kormo_jobs

Kya aap naukari dhundh rahe hai par aapko samajh nahi aa raha ki kaha aur kaise aap job search kare, toh padhiye iss article ko aur jaaniye ki kya hai online naukari dhundhne ka sabse asaan tarika.

Aaj kal ke mushkil samay mein, naukri ki talaash ko aasan banane ke liye Google laya hai job search ka ek naya aur asaan tarika ‘Kormo Jobs’ app jahan par aap online job postings mein se apni pasand ki naukari ke liye apply kar sakte hai. Iss app ko online download karke aap kuch hi clicks mein apni pasand aur hunar ke hisaab se nayi naukri dhund sakte hai.

Google aur Josh Talks ne saath milkar aap tak hazaaron entry-level jobs pahuchaane ka prayaas shuru kiya hai. Ab aap verified employers ke saath apni pasand ki job dhundhkar uske liye apply kar sakte hai.

Agar aap bhi entry-level job search kar rahe hai toh ‘4th October 2020′ ko subah ‘11:30 AM‘ humara online seminar zarur attend kare. Iss online seminar mein aapko Kormo Jobs ke baare mein saari jaankari milegi jaise:

  • 1. Kormo Jobs kya hai aur isse kaisi naukriyan dhundh sakte hai     
  • 2. Working professionals se alag alag entry-level jobs ke baare mein detail mein jaan sakte hai
  • 3. Experts denge aapko naukari dhundhane ke liye tips aur ye bhi batayenge ki aap naukari ke liye zaruri skills kaise develop kar sakte hai

 Kormo Jobs kyun use kare?

1.Free mein apni pasand ki naukri khud dhundhe

2.Hunar aur interest ke hisab se job dekhe

3.Verified aur trusted employers

4.Free mein Resume banaye

5. Naye skills seekhe

6.Interview schedule ko manage aur track kare

Kormo Jobs app kya hai?

Kormo Jobs ek trusted android app hai jise Google ne India me recently launch kiya hai. Iss  app ka maksad hai logo ko online job search karne mein madad karna. Iss app se aap kahi se bhi kisi bhi location ki entry-level jobs dhundhkar, unke liye apply kar sakte hai. Kormo Jobs dega aapko hazaaron job options jinke liye aap apne hunar aur interest ke hisab se apply kar sakenge. Iss app mein sabhi employers verified hai aur ye app ekdum safe hai. 

Yeh app sirf job search nahi balki aapke skills ko badhane mein bhi madad karti hai. Kormo Jobs par aap bahut kuch seekh sakte hai jaise ki ek impressive resume kaise banate hai, job interview ko kaise crack kiya jaata hai, etc.

Kormo Jobs ke madhyam se India mein lakhon log ghar baithe entry-level jobs ke liye apply kar sakte hai woh bhi bina kisi charge ke.

Kormo Jobs se naukari ke liye kaise apply kare?

Step 1: Android phone par Google Play store se ‘Kormo Jobs’ app ko download kare

Step 2: Kormo Jobs app ko install karne ke baad open kare aur usme apna phone number, preferred location aur work field/sector choose kare

Step 3: Iske baad kuch zaruri details fill kare jaise aapka work experience, education, home city, etc aur job milne ke chances badhane ke liye apna Resume upload kar sakte hai

Step 4: Ab aapke samne aapke interest ke hazaron verified employers se job options aa jayenge aur un jobs ke baare mein saari details available hogi

Step 5: Aap apni pasand ki job ke liye ‘APPLY’ par click karke apna application fill kar sakte hai

Step 6: Apply karne ke baad aap job application status aur interview scheduling bhi Kormo Jobs app mein asaani se manage kar sakte hai

Note: Yaad rakhein apne profile ko time to time update karte rahe kyunki isase aapko job milne ke chances badh jaate hai. 

Kormo Jobs app ko abhi download kare, aur nayi naukari paane ke safar ki shuruat kare.

Kormo Jobs app ke baare me detailed video dekhne ke liye niche click kare

Kormo Jobs se seekhe naye skills

Kormo Jobs app mein sirf job search ke alava skill building modules bhi available hai. Inn modules mein aap job se related kafi kuch seekh sakte hai. Jaise ki:

Resume Building

Jab bhi aap kisi naukri ke liye apply karte hai to sabse pehle aapse aapka ‘Resume’ maanga jata hai. Resume ek formal document hota hai jismein aapki professional qualifications, work experiences aur skills jaisi details hoti hai. 

Ab aap Kormo Jobs app ke free Resume maker ki madad se aap ek accha resume digitally bhi bana sakte hai. 

Job Search 

Naukari khojane ka ek useful app hai ‘Kormo Jobs by Google’ jismein sirf 3-4 clicks mein hi aap asaani se apne liye job dhundhkar unke liye apply kar sakte hai. Job search karne ke liye aapko ye zarur pata hona chahiye ki aapki skills kya hai taaki aap ye jaan sake ki aap kis job ke liye best fit hai.

Interview Skills

Resume shortlist hone ke baad job interview dena hota hai aur yahi deciding factor hota hai ki aapko job milegi ke nahi. Isliye job interview ke liye kuch zaruri tips hote hai jinse asaani se interview ko crack kiya jaa sakta hai.

interview tips

Etiquettes & Grooming

Aapko career growth ke liye sirf apne professional skills nahi, apni personality par bhi kaam karna hota hai. Ek acchi personality ke liye aapko bas kuch baaton par dhyan dena hai jaise self-discipline, team player spirit, grooming, manners, etc.

Agar aap bhi apne liye naukari dhundh rahe hai to abhi Kormo Jobs app ko apne android smartphone mein download kare aur hazaro job options mein se apni pasand ki job ke liye apply kare. 

Aapko koi bhi doubt hai iss app ko lekar toh niche comment section mein hume likhe aur hum aapko jawaab dene ki puri koshish karenge!

7 COMMENTS

  1. Kya aapke pass job hai maine 12th tak study ki hai my address_vill. Jalaun khurd po. Shekhpur Ahir dist. Jalaun Uttar Pradesh mo.no.6392378746

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here