Central Reserve Police Force India ka sabse bada Central Armed Police Force hai. Yeh Indian Government ke Home Ministry ke adhikar ke tahat kaam karta hai. CRPF ka primary role state/union territory mein police sanchalan mein kanoon aur vyavastha ko banaye rakhna hai. Yeh Crown Representative’s Police ke roop mein 27 July 1939 ko astitva mein aaya tha. Jabki 28 December 1949 ko yeh CRPF act ke antargat Central Reserve Police Force ban gaya. Aaj hum ismein CRPF Recruitment mein constable post ke baare mein baat karenge.
Iss Article Mein Inn Topic Ke Baare Mein Jaanenge…
CRPF Recruitment 2020 Ki Details
CRPF Bharti 2020 Ki Important Dates
CRPF Recruitment Selection Process
CRPF Recruitment 2020 Ki Details
Aapko bata de ki abhi CRPF mein latest bharti ki date nahin nikali hui hai. Jaise hi constable ki koi bharti aayegi toh aapko yahan bata diya jaayega.
CRPF Bharti 2020 Ki Important Dates
Jaisa ki humne aapko upar bataya hai ki CRPF recruitment mein koi latest bharti nahin nikli hui hai, toh jab koi post ki vacancy aayegi toh uski date yahan update kar di jaayegi.
Event | Dates |
Online starting apply date | TBD |
Last date for apply | TBD |
Admit card | TBD |
Exam date | TBD |
CRPF Salary
Yahan niche aap CRPF constable ki salary ke baare mein dekh sakte hai.
Post | Salary |
Constable (General Duty) | Rs. 21700-69100 |
CRPF Qualification
CRPF recruitment mein constable ki post ke liye educational qualification ke baare mein humne niche bataya hai.
Post | Qualification |
Constable | Matriculation or equivalent from a recognized Board / University. |
CRPF Eligibility
Ab hum yahan baat karenge CRPF recruitment mein constable ki eligibility ke baare mein aur jaanenge age, height, weight etc. ki.
Age | Height | Chest |
18 se 23 years | Male – 170Female – 157 | Sirf male – 80 aur 85 cm. phulakar |
Category Age-Relaxation
CRPF constable mein category wise age mein relaxation diya jata hai jiski list niche dekh sakte hai.
Category | Age relaxation |
Un-reserved | 05 years |
OBC | 08 years |
SC/ST | 10 years |
Eye sight
Near vision | Better eye N6Worse eye N9 |
Distant vision | Better eye 6/6Worse eye 6/9 |
Application Fees
Inn dono post ke liye apply karne par candidates ko 100/- fees deni padti hai.
CRPF Recruitment Apply
Ab hum aapko batayenge ki aap CRPF ki constable ki post ke liye apply kaise kar sakte hai.
Bata de ki aap inn posts ke liye sirf offline hi apply kar paayenge jiska form aap niche diye gaye link par click karke download kar sakte hai.
Click karke Form Download karein
CRPF Recruitment Selection Process
CRPF mein constable ke selection process ki baat kare toh uske baare mein humne niche sabhi step bataye hai.
Dono post ka selection in step mein hota hai:
Stage I – Written Exam
Stage II – Physical Measurement
Stage III – Physical Efficiency Test (PET)
Stage IV – Checking Testimonials
Stage V – Medical Examination
Stage I – Written Exam
Yeh ek written exam hota hai jismein objective type ka paper hota hai. Iss exam mein total 160 question aur uske 160 marks hote hai.
Stage II – Physical Measurement
Written exam ko clear karke baad candidates ka physical measurement hota hai. Ismein candidates ki height, weight, chest etc. check kiya jaata hai. Iss stage ko clear karne waale candidates agle stage mein jaate hai.
Eligibility Check Kare.
Stage III – Physical Efficiency Test (PET)
Iss stage mein candidates ko race lagani hoti hai male aur female dono ko jiski jankari niche table mein dekh sakte hai.
Female | Male |
100-meter race in 18 seconds | 100-meter race in 16 seconds |
800-meter race in 4 minutes | 1.6-Km race in 6.30 minutes |
Long jump 9ft in 3 chances | Long jump 12ft in 3 chances |
High jump 3ft in 3 chances | High jump 3ft 9 inches in 3 chances |
Stage IV – Checking Testimonials
Written test, PST, PET mein pass hone waale candidates ke testimonials check kiye jaate hai.
Stage V – Medical Examination
Sabhi tests ko clear karne ke baad end mein medical test hota hai. Iss test mein jo candidates pass ho jaate hai unka merit list ke aadhar par selection kiya jaata hai.
Latest Sarkari Recruitments
Hum ummid karte hai ki aapko CRPF constable recruitment ke baare mein sahi se pata chal gaya hoga. Agar abhi bhi koi doubt ya question hai toh humein comment mein pooch sakte hai.
dear sir
koi apps hai jish se online classes le sakte hai