhe. 

22. Galtiya karne se dare nahi 

Last me aapke liye ek sabse jada important point ye hai ki kabhi bhi galtiya karne se dare nahi. Chahe koi kitni bhi achi English bolta ho shuruaat me un sabne bahut sari galtiya kari hai tabhi aaj vo practice kar-kar ke yaha tak pahuch paye hai. Bas ye yaad rakhe ki jo bhi mistakes aap karne vale hai vo jaldi kare. Kyuki or koi rasta nhi hai, aapko bhi mistakes karni hi padegi to acha hai ki use jaldi kare or successfully English improve kare. 

Upar diye gaye saare methods is baat ko importance deke diye gaye hai ki aapko ye feel na ho ki aapko bahut mehnat lag rahi hai aur aap aasani se English improve kar paye. Ye sare methods aapko English improve karne ka process ek lifestyle choice banane me help karenge. To aaj hi vo methods apnaye jo aapke liye best hai!

Join Josh Skills Spoken English Course

Judiye 20,000+ logo ko jo Josh ke saath English bolna aur padhna seekh rahe hai. Iss Spoken English Course ko aise design kiya gaya hai, ki koi bhi basic learner iss course se apne theoretical and practical grammar ko improve kar sakta hai. Everyday situations mei english ko kaise most effectively use kiya jaa sakta hai – iss par bhi extra dhyaan diya jaata hai. Ye course Josh Skills mobile App par available hai.

Toh aaj hi shuru kare apni learning journey Josh Skill ke courses ke sath.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here